Monday 16 September 2013

Virgo Personality In Urdu Virgo Star Information Virgo Qualities Female

Virgo In Urdu: Virgo Qualities: Ye nazam-e-shamsi mein 6th star hai. Ye star khidmat aur sehat ki ilamat samjha jata hai. Virgo people mehnati hote hain aur har kaam lagan ke teht karte hain. Ye baray hans mukh hote hain aur har aik ke sath ikhlaq se paish atay hain. Virgo saaf go aur thanday dil aur dimagh ke malik hote hain. Virgo afrad ka dress sub se numayan aur nafees nazar ata hai. Woh apne aap ko numayan rakhne ke liye har cheez ki gehrai tak jate hain. Gandgi aur gandi cheezon se unhain shadeed nafrat hoti hai. Woh har cheez mein husn, safai aur dil kashi dekhna pasand karte hain.

Virgo qabil aitmad aur qabil bharosa hote hain. Un ki zaat par mukammal bharosa kiya ja sakta hai kyoun ke ye kisi ke aitmad ko thees nahin pohanchatay. Iraday ke mazboot aur ghair mutzalzal hote hain. Ye zindagi ke mushkil halaat ka dat kar muqabla karte hain. Woh zindagi ke kisi bhi mushkil aur kathin mod par apne aap ko bay bas nahin samajhte hain. Virgo mazboot iradon ke malik hote hain. Woh apna waqt fazool aur bay kar qisam ke kamon par kharch nahin karte balkeh woh bamaqsad kaam karte hain.

Virgo sari zindagi aram aur sakoon se basar karte hain. Bare ba himmat aur hosla mand hote hain. Apni mehnat se apne karobar ko khoob barhate hain aur bay tahasha daulat kamate hain. Mehnat aur imaandari se kamai hoi ye daulat woh na sirf apni zaat par kharch karte hain balkeh apni family aur friends ki zaat par bhi kharch karna apna farz khayal karte hain. Ye dusron ki ikhlaqi aur malik imdad kar ke khushi mehsoos karte hain.

Virgo Lucky Number: Mahireen ke khayal ke mutabiq virgo ka lucky number 4 aur 8 ke adad hain magar un mein ikhtilaf ki wajah se 5 ko bhi un mein shamil kiya gya hai. Virgo ke liye ye teenon adad hi lucky numbers hain lihaza un ko 4, 8, 5 adaad ko apne liye khush kismati ka number samjhain.

Virgo Education: Ye taleem ke mamlay mein bohat agey hote hain. Ye zehni toor par like hone ki wajah se study ke maidan mein aham karnamay sar anjam dete hain. Agar ye matric tak taleem hasil kar lain tou phir university aur us se bhi zayada taleem hasil kar sakte hain aur prize hasil karne ke sath sath foreign country se bhi taleem hasil karte hain. Yehi wajah hai ke ye mustaqbil ke mahir taleem ban kar ubharte hain. Virgo books mein Geography aur Maths ke mazmoon ko zayada pasand karte hain. Virgo ko agriculture aur gardening bohat pasand hoti hai.

Virgo Health: Virgo Ki Sehat: Jismani toor par mazboot aur tawana hote hain jo zindagi ki mushkilat aur preshaniyon ko bardasht karne ki salahiyat rakhte hain kyoun ke woh zehni toor par jazbati hote hain aur jald ghusa karne ki wajah se un ke asaab par bura asar par sakta hai. Virgo apni sehat ke bare mein zayada fikar mand hote hain aur un ki koshish yehi hoti hai ke un ki sehat barqarar rahe. Yehi wajah hai ke ye na sirf achi balkeh lambi zindagi guzarte hain.

Virgo Love Life: Dusre kamon ki tarah mohabbat mein ye ba kamal hote hain. Agar aap ko kisi Virgo ke muhabbat ho gyi hai tou na qabil amal rohani naz-o-ada mein waqt zaya na karain. Is ke liye amli toor par koi faida mand kaam karain. Aisa karne se aap ka maqsad hasil ho jaye ga. Virgo people apni muhabbad ka izhar faida mand tareeqon se karte hain lihaza agar aap ka Virgo partner jazbati andaz mein apni mohabbat ka izhar nahin karta tou mayoos na hon. Kyoun ke Virgo is qisam ke nahin hote. Woh aap se mohabbat karte hain tou woh apni mohabbat ka izhar amli tarika se karain gey. Love ke mamlay mein Virgo khas toor par jazbati nahin hote aur na hi dil phank mohabbat ke mamlay mein Virgo people ke dil ki gehrai mein ye khawahish mojood hoti hai ke koi usay chahe aur us ko chahne wali personality simple magar pur khaloos ho.

Virgo Woman In Love:
Kisi ko haan kehne mein Virgo girls bay had ahtiyat se kaam laiti hain. Virgo aurat aksar ghalat toor par sard mehar samjhi jati hai jabkeh woh bola zaroorat kisi se bay takaluf nahin hoti lekin usay is baat ki mukammal agahi hoti hai ke us ke ird gird kya ho raha hai. Ye apne relationship ke bare mein nihayat sanjeeda hoti hai.

Virgo aurat ke main aik sakht aurat chupi hoti hai jo mohabbat ke liye agey barhne wale har shakhs ke bare mein janna chahti hai ke woh kya chahta hai aur apni tasali hone ke baad hi woh us ka hath thamti hai aur phir baghai kisi gharz ke apni mohabbat us par nichawar karti hai. Yahin par aik bilkul ult baat hoti hai ke aik aurat jo khamoshi pasand hai kis tarah bay gharz ho sakti hai. Virgo female ke liye ye koi takrar wali kaifiyat nahin hoti lekin ye us ki zindagi ka aik intihai aham ghair mehsoos jazba hota hai. Jis shakhs ki ye be had izzat karti ho us se mohabbat kar sakti hai aur shadi bhi kar laiti hai.

