Showing posts with label Wazaif. Show all posts
Showing posts with label Wazaif. Show all posts

Sunday, 27 January 2013

Fazilat Ya Barru Benefits Ya Barro Wazifa Al-Barr Allah Name Meaning Taweez

Ya Barru meaning : Aay Naiki Wale

Allah Ta'ala bazat-e-khud sarasar naiki wala hai us ki zaat, sifat, afaal aur ikhtiyaraat se hikmat aur naiki ayan hoti hai. Is liye usay Barr kaha jata hai is ke elawa Allah Ta'la apni makhlooq par har qisam ki naiki karta hai aur apne bandon ko naikiyan karne ki taufeeq ata farmata hai kyoun keh koi naik amal is ki ata karda taufeeq ke baghair sar anjam nahin paa sakta. Is lihaz se bhi woh Barr hai jin bandon ko Allah apni is sifat ki bina par naiki ka mazhar banata hai.  Al-Barr jalali hai aur is ke adaad 202 hain, is Ism ki sub se bari khasiat ye hai keh jo shakhs usay is Ism se pukarta hai Allah usay zindagi ke har shobay main naik amaal karne ki taufeeq ata farma deta hai.

 Ya Barru Wallpaper Ya Barro Picture

Ya Barru ke benefits hasb-e-zail hain.

Naimaton Ki Barish:

Jo insan "Ya Barru ka kasrat se zikar karta hai. Allah us par apni naimaton ki barish kar deta hai. Us ki zindagi main farhat paida kar deta hai. Us ki tabiyat main naiki kot kot kar bhar deta hai. Woh har aik se acha salook karta hai. Aik Allah ke bande ka qol hai ke jo Ya Barro ka wird kasrat se karne ke baad jo dua mange woh qabool ho gi.

Safar Se Ba Hifazat Aana:


Jo shakhs kisi safar par jaye aur safar ke aghaz main is Ism ko 100 baar parhe agar ho sakay tou safar ke doran bhi usay kasrat se parhe. Insha'Allah woh safar ki har qisam ki musibaton se bilkul mehfooz rahe gi. Aur apni manzil par bahifazat pohanchay ga aur aman se wapas aye ga aur safar main asani bhi paida ho jati hai. Jahaz ya kashti kisi taufan main phans jaye tou sawariyon ko chahiye keh Ya Barru ka wird karain, Insha'Allah kashti ya jahaz gharq hone se bach jaye ga.

Buri Aadaton Ka ilaj:


Jo insan buri adaton main phans gaya ho, sharab, juwa aur badkari jesi buri adaton main mulawas ho gaya ho, aisay shakhs ke liye 1100 martaba Ya Barro ko parh kar pani dam karain khuch pani usay pilayain aur khuch us ke kapron par chirakain. Chalis din ye amal karain us ki har buri adat khatam ho jaye gi.

Afaton Se Bachne Ka Amal:


Jo aafaton se darta ho, Agarwoh is Ism ko parhta rahe tou aman main rahe ga. Jo shakhs 7 martaba parh ke bachay par dam kar ke Allah ke spurd kar de tou woh bacha baloghat tak aman main rahe ga aur jo shakhs sharab aur zana main mubtala ho woh har rooz 7 martaba parh kar apne aupar dam kare tou shitani kamon se aman main rahe ga.

Nazar Bad Se Hifazat Ka Wazifