Showing posts with label Taweez. Show all posts
Showing posts with label Taweez. Show all posts

Tuesday, 22 January 2013

Fazilat Ya Baseeru Benefits Wazifa Ya Basiru Meaning Ya Baseer Taweez

Allah Ta'ala Baseer hai aur woh apne is sifat ki bina par har shay ko hat waqt dekh raha hai khawa woh door hai ya nazdeek, chooti hai ya bari yani is kainaat ki koi cheez aisi nahin jo us ki quwat-e-baseer ke daire se bahir hi. Insanon ki quwat e basarat Allah ki ata karda hai aur aankhaon ki mohtaj hai aur jub ankhain fana hoti hain tou ye quwat bhi khatam ho jati hai. Allah ki basarat kisi zariye ki mohtaj nahin balkeh us ki zaat ke sath hamesha se hai aur hamesha rahe gi aur us ki basarat ki had la mehdood hai is bina par agar koi seenkron char deewariyon ke andar bhi chup kar amal karne ki koshish karta hai tou woh phir bhi Allah Ta'ala ki sifat basarat ke daire se bahir nahin. Allah usay wahan bhi dekh raha hai kyoun keh woh aisa Baseer hai keh kon-o-makan ki koi cheez us se posheedah nahin. Ya Baseeru jamali hai aur is ke adad 302 hain. Is ke faide hasb-e-zail hain.


Sahib-e-Basirat Banne Ka Amal:

Ya Baseeru ka wird sahib-e-baseerat banne ke liye bohat mujarab hai jo shaks is Ism ko rozana 302 martaba parhne ka mamol bana le tou Allah usay zahiri aur batini baseerat ata farmaye ga. Jis ki bina par us main amar bil maroof ki salahiyat paida ho gi. Khilaf-e-shara kamon ko nafrat se dekhe ga. Naik amaal ko khud kar ke aur dusron ko karte howe dekh kar khush ho ga.

wazifa Nagahani Afat Se Mehfoz Rehna:


Jo shakhs Ya Baseeru ko rozana asar ki namaz ke baad 33 martaba hamesha parhta rahe. Allah us par apni rehmat ki nazar rakhe ga. Aur woh har tarah ki afaton se mehfooz rahe ga.
Aik amil ka qol hai ke jo insan 7 baar hamesha asar ke baad is naam ko parhta rahe ga Insha'Allah sari umar afat se naghani afat se bach jaye ga.

Mukashafat Se Musharaf Hona:


Is name ko kasrat se parhna qarb-e-Elahi ka baes banta hai. Lihaza jo shakhs Ya Baseeru ko fajar ki sunnaton ke baad magar farzon se pehle 100 martaba daily parhe tou us par Allah ki anayaat aur mukashafaat zahir hon gey aur Allah ke poshesda raaz us ki ruh ki nazar ke samne khul jayain gey is ke elawa deen aur dunya ki muradain puri hon gi.

Safed Motia Se Bachna:


Jo shakhs ankhon main safaid motiya utarne se bachna chahe tou usay chahiye keh is Ism ko rozana 1100 baar sotay waqt parhne ka mamol bana lay. Insha'Allah motiye ki bimari se hifazat main rahe ga. Agar sufaid motia ankhon mein mojod ho tou operation karwane se pehle is Ism ko kasrat se parhta rahe Insha'Allah operation kamyab ho ga aur us ki eyes ka noor zaya nahin ho ga.

Aankhon Ki Binai Qaim Rehna:


Is Ism ki sub se bari khasusiat ye hai ke isay parhne wala ankhon ki binai se mehroom nahin hota. Balkeh us ki benai marte dam tak qaim rahe gi. Beenayi Allah Ta'ala ki bohat bari naimaton main se hai is liye isay qaim rakhne ke liye is Ism ko rozana aik sau baar parhte rahain.

Amal Ya Baseeru Taweez:

Ya Baseeru ko 40 din tak daily 3125 bar parh ke 7 baar shuru aur khatam karnay par Durood parh lain. Ye amal complete karne ke baad aap Ya Baseeru ke amil ban jayain gey. Phir aap Ya Baseeru ka naqsh jisay chahain de sakte hain in maqasid ke liye.