Virgo Man In Love: Love ke mamlay mein Virgo male ke dil ki gehrai mein ye khawahish hoti hai ke koi usay chahe. Virgo boy mohabbat ka tajarba bohat si wajuhat ki bina par parta hai. Baaz mard zaroorat ke liye mohabbat karte hain baaz apni khawahishat ko pura karne ke liye mohabbat karte hain aur baaz kisi dar khauf ke baes mohabbat kar ke tahafuz hasil karte hain.

Virgo Husband: Virgo shohar jazbati andaz mein mohabbat karne, dil ki gehrai se kisi ko apnane aur qabza karne ke tasawar se ari hote hain. Virgo shohar rawayati aur lagey bandhay asoolon par amal karne wale hote hain jo azdwaji aur ghareelu zindagi ko is liye qabool kar laite hain ke ye samaji scheme ka aik hisa hai. Woh apni private zindagi partnership ki bunyad par chalane ke liye tayar rehte hain. Woh apne ghar ka khayal rakhte hain aur usay tabahi se bachane ke liye hoshyari se kaam laitay hai.

Virgo Wife: Shadi ke baad virgo biwi shandar wife sabit hoti hai. Shadi ke bare mein us ka nazariya ye hai ke marriage aik qanooni sharakat hai jis ko business ki manind chalana chahiye. Us ka ghar saaf suthra hota hai aur us ki nagrani mein har cheez bay dagh aur nayi maloom hoti hai aur woh hoshiyar aur amoor khana dari ki mahir hoti hai.

Virgo Father: Virgo baap mein bachon ke liye bohat zayada mohabbat hoti hai lekin woh is baat ka khaas khayal rakhta hai ke woh bachon ko zayada laad payar na kare kyoun ke us ka khayal hota hai ke is tarah woh bigar jayein gey aur dusra ye ke un par zaroorat se zayada tanqeed na ki jaye. Virgo baap apne childrens ki parwarish aur education ke silsile mein masali baap sabit hota hai.

Virgo Mother: Virgo maan apne faraiz ke lihaz se behtareen maan hoti hai. Woh taleem aur tarbiyat ke liye apne bachon ki zehni nashonuma karti hai. Is ke ilawa un ki personality par bhi khas tawaja deti hai. Virgo mother dusron ka ahtram karti hai aur khawahish karti hai ke us ke bache bhi baron ka ahtram karain.

Saturday 7 September 2013

11 Top Chair Lifts In World's Longest Chairlift Cable Car In Venezuela

Best Chair Lifts In World: Chair lift mein baithna aik bohat hi pur lutf aur sansani kheez experience hota hai aur agar baat ki jaye in ki infradiyat ki tou dunya mein aisi bohat si munfarid aur khatarnak places par ye chair lifts nisb hain ke aik taraf tou un mein baith kar aap bohat hi khoobsurat nazaron se lutf andooz ho sakte hain aur sath hi us mein mojood khatre se aik sansani si aap ke jism mein dorti hoi mehsoos ho gi.
Chair Lifts
Chairlifts In The World - Ski Lifts
Mt. Hood SkiWay: (Oregon Us)
Ye munfarid chair lift American state Oregon mein waqaya pahari Mt. Hood par istimal ki gyi. Is anookhi chair lift ko Government Camp se Timberline Lodge ke darmiyan chalaya gya. 1956 mein chalne wali ye chair lift us waqt ki sub se lambi chair lift thi. Aur is ki takhleeq ke liye shehar ki qadeem buses ka istimal kiya gya.

Mount Hua's Cable Car: (China)

Khaufnak manazir mein ghiri ye chair lift China ke province Shaanxi ke Mount Hua pahar par waqaya hai. Ye pahar dunya ke sub se unchay 5 paharon mein se aik hai. 1997 meter unchay is pahar par se guzarte hue aisay khubsurat manazir dekhne ko miltay hain ke insan ki sansain tham si jati hain. Yahan anay wale tourists ka wasta aik munfarid tajarbay se parta hai.

Skyway (Disneyland, US)
Ye chair lift Disneyland mein waqaya hai aur yahan anay wale zayada tar tourists ke liye aik pur kashish sawari bhi hai. Is chair lift ki takhleeq 1956 mein ki gyi jabkeh us waqt pure mulk ke parks mein mutadad sawariyan mojood thien aur us chair lift ko America ki first chair lift hone ka azaaz bhi hasil hai, dar haqeeqat  ye chair lift Matterhorn pahar ke samne takhleeq ki gyi thi.

The Cabrio (Switzerland)
Ye cable car zameen se 1900 meter ki bulandi par waqaya hai jo ke Swiss peaks se guzarti hai. Is ko sirf dekh kar hi dil mein khauf ka ehsaas hota hai khaas tor par un logon ko jo unchai se ghabratay hain. Is chair lift ka aghaz Kalti se hota hai jo ke satah samandar se 711 meter unchai par hai. Is cable car mein aik waqt mein 60 people sawari kar sakte hain.

Kharkiv Lift (Ukraine)
Ukraine mein waqaya Kharkiv lift ka aghaz 1971 mein hua. Chand riwayat ke mutabiq is chair lift ka istimal students kiya karte thay kyoun ke ye aik ghair mamooli aur dilchasp tareeqa hi nahin tha balkeh safar karne ka aik sasta tareen zariya bhi tha. Is chair lift ki height 26 meter hai.

Emirates Air Line: (UK)
Ye yaqeeni toor par mausam garma mein hone wali sports ke doran London mein barhne wale public transport ke rush se bachne ka aik mosar zariya hai. London mein waqaya is cable car ka aghaz bazabta tor par june 2012 mein kiya gya. Ye cable car River Thames ke uper se guzarti hai. Is cable car ke sub se pehle musafir London ke Mayor thay.

Merida, World's Highest Cable Car (Venezuela)
Venezuela mein banai gyi ye dunya ki unchi tareen aur taweel tareen chair lift hai. Ye chair lift apna safar aik ghantay mein mukamal karti hai jabkeh is ki unchai 10250 feet yani 3125 meter hai. Ye apne safar ke doran 4 mukhtalif stations par stop bhi karti hai. Ye chair lift Andes mein waqaya Pico Espejo mountain par banai gyi hai.

Bondinho (Rio De Janeiro, Brazil)
Ye chair lift Brazil ke alaqay Rio De Janeiro mein mojood Sugarloaf montain par banai gyi hai. Ye pahar Guanabara beach ke ain samne waqaya hai. Ye chair lift bandargah se 396 meter 1299 foot unchai par banai gyi hai. Is cable ke ird gird ki deewarain sheeshay ki hain jabkeh is mein aik waqt mein 65 passengers travel kar sakte hain.

Patriata Chair Lifts (Pakistan)

Patriata Chair Lift
Patriata jisay New Murree bhi kaha jata hai shumali punjab, Pakistan mein waqaya hai. Ye Murree ke 15 km janoob mashriq mein waqaya hai. Is alaqay ka sub se uncha tareen nuqta satah samandar se 6790 feet aur 2070 meter hai. Ye alaqa apni qudarti khubsurati, cable car service aur chair lift ki wajah se Tourists mein bohat famous hai. Patriata mein nisb chair lift ke zariye se safar ke doran latadad beautiful aur attractive places dekhne ko milti hain.

Saturday 17 August 2013

Joint Family System In Islam Separate Family System In Pakistan

Society ki badalti hoi iqdar ke sath joint family system ya mushtarka khandani nazam ka tasawar ab taqreeban khatam ho kar reh gaya hai. Muashi taraqi ki door aur behtar rozgar ki talash ne afrad ko aik dusre se door kar diya hai. Is ke ilawa mohabbat aur ahtram ke na honay ki wajah se mil jul kar rehne mein aur apas mein samjhotay ki rah khatam kar di hai. Shadi ke baad larka, larki amooman alehda rehne ki tarjeh dete hain takay ghar wale un ki zindagi mein mudakhlat na kar payain. Khasoosan larkiyan tou susral walon ka saya bhi bardasht karne ki rawadar nahin hotien. Taham aimandari se agar surat haal ka tajziya kiya jaye tou aik sath rehne mein thori bohat khat pat ka makan mojod rehta hai ke jahan char bartan hon gey woh kharkain gey zaroor. Lekin mil jul kar rehne ke faide is qadar hain ke jinhain nazar andaz karna kisi toor munasib nahin.
Family join ho ya na ho is ki tashkeel mein aurat ka kardar behad aham hai kyoun ke ye faisla amooman usi ka hota hai. Is zaman mein mukhtalif khwateen ke mukhtalif tajarbat hain lekin joint family ki ahmiyat se kisi ko inkar nahin. Aik khatoon jo writer hain, kafi saal susral mein guzarne ke baad jub Dubai shift hoyien tou unhain ye tabdeeli achi mehsoos hoi kyoun ke ab woh likhne likhane ka kaam zayada sakoon ke sath anjam de sakti thien lekin joint family mein rehte hue jo aram aur tahafuz unhain hasil tha, usay yaad kar ke woh abdeedah ho jati hain.

Mahir nafsiyat ka kehna hai ke joint family mein rehne wale joron mein alehdagi ka rujhan nisbatan kam paya jata hai. Is ki wajah ye hai ke un ke gharon mein bare burhay mojood hote hain jo zindagi ke har marhalay par un ki darust rehnumai karne ki salahiyat rakhte hain. Taham ye koi formula nahin, kyoun ke zindagi ke bare mein har fard ka tajarba mukhtalif hota hai. Khuch khawateen ki raye mein ye apne apnehalat par depend karta hai ke kis andaz ka life style aap ke liye behtar rehta hai. Mohabbat aur ahtram ka taluq dil se hota hai, paas ya door rehne se nahin. Beshumar dost aisay hain jo aik hi chat talay rehtay hue ajnabiyon ki tarah rehte hain. Ye haqeeqat hai ke tabdeeliyan zindagi ka naguzeer hisa hain lekin aap paas rahain ya door family ke sath apniayat ka ehsas aur taluq hamesha qaim rehna chahiye.

Thursday 23 May 2013

Hunza Valley in Urdu Hunza Valley Travel Guide Hunza Nagar

Beautiful Hunza Valley: Gilgit se thoray faslay par hunza valley shuru hoti hai. Nothern Areas ki ye beautiful valley jisay dekhne dunya bhar se tourists garmiyon mein khas kar bari tadad main atay hain. Hunza khubsurat aur historical place hai yahan tourists ke liye bunyadi zarooriyat ki taqreeban har cheez mojood hai. Gilgit se taqreeban 24 hours ke distance par us khubsurat wadi ka sadar muqam Kareem Abad hai aur sub se pehle Rakaposhi ka haseen manzar nazron ko apni taraf kheench laita hai. Baraf posh pahar jis ke daman mein har qisam ke lazeez khanon aur raat guzarne ke liye hotels mojood hain. Agar room na milay tou apne tent laga kar bhi qayam kiya ja sakta hai. 14th ka chand ho ya din ko asman saaf ho tou Rakaposhi ka manzar bohat pyara lagta hai.

 
Jub bhi Hunza jana ho Rakaposhi ke daman mein thori dair ke liye ruk kar aur khubsurat manzar ko apne camera, dil aur dimagh mein mehfooz kiya jaye tou ye nazara pure safar ki thakan door kar sakta hai. Rakaposhi ka nazara aap kayi jagahon se kar sakte hain magar us ke daman mein kefiyat hi khuch aur hai. Hunza Valley mein jagah jagah tourists ke liye hotel aur cafe mojood hain. Hunza ke fruits aur khas kar saib (apple) bohat famous hain. Yahan ke people bhi bohat khubsurat hain, surkh gulab jese chehre, parhay likhay, jagah jagah schools aur hospitals hain. Yahan par log alaqay ki taraqi aur khushali ke liye sciency bunyadon par hukumat aur NGO's ka sath dete hain. Yahan aap community participation ke aisay aisay kaam dekhain gey jo aap ko shayed kahin aur na milain.
Hunza ke qareeb aik chotay se village mein logon ne apne liye pul (bridge), school, bijli aur degar bunyadi zarooriyat ki cheezain apni madad aap ke teht bana rakhi hain aur woh kisi cheez ke liye kisi ke mohtaj nahin. Hunza jatay howe saib ke baghat safar ko aur bhi haseeb bana dete hain. Karakoram highway ki construction se alaqay ki development mein izafa hota raha. Hunza Kareem Abad se agey chalte hain tou rastay mein beshumar khubsurat village atay hain. Hunza kareem abad ke samne Nagar ka area hai Kareem Abad ki nisbat yahan log parhe likhay kam hain magar log bare mehman nawaz hain.
 
