Thursday 20 November 2014

Pineapple Benefits In Urdu Ananas Ke Faide Pineapple Recipes Urdu Pineapple Fawaid Chicken

Pineapple Benefits In Urdu: Pineapple meethay zaiqay ka hamil intihai lazeez fruit hai jisay sweet dishes bilkhasoos kayi iqsam ke cakes mein bay had shooq se istimal kiya jata hai. Ye khush zaiqa aur health ke liye bohat behtareen phal hai is wajah se dunya ke tamam mulkon mein bohat se logon ki diet yehi phal hai. Bache aur bare isay pasand karte hain taham mehnga hone ki wajah se bohat aam nahin milta.

Agar tabiyat ghabra rahi ho, kaam mein dil na lagey aisi surat mein Ananas ka istimal aik aisa tonic sabat ho ga jo aap le mazaj ko shagufta bana de ga. Ananas ki kasht dunya ke baishtar mumalik mein hoti hai. Har mulk mein log isay bari raghbat aur shoq se khate hain. Is ki apni aik khas khushbu aur zaiqa hai. Ananas dekhne mein bhi bohat khubsurat hota hai. Pakistan mein kyoun ke Pineapple cultivation bara-e-naam aur tajarbati marahilmein hai is liye ye zayada tar bahir ke mumalik se mangwaya jata hai. Yehi wajah hai ke ye mehnga bhi hai.

Pineapple Ke Faide: Ye phal anton ke amraz mein bohat mufeed paya gya hai magnesium ke husool ka behtareen zariya hai jo is mein 91% tak mojood hota hai jabkeh vitamin c bhi is mein kafi tadad mein paya jata hai jo aik pyali Ananas mein 94% tak mojood hota hai. Deegar aham ajza mein Phosphorus, Zinc wagera shamil hain. Medical experts ke mutabiq jigar aur kidney ke amraz mein mubtala logon ko Ananas istimal karne se gurez karna chahiye kyoun ke ye un ki takleef mein shidat paida karne ka baes banta hai.

Garmiyon ke mausam mein pineapple juice peenay se dil aur dimagh ko farhat hasil hone ke ilawa pyas bhi bhuj jati hai. Meday aur jigar ki garmi ko taskeen deta hai. Aam toor par Ananas ka juice nikal kar us mein hasb-e-pasand cheeni ya misri mila kar peete hain, lekin kyoun ke har jagah har mausam mein ananas dastyab nahin hota is liye iska sharbat bana kar rakhte hain aur zaroorat ke waqt istimal mein latay hain.

Jism mein mojood mukhtalif giltiyon ke khatma ke liye bhi ananas bohat mufeed hota hai. Baaz logon ke galay aik thyroid ghadood ke barh jane ke baes phol jate hain. Jis se kane ki nali intihai tang ho jati hai. Aur baaz ke liye khuch khana peena bohat mushkil ho jata hai. Is ki wajah iodine ki kami hoti hai. Pineapple is marz mein bohat fawaid ka hamil hai, is ke istimal se naliyon ki sojan kam ho jati hai. Ananas khane se blood pressure zayada nahin barhta aur joron ke dard mein bhi behtar hai sabit hota hai. Pakay hue pineapple mein vitamin c bakasrat paye jate hain. Kamzor afrad is ka baqaida istimal karain tou farba ho sakte hain. Is se dil aur dimagh ko bhi bohat taqat milti hai.
Incoming search terms:

  • pineapple cake recipe in urdu
  • pineapple benefits in hindi
  • pineapple chicken recipe in urdu
  • ananas ke fawaid
  • pineapple delight recipe
  • uses of pineapple

Monday 10 November 2014

Africa History In Urdu South Africa Travel Guide Africa News

Africa History In Urd South Africa Information In Urdu: Africa area ke lihaz se dunya ka dusra bara bar-eazam hai jis ke mashriq mein beh-e-hind aur maghrib mein beh-e-aqiyanoos waqia hai. Dilkash nazaron, ghanay janglaat, wasi sehraon aur gehri wadiyon ki sar zameen jahan aaj 53 countries ain jin ke rehne wale kayi languages boltay hain.
River In Africa: Africa ke shumal aur janoobi hisay nihayat khushk aur garam hain jin ka baishtar hisa deserts par phaila hua hai.  North Africa mein azeem wadi alshiq ke natijay mein gehri wadiyan tashkeel payien jin mein kayi bari lakes bhi waqia hain. Maghrib mein Darya-e-Naijer behta hai jo wasi daldali delta banata hua beh-e-oqyanoos mein ja girta hai. Mashriq mein River Congo Africa ke ghanay jungles se guzarta hai.

Deserts In Africa: Sehra-e-azam North Africa ke baishtar hisay par pheela hua dunya ka sub se bara desert hai. Is azeem sehra ka aik chothai hisa raitlay teelon par mushtamil hai, jab ke baqia pathareelay khushk meedan hain. Deegar bare deserts mein Nameeb aur Kalahari shamil hain. Sehra-e-azeem ke janoob mein sehrai aur jungli alaqon ko chorr kar pure bar-e-azam mein grass ke wasi meedan hain jo Sawana kehlate hain. Yehi meedan haathi samait Africa ke deegar famous animals ke maskan hain.

African People History: 1960 ke zamane tak Africa ka baistar hisa European countries ke qabzay mein tha aur taweel ghulami ke baad 1980 ki dahai tak taqreeban tamam mumalik ko azadi mil gyi lekin un ke wasail un ko na mil sakay thay yehi wajah hai ke iqtisadi aur muashi toor par woh aaj tak na sambhal sakay aur ghurbat ne bhi African people ke dilon mein jarain pakrien jis ke natijay mein khaufnaak wars aur khana jangiyan hoien jin mein lakhon insan ajal ka nishana ban gye.

Africa ke 15 mulk aisay hain jin ke sarhadain samandar se nahin miltien jis ke baes tijarat aur mawaslat ke rabtay mehdood hain. Africa ki baishtar abadi villages mein rehti hai lekin chand bare shehar bhi hain jin mein Qahira qabil zikar hai, is ki population 65 lack hai aur ye Africa ka sub se bara shehar hai. Shumal aur mashriq ke baishtar mumalik ka mazhab Islam hai aur woh dunya ke degar Muslim mumalik ke sath aalmi Islami akhuwat ke gehre rishtay mein bandhay hue hain.

Area: Raqbay ke lihaz se dunya ka dusra sub se bara bar-e-azam hone ke bawajod Africa ki abadi zayada nahin khasoosan sehrai alaqon mein abadi na hone ke barabar hai. Zayada tar abadi pani ke zakhair aur zarkheez alaqon mein hai. Africa mein sarah paidaesh bohat zayada hai is liye abadi mein teezi se izafa ho raha hai.

