Showing posts with label Learn. Show all posts
Showing posts with label Learn. Show all posts

Sunday, 13 January 2013

How To Drive a Car in Urdu Learn Online Driving Training Manual Automatic

  
Learn Driving Step by Step
1: Sub se pehle darj zail tasweeron ka mutaliya karain aur in sub ko apne zehan main mehfooz kar lain kyoun keh ye sari cheezain aap ko aik car main nazar ayain gi jub aap ye kar chukay tou ab dusre step ki taraf ajayain.
2: Is baat ka itminaan karain keh car hand brake jo keh gear ke paas hi mojod hota hai nichli position main na ho matlab agar woh neechay hai tou uska matlab hai jesay hi hum car ko start karain gey tou car automatically agey peechay ho sakti hai. Jesa keh tasweer main ye nichli position main hai. Aur aik khaas baat ye keh jub bhi aap car start kiya karain matlab rook dain aur phir car chalani na ho tou usi waqt hand brake ko uper ki taraf khainch lain. Is se ye fayeda ho ga keh agar kisi na'hamwaar jagah par na ho tou car agey peechay nahin ho gi lekin agar hum hand brake ko neechay hi rakhain gey tou yaqeenan car agey peechay automatically ho sakti hai lihaza aap is baat ka itminaan karain.
3: Car start karnay ke liye is main mojod chabi (key) ghumayain aur 1 se 2 second aik hi position main rakhain his se car start ho jaye gi. Tasweer se madad li ja sakti hai.

4: Aur jub car start karain tou gear ko neutral main rakhain neutral main lay janay ke liye gear ko agey peechay karain aur phir center main la kar choor dain ye yaqeen karnay ke liye keh aya neutral bhi howa hai ke nahin agar gear lose nahin hai matlab aik jagah atka howa hai tou iska matlab hai woh neutral main nahin hai aur agar woh lose hai aur bohat easily se agey peechay ho sakta hai tou ye neutral ki elamat hai.

5: Cluch ko full dabayain matlab itna daba hona chahiye keh agar hum dabayain tou dabay nahin aur ab gari ko 1st gear main dalain iske liye tasweer ki madad li ja sakti hai.

 5: Ab cluch ko slowly chorain aur race ahishta ahishta dabayain is se car ahishta chalnay lagey gi jub car puri tarah chalne lagey tou cluch ko choor dain lekin yaad rahay race par se bhi pain hata dain/ Ab agar hum car ki speed ko barhana chahtay hain tou dobara cluch full dabayain aur 2nd gear main lay jayain jesa keh tasweer main namayan kiya gaya hai.
6: Isi tarah 3rd gear main lay janay ke liye gear ko thora sa uper karain aur phir thoora sa hi seedhay hath ki taraf karain aur ab seedha auper lay jayain. Lekin yaad rahay jub bhi gear badalna maqsood ho cluch ko full dabayain aur phir gear badlain agar cluch ko na dabaya gaya tou nuqsan ka andesha hai yani car ki cluch plates jal sakti hain.

Monday, 7 January 2013

How To Perform Umrah Method in Urdu Tareeqa Umrah Qaza Guide Book

Umrah hajj ki aik qisam hai jisay Hajj-e-Asghar kaha jata hai. Hajj aur umrah main ye farq hai keh jajj 8 se 13 zulhijjah ke damiyan hai. Lekin umrah hajj ke ayaam ke ilawa saal bhar main ksis din bhi kiya ja sakta hai. Yani umrah saal ke doraan kisi din bhi kiya ja sakta hai. Umrah karnay ke liye hajj ki tarah ihram bandha jata hai. Aur saee aur tawaf ke manasik bhi ada kiye jatay hain. Aur is main qurbani ki shart lazmi nahin hai is ka matlab hai yani umrah main qurbani ada nahin ki jati.

