Mass transit system ka bunyadi dhancha qaim karna bohat mehnga hai aur ye baat bhi zehan main honi chahiye ke is se munafa mukhtasir mudat main nahin ata. Dunya ke mumalik main jahan ye mass transit nazaam qaim hai wahan safar karnay walon se jo karaya liya jata hai us main hakumat har musafir ko subsidy deti hai.
Lahore Metro Bus Wallpaper
metro bus from inside
BRTS Bus
Metro Bus Pictures
metro bus over head bridge
metro bus platform
Ye nazaam un mumalik main qanoon aur qaeday ke mutabiq chalta hai. Is nazam ko muqami ya qaumi satah par tax main subsidy. Dunya main jahan bhi ye purana maas transit system chal raha hai us main aye rooz behtari ati hai aur ye munafa bakhsh bhi hai. Is ki misaal New Your city ka subway aur London ka underground system hai. Is nizaam main ab mukhtalif musnuaat ki tasheer bhi agayi hai. Bus aur Train ko is nizaam ke liye makhsoos kar diya jata hai aur ye sub hakumat ki zumedari ban jati hai. Pakistan main bhi aik mosar mass transit system na sirf baray shehron main waqat ki zaroorat hai balkeh ye nazaam mulk ki mueshat ke liye bhi zaroori hai. Khaas toor par Pakistan ke sub se baray shehar Karachi ki abadi aur traffic ko dekhtay howe ye kehna zaroor hai ke Lahore ki tarah ka publich transportation system, Sindh main bhi mojood hona chahiye yani (Karachi Metro Bus System, Karachi BRTS, Karachi Bus Rapid Transit System).
Is ke sath sath aisa hi project Pakistan ke dusre baray shehron main bhi banana chahiye jahan traffic ka masla bohat zayada hai jesay Rawalpindi, Peshawar, Gujranwala wagera. Haal hi main Pakistan ki aik political party ke sarbarah Nawaz Sharif ne ye ilaan kiya hai ke lahore ki tarah woh Pakistan ke dusre shehron tak is public transport ke mansobay ko parhana chahtay hain jis main karachi bhi shamil hai. Humain sub ko pehle Pakistani hona chahiye phir apne provinces ka sochna chahiye, jis subay main taraqi ho gi fayeda Pakistan ka hi ho ga, Aaj ke is door main Asia ke mumalik jis raftar se taraki kar rahay hain aur hum agar subon ki larai main hi lartay rahain gey tou hath khuch bhi nahin aye ga sawaye is ke keh hum na sirf dunya main balkeh Asia main bhi taraqi pazeer mulkon ki fehrist main jagah nahin bana payain gey. Har subay ki hakumat ko chahiye ke woh apne awaam ke liye aisay mansubon ka aghaz karay jis se na sirf awaam ki zindagiyon main inqilab aye balkeh Pakistan bhi taraqi ki manazil tay karay. First Rain Of Winter Season - Pehli Barish Ka Manzar
Is nazaam ko qaim karnay ke liye zaroori nahin hai ke is ke liye underground metro ya choti train chalayi jayi, Ye nazaam aik bus service se bhi shuru kiya ja sakta hai. Is ke liye zaroori ho ga ke is main niji sector ko liya jaye aur is main transporters ko azad rakha jaye. Aur agar is ko pehle hi din se sakht qawaneen ki zad main rakha jaye tou bohat acha ho ga.
No comments:
Post a Comment