Showing posts with label Live Tv. Show all posts
Showing posts with label Live Tv. Show all posts

Monday, 22 April 2013

Baitullah Sharif Live Haram Baitullah Sharif Videos Makkah

Baitullah Sharif yani Masjid Al Haram dunya ki sub se bari masjid hai ye masjid jazeera numa Arab ke shehar Makkah main waqia hai. Is masjid ki tameeri tareekh Hazrat Ibrahim A.S se shuru hoti hai. Is masjid ke darmiyan mein Baitullah Sharif waqia hai jis ki taraf rukh kar ke dunya bhar ke Muslims din mein 5 baar Allah ke liye namaz ada kartay hain. Is masjid ka kul raqba 3 lakh 56000 muraba meter hai aur hajj ke doran yahan 8 lakh 20000 afrad namaz parhte hain.

777 mein is masjid ki tarikh ki sub se zayada tausi aur tameer hoi thi phir is ke gird 1576 mien Usmani Turkon ne safaid gumbadon wale baramday banaye thay jo aaj bhi mojood hain. Masjid Haram ke kul 112 chote bare darwaze hain jin mein sub se bara aur markazi darwaza Shah Abdul Aziz ke naam se mosoom hai jo Saudi Arab ka sub se bara Farman Rawa hai.
 
 Baitullah Sharif Picture
Shah Saud ke door mein bhi is masjid ki tazeen-o-araish yani decoration sajawat kaam shuru hua qadeem Turkey baramdon ke peechay wasi-o-areez 2 manzila imarat banai gayi. Is masjid mein deeni asaar bhi mojood hain jin mein Muqam Ibrahim woh pathar hai jis par Ibrahim A.S khare ho kar Baitullah Sharif kideewarain tameer karte thay isi tarah masjid mein Zam Zam Ka Well ya kunwaan bhi mojood hai jo Allah Ta'ala ne Hazrat Ismail A.S aur un ki walida Hazrat Hajra A.S ke liye paida kiya tha. Masjid se mulhq Safa aur Marwa ki wasi pahariyan jo Allah ki nishaniyon mein se hain aur doran-e-hajj in ka tawaf bhi kiya jata hai. Khana Kaaba ki khasusiyat mein aik aham khoobi ye bhi hai ke Allah ne isay aman ka gehwara banaya hai aur is mein aik namaz ki adaigi lakh namazon ke ajar ke barabar hai.

Ye dunya ka wahid muqam hai jis ka hajj kiya jata hai ye zameen par tameer hone wali qadeem masjid ka darja rakhti hai. Ibtida mein ye azeem masjid aaj ki masjid al Haram se kayi guna choti thi ab Saudi door mein masjid ko jadeed mayar ke ain mutabiq banaya gaya hai jis mein air conditioner aur electric stairs nisb ki gayi hain is ke ilawa masjid ki teen manzilain hain jahan har saal dunya bhar se Musalman hajj karne ke liye bhi ikathay hotay hain hajj mein taqreeban 8 lakh se zayada afrad sama sakte hain.

Baitullah ke ird gird sawab ki niyat se 7 chakar lagane aur phir Muqam Ibrahim par 2 rakat namaz ada karne ko tawaf kehte hain. Tawaf apne ahkam ke aitbar se namaz ki qisam ki ibadat hai. Donon mein farq sirf Baitullah ke gird chakar lagana hota hai aur is ke doraan baatcheet ki ja sakti hai jab ke namaz tamam masajid balkeh zameen ke har paak hisay par parhi ja sakti hai aur is mein baat cheet nahin kar sakti. Taham ye koshish honi chahiye ke tawaf ke doran jo batain kahi jayain woh achi hon. Tawaf ki bohat sari types hain jin mein aik tawaf qadoom bhi hai. Ahram baandh kar sub se pehle jo tawaf kiya jata hai usay tawaf qadoom kehte hain.
Allah ne mecca city ko aik muqadus aur hurmat wala elaqa qarar diya hai is liye yahan se na kanton ko hataya ja sakta hai na darakhton ko katne ki ijazat hai yahan kisi janwar ya parinday ko bhi preshan nahin kiya ja sakta aur na usay shikar kiya ja sakta hai yahan par nghair muslimon ke liye is mein dakhle ki ijazat nahin hai.

Sunday, 13 January 2013

Pakistan Super League Live Streaming PSL Online Tv Cricket Match

PCB PSL ke mansubay ko hatmi shakal denay ke liye teezi se agey bharh raha hai. PCB ne tournament ke kamyab inaqaad ke liye apne mali mamlaat ko hatmi shakal de di hai. Board ko umeed hai ke tournament munafa ke baghair karanay ko tayar hai. 5 franchise farokht karnay ke liye 3 Pakistani business houses, 1 dubai ke tajar aur 1 America main muqeem Pakistani ne hami bhar li hai. PSB ko umeed hai ke is tournament se ghair mulki khalariyon ka Pak anay ke hawalay se dar kafi had tak khatam karnay main madad milay gi. Africa aur deegar mulkon ke khalariyon ne Pak anay ki hami bhar li hai. South Africa se bari tadad main khalari Pak anay ko tayar hai. PCB chahta hai ke teamon ke benches par pakistani players ke elawa bhi kisi dusre mulk se mashoor khalari nazar ayain.