Hunza Nagar se agey shumal ki wadi ati hai. Yahan se hote howe aap Susat ke muqam par pohanch jate hain. Jahan China se anay wale saman par custom lagta hai aur custom clearance ke baad ye Gilgit ata hai. Hunza mein mewa jat aur qudarti husn beshumar hai, isi wajah se Hunza ne Pakistan ki sahayat mein numayan muqam hasil kar rakha hai.

Monday 20 May 2013

Cushion Making Ideas Cushions Covers Sewing Techniques

Cushion Making Ideas: Even when you don't make your cushion covers from scratch, there are lots of ways you can stamp your personality on ready-made ones. One way id to find some interesting trimming. A simple idea is to sew a length of fat cord, matching or contrasting, around the outside. Alternatively, attach large tassels to each corner for a dramatic look, or scatter multi-coloured small tassels over the surface. You could sew mattress-style tufts on the surface, or, alternatively, stitch straight or curved fringe around the edges of a cover. Wide silk, velvet, or grosgrain ribbon looks pretty layered in slightly overlapping rows, or use braid, curvy gimp, or a tasselled fringe perhaps in a design with gold for a more opulent look. Another idea is to hand sew dainty old lace doilies or handkerchiefs onto small cushions, and tray cloths or antimacassars onto larger ones.
 Cushion Designs 2014
To give old cushions a completely new look, make covers that simply tie on, involving only the most rudimentary needlework. You can do this in two ways. The first is by cutting two pieces of fabric slightly larger than your pad, hemming both of them, then tying them together with strips of fabric stitched to each corner and halfway along each side - or use lengths of cord or ribbon.
  
Pakistani Ribbon Embroidered Cushions Design
If you are a little more ambitious, you could cut your squares slightly larger, and sew buttonholes along the edges of one and buttons on the other. The second type of tie-on cover is most suitable for square cushions.

To make it, cut a square of fabric with sides twice as long as those of your cushion (plus hem allowance). Hem it, then attach ties to each corner. Lay this square flat, hems uppermost, and place your cushion on top so that each corner points to the mid-point of one of the square's sides. Now fold over the corners and tie them together, envelops style.

Wednesday 15 May 2013

Making The Most Of Gift Plants Azaleas Planting Guide Cyclamen

For Christmas and Mother's Day, garden centers are bursting with bright flowering plants - welcome gifts, but they need a little care to keep them at their best.
Poinsettia Plant Growing: Poinsettias have striking bracts. They like a warm, well-lit spot and a soil mix that's kept just moist. Most people discard them once the red or white bracts have fallen, but if you like a challenge, grow them for the following year. In late march, leave the plant unwatered for three weeks, then cut it back to 4 in/10cm and water and feed as normal through summer.
To produce the colorful bracts again, keep the plant in total darkness (by covering with a black plastic bag or putting it in a closet) from 6 AM to 8 PM, for a period of eight weeks starting in september.
  
A gift basket is a delightful showcase for ivy and african violets.
Azaleas Planting Tips: Azaleas also thrive in warmth and light, but it's essential to keep the soil moist at all times. These are acid-loving plants, so if you are in a hard water area, use fresh rainwater or boiled (then cooled) water. In spring, after the last frosts, repot if necessary and sink the pot in a shady spot in the garden, watering and feeding regularly. Bring indoors in fall and move into a slightly larger pot using acid soil mix. With luck, you should have another fine show of flowers.

Cyclamen Planting Instructions: Cyclamen are often regarded as temporary plants, but we know of one that has flourished for a staggering 54 years. Ty he secret is to keep them as cool as possible without letting them freeze (a cool porch or greenhouse is ideal). A feeding every two weeks will prolong flowering, often for several months. They will begin to go dormant after flowering, so gradually reduce watering until they are completely dry and store in a cool, dry place. New growth should start in summer, and you can repot them in fresh soil and begin to water again.

Temporary Plants: Chrysanthemums and cinerarias also appreciate cool conditions, which will keep them in bloom for several weeks. They are, however, once-only plants and are best discarded after they flower.
Equally temporary are the very pretty mixed arrangements in baskets and bowls such as the one shown at left. They are crammed so full that the plants will soon exhaust the soil mix. Admire them for a few weeks, but then carefully split them up and put them into individual pots.

Monday 6 May 2013

Which Plants Are Best For Hanging Baskets Partial Shade Flowers

Bigonias Plants: The fibous-rooted semperfloren varieties are superb, with a neat, rounded habit, glossy green or dark bronze foliage, and red, white, or pink flowers all summer. Tuberous begonias are much large (to 2 ft/60cm) and more flamboyant, with large double flowers in startlingly electric colors; in our opinion, the upright varieties are much better than the trailing forms. Begonias will grow in sun or shade.

Pansy Plant: Winter and spring flowering pansies are best; don't bother with the summer varieties, which suffer badly if you forget to water them.
Available in a superb range of colors, they make striking displays. Among the most charming are the tiny Princess hybrids violas, best grown in boxes and baskets close to the house where you can enjoy their cheerful faces in close-up.


Bidens Plants: A wonderfully vigorous trailing plant with ferny leaves and masses of starry gold flowers through summer.

It can become slightly untidy and may need occasional trimming to keep it under control. One of its many virtues is that it's remarkably tough and can withstand being dried out for a few days - once watered it will start growing again as if nothing had happened. Best in a sunny spot.