Africa ki baishtar awam ka tarz zindagi intihai simple hai lekin maghribi cheezon ke istemal ke rujhan mein ab izafa ho raha hai. Kayi mumalik mein taleem aam karne ke mansooba jaat ke teht khawandgi aur sehat ko behtar banane ki koshish ki ja rahi hai.

Changez Khan History in Urdu Changez Khan Movie Documentary

Changez Khan History in Urdu: Dunya ko puri tarah se fatah karne ke hawalay se Changez Khan ne bohat se mulkon se jangain shuru kien. Ye jis khandan mein paida hua usay Sadaron ka khandan kehte hain isi wajah se woh is khandan ka ladla chasm-o-chiragh tha aur us ka asli naam Tamojan tha. Jis ke lafzi mani hain Iron Worker yani lohay ka kaam karne wala, ke hain us ki paidaesh ke waqt baaz dana ne us ke mustaqbil par paishgoiyan ki ke ye bohat bara jabar hukumran aur jungi leader bane ga. 13 saal ki umar mein us ke walid ne us ki shadi kar di kyoun ke shuru se hi Changez Khan nahayat shahana mijaz ka hamil tha. Is liye apni liaqat ki bina par usi saal takht nasheen bhi ho gaya.
Jub 1175 mein woh apne qabeelay ka sardar bana tou deegar qabail ke sath us ki chapkalish shuru ho gayi aur us ne tamam qabail aur halqon ko zair karne ki bharpur koshish ki kyoun ke us waqt Mongolia ki sar zameen par kayi qabail hukumat karte thay phir surat haal ka jaiza laitay hue us ne tamam qabail ke sardaron ko ikatha kiya aur deegar alaqon ko fatah karne ki tajweez paish ki aur apne alaqay ki falah-o-behbood aur taraqi ke liye bhi tajaveez paish kien us ki is khidmat aur amal ne usay bepanah maqbuliat dila di aur Mongolia ke tamam sarkarda sardaron ne usay apna sardar tasleem kar liya aur mutfiqa toor par darya-e-annan ke nazdeek aik ijlas mein Changez Khan ko khaqan ka khitab bhi diya gaya. Phir us ne baqaida toor par Mongol saltanat ko aik mazboot saltanat ke toor par mutarif karwaya.

Mongol saltanat ki fauj ki tanzeem nau ke sath sath deegar adaron ko bhi mazboot bunyadon par qaim kiya. Aur jald hi Tamojan nami shakhs puri dunya mein Changez Khan ke naam se na'dar aur bay taj badshah mashoor ho gaya. China ko 2 martaba raj kiya aur 1214 se 1218 tak 2 Chinese States par qabaz ho gaya. Phir us ne taqat ka istemal karte hue deegar mulkon ko bhi zair karne ka mansooba banaya aur nayi tarz par foreign policies tarteeb dien.

1219 mein us ke chand safeer (Ambassadors) jo ke deegar mulkon mein bheejay gaye thayqatal ho gaye. Is waqia ne Changez Khan ko mazeed taskheer alam par hawi kar diya aur woh dunya ko fatah karne ke iraday se nikal para us ne bukhara aur maro ke alaqon ko khoob loota. Bukhara aur maro ke alaqon mein khoon reezi karne ke baad Changez Khan ka rukh janoob mashriq aur Europe ke mulkon ki taraf ho gaya. Hata ke us ki faujon ne janoobi Russia aur shumali Hind tak rasai hasil kar li aur lashkar kashi kar ke us sub par qabza kar liya aur Mongol saltanat ka sika qaim karne ke liye us ne bepanah khoon reezi ki jis ki wajah se aaj tak usay zalim aur jabar hukmran ke naam se yaad kiya jata hai. 13th century mein us ne waqai ye sabat kar diya tha ke Mongol army dunya ki mazboot tareen fauj hai. Fauj ki tanzeem, training, asla-o-hathyar aur commanding Changez Khan ke jabarana asoolon ka mazhar thi.

Incoming search terms:
  • changez khan information
  • urdu changez khan history in hindi
  • changez khan movie
  • changez khan quotes
  •  mongol river annan

Bermuda Triangle History In Urdu Devil's Triangle Japan Bermuda Triangle Video Dajjal

Bermuda Triangle History In Urdu: Bermuda Triangle: Shumali America ke sahil Bahr ul Kahil mein mojood Bermuda Triangle kayi logon ke liye pur israr haisiyat rakhta hai. Kaha jata hai ke koi pur israr quwat is alaqay mein behri jahazon aur hawai jahazon ko ghaib kar deti hai pur israriyat ke mahireen un jahazon aur musafiron ki gumshudgi ki kayi wajuhat batate hain un mein pur israr quwat hai jo har cheez ko ghaib kar deti hai. Bermuda Triangle mein ronuma hone wale waqiyat ki ibtida Christopher Columbus ke America ke safar se ki jati hai un mein chand waqiyat ka jaeza laitay hain.

Aag Ka Gola Nazar Aya: 15th century ke ikhtitam par jub Columbus ne dunya ke gird chakar lagane ki koshish mein Usa daryaft kiya tou us alaqay se guzra tha us safar mein tamam jahaz ranon ki tarah woh bhi apne mushahidat note kar raha tha un notes mein 3 waqiyat darj hain Columbus aur us ke sathiyon ne samandar se aag ka gola uthtay dekha. Un ne qutab numa ne kaam karna chor diya. Aur us ne raat ko asman par roshniyan dekhi thien.

Barmuda Triangle Mein Behri Jahazon Ka Ghaib Hona: Ye woh waqiyat hain jin ka tazkara Columbus ke notes se milta hai. Ab atay hain un waqiyat ke bare mein jo khuch log aur behri jahaz ki gumshudgi ke bare mein hai un mein se sub se pehle aik behri jahaz Mary List ke musafiron ki gumshudgi ke bare mein hai.

Bermuda Tikon Mein Musafiron Ka Ghaib Hona: 1872 mein New York ke sahil se Mary List behri jahaz ne Europe ki taraf apne safar ka aghaz kiya aur us jahaz par khuch tijarati saman tha aur us mein 33 musafir sawar thay aik haftay ke baad aik aur behri jahaz De Gracia bhi us raste par rawana hua 20 din ke safar ke baad jub De Gracia Bahr-e-Oqyanoos mein tha us ke captain ne Mary List ko samandar mein bhatakte hue dekha 2 hours ke baad woh us jahaz par nazar rakhe hue tha phir us ne apne jahaz ko us ke qareeb kar ke dekha tou jahaz mein koi bhi nahin tha jabkeh saman sara ka sara sahi salamat tha.