 Khana Kaba Picture
Umray ka bohat sawab hai khaas toor par Ramadan ke month main umrah ka sawab zayada hai. Balkeh Ramzan ul Mubarak main har naik amal ka sawab bohat zayada hai. 
Hajaaj Ikram aam toor par hajj ke moqa par umrah ki niyat bhi kar laitay hain aur umrah ke ihram bandh kar tamam arkaan puray kar laitay hain aur 8 zulhijjah se pehle ihram khool kar dobarah hajj-e-akbar ka ihram bandh laitay hain.

Umrah aik infaradi ibadat hai jabkeh hajj hai ijtimai ibadat hai. Umrah ada karnay ke shariat main darj zail tariqa bataya gaya hai jin ki madad se hum hajj aur umrah ada kar saktay hain.

Umray Ka Tareeq:

  1. Sub se pehle Allah Ta'ala ki khushnudi hasil karnay ke liye umrah ki niyat karni chahiye. Aur aap ke tamaam amaal ka daru madar niyat par hona chahiye.
  2. Miqat ki had main dakhil honay se pehle baqaeda toor par ihram bandha jata hai. Ehtiyatan airport oar hi ihram bandha jata hai.
  3. Ihram bandhnay ke baad 2 rakat namaz-e-nafila ada ki jati hai. Phir mukamal tawajjah ke sath umrah ada kiya jata hai.
  4. Jis main jitna ho sakay talbiyah ki tilawat ki jati hai. Phir Makkah (Mecca) pohanchnay par mukamal wazu / ghusal kiya jata hai.
  5. Mukamal wadu karne ke baad Haram Sharif (Khana Kaba) main dakhil hona hota hai. Jahan pehle dayan qadam rakha jata hai.
  6. Wahan apne aap ko tawaf ke liye tayar kiya jata hai. Yani ihram ko is tarah bandha jata hai ke dayan bazu nanga rakha jata hai.
  7. Tawaf main kul 7 chakar lagaye jatay hain. Jin main pehle 3 chakar taqreeban door kar (bhaag kar) lagaye jatay hain. Jabkeh baqi 4 chakar aam chahal qadmi main lagaye jatay hain.
  8. Phir is ke baad Hajr-e-Aswad aur Khana Kaaba ke darmiyan Kaba ko bosay diye jatay hain.
  9. Tawaf ke baad 2 rakat namaz tawaf Maqam Ibrahim par ada ki jati hai.
  10. Zam Zam ke chashmay se pani piya jata hai.
  11. Phir Khana Kaba ke sehan se bahir nikal jatay hain. Aur Safa Marwa ke darmiyan saee kartay hain.
  12. Is ke baad Zakir Marwa se chalay jatay hain aur umrah ke ikhtitaam par har umrah ada karnay wale ko saray sar ke baal katwanay hotay hain.
  13. Phir makhsoos duaon ke baad ihram utaar diya jata hai.
Qaza-e-Umrah:
Huzoor e Akram (S.A.W) ne 6 hijri ko sulah hudaibiya ke moqa par umray ka ihram banda tha magar chunkeh is saal muahdah ki shart ke teht Aap (S.A.W) umrah na ada farma sakay. Is ke baad 7 hijri main umrah ada kiya, chunkeh Aap (S.A.W) pehle niyat farma chukay thay. Lekin majburi ke baes aap usay ada na kar sakay. Is liye is ko umrah e qaza kehtay hain.

Hijrat karnay ke baad Aap (S.A.W) pehli baar Makkah tashreef laye thay. Is liye ye bhi khaas ahmiyat ka hamil hai. Muslims ko kufaar quraish khana kaba ka tawaf  kartay howe na dekh saktay thay is liye woh shehar se bahir chale jatay thay. Aap (S.A.W) ne tawaf ke silsilay main hukam diya ke pehle 3 tawaf jald jald kiye jayain aur baqi 4 tawaf ahishtagi se kiye jayain. Chunachay us waqt se ye sunnat chali arahi hai. Is tareeqa kar ko (Imal) kehtay hain.