Brachycome Plant (Swan river daisy): This bushy 10 in/25cm plant is a real gem in a sunny, sheltered spot, making mounds of finely cut leaves studded with tiny daisy flowers.
The best of the colors is the pale purple, almost blue, shade - the pinks and whites can look somewhat rather washed out in sun. In addition to being extremely pretty, the flowers are invaluable in hanging baskets because they close up when thirsty a useful reminder to water.

Impatiens Plant: These put on a wonderful display whatever the weather. They flower from early summer to first frosts, and are available in a range of colors.
Look for the 'Super Elfin' series, which are more compact and therefore better suited to baskets and boxes. Best in light shade, they can also tolerate a bit of neglect.

Geranium Plant (Pelargonium): This classic for sunny locations looks superb all summer. Use the upright varieties in the center of the basket or back of the window box and plant trailing forms at the edge.
For a change from the globelike flower heads, try the wispier ivy-leaved geraniums - they will spill over the sides of baskets and window boxes with colorful, airy sprays of flowers that are delicately veined. Geraniums are remarkably tough and soon bounce back if you forget to water them. But you will need to deadhead religiously to ensure a floral display.

Helichrysum Petiolare Plant: These spreading, trailing foliage plants add invaluable structure as well as attractive leaf color to planting combinations. The soft, felted leaves come in a variety of colors, but the silvery gray is the best known (the small-leaved compact form is very good).
Yellow and variegated helichrysums are also excellent. Best in sunny locations, they are drought tolerant.


Petunia Plant: Best in sunny locations, pentunias will provide a fine display, except in the wettest summers. The 'Surfinia' hybrids are particularly splendid, but incredibly vigorous.

Three plants will fill a 14 in/35cm basket on their own and trail as much as 4 ft/1.2m, spreading out almost as wide. The new compact 'Junior' types are much less domineering, however. All petunias need to be deadheaded regularly to ensure continuous flowering.

Small Evergreen Plant: Widely available in garden centers, these are invaluable for winter and spring displays.

Dwarf or slow growing conifers, golden leaved Euonymus fortunei 'Emerald 'n' Gold' or white variegated E.f. 'Silver Queen', and small skimmias make good centerpieces and can be planted in the garden when containers are needed for summer bedding. Winter flowering heathers, as well as those with colorful foliage, provide an excellent contrast in the foreground, and small variegated ivies can be planted around the edges.

Verbena Plant: Available in trailing, upright, and dwarf form, spicily scented verbenas flower from early summer until first frost. 
White Verbena Flower
They are lovely, dainty plants that really earn their keep, offering a continuous succession of pincushion clusters of flowers. Some can be prone to mildew, but among the resistant cultivars are soft pink 'Silver Anne', and cerise pink 'Sissinghurst'.

Tuesday 23 April 2013

A To C English Phrasal Verbs With Meanings And Sentences in Urdu

Phrasal Verbs A-C
  • Account For (give a good reason for, explain well) - (sabab batana, wajah bayan karna)
You should now account for your failure in the examination.
  • Act For (act on behalf of) - (kisi ki jagah kaam karna)
When our President is out of the country, the Chairman of the Senate acts for him.
  • Act On or Upon (act in accordance with) - (par amal karna)
Please act upon my suggestion if you want to succeed.
  • Allow For (take into consideration) - (madnazar rakhna)
You should allow for his illness before asking him to return your loan at once.
  • Allow Of (admit of) - (ijazat dena)
Our social situation does not allow of the continuity of dowry (jahez) in the present form.
  • Answer (someone) back (reply disrespectfully or rudely) - (sakht jawab dena)
It is not proper to answer back your mother when she says something in anger.
  • Answer (someone) in (intive someone to come into the house) - (kisi ko ghar ke andar anay ki dawat dena)
When i go to their house they do not ask me in.
  • Answer (someone) out (invite someone to some entertainment of food outside) - (kisi ko bahir khane ya tafreh wagera ki dawat dena.
So many times i ask him our, and he always enjoys the time with me.
  • Ask For (request or demand) - (koi cheez mangna, kisi cheez ka sawal karna)
I am sending you the money you have asked for. You may ask for anything any time, and i will provide it.
  • Back Away (To stop or move back slowly from some danger, etc) - (kisi khatra wagera ko dekh kar ruk jana ya ahishtgi se wapas ho jana)
I backed away and climbed the tree when the mad dog started walking towards me.
  • Back Down or Back Down On (take back a demand, an opinion, etc.; accept defeat) - (Peechay hat jana, haar maan lena)
The teachers did not back down over higher pay scales. Do not back down on your stand now.
  • Back Out (fail to fulfil a promise) - (wada nibhane mein nakam hona)
India promised to the UN to hold free elections in Kashmir, but later she backed out.
  • Be For (be in favour with) - (himayat karna ya hamayat mein hona)
They are for two holidays in a week. She is aal for going to the hills during the vacation.
  • Bear Away (win) - (jeetna, hasil karna)
He tried his best to bear away the highest award.
  • Bear Down (overthrow, crush) - (zair karna)
Mahmood of Ghazni was able to bear down all his enemies in Afghanistan and India.
  • Blow Up (destroy by explosion, explode) - (dhamakay se phat jana ya dhamakay se ura dena.
The experts will blow up the mountain standing in the way of the new road. A fighter plane blew up in the air this morning.
  • Call For (demand) - (taqaza karna, talab karna)
The officer will call for a written explanation of his absence from duty.
  • Carry Away (cause to lose self-control) - (ru mein beh jana)
Never let your anger carryyou away. She was carried away by her desire for the beautiful clothes.
  • Carry On (continue) - (jari rakhna)
We will carry on our work even in the greatestdangers. Let us carry on with our enjoyments to forget all worries.
  • Close With (accept an offer) - (paishkash qabool karna)
It will be good if we close with their offer of the pay.