1945 Mein 5 Avenger Ka Ghaib Hona: Sub se zayada famous qisa 5 Avenger jahazon ke pur israr toor par ghaib hone ka hai jo ke 19 december 1945 ko paish aya. Jahazon ke is bairay ko flight 19 kaha jata tha aur ye 5 jahaz 2 baj kar 10 minute par uray. Aam routine ki is mashq par Lieutenant Charles Taylor aur us ke 4 shagird thay. 3 baj kar 45 minute par air base ko itla hoi ke ye baira ghaib ho chuka. Phir jub us bairay ko bachane ke liye aik jahaz aya tou woh bhi Bermuda Triangle mein ghaib ho gya.

Hairat Angeez Waqaya: Aik aur jahaz jo ke kisi safar par jub us alaqay se guzra tou us ke musafir khuch dair ke liye apne aap se baygana ho gye yani jub un ko hosh aya tou un sub musafiron jin ki tadad 100 batai jati hai un ki ghariyan 10 min peechay thi aur in ke khane ke bartan aur khan jo ke kafi din ke safar ke baad thanda par gya tha ab us se bhaap nikal rahi thi aisay bohat sare waqiyat is se mansoob hain tou kayi saal se America mein is par scientists ki aik conference hoti hai har saal aur American government is ka ahtimam karti hai aur puri dunya ke scientists ko dawat di jati hai ke woh ayain aur is ke bare mein khuch tehqeeq kare aur tamam kharch bhi U.S government hi apne zumay laiti hai.

Bermuda Triangle Ka Raaz: America jese taraqi yafta mulk ne bhi is mahaz par apni nakami ka ilaan kiya hai ye bhi is jahan par Allah ke lakhon croron razon mein se aik chota sa raaz hai jisay koi bhi insan aaj tak pa nahin saka hai. Is Bermuda Triangle ne aaj tak 21000 logon ki jaan li hai aur behri jahazon ki tadad 57 batai jati hai aur hawai jahaz bhi un mein shamil hain insan chahe jitna bhi taraqi kar lay magar jub tak Allah nahin chahta us waqt tak woh khuch nahin kar sakta.

Atlantis: Is Tarah Pur Israr Toor Par Ghaib Hone Ki Kya Wajuhat Hain? mukhtalif log is ki mukhtalif theories paish karte hain. Khuch logon ke nazdeek ye jagah aik darwaza ki haisiyat rakhti hai jahan se dusri dunya se anay wali makhlooq dunya mein dakhil hoti hai. Aur khuch log isay waqt ka aik khala kehte hain jahan pohanch kar har cheez waqt mein ghaib ho jati hai. Phir aik group sawal karta hai ke kahin samandar ki teh mein doobay hue Atlantis ke signals tou hain. Sub se zayada tanqeed nigar isay haqeeqat mannay se inkar karte hue isay afsana qarar dete hain.

Japan Mein Bhi Bermuda Ki Tarah Devil's Triangle: Bay shak yahan ship aur jahan ghaib hue hain magar un ki tadad us tadad se zayada nahin jo baqi dunya mein hote hain. Samandar ki ye jagah jo Bermuda ke darmiyan hai isay aik numayan haisiyat bhi hasil hai. Dunya mein 2 places aisi hain jahan par Qutab numa ki maqnateesi sui maqnateesi qutab shumali ki bajaye Arctic ki janib hoti hai. Maqnateesi aur alaqai qutab shumali mein jo farq ho usay maqnatees ka tafawat kehte hain jo ke 20 darjay tak ho sakta hai. Aik navigator jo is baat ka khayal na rakhe woh rasta bhool jata hai. Dusri place Japan ke mashriqi kinare par hai jisay shitan ki tikon kaha jata hai yani devil's triangle aur wahan par bhi aisay pur israr waqiyat ke hone ki itla mili hai.

Lehrain: Aik aur haqeeqat lehrain hain. Ye na sirf teez hain balkeh is qadar ghair musalsal hain ke tabah kari ka har nishan bohat kam dair mein saaf kar deti hain. Is ke ilawa alaqai mausam hai jo achanaq taufan mein badal jata hai, jis ki wajah se bohat se jahaz ghaib hote hain. Samandar ki teh dunya ki gehri tareen satah mein shumar ki jati hai. Jahaz rani bohat hoti hai aur bohat choti choti kashtiyan baghair zaroori saaz-o-saman ke us samandar se guzarne ki koshish karte hue gharq ho jati hain. Ajeeb-o-ghareeb waqiyat abhi tak us jagah ronuma hote hain magar koi waziha sabot nahin de saka.


Incoming search terms:
  • bermuda triangle in islam in urdu
  • bermuda triangle in quran
  • bermuda triangle videos in urdu
  • bermuda triangle mystery

King Sikandar-e-Azam History in Urdu Alexander Story Sikandar e Azam Tomb

Biography Sikandar-e-Azam History in Urdu: Sikandar-e-Azam ke baap ka naam Philip tha. Phlip ne apne bete ki janasheeni ke liye rahain hamwar kar di thien aur naujawan Sikandar ko ala askari tarbiyat se lais kiya tha. Us ki zehni tarbiyat ka bhi Phlip ne khatar khawa ahtimam kiya tha.

Sikandar ne apni fauj ke sath khuch alaqon ko fatah karne ka mansooba banaya us ne Arab aur Irani saltanat ke shumali alaqon par hamla karne ka irada kiya. Us ka ye mansooba bhi tha ke woh Hindustan par chirhai kare ya Rum aur behra Rum ke maghribi alaqon ko fatah kare. Jese bhi us ke mansoobon hon, hum jantay hain ke us ke baad us ne koi jung nahin lari. 323 qabal masih mein june ke shuru mein Sikandar achanaq bimar ho gaya aur sirf 10 rooz baad hi dunya-e-fani se kooch kar gaya. Tab us ki umar faqat 33 years thi.

Sikandar ne kisi ko apna janasheen muntakhib nahin kiya. So us ki moot ke baad iqtidaar ke liye larai jhagre shuru ho gaye. Chunke woh apni zindagi mein naqabil tasheer raha aur jawan moot mara, so is bare mein mutadad qayas araeyan ki jati hain ke agar woh zinda hota tou kya surat haal hoti? Agar woh apni faujon ke sath behra rum ke maghribi jazeeron ko fatah karne jata tou qayas yehi tha ke woh kamyab rehta. Is surat mein maghribi Europe ki tamaam tareekh yaksar mukhtalif hoti. Aisi qayas araiyan dilchasp zaroor hain lekin  is ka Sikandar ke asrat se kam taluq banta hai.

