Saturday, 7 September 2013

11 Top Chair Lifts In World's Longest Chairlift Cable Car In Venezuela

Best Chair Lifts In World: Chair lift mein baithna aik bohat hi pur lutf aur sansani kheez experience hota hai aur agar baat ki jaye in ki infradiyat ki tou dunya mein aisi bohat si munfarid aur khatarnak places par ye chair lifts nisb hain ke aik taraf tou un mein baith kar aap bohat hi khoobsurat nazaron se lutf andooz ho sakte hain aur sath hi us mein mojood khatre se aik sansani si aap ke jism mein dorti hoi mehsoos ho gi.
Chair Lifts
Chairlifts In The World - Ski Lifts
Mt. Hood SkiWay: (Oregon Us)
Ye munfarid chair lift American state Oregon mein waqaya pahari Mt. Hood par istimal ki gyi. Is anookhi chair lift ko Government Camp se Timberline Lodge ke darmiyan chalaya gya. 1956 mein chalne wali ye chair lift us waqt ki sub se lambi chair lift thi. Aur is ki takhleeq ke liye shehar ki qadeem buses ka istimal kiya gya.

Mount Hua's Cable Car: (China)

Khaufnak manazir mein ghiri ye chair lift China ke province Shaanxi ke Mount Hua pahar par waqaya hai. Ye pahar dunya ke sub se unchay 5 paharon mein se aik hai. 1997 meter unchay is pahar par se guzarte hue aisay khubsurat manazir dekhne ko miltay hain ke insan ki sansain tham si jati hain. Yahan anay wale tourists ka wasta aik munfarid tajarbay se parta hai.

Skyway (Disneyland, US)
Ye chair lift Disneyland mein waqaya hai aur yahan anay wale zayada tar tourists ke liye aik pur kashish sawari bhi hai. Is chair lift ki takhleeq 1956 mein ki gyi jabkeh us waqt pure mulk ke parks mein mutadad sawariyan mojood thien aur us chair lift ko America ki first chair lift hone ka azaaz bhi hasil hai, dar haqeeqat  ye chair lift Matterhorn pahar ke samne takhleeq ki gyi thi.

The Cabrio (Switzerland)
Ye cable car zameen se 1900 meter ki bulandi par waqaya hai jo ke Swiss peaks se guzarti hai. Is ko sirf dekh kar hi dil mein khauf ka ehsaas hota hai khaas tor par un logon ko jo unchai se ghabratay hain. Is chair lift ka aghaz Kalti se hota hai jo ke satah samandar se 711 meter unchai par hai. Is cable car mein aik waqt mein 60 people sawari kar sakte hain.

Kharkiv Lift (Ukraine)
Ukraine mein waqaya Kharkiv lift ka aghaz 1971 mein hua. Chand riwayat ke mutabiq is chair lift ka istimal students kiya karte thay kyoun ke ye aik ghair mamooli aur dilchasp tareeqa hi nahin tha balkeh safar karne ka aik sasta tareen zariya bhi tha. Is chair lift ki height 26 meter hai.

Emirates Air Line: (UK)
Ye yaqeeni toor par mausam garma mein hone wali sports ke doran London mein barhne wale public transport ke rush se bachne ka aik mosar zariya hai. London mein waqaya is cable car ka aghaz bazabta tor par june 2012 mein kiya gya. Ye cable car River Thames ke uper se guzarti hai. Is cable car ke sub se pehle musafir London ke Mayor thay.

Merida, World's Highest Cable Car (Venezuela)
Venezuela mein banai gyi ye dunya ki unchi tareen aur taweel tareen chair lift hai. Ye chair lift apna safar aik ghantay mein mukamal karti hai jabkeh is ki unchai 10250 feet yani 3125 meter hai. Ye apne safar ke doran 4 mukhtalif stations par stop bhi karti hai. Ye chair lift Andes mein waqaya Pico Espejo mountain par banai gyi hai.

Bondinho (Rio De Janeiro, Brazil)
Ye chair lift Brazil ke alaqay Rio De Janeiro mein mojood Sugarloaf montain par banai gyi hai. Ye pahar Guanabara beach ke ain samne waqaya hai. Ye chair lift bandargah se 396 meter 1299 foot unchai par banai gyi hai. Is cable ke ird gird ki deewarain sheeshay ki hain jabkeh is mein aik waqt mein 65 passengers travel kar sakte hain.

Patriata Chair Lifts (Pakistan)

Patriata Chair Lift
Patriata jisay New Murree bhi kaha jata hai shumali punjab, Pakistan mein waqaya hai. Ye Murree ke 15 km janoob mashriq mein waqaya hai. Is alaqay ka sub se uncha tareen nuqta satah samandar se 6790 feet aur 2070 meter hai. Ye alaqa apni qudarti khubsurati, cable car service aur chair lift ki wajah se Tourists mein bohat famous hai. Patriata mein nisb chair lift ke zariye se safar ke doran latadad beautiful aur attractive places dekhne ko milti hain.

No comments:

Post a Comment