Monday 22 April 2013

Baitullah Sharif Live Haram Baitullah Sharif Videos Makkah

Baitullah Sharif yani Masjid Al Haram dunya ki sub se bari masjid hai ye masjid jazeera numa Arab ke shehar Makkah main waqia hai. Is masjid ki tameeri tareekh Hazrat Ibrahim A.S se shuru hoti hai. Is masjid ke darmiyan mein Baitullah Sharif waqia hai jis ki taraf rukh kar ke dunya bhar ke Muslims din mein 5 baar Allah ke liye namaz ada kartay hain. Is masjid ka kul raqba 3 lakh 56000 muraba meter hai aur hajj ke doran yahan 8 lakh 20000 afrad namaz parhte hain.

777 mein is masjid ki tarikh ki sub se zayada tausi aur tameer hoi thi phir is ke gird 1576 mien Usmani Turkon ne safaid gumbadon wale baramday banaye thay jo aaj bhi mojood hain. Masjid Haram ke kul 112 chote bare darwaze hain jin mein sub se bara aur markazi darwaza Shah Abdul Aziz ke naam se mosoom hai jo Saudi Arab ka sub se bara Farman Rawa hai.
 
 Baitullah Sharif Picture
Shah Saud ke door mein bhi is masjid ki tazeen-o-araish yani decoration sajawat kaam shuru hua qadeem Turkey baramdon ke peechay wasi-o-areez 2 manzila imarat banai gayi. Is masjid mein deeni asaar bhi mojood hain jin mein Muqam Ibrahim woh pathar hai jis par Ibrahim A.S khare ho kar Baitullah Sharif kideewarain tameer karte thay isi tarah masjid mein Zam Zam Ka Well ya kunwaan bhi mojood hai jo Allah Ta'ala ne Hazrat Ismail A.S aur un ki walida Hazrat Hajra A.S ke liye paida kiya tha. Masjid se mulhq Safa aur Marwa ki wasi pahariyan jo Allah ki nishaniyon mein se hain aur doran-e-hajj in ka tawaf bhi kiya jata hai. Khana Kaaba ki khasusiyat mein aik aham khoobi ye bhi hai ke Allah ne isay aman ka gehwara banaya hai aur is mein aik namaz ki adaigi lakh namazon ke ajar ke barabar hai.

Ye dunya ka wahid muqam hai jis ka hajj kiya jata hai ye zameen par tameer hone wali qadeem masjid ka darja rakhti hai. Ibtida mein ye azeem masjid aaj ki masjid al Haram se kayi guna choti thi ab Saudi door mein masjid ko jadeed mayar ke ain mutabiq banaya gaya hai jis mein air conditioner aur electric stairs nisb ki gayi hain is ke ilawa masjid ki teen manzilain hain jahan har saal dunya bhar se Musalman hajj karne ke liye bhi ikathay hotay hain hajj mein taqreeban 8 lakh se zayada afrad sama sakte hain.

Baitullah ke ird gird sawab ki niyat se 7 chakar lagane aur phir Muqam Ibrahim par 2 rakat namaz ada karne ko tawaf kehte hain. Tawaf apne ahkam ke aitbar se namaz ki qisam ki ibadat hai. Donon mein farq sirf Baitullah ke gird chakar lagana hota hai aur is ke doraan baatcheet ki ja sakti hai jab ke namaz tamam masajid balkeh zameen ke har paak hisay par parhi ja sakti hai aur is mein baat cheet nahin kar sakti. Taham ye koshish honi chahiye ke tawaf ke doran jo batain kahi jayain woh achi hon. Tawaf ki bohat sari types hain jin mein aik tawaf qadoom bhi hai. Ahram baandh kar sub se pehle jo tawaf kiya jata hai usay tawaf qadoom kehte hain.
Allah ne mecca city ko aik muqadus aur hurmat wala elaqa qarar diya hai is liye yahan se na kanton ko hataya ja sakta hai na darakhton ko katne ki ijazat hai yahan kisi janwar ya parinday ko bhi preshan nahin kiya ja sakta aur na usay shikar kiya ja sakta hai yahan par nghair muslimon ke liye is mein dakhle ki ijazat nahin hai.

Lawn Prints 2015 In Pakistan Lawn Collection 2014 Frocks Designs

Lawn Prints 2014 - 2016
Faiz Ahmad Faiz kya khoob keh gaye hain ke
Bahar Ayi,
Ke Jese Aik Baar Laut Aye Hain Phir Adam Se
Woh Khwab Sare Shabab Sare....
Jo Tere Honton Par Mar Mitay Thay
Jo Mit Kar Har Baar Phir Jiye Thay
Nikhar Gaye Hain Gulab Sare....
So, jis tarah bahar ki amad phoolon se mosoom hai, badalte waqt ke sath ab bahar ki amad ke sath "Lawn" ka naam bhi mosoom balkeh mashroot ho chuka hai. Saridiyan abhi puri tarah rukhsat bhi nahin ho patien ke har taraf Lawn ki amad ki dhoom mach jati hai. Goya asal bahar tou yehi hai. Is mein koi shak nahin ke Pakistan jese garam mulk mein Lawn Prints jese maheen aur nafees kapre ke dresses khawateen ke liye bari naimat hain. Ye na sirf aram deh aur hawa dar balkeh jazab-e-nazar bhi hote hain. Yani farhat aur aram pohanchane ke sath sath lawn ke dedah zaib design, zooq jamal ki taskeen ka baes bhi sabit hote hain. Yehi wajah hai ke girls lawn ke atay hi deewana war is ki janib lapakti hain aur bazaaron mein aik meela sa lag jata hai.