Sikandar ghaliban tareekh ka intihai daramai kardar tha. Us ki zindagi aur shakhsiyat mein aik tarah ya sehar posheeda hai. Us ki zindagi ke mutaliq mukhtalif haqaeeq bhi daramai andaz ke hain. Aik sapasalar  ki haisiyat se woh achay muqaam par faez tha. Apni 11 sala askari zindagi mein usay 1 baar bhi shikast na hoi. Lekin is ke sath sath woh aik danish war bhi tha. Woh Arastu ka student bhi raha aur Humar ki shayari se us ne baseerat hasil ki. Agarchay us ne doran-e-jung mutadad baar apni zindagi ko jokham mein dala, lekin us ne apne janasheen ka kabhi yakeen na kiya. Us ki yehi ghaflat us ki moot me foran baad us ki saltanat ki azeem phoot ka sabab bani.

Sikandar aik sehar angaiz shakhsiyat ka malik tha. Mutadad mawaqon par us ne apne maftoheen se rawaiya bara farakhdana raha. Iran wapas akar Sikandar ne agla 1 saal apni saltanat aur fooj ki tanzeem mein sarf kiya. Ye aik bari tanzeem no thi. Sikandar ko yaqeen tha ke Unani tamadan hi sahi manon mein haqeeqi tehzeeb thi. Yehi tamam Unani dunya ka nuqta nazar tha. Hata ke Arastu ka bhi yehi nuqta nazar tha. Us ke bawajood ke woh Irani faujon ko mukamal shikast de chuka tha, Sikandar ko ehsaas hua ke Irani kisi toor par wehshi qaum nahin thay, balkeh infaradi toor par Irani bohat zaheen, qabil aur laiq ahtram thay jese Unani thay. Tab us ne apni saltanat ke in dopnon hison ko baham mad gham karne ka faisla kiya aur aik mutehd Unani Irani tehzeeb aur badshahat ki bunyad rakhi jis ka woh sarbarah tha. Jis had tak hum qayas kar sakte hain woh teh dil se chahta tha ke Iraniyon ko Unani aur Macdonia ke barabar ki hesiyat aur hisa de. Is niyat se us ne Iraniyon ki bari tadad ko apni fauj mein bharti kiya. Us ne "Mashriq aur Maghrib" ki shadi ke unwan se aik shandar taqreeb ka ahtmaam bhi kiya jis mein Maqedonia ke hazaron faujiyon ki Asian auraton se shadiyan karwai gayin. Us ki apni aik Asian Princess se shadi ho chuki thi.

Incoming search terms:
  •  sikandar e azam history in urdu pdf
  • sikandar e azam movie

Aurangzeb Alamgir History In Urdu Aurangzeb Alamgir Par Ek Nazar Biography

Aurangzeb Alamgir History In Urdu: Hindustan mein khandan mughliya ka azeem akhri tajdar jis ne 1069 hijri se 1118 hijri tak hukumat ki.  Wo Shah Jahan ka teesra beta aur Malika Mumtaz Mahal ke batan se tha. Gujrat mein paida hua/ Arabic, Persian, Quran aur Hadees ki ala taleem hasil ki. Madri zuban urdu thi taham us ne Hindi mein bhi maharat hasil kar rakhi thi. 1050 hijri mein Shah Jahan ne usay Deccan ka hakam muqarar kiya. Lekin apne bare bhai ki baghawat ke moqa par 1054 hijri mein us ne Deccan ki hukumat chhor di. Agley saal usay Gujrat ka hakam muqarar kiya gya. 1059 mein wo Kandahar ki taraf barhta ke usay Iraniyon ke muhasray se nijat dilaye. Lekin bad qismati se Kandahar us ke pohanchne se pehle hi Iraniyon ke hath mein ja chuka tha. 1062 mein us ne aik baar phir koshish ki lekin nakam raha. Usi saal usay wapas Deccan bheej diya gya. Jahan us ne nazam mahasal ki tadween nau ki. 1656 esween mein usay Golconda aur1657 mein Bijapur ko saltanat mughliya mein shamil karne ke liye kamyab hamley kiye. Magar Shah Jahan ke hukam par usay un mehmaat ko adhura chorna para. September 1857 mein Shah Jahan sakht bimar ho gya aur us ke beton ke mabain husool takht ke liye larai barh gyi.

 


June 1658: Aurangzeb Alamgir ne Shah Jahan ko Agra ke qila mein nazar band kar diya jahan wo apni wafat tak 1666 tak nazar band raha. 31 july 1658 ko Aurangzeb ne Alamgir la laqab ikhtiyar kar ke saltanat mughliya par hukumat ka aghaz kiya. Aurangzeb ne apni taweel takht nasheeni ke door mein zayada waqt mukhtalif mehmaat mein guzara. 1662 mein us ne maghrabi Assam ka muhasra kiya jo 1667 mein us ke hath se nikal gya. 1686 mein us ne Golconda ki riyasaton par dobara kamyab hamley kiye aur unhain saltanat mughliya mein shamil kar liya. Youn pehli baar saltanat mughliya sahil se lay kar Hindu Kush ke daman tak phail gyi.


Agley kayi sal us ne saltanat ke intizam mein guzaray magar bad kismati se wo aik acha muntazam sabat na ho saka. Markaz se musalsal ghair haziri ne muqami sardaron ko sar uthanay ka moqa diya. Us ne Islami aqwal aaema ki roshni mein nafiz karne ki koshish ki. Is silsile mein nazam adliya mein beshumar tabdiliyan kien. Mukhtalif qisam ke fatway ke majmue muratab karaye. Is bana par bohat se azad khayal Muslim aur mutasab Hindu us ke mukhalif ho gye. Musalmanon ko sub se bara aitraz is baat par tha ke Aurangzeb ne sikah par se Kalma Tayyaba ke huroof hazaf karne ka hukam diya tha. Shah Jahan ne akhri umer mein sub se bari ghalti ye ki thi ke us ne apni saltanat ko beton mein taqseem kar diya tha jis ki bana par us ke bimar hote hi har betay ne puri saltanat par kabza karne ki koshish ki.

Aurangzeb par Hindu kushi ka bay bunyad ilzam lagaya jata hai. Us ki policy bila shuba Islami thi lekin us ne Hinduon par kabhi tashadad na kiya. Alamgir bohat buland kardar ka malik tha. Us ki zindagi Islami rawayat ke ain mutabiq thi. Wo tamam mazhbi wajbat  ka sakhti se paband tha. Zindagi aish o aram se koson door thi. Libas aur khorak bara sada tha. Us ne sarkari khazana ko hamesha qaumi imanat samjha aur kabhi aik paisa na liya. Apne zati musafir puray karne ke liye won apne hath se topiyan seeta aur Quran Pak lakhta aur isi asool par us ne tamam zindagi basar ki. Wo aik sufi tajdar tha. Us ka tasawar hukumat bohat buland tha. Wo kehta tha ke Khuda mujhe is dunya mein is liye laya ke mein apne liye nahin balkeh dusron ke liye zinda rahon aur mehnat karon. Mera farz hai ke apni rahat ka khayal sirf is had tak karon jis had tak usay mere riaya ki khushi hasil ho.