Is series ko kamyabi se karwanay ke liye Salman Sarwar Butt ko MD banaya gaya. Super 8 T20 ke ruh-e-rawan ke toor par kamyab organizer sabit honay wale Salam ko premier league ke bhi inaqad ka task spurd kiya gaya tha. International stars 11 ko bhi Pak lanay main unhon ne apna kardar ada kiya tha. Aur isi wajah se Pak super league 2013 main inaqad ka khawab pura hota mushkil nazar nahin araha. Yehi wajah hai ke lahore ke ghair abad cricket stadiums ab aik baar phir purani yadain taza karnay ja rahain hain jub dunya bhar se teams yahan akar stadiums abaad kar deti thien. Isi liye aap March ki 24 tareekh se PSL ke yahan par live online matches dekh sakain gey. 

PTV Sports
 
 all pakistani super league matches will be broadcast live (HD) here on moonincloud from 23 march 

Thursday, 10 January 2013

Hajj Tawaf Khana Kaba Live Tv Streaming Live Kaaba Umrah Taraweeh Makkah

Hazrat Adam A.S behisht se zameen par tashreef laye tou Bargah-e-Elahi main arz kiya keh Khudaya main yahan na tou Malaika ki Tasbeeh aur takbeer sunn sakta hon aur na koi ibadat gah dekhta hon jesa keh asman main Bait al Ma'mur dekhta tha jis ke ird gird Malaika tawaaf kartay thay. Jawab Elahi aya keh jao jahan hum nishan batayain wahan Kaaba bana kar us ke ird gird tawaaf bhi kar lou aur us ki taraf namaz bhi ada karo. 

Complete History Of Khana Kaba:

Hazrat Jibraeel (A.S) un ki rehbari ke liye un ke sath chal paray aur unhain wahan laye jahan se zameen bani hoi thi jis jagah par jhaag paida howa tha aur phir wohi jhaag phail kar puri zameen bani. Hazrat Jibraeel (A.S) ne apna par maar kar saatwein zameen tak bunyad daal di jis ko Malaika ne paanch paharon ke pathron se bhara Koh-e-Lebnan, Koh-e-Toor, Koh-e-Joodi,  aur Hira aur Toor Zita. Bunyad bhar kar nishan ke liye charon taraf ki deewarain utha dien. Is taraf Hazrat Adam A.S namaz parhtay rahay aur is ka tawaaf bhi kartay rahay. Toofan-e-Nooh tak Kaba isi halat main raha. 

Hd Holy Khana Kaba Picture

Us waqt woh emarat tou asman par utha li gayi aur ye Khana Kaba ki jagah unchay teelay ki tarah reh gayi magar log phir bhi barkat ke liye yahan atay thay aur aa kar duain mangtay thay. Phir Hazrat Ibrahim A.S ke zamane tak Kaba isi halat main raha. Jub Hazrat Ismail A.S aur Hazrat Hajra R.A is maidaan main aa kar thehray aur un ki wajah se yahan khuch abadi ho gayi tab Hazrat Hajra R.A ke inteqal ke baad Hazrat Ibrahim A.S ko hukam howa keh Hazrat Ismail A.S ko sath lay kar yahan emarat Kaba banayain. Is ki nishani is tarah farmayi gayi keh aik badal ka tukra bheeja gaya takay us ke saye se Kaba ki had muqarar kar li jaye. 

Hazrat Jibraeel (A.S) ne us saya ki maqdar khat khaincha aur Ibrahim A.S ne us khat par zameen yahan tak khoodi keh bunyad Adam namudar ho gayi aur is bunyad par emarat banayi. Is ki bulandi 9 hath aur Rukn-e-Asood se Rukn-e-Shami tak deewar 33 hath aur Rukn-e-Shaami se Rukn-e-Gharbi tak ki deewar 22 hath aur Rukn-e-Gharbi se Rukn-e-Yamani  tak 31 hath Rukn-e-Yamani se phir Rukn-e-Asood tak 2o hath lihaza us waqt ye Kaba musteel ki shakal tha. Hazrat Ibrahim A.S ne Khana Kaba ke andar aik taghar sa banaya tha jo masal khazana ke tha keh Kaba ke liye jo khuch nazar tohfay main ayain is main rakhay jayain gey.

Is ke darwazay 2 thay 1 dakhil honay ka dusra nikalnay ka aur Kaba bananay wale khaleel thay aur un ko gaar aur pathar utha kar denay wale Ismail A.S aur is emarat main 3 paharon ke pathar lagaye gaye. Ibrahim A.S se pehle kisi ne yahan emarat na banayi thi magar Aap ke baad kayi dafa is ki tameer-o-muramat hoi aur is main halaat ki wajah se khuch tabdeeliyan bhi hoyein maslan is ki unchai dugni kar di gayi, darwaza 2 ki bajaye 1 aur is ka raqba bhi kam kar diya gaya lekin baad main phir usay puranay raqbay main hi tameer kiya gaya.

Live 24 hour broadcast of Masjid Al Haram Sharif
Agar Makkah city se ye live online stream ruk jaye tou is page ko dobara refresh karain (ctrl+f5)