 Lawn Designs 2015
Ye sari batain tou aik taraf ab tou bare bare designers bhi lawn ke is profitable business ki janib majwaja ho gaye hain aur Lawn ka weather atay hi shehar mein har taraf designer lawn ke bare bare hoardings awaizan ho jate hain. Yehi nahin balkeh aye din baishtar 5 star hotels mein lawn exhibitions ka inaqad hota hai aur ramp shows bhi munaqad kiye jate hain beautiful pakistani models lawn dresses ke sar sarate howe dilkash clothes mein dekhne walon ke dilon par nijliyan girati nazar ati hain. Go ke ye zikar tou husn ki bijliyon ka tha lekin lawn brands ke aik suit ki price bhi qadre ghareeb aur natawan dil par bijli girane ke liye kafi hai. Khuch arsa pehle tak lawn ka acha khasa three piece suit 300 rupees mein mil jaya karta tha. Tab designer lawn ka is qadar charcha bhi nahin tha par waqt ke sath sath designer lawn wear karna status symbol ban gaya hai aur is qisam ke lawn suit ki qeemat 5000 - 6000 se shuru hoti hai aur ikhtitam ki tou koi had hi nahin. Magar trend tou trend hai chal para tou chal para lihaza is door mein shamil rehne ke liye women har mumkin jatan karti hain. Lekinun ke liye hamara mashwara yehi hai ke is chakar mein apna budget kharab na karain aur chadar dekh kar hi paon philayain. Lawn ka dress aap kitna expensive hi kyoun na khareed lain us ki life mahaz aik season tak hi mehdood hoti hai.
 
 Lawn Collection 2015
 lawn magazine 2014











 Lawn Frocks Designs 2015
 Is silsile mein aik aur dilchasp baat ye hai ke chunkeh designers ka tou kaam hi dresses mein nat nayyi ikhtaraat karna aur jidatain tarashna hai tou ab lawn ke suit 3 piece ki bajaye 5 piece, 6 piece par mushtamil ho gaye hain. Asteen alag, front aur back pannels alag aur daman aur asteenon mein lagane wale borders patiyan is ke ilawa hain lekin kya kiya jaye ke fashion tou fashion hai so ab mahaz aik lawn ka suit na jane kitne meter kapra mein tayar hota hai taham hamara khayal hai ghar mein pahennay wale kapre zayada taam jhaam ke bajaye sada se andaz ke hone chahiyien ta ke comfortable hon aur sahoolat ka ehsas aap ke sath rahe. Lihaza aap bhi beshumar lawn ke colors aur designs mein se apne liye khuch intikhab zaroor karain ke ye mausam ke sath sath waqt ka taqaza bhi hai.

Monday 11 March 2013

Tayara - Dialogue between Man and Bird ke darmiyan Mukalma

1: Aik subah phoolon ki tehri par (baitha howa) aik parinda dusre parindon se keh raha tha ke qudrat ne insan ko par ata nahin kiye hain aur is sada loh ko zameenpar rehne wala hi banaya hai.
Tashrih: Tayara mein taraya ki elamat se kaam lete howe insan ki madi taraqi ke hawale se us ki ikhlaqi aur muasharti inhtaat par tanz kiya hai aur is ke liye aik parinde aur aik insan ke darmiyan muqalma  ka tamseeli andaz ikhtyar kiya gaya hai. Tayara nazam ke in ashaar mein Iqbal ne kaha hai ke aik subah bagh mein phoolon ki tehni par baitha howe aik parinda apne dusre sathi parindon se keh raha tha ke Allah Ta'ala ne par sirf hum parindon ko ata kiye hain. Qudrat ne insan ko par ata nahin kiye keh woh fizaon mein ur sake. Shayad is mein qudrat ki ye maslhat kar farma thi ke is ne insan ko fizaon mein urne ke liye nahin balkeh zammeen par rehne ke liye banaya hai.




3: Main ne us se kaha: aay hawa mein urnay gane wale (mafroor) parinday! agar mein tujh se (aik) sachi baat kahon tou naraz na hota.
4: Hum ne tayara (bana kar us) se apne (liye) baal-o-par bana liye hain (aur) aasman ki janib (apna) rasta bana liya hai.
5: Tayara kya hai? woh (insan ka banaya howa aik aisa) asmani parinda hai jis ke farishton ke paron se bhi zayada teez (raftar) hain.
6: Jo urnay mein shaheen (ki manind) aur taqat mein aqaab (ki manind) hai. Lahore se Faryaab tak ka (sara) alaqa us ki nazar mein hai.
7: Jub woh asman par urta hai tou aik shor barpa karta hai aur josh-o-kharosh (ke alam) mein hota hai lekin jub apne thikane (hawai aday) mein hota hai tou machli ki tarah khamosh hota hai.
8: (Is tarah insani) aqal ne pani aur mitti se aik Rehnuma paida kar liya hai aur zameen se asman tak ke liye aik zariya paida kar liya hai.
9: Jub us aqal mand parinday ne meri un baton ko suna tou us ne meri taraf aik dostana nazar se dekha.
10: Phir us ne choonch se apne par ko khujlaya aur kaha: (Aay insan) tou ne jo khuch kaha hai us par mujhe bilkul herani nahin hai.
11: Lekin aay (dunya ki har cheez ke) kaif-o-kam par nigah rakhne wale (Insan! agarcheh dunya ke sare) nashaib-o-faraz tere talism ke aseer hain.
12: (Lekin zara ye tou bata ke) kya tou ne apne (sare) zameeni kaam sanwar liye hain ke ab asman ki taraf parwaz karne (aur asman ko sanwarne) ka bhi dhihan karne laga hai?

Kashmir Shairana Musawari Aur Manzar Nigari

1: Tou apna saaz-o-saman lay kar kashmir ka rukh kar (aur wahan ke) pahar, teelay aur wadiyan dekh. Jagah jagah sabza (ki bahar) dekh  aur har (aik) bagh mein lala (ke phool khile howe) dekh.

2: (Dekh keh kashmir mein)  bahar ke mausam ki hawa musalsal jhonkon ki surat mein chal rahi hai,
 bahar ke mausam mein naghma sarai karne wale parinde garoh dar garoh  (nazar arahe) hain aur dekh keh anaar ke darakhton par fakhta aur meena (jese parinde) jore jore (ho kar) baithay hain.

3: Dekh keh nastran ke phoolon ke burqay ne zameen ke chehre ko is liye chupa liya hai keh fitne paida karne wale aasman ki nazar kahin us ke husn-o-jamal par na par jaye.