Incoming search terms:
  • mughal badshah aurangzeb in urdu
  • meaning of aurangzeb in urdu
  • aurangzeb life history in urdu
  • aurangzeb alamgir par ek nazar
  • aurangzeb alamgir biography urdu
  • aurangzeb alamgir quotes

Holocaust History In Urdu Holocaust Details Holocaust Ki Tareekh

Holocaust History in Urdu: Holocaust darasal dusri jang-e-azeem ke doran qatal aam ka shikar hone wale taqreeban yahoodiyon ki Germany ke Hitler ki Nazi fauj ke hathon mubina halakat se mansob hai hai. Is ko yahoodiyon ki nasal kushi bhi qarar diya jata hai. Holocaust darasal Unani lafz se bana hai jis ke meanings hain "mukammal jala dena". Is tarah se lakhon yahoodi mard, auratain, bachon aur burhon ke ilawa istrakiyat pasandon, siasi aur mazhbi aqliyaton ko intihai bedardi se moot ke ghat utar diya gya. Taham baishtar mahireen dusri mazhbi qaumon ke afrad ke qatal aam ko Holocaust ka hisa mannay se inkar karte hue is ko yahoodiyon ka qatal aam qarar dete hain.

Agar Nazi fauj ki barbariyat ka shikar hone ealon ki tadad ka andaza lagaya jaye tou ye tadad taqreeban 90 lack se 1 crocre 10 lack tak ja pohanchti hai. Ye insaniyat soz mazalim nasal kushi ki maham marhala war anjaam di gyi. Yahoodiyon ko muhqaqb wociety se alag kar dene ki qanoon sazi dusri jang-e-azeem se kayi saal pehle ki ja chuki thi. Khasoosi camps mein qaidiyon se us waqt tak ghulamon ki tarah kaam liya jata tha jub tak wo thakan ya bimari ka shikar ho kar maut ki aghosh mein na chale jayain. Jub Nazi fatuhaat ka silsila mashriqi Europe mein pohancha tou Germany ki special task force ko ye hadaf diya gya ke yahoodiyon aur siasi hareefon ko bay daraigh qatal kar diya jaye. Yahoodiyon aur Romaniyon ko sainkron mile door banaye gye maqtal gahon par janwaron ki tarah ki rail gariyon mein daal kar Gheethu muntaqil kar diya gya. Jahan zinda pohanch jane ki surat mein unhain gas chamber ke zariye maut ke ghat utar diya jata. Germany ke tamam officer shahi is nasal kushi mein paish paish thay. Jis ne is mulk ko nasal kushi ke aday mein tabdeel kar diya.

Dunya mein 13 countries jin mein France aur Germany shamil hain, mein qawaneen hain jo Holocaust par nazar sani aur is ke bare mein tehqeeq ko ghair qanooni qarar dete hain. Is par tehqeeqi behs se bhi baaz mumalik mein 3 se 10 saal tak qaid ki saza aur jurmanay bhi ho sakte hain. Holocause deniers ko nafrat angeez izhar mana jata hai jis ke baes un mumalik mein aisay zahoor ko qawaneen azadi izhar ke teht tahafuz hasil nahin.

Holocaust Ke Doran Honay Wali Amwat (Deaths): Holocaust ke doran hone wali halakaton ke sahi adad o shumar tou dastyab nahin ho sake, taham us waqt ke adad o shumar ke mutabiq andazon ki bunyad par mutasreen aur halakaton ko shumar kiya gya. Un ke tadad lagaye gye andazon ke mutabiq intihai zayada thi. Agar yahoodiyon ko Holocaust ka nishana tasleem kar liya jaye tou taqreeban 60 lack yahoodi is ka shikar hue. Agar us mein taqreeban 30 lack soviet union ke jungi qaidiyon, 150,000 zehni aur jismani mazooron, 130,000 se 285,000 Roma ke rehnay wale, is ke ilawa political qaidiyon, mazhabi hareefon wagera ko bhi shamil kar liya jaye tou Holocaust mein halakaton ka mezan taqreeban 90 lacks tak pohanchta hai aur agar is ke ilawa 20 lack poland ke rehnay walon ki amwat ko bhi shamil kar liya jaye tou halakaton ka takhmeena taqreeban 1 crore 10 lack banta hai, jabkeh Holocaust ki wasi tar tareef kar ke is mein soviet union ke aam citizens ki halakaton ko bhi shamil kar liya jaye tou ye tadad 1 crore 70 lack tak chali jati hai. 1945 se aam tor par jama kiye gye adad o shumar ke mutabiq taqreeban 60 lack yahoodi Holocaust ka shikar hue. Yaroshalam mein Holocaust mein marnay walon ki yaad mein aik nazam banai gyi jis mein likha hai ke "halak hone wale yahoodiyon ke sahi adad o shumar hasil nahin ho sake."

Incoming search results:
  • holocaust meaning in urdu
  • holocaust story in urdu
  • holocaust detail in urdu
  • holocaust movies
  • holocaust kya hai
  • holocaust in hindi

Malaysia History Urdu Malaysia Tourism Malaysia Culture Kuala Lumpur

Malaysia History In Urdu: Ye nation dunya ki chand beautiful tourist places mein se aik hai yahan par dunya ke konay konay se har saal lakhon log apni zindagi ke yadgar din guzarne ke liye atay hain. Ye aik aisa jannat nazeer khita hai jahan jaye baghair, mahez is ke bare mein jaan kar hi aap is ki mohabbat mein giraftar ho jayein gey. Malaysia ko haqeeqi Asia bhi kaha jata hai kyoun ke Asia ke tamam rang nazatr atay hain. Ye Asia ki mukhtalif naslon, languages, Cultures aur Religions ka aik aisa ranga rang guldasta hai jis ki koi dusri nazeer aap ko shayed kisi aur mulk mein na milay gi.

malaysia city pictures - hotels in Kuala Lumpur
Malaysia nasli, saqafti aur mazhabi bunyadon par is qadar matnu hone ke bawajod aman aur sakoon ka gehwara hai jahan Malai (Malaysia ke muqami bashinday), Hindustani, Chinese aur deegar naslon se taluq rakhne wale logon ki kaseer tadad rehti hai. Ye sub log bhai chara, rawadari aur bahmi ahtram ki behtareen masaal qaim karte hue aik dusre ke sath ghul mil kar amal ki zindagi basar kar rahe hain.

