Tuesday 23 April 2013

A To C English Phrasal Verbs With Meanings And Sentences in Urdu

Phrasal Verbs A-C
  • Account For (give a good reason for, explain well) - (sabab batana, wajah bayan karna)
You should now account for your failure in the examination.
  • Act For (act on behalf of) - (kisi ki jagah kaam karna)
When our President is out of the country, the Chairman of the Senate acts for him.
  • Act On or Upon (act in accordance with) - (par amal karna)
Please act upon my suggestion if you want to succeed.
  • Allow For (take into consideration) - (madnazar rakhna)
You should allow for his illness before asking him to return your loan at once.
  • Allow Of (admit of) - (ijazat dena)
Our social situation does not allow of the continuity of dowry (jahez) in the present form.
  • Answer (someone) back (reply disrespectfully or rudely) - (sakht jawab dena)
It is not proper to answer back your mother when she says something in anger.
  • Answer (someone) in (intive someone to come into the house) - (kisi ko ghar ke andar anay ki dawat dena)
When i go to their house they do not ask me in.
  • Answer (someone) out (invite someone to some entertainment of food outside) - (kisi ko bahir khane ya tafreh wagera ki dawat dena.
So many times i ask him our, and he always enjoys the time with me.
  • Ask For (request or demand) - (koi cheez mangna, kisi cheez ka sawal karna)
I am sending you the money you have asked for. You may ask for anything any time, and i will provide it.
  • Back Away (To stop or move back slowly from some danger, etc) - (kisi khatra wagera ko dekh kar ruk jana ya ahishtgi se wapas ho jana)
I backed away and climbed the tree when the mad dog started walking towards me.
  • Back Down or Back Down On (take back a demand, an opinion, etc.; accept defeat) - (Peechay hat jana, haar maan lena)
The teachers did not back down over higher pay scales. Do not back down on your stand now.
  • Back Out (fail to fulfil a promise) - (wada nibhane mein nakam hona)
India promised to the UN to hold free elections in Kashmir, but later she backed out.
  • Be For (be in favour with) - (himayat karna ya hamayat mein hona)
They are for two holidays in a week. She is aal for going to the hills during the vacation.
  • Bear Away (win) - (jeetna, hasil karna)
He tried his best to bear away the highest award.
  • Bear Down (overthrow, crush) - (zair karna)
Mahmood of Ghazni was able to bear down all his enemies in Afghanistan and India.
  • Blow Up (destroy by explosion, explode) - (dhamakay se phat jana ya dhamakay se ura dena.
The experts will blow up the mountain standing in the way of the new road. A fighter plane blew up in the air this morning.
  • Call For (demand) - (taqaza karna, talab karna)
The officer will call for a written explanation of his absence from duty.
  • Carry Away (cause to lose self-control) - (ru mein beh jana)
Never let your anger carryyou away. She was carried away by her desire for the beautiful clothes.
  • Carry On (continue) - (jari rakhna)
We will carry on our work even in the greatestdangers. Let us carry on with our enjoyments to forget all worries.
  • Close With (accept an offer) - (paishkash qabool karna)
It will be good if we close with their offer of the pay.

Monday 22 April 2013

Baitullah Sharif Live Haram Baitullah Sharif Videos Makkah

Baitullah Sharif yani Masjid Al Haram dunya ki sub se bari masjid hai ye masjid jazeera numa Arab ke shehar Makkah main waqia hai. Is masjid ki tameeri tareekh Hazrat Ibrahim A.S se shuru hoti hai. Is masjid ke darmiyan mein Baitullah Sharif waqia hai jis ki taraf rukh kar ke dunya bhar ke Muslims din mein 5 baar Allah ke liye namaz ada kartay hain. Is masjid ka kul raqba 3 lakh 56000 muraba meter hai aur hajj ke doran yahan 8 lakh 20000 afrad namaz parhte hain.

777 mein is masjid ki tarikh ki sub se zayada tausi aur tameer hoi thi phir is ke gird 1576 mien Usmani Turkon ne safaid gumbadon wale baramday banaye thay jo aaj bhi mojood hain. Masjid Haram ke kul 112 chote bare darwaze hain jin mein sub se bara aur markazi darwaza Shah Abdul Aziz ke naam se mosoom hai jo Saudi Arab ka sub se bara Farman Rawa hai.
 
 Baitullah Sharif Picture
Shah Saud ke door mein bhi is masjid ki tazeen-o-araish yani decoration sajawat kaam shuru hua qadeem Turkey baramdon ke peechay wasi-o-areez 2 manzila imarat banai gayi. Is masjid mein deeni asaar bhi mojood hain jin mein Muqam Ibrahim woh pathar hai jis par Ibrahim A.S khare ho kar Baitullah Sharif kideewarain tameer karte thay isi tarah masjid mein Zam Zam Ka Well ya kunwaan bhi mojood hai jo Allah Ta'ala ne Hazrat Ismail A.S aur un ki walida Hazrat Hajra A.S ke liye paida kiya tha. Masjid se mulhq Safa aur Marwa ki wasi pahariyan jo Allah ki nishaniyon mein se hain aur doran-e-hajj in ka tawaf bhi kiya jata hai. Khana Kaaba ki khasusiyat mein aik aham khoobi ye bhi hai ke Allah ne isay aman ka gehwara banaya hai aur is mein aik namaz ki adaigi lakh namazon ke ajar ke barabar hai.