Wednesday, 12 December 2012

Benefits Ya Hafizu Fazilat Wazifa Ya Hafizu Meaning

Allah Ta'ala har cheez ki hifazat karta hai yani har cheez ko barbad aur tabah hone se bachanay ki taqat rakhta hai. Chunkeh Allah Ta'ala ne har cheez ko banaya hai aur usay qaim aur daim karkhnay ka zumma bhi khud hi liya hai, is liye woh apni banayi hoi har cheez ka muhafiz hai. Is lihaz se woh makhloq ka Hafeez hai. Insan ki hifazat do tarah ki hai aik zahir jism ki hifazat aur dusre imaan ki hifazat, in dono tarah ki hifazat kar Allah Ta'ala ko pura pura ikhtiyar hai. Chunkeh jo banda apne aap ko us ke spurd kar deta hai Allah us ke jism aur iman ki hifazat karta hai aur ye cheez usay Ya Hafiz ka wird karnay se hasil hoti hai. Ya Hafizu jamali hai is ke adaad 998 hain aur fawaid Ya Hafizu ki fazilat mandraja zail hai.

 Ya Hafizu - Aay Hifazat Karne Wale

pictures Ya Hafizu Wallpapers
wazifa Allah Ki Hifazat Main Rehnay Ka Amal: Is ism ko rozana subah aur shaam main bohat zayada parhay wala kasrat se parhnay wala Allah ki panah main hota hai, shitaan aur dushman ke hamlon se mehfoz aur mamnoon rehta hai. Agar kisi makan ya dukan main is ism ko 1100 martaba parh kar pani dam kar ke konon main chirak dain tou Insha'Allah house aur shop hamesha mehfoz rahe gi aur kisi qisam ka dar aur khoof nahin rahe ga. Agar kisi jungle main ja rahe hon tou ye ism parhtay jayain moozi janwar kabhi kareeb na aye ga aur na kisi kisam ka nuqsan pohanchay ga.

wazifa Hadsat Se Mehfooz Rehnay Ka Amal: Ye ism hadsaat se mehfooz rehnay ke liye intihai mosar hai is liye jub bhi bus, rail gari, car, jahaz ya behri jahaz main jayain tou is ism ko parhte jayainInsha'Allah bahifazat manzil maqsood ko pohanchain gey. Khaas kar driver hazraat ko chahiye ke driving kartay waqt Ya Hafizu ka wazifa kartay rahain Allah ki khaas panah main rahain gey.

wazifa Maal aur Asbab ko Gum hone se Bachana: Agar kisi ko maal gum honay ka dar ho tou  usay chahiye ke is ims ko 998 baar pani par parh kar dum karay aur usay asbab par chirak de, Insha'Allah agar woh maal aik jagah se dusri jagah bhi ja raha hon tou woh mehfoz rahe ga aur gum bhi nahin ho ga.

wazifa Bachay Ko Nazar Lagne Ka ilaj: Agar kisi bachay ya bachi ko kisi ki nazar lag gayi ho jis se waldain ko preshani lahaq ho tou is ism ko maa ya baap 111 baar parh kar pani dum kar ke bacha ko pilayain aur 3 roz tak isi tarah kare Insha'Allah nazar-e-bad ka asar khatam ho jaye ga aur sath hi Ya Hafizu ka taweez bhi us ke galay main daal dain.

Wazifa Wabai Amraz Se Bachne Ka Amal: Agar koi shukhs waba phutnay ke door main is ism ko 3992 martaba rozana parhna shuru kar de tou woh Allah ki rehmat se wabai amraaz se mehfooz rahay ga aur agar apne bachon aur ghar walon ko Ya Hafizu ka naqsh water main daal kar pilaye ga aur us ki family yani ahl khana bhi wabayi amraz se mehfoz rahain gey.
Ya Hafizu Taweez

Naqsh Ya Hafizu Ka Amal:  Ya Hafizu ka taweez denay ke liye is ka amal kar ke zakat ko ada kar dein. Ya Hafizu ki zakat ye hai ke 5250 baar 40 roz parhain. Doran-e-parhai tamaam sharait ko mad-e-nazar rakhain. Parhai mukamal hone ke baad is ke taveez ko hifazat ke kamon main istimal karwayain Insha'Allah jaez maqsad hasil ho ga.