Sirf kaseer saqafat hona hi Malaysia ko tourists ki jannat nahin banata balkeh is ka bepanah qudarti husn aur yahan munaqad hone wale colorful festivals bhi tourists ko khenchay chale anay ki bohat bari wajah hain. Malaysia ke log aman pasand, friendly bartao karne wale hain. Agar aap aik martaba yahan se janay ke baad yahan dobara anay ki khawahish karain tou is mein tajub ki koi baat nahin ho gi.

Geography Of Malaysia In Urdu: Geography lihaz se ye mulk itna hi matnu aur mukhtalif hai jitni is ki saqafat hai. Intizami toor par ye mulk 13 provinces aur 3 wafaqi alaqon par mushtamil hai. Malaysia ka geographical aur culture ke lihaz se intihai rang barang hona isay tourists ke liye nahayat purkashish banata hai. Is mulk mein aap ko kahin asman ko choti jadeed khusbsurat buildings ke sath wood se bane beautiful houses qadeem tarz ke riwayati makanat bhi dikhai dain gey, tou kahin hazaron saal qadeem gharon se mehaz chand 100 km ki doorie par luxury 5 star hotels milain gey.

Honeymoon In Malaysia: Agar aap waqayi khushiyon aur shadmani se labreez Honeymoon, ya phir apni Family ke sath khush gawar hairaton se bharpur holidays guzarne ke liye Pakistan se kahin bahir jana chahte hain tou phir Malaysia se behtar dusri koi jagah aap ko nahin mil sakti. Malaysia mein sair-o-tafreeh ke liye beshumar muqamat hain.

Incoming search terms:
  • malaysia news in urdu
  • malaysian language course in urdu
  • malaysia jobs in urdu
  • malaysia meaning in urdu
  • malaysia information in urdu
  • urdu malaysia history in hindi

Sunday 9 November 2014

Whooping Cough Treatment In Urdu Kali Khansi Ka ilaj Pertussis At Home

Whooping Cough Home Cure: Kali Khansi jisay english mein Pertussis bhi kehte hain, aik se dusre ko lagne wala sangeen noeeyat ka phephron yani lungs infection hai jis ka sabab aik jarsuma Bordetella pertussis hota hai. Is qisam ki behaal kar dene wali khansi ko "Sau Dinon Wali Khansi" (100 day cough) bhi kehte hain jo taweel arsay tak mareez ko satati hai. Ye marz aik dusre tak  is tarah phailta hai ke jub mareez khansta, kheenkta ya baat karta hai tou us ke munh se kharij hone wale chote sayal qatray hawa mein tairtay hue sehat mand fard ke jism mein dakhil ho jate hain. Ye infection kisi bhi umar ke fard ko ho sakta hai lekin sub se zayada khatra un bachon ko hota hai jin ki umar 5 year se kam hoti hai.
Symptoms of Whooping Cough:
Jaraseem ke jism mein dakhil hone aur elamaton ke ubharne ka arsa Incubationperiod kehlata hai jo kali khansi ke hawalay taqreeban 7 din hota hai. Ibtidai elamatein nazla, zukam se milti julti hoti hain jin mein naak beh rahi hoti hai, halka bukhar hota hai aur raat ke waqt khushk khansi hoti hai. Rafta rafta khansi ki shidat barhti jati hai aur mareez lambi, gehri saans ke sath khansta hai. Khansi ke ye dooray amooman raat ko uthtay hain aur akhir mein mareez ko khanstay khanstay ulti ho jati hai. Kam umar bachon mein khansi ke doray amooman doodh pilane ke baad dekhe jate hain. In dooron mein bachay ka chehra surkh ya neela ho jata hai aur naak ya munh se garha mawad kharij hota hai. Khansi bohat shadeed ho tou us se nakseer bhi phoot sakti hai aur aankhon mein us tarah ki surkhi bhi numayan ho sakti hai jo Ashob-e-Chashm mein hoti hai. Us mein phephron ki choti hawai naliyan pheel kar bari ho jati hain. Sheer khawaron mein kali khansi us waqt mohlik surat ikhtyar kar laiti hai jub khanstay khanstay saans ruk jati hai. Is surat haal ko Apnoea kehte hain aur is mein achanak moot waqia ho jati hai.

Reasons And Factors Of Whooping Cough:

Mareez mein symptoms ko dekh kar kali khansi ki tashkhees karna bohat asaan hota hai. Mazeed tehqeeq ke liye halq ya naak se ratoobat ka namoona lay kar us mein makhsoos jaraseem ki mojoodgi dekhne ke liye laboratory mein us ki jaanch ki ja sakti hai. Agar aap khud apni khansi ko kali khansi par mehmool karain ya apne ache mein khilaf mamool khansi dekhain jis mein ulti bhi ho jati hai ya 2 - 4 days ke andar health mein behtari nahin aati tou fori doctor se ruju karain. Agar bache ki tabiyat bigarti hoi mehsoos ho ya khansi ke doran us ka jism neela par jaye ya deegar pareshan kun elamatain dekhain tou tibi mashware mein takheer na karain.

Health Recovery And Treatment Of Whooping Cough Ka ilaj:

Agar kali khansi bohat shadeed ho tou ghar par bohat zayada aram aur zayada maqdar mein pani aur mashroobat pila kar ilaj kiya ja sakta hai. Taham baaz suraton mein hospital mein ilaj ki zaroorat ho sakti hai. Kali khansi mein antibiotics medicines ka use qabil behas mamla hai. Bazahir un ke istimal se bimari ka doraniya kam nahin hota, taham antibiotic ke istimal se un logon ko faida ho sakta hai jin mein kali khansi ki elamatein abhi numayan nahin hoi hain. Is tarah dusron tak disease phelnay se rokna bhi mumkin hai. Kali khansi ka 2 se 3 months tak jari rehna koi khilaf mamool baat nahin hai. Jub se kali khansi ke hifazati injections lagne shuru hue hain is ke mareezon ki tadad mein khasi kami ayi thi, lekin England mein in dinon jis raftar se bachon mein is ki shikayatein samne arahi hain, woh khasi tashweesh naak hain. Kali khansi ke doron se bachne ke liye bachon ko amooman 2, 3 aur 4 months ki age mein injections lagaye jate hain.