Ye dunya ka wahid muqam hai jis ka hajj kiya jata hai ye zameen par tameer hone wali qadeem masjid ka darja rakhti hai. Ibtida mein ye azeem masjid aaj ki masjid al Haram se kayi guna choti thi ab Saudi door mein masjid ko jadeed mayar ke ain mutabiq banaya gaya hai jis mein air conditioner aur electric stairs nisb ki gayi hain is ke ilawa masjid ki teen manzilain hain jahan har saal dunya bhar se Musalman hajj karne ke liye bhi ikathay hotay hain hajj mein taqreeban 8 lakh se zayada afrad sama sakte hain.

Baitullah ke ird gird sawab ki niyat se 7 chakar lagane aur phir Muqam Ibrahim par 2 rakat namaz ada karne ko tawaf kehte hain. Tawaf apne ahkam ke aitbar se namaz ki qisam ki ibadat hai. Donon mein farq sirf Baitullah ke gird chakar lagana hota hai aur is ke doraan baatcheet ki ja sakti hai jab ke namaz tamam masajid balkeh zameen ke har paak hisay par parhi ja sakti hai aur is mein baat cheet nahin kar sakti. Taham ye koshish honi chahiye ke tawaf ke doran jo batain kahi jayain woh achi hon. Tawaf ki bohat sari types hain jin mein aik tawaf qadoom bhi hai. Ahram baandh kar sub se pehle jo tawaf kiya jata hai usay tawaf qadoom kehte hain.
Allah ne mecca city ko aik muqadus aur hurmat wala elaqa qarar diya hai is liye yahan se na kanton ko hataya ja sakta hai na darakhton ko katne ki ijazat hai yahan kisi janwar ya parinday ko bhi preshan nahin kiya ja sakta aur na usay shikar kiya ja sakta hai yahan par nghair muslimon ke liye is mein dakhle ki ijazat nahin hai.

Lawn Prints 2015 In Pakistan Lawn Collection 2014 Frocks Designs

Lawn Prints 2014 - 2016
Faiz Ahmad Faiz kya khoob keh gaye hain ke
Bahar Ayi,
Ke Jese Aik Baar Laut Aye Hain Phir Adam Se
Woh Khwab Sare Shabab Sare....
Jo Tere Honton Par Mar Mitay Thay
Jo Mit Kar Har Baar Phir Jiye Thay
Nikhar Gaye Hain Gulab Sare....
So, jis tarah bahar ki amad phoolon se mosoom hai, badalte waqt ke sath ab bahar ki amad ke sath "Lawn" ka naam bhi mosoom balkeh mashroot ho chuka hai. Saridiyan abhi puri tarah rukhsat bhi nahin ho patien ke har taraf Lawn ki amad ki dhoom mach jati hai. Goya asal bahar tou yehi hai. Is mein koi shak nahin ke Pakistan jese garam mulk mein Lawn Prints jese maheen aur nafees kapre ke dresses khawateen ke liye bari naimat hain. Ye na sirf aram deh aur hawa dar balkeh jazab-e-nazar bhi hote hain. Yani farhat aur aram pohanchane ke sath sath lawn ke dedah zaib design, zooq jamal ki taskeen ka baes bhi sabit hote hain. Yehi wajah hai ke girls lawn ke atay hi deewana war is ki janib lapakti hain aur bazaaron mein aik meela sa lag jata hai.


 Lawn Designs 2015
Ye sari batain tou aik taraf ab tou bare bare designers bhi lawn ke is profitable business ki janib majwaja ho gaye hain aur Lawn ka weather atay hi shehar mein har taraf designer lawn ke bare bare hoardings awaizan ho jate hain. Yehi nahin balkeh aye din baishtar 5 star hotels mein lawn exhibitions ka inaqad hota hai aur ramp shows bhi munaqad kiye jate hain beautiful pakistani models lawn dresses ke sar sarate howe dilkash clothes mein dekhne walon ke dilon par nijliyan girati nazar ati hain. Go ke ye zikar tou husn ki bijliyon ka tha lekin lawn brands ke aik suit ki price bhi qadre ghareeb aur natawan dil par bijli girane ke liye kafi hai. Khuch arsa pehle tak lawn ka acha khasa three piece suit 300 rupees mein mil jaya karta tha. Tab designer lawn ka is qadar charcha bhi nahin tha par waqt ke sath sath designer lawn wear karna status symbol ban gaya hai aur is qisam ke lawn suit ki qeemat 5000 - 6000 se shuru hoti hai aur ikhtitam ki tou koi had hi nahin. Magar trend tou trend hai chal para tou chal para lihaza is door mein shamil rehne ke liye women har mumkin jatan karti hain. Lekinun ke liye hamara mashwara yehi hai ke is chakar mein apna budget kharab na karain aur chadar dekh kar hi paon philayain. Lawn ka dress aap kitna expensive hi kyoun na khareed lain us ki life mahaz aik season tak hi mehdood hoti hai.
 
 Lawn Collection 2015
 lawn magazine 2014











 Lawn Frocks Designs 2015
 Is silsile mein aik aur dilchasp baat ye hai ke chunkeh designers ka tou kaam hi dresses mein nat nayyi ikhtaraat karna aur jidatain tarashna hai tou ab lawn ke suit 3 piece ki bajaye 5 piece, 6 piece par mushtamil ho gaye hain. Asteen alag, front aur back pannels alag aur daman aur asteenon mein lagane wale borders patiyan is ke ilawa hain lekin kya kiya jaye ke fashion tou fashion hai so ab mahaz aik lawn ka suit na jane kitne meter kapra mein tayar hota hai taham hamara khayal hai ghar mein pahennay wale kapre zayada taam jhaam ke bajaye sada se andaz ke hone chahiyien ta ke comfortable hon aur sahoolat ka ehsas aap ke sath rahe. Lihaza aap bhi beshumar lawn ke colors aur designs mein se apne liye khuch intikhab zaroor karain ke ye mausam ke sath sath waqt ka taqaza bhi hai.