4: Dekh ke lala ke phool khaak se nikle aur nadi mein lehar josh marne lagi. Tou (lala ke phoolon ki surat mein) zameen par bikhri hoi chingrariyan hi chingariyan dekh aur (nadi mein pani ki) mooj dar mood (uthti hoi) lehron ka nazara kar.
5: Tou saaz ke taron ko mazrab se chair aur (sharab peene ke) bare payale mein sharab undail (aur phir) dekh keh bahar ka qafla mehfil mehfil (har jagah mojood) hai.
6: Tou aik nazar (Kashmiri) brahmin ki beti ke chehre ki taraf dekh jo lala ke phool ki tarah surkh hai aur jis ka badan chameli ke phool ki tarah (safaid aur naram-o-nazuk hai). Phir tou (us ke husn ko dekh kar) apne aap ko dekh (keh tere dil ki kya kefiyat hai?)
Explanation: Iqbal ne apni nazam "Kashmir" mein husn ke nazare ki dawat dete howe is shair mein (jo nazam ka akhri shair hai) kashmir jannat nazeer ki sub se bari dilkashi kashmir ki brahmin zadiyon ke husn ki taraf ishara kiya hai jin ke chehre lala ke phool ki tarah surkh aur jin ke badan chameli ke phool ki tarah safaid aur nazuk hote hain. Allama iqbal kehte hain ke gul lala ki tarah surkh chehre aur chameli ke phoolon ki tarah safaid nazuk jism ki malik brahmin zadi ke husn ko aik nazar dekh aur usay aik nazar dekh lene ke baad phir aik nazar apne aap par daal aur apni halat ka andaza kar ke us brahmin zadi ke husn ko makhsoos aik nazar dekh lene se hi tere dil ka kya haal howa hai?
Is shair ke dusre hisay mein jo tarkeeb istmal ki gayi hai woh bari dilkash hai jis ke kayi matlab nikal sakte hain.
  1. Tou aik nazar us brahmin zadi ke chehre par daal aur phir apni halat ka jaeza le ke kya tou usay hasil kar sakta hai?
  2. Kya tou khushnaseeb nahin hai ke taqdeer ne tere liye dunya mein hi hoor  ke nazare ka ahtmaam kar ke tujhe qayamat tak ke intzar ki zehmat se nijat dila di?
  3. Us ka chehra dekh kar apni halat ka jaeza lay ke tera dil tere qabu mein hai ya nahin?
  4. Tou hosh mein hai ya tujh par madhoshi aur masti ki kefiyat utar chuki hai?

Zindagi-o-Amal BA Persian Question Answers

Taraf aur tabsara: Ye 2 ashaar farsi kalaam "payam-e-mashriq ke dusre hisay "Afkar" mein shamil hain. Jese ke anwaan se zahir hai ye mukhtasir nazam Germany ke mashoor shayar ki nazam "sawalat" ke jawab mein likhi hai. Germany ka ye maya naaz shayar 1797 mein paida howa. Ibtidai taleem apne watan mein hasil karne ke baad apne chaha ke paas pohancha. Haina ki shayari par Europe ke beshumar naqadon ne tabsara kiya hai. Natshah ka kehna hai ke Germany ne Haina se bara shayar aur mujhse bara artisht paida nahin kiya. Iqbal ne Haina ki poem "questions" ka khuch youn jawab diya hai:
Tarjuma: (Samandar ke) gire paray sahil ne kaha keh agarcheh main bari zindagi guzar chuka hon magar afsoos mujhe khuch maloom nahin ho saka keh main kya hon. Aik mast lehar teezi se uthi aur kehne lagi ke agar main chalti rahon tou zinda hon aur agar na chalon tou main (zinda) nahin hon.

Tashreh: Allama Iqbal ki ye mukhtasir nazam "Zindagi-o-Amal" Germany ke mashoor-o-maroof Israeli shayar Haina ki nazam "sawalat" ke jawab mein likhi gayi hai aur is nazam mein Allama Iqbal ne apne falsafa, hakat-o-amal ko sahil aur mooj ke darmiyan mukalmay se zahiha kiya hai. Sahil chunkeh shuru hi se aik jagah par sakan-o-sakat para hota hai is liye woh jamood ayr beharkati ki elamat hai. Iqbal kehte hain ke aik din sahil ne kaha ke agar cheh mein aik taweel zindagi guzar chuka hon aur jub se wajood mein aaya hon yahan pare pare mujhe aik arsa guzar chuka hai magar afsoos hai ke main is nukte se agah nahin ho saka keh main kya hon? meri haqeeqat kya hai? meri zindagi ki no'eeyat kya hai aur meri zindagi ka maqsad kya hai? itna arsa zindagi basar kar lene ka bawajod main apne aap ko nahin pehchan saka aur aaj bhi roz-e-awwal ki tarah apne aap se na aashna, na waqif aur bekhabar hon. Sahil ki is baat ko samandar ki aik bechain aur beqarar lehar ne suna. Woh harkat yani amal ke jazbe se sarshar thi. Isi sarshari aur madhoshi ki kefiyat mein woh teezi ke sath pani se ubhri aur kehne lagi ke meri zindagi tou amal ka naam hai aur mera wajood harkat se ebarat hai. Agar mein chalti rahon aur apne aap ko harkat aur amal ki halat mein rakhon tou main zinda hon lekin agar main na chalon, thehr jaon, ruk jaon aur harkat-o-amal ki halat mein na rahon tou amin zinda nahin rehti. Meri zindagi harkat aur amal hi ke dam se hai. Main agar harkat aur amal se mehroom ho jaon tou is ke sath hi zindagi se mehroom ho jati hon. Theharte aur sakan hote hi mera wajood bhi khatam ho jata hai kyoun keh mooj tou usi waqt tak mooj kehlati hai jub tak woh harkat aur amal ki halat aur kefiyat mein rehti hai. Harkat aur amal khatam hote hi us ki zindagi moot mein aur hasti neesti mein badal jati hai.