Incoming search terms:
  • whooping cough meaning in urdu
  • cough treatment in urdu
  • cough home remedies in urdu
  • cough tips in urdu
  • cough totkay in urdu
  • cough treatment in pregnancy in urdu
  • cough treatment at home in urdu
  • cough symptoms in urdu
  • whooping cough in hindi

Homeopathic Treatment In Urdu Homeopathy Medicine Encyclopedia Homeopathic ka ilaj

Homeopathy Side Effects: Homeopathy aik qadeemi tareeqa ilaj hai jis mein Homeopathic Medicine istimal hoti hai. Ye tarika ilaj 19th century se bohat pehle Germany mein shuru hua aur 19th century ke start mein is ka aghaz America mein bhi hua. Is ke baad taqreeban puri dunya mein us ka istimal shuru ho gaya. Is treatment method mein taqreeban tamam desi medicines ke nichore (Extracts) istimal hote hain.

Homeopathy ka ilaj karne ka tarika qadre lamba hota hai. Taham homeopathic medicines ke chand side effects bhi note kiye gaye hain jo ke darj zail hain.

Homeopathic medicine ka pehla asar quwat madafat par hota hai. Yani ye medicines immunity system ko zayada fa'aal kar deti hain jub keh baaz patients zayada hasas hone ki wajah se is se buri tarah mutasir hote hain. Aur un mein Flue jesi bimari ki ilamat dekhne ko milti hain.


Homeopathic medicines ke mamooli se side effects foran zahir hone ke ilawa khuch qadeemi asrat bhi ronuma hote hain. Jo ke adwiyat (medicines) chorr dene par paida hote hain. For example is ke treatment mein first month mein araam bhi ho jaye tou medicines band karne par next month mein us ke buray asrat ke sath baaz auqat bimari (disease) dobara lagne ke khadshat hote hain lekin aisa bohat kam hota hai.

Is ilaj mein Dilutions ka barah-e-rast istimal hota hai aur ye bohat garhay aur qudarti qisam ke hote hain jin ka istimal bohat ahtiyat se karna parta hai aur kisi Homeopathic specialist ke baghair diet laina health ke liye khatarnak sabit hota hai. In high Dilutions ki maqdar khorak expert doctor bhi aisay tajweez nahin kar sakta usay bhi taweel history patient se laina parti hai. Jo ke baaz auqat ghalat bhi ho sakti hai ya disease sahi tor par nahin bata sakta is tarah maqdar khorak aur medicines ka chunao sahi na hone se adwyat se nuqsan hota hai.

Homeopathic medicine ahista ahista asar andaz hoti hai. Is liye mareez aksar auqat jaldi theek hone ke khawahish mand hote hain lekin jald sahi na hone par woh in medicines ko na mukamal ilaj ki surat mein tark kar dete hain. Jis se sehat mazeed kharab ho sakti hai. Is liye Homeopathic medicines s lihaz se kam pasandeeda dawa bhi hai aur patient aksar is ke ilaj se uktahat aur thakawat ka shikar ho jate hain.

Khuch mareez dawa layne mein zimadari ka saboot nahin dete aur is tareeqa ilaj mein intihai zimadari aur baqaidgi ki zaroorat hoti hai kyoun ke is ka tareeka treatment chote chote waqfon aur kam maqdar ke chand qatron par mushtamil hota hai jo ke mareez ke liye uktahat ka baes ban sakta hai.

Is ka lamba ilaj kayi tarah ki degar diseases ko bhi dawat de sakta hai. Aik friend ne 3 years musalsal baal girne ka homeopathic ilaj kiya jis se woh majmui toor par weak ho gaya aur saans ki takleef bhi mehsoos hone lagi is ke ilawa seenay ki jalan, tezabiat aur gas ki wajah se us ko balon ke masail bhool gaye aur un bimariyon ki fikar lahaq ho gayi. Us ne aik Homeopathic doctor se mashwara kiya jinhon ne bataya ke aisa har mareez ke sath nahin hota. Khuch patients mein aisa ho bhi sakta hai. Taham us mein medicines aur diet ka plan ka bara amal dakhal hai.

Incoming search terms:
  • homeopathic books in urdu
  • homeopathic medicine in urdu
  • homeopathic treatment in urdu
  • homeopathic materia medica in urdu
  • homeopathic medicine list in urdu
  • homeopathic remedies in urdu
  • homeopathic urdu websites
  • homeopathic ka ilaj
  • homeopathic in urdu
  • homeopathic in hindi
  • homeopathic meaning in urdu

Thyroid Disease in urdu Thyroid ka ilaj gland Treatment symptoms Hindi

Thyroid Disease In Urdu: Galay mein jo Thyroid Gland hota hai woh amoomi satah par jismani sargarmiyon ko control karne mein kardar ada karta hai. Agar ye Hyperthyroidism zaroorat se zayada fa'al ho jaye tou is se dil ki dhadkan teez ho jati hai, khana hazam karne ki raftar mamool se barh jati hai aur jismani tawanai mein bohat zayada tagheer dekha jata hai. Agar Thyroid ka ilaj na kiya jaye tou dil apna kaam chorr sakta hai yani heart failure ho sakta hai aur wazan bay intiha kam ho sakta hai. In ke ilawa bhi dusri kharabiyan runuma ho sakti hain. Agar ye Hypothyroidism zaroorat se kam fa'al ho tou is ke natijay mein mareez mein lataluqi ka rujhan dekha jata hai. Bay intiha kamzoori ka ehsas hota hai, dil ke masail darpaish hote hain, khawateen mein ayam ki takleef samnay ati hain aur wazan barh jata hai. Thyroid Gland ke masail bohat aam hain aur khsuh kismati se zayada sangeen nueeyat ikhtiyar karne se bohat pehle hi is ki tashkhees ki ja sakti hai. Tashkhees ke baad mukhtalif tareeqa ilaj bhi azmaya ja sakta hai. Thyroid ki bimari deegar bimariyon ka baes bhi ban sakti hai. In diseases mein diabetes aur joron ke dard ki bimari Rheumatoid Arthritis shamil hain.

Thyroid Symptoms In Urdu: Thyroid ki bimari ke asbab mein iodine ki kami shamil hai jo paidaeshi toor par kam ho sakta hai. Is ki kami se zehni mazoori bhi ho sakti hai. Jism ko agar munasib maqdar mein iodine nahin mil raha hai tou is se (Goiter) ka marz bhi ho sakta hai jis mein Thyroid phool jata hai aur halaq soja hua mehsoos hota hai. Iodine ki kami Thyroid ki sozish ka baes bhi ban sakti hai aur baaz auqat is se halq ka cancer bhi ho sakta hai. Thyroid ki kharabiyan door karne ke liye mukhtalif tareeqa ilaj mein jo sifarishat ki jati hain woh hasb-e-zail hain.

Hypothyroidism Treatment In Urdu:
Cheeni Jari Boti: Chinese tarika ilaj mein ye bawar kiya jata hai ke Hypothyroidism ki wajah jigar ki garmi hoti hai aur is ke ilaj ke liye samandari namkiyat aur behri bailain tajweez ki jati hain.

Desi Jari Botiyan: Agar Hypothyroidism zaroorat se zayada fa'al ho jaye tou neelay phoolon wali aik qisam ki bail yani Bugle Weed bohat achi karkardgi dikhati hai. Din bhar mein 3 baar isay peena mufeed hai. Gehre bhuray rang ki aik samandari jhari yani Bladderwrack kehlati hai, ye samandari jari bhi Thyroid ki karkardagi ko mamool ke mutabiq karti hai. Is jhari ko kisi bhi surat mein din mein 3 baar istimal karne ki sifarish ki gyi hai.

Vitamins And Minerals: Ghazaiyat bakhsh ajza maslan Vitamin A aur Iron ki kami ki wajah se Hypothyroidism ka aghaz hota hai. Is baat ko yaqeeni banana chahiye ke aisi healthy diets use ki jayain jis mein bohat sari qudarti tor par ugai gyi vehetables, fish aur onion shamil hon. Lehsun aur pyaz donon is hawalay se aham hain ke agar mareez ka Thyroid kam fa'al  hai tou woh isay theek kar dain gey. Lehsun wese bhi Ayurveda ke husool ka acha zariya hai jo Thyroid ke kaam ko aitdal mein lata hai.
Incoming search terms:
  • thyroid in urdu
  • thyroid meaning in urdu
  • thyroid gland in urdu
  • thyroid symptoms in urdu
  • thyroid treatment in urdu
  • thyroid function test in urdu
  • thyroid gland meaning in urdu
  • thyroid diet chart in hindi
  • thyroid in hindi

Monday 17 March 2014

Bill Gates History In Urdu Bill Gates Biography Information

Bill Gates dunya ka ameer tareen shakhs hai jo musalsal kayi saal tak dunya ke ameer tareen logon mein pehle number par rahe. 2012 mein wo dusre number par rahe. Bill Gates microsoft ke malik hain. Unhon ne microsft ke zariye bepanah daulat kamai. Jitnay wo ameer hain itnay hi wo sakhi bhi hain. Bohat se adaray us ke tawan se chal rahe hain. Bill Gates 28 october 1955 ko Washington mein paida hue aur apni 2 behnon ke sath palay barhay.
Un ke father aik maroof ustad aur qanoon dan thay jub ke un ki mother aik teacher thi aur Washington University mein parhaya karti thi. Bill Gates bachpan se hi anokhi tabiyat ke malik hain. Dusre bachon ki tarah kheelnay kodnay ke bajaye koi tanha gosha talash karte aur wahan ja kar gum sum ho kar baith jate. Un ki walida jub unhain is tarah baitha dekhtien tou preshan ho jatien aur us se poochti.
"Bill! akelay gum sum kyoun baithay ho."
tou wo jawab deta. "Maa! main soch raha hon, mujhe disturb na karo."
Itni choti si umar mein sochne ka kaam. hairat dar hairat. Us ki maa us jawab par hansnay lagti ke mere ghar mein ye Arastu kese paida ho gya. Jub un ka farigh waqt ka mashghala gum sum reh kar sochne ka hi ho gya tou un ki walida kafi preshan ho gyi aur unhain lay kar doctor ke paas gayien. Doctor ne un ka muaena kar ke kaha ke wo usay waqt par lay ayi hai, isay zehni bimari ka khadsha hai, main isay medicines de raha hon is se bache ki bimari jati rahe gi.
Aur phir yehi sochne wla bacha Computer aur IT ki dunya mein wo inqilab lay kar aya ke puri dunya us ke naam aur kaam se waqif ho gyi. Jab ke daulat ki us par wo barish hoi ke dunya ke ameer tareen afrad mein wo pehle number par shumar hone laga.

Bill Gates school mein aksar apne class fellows se larai jhagra aur shararatain karte thay jis ki shikayat ghar tak pohanchti thi. Jub ye shikayat musalsal anay lagien tou un ke walid ko sochne par majboor kar diya. Aik din wo usay aik mahir nafsiyat ke paas lay gye. Mahir nafsiyat ne un ka test liya aur bajaye ilaj karne ke usay books parhne ko deta raha. Aur unhain aisi warzishain karne ko kaha jis se us ka dimagh aur soch mein sehat mand tabdeeli aye.

Bill Gates munh mein sonay ka chamcha lay kar paida hue thay. Un ke dada jo aik qaumi bank mein naib sadar thay unhon ne aik trust qaim kiya tha jis ke liye lakhon dollars jama thay. Is bana par Bill Gates ke liye awayel umri mein computer ki taraf dhihan dena aur ye dilchasp mashghala ikhtiyar karna asan ho gya. Us waqt computer mehnga bohat tha dusra har jagah aam dastyab nahin tha. Jub internet mutarif hua tou unhin ne sub se pehle G.E type computer use kiya. Us internet ka taluq telephone se tha. Line itni dair tak busy rehti thi jub tak computer ka taluq internet se rehta tha. School 1 phone ko mehz us ke liye makhsoos nahin rakh sakta tha aur na hi us ka bhari bharkam bill ada kar sakta tha. Chunachay 1 admi switch ke paas khara rehta tha aur jub students internet se connection khatam karte thay tou wo swtich off kar deta tha.

High school mein taleem ke doran un ki umar abhi 16 years thi tou unhon ne aik software banaya jisay unhon ne 4000 dollar mein sale kiya. Phir us ne apne aik dost ke sath aik choti si cmpany banai aur hukumat ke bohat se adaron ko traffic ke bare mein data system bana kar sale karne lagey. Us waqt un ki age sirf 17 years thi. Us data system se usay 20,000 dollars ki amdani hoi.

18 years ki age mein unhon ne aik company ko payroll system bana kar diya. Jis ke zariye company usay 5000 workers ko barwaqt aur sahulat se salary ada karne mein kamyab ho gyi. Is system ke teht mulazmeen ka record rakhne aur dusri maloomat mehfooz karne mein bhi asani ho gyi.

Bill Gates aur un ke friend ka rujhan computer games ki taraf bhi tha. Ibtida mein unhon ne aik special computer ki aisi games banai jis ke zariye puri dunya ko fatah kiya jata tha. Us mein behri jahaz, hawai jahaz, tank wagera ka istemal hota tha jabkeh background se aik commander ki awaz musalsal ati rehti jo ahkamat deta rehta tha.
Bill Gates ne jub high school ki taleem khatam ki tou us ne 1600 numbers mein se 1590 numbers hasil kiye thay. Ye aik record tha jo is se pehle kisi ne qaim nahin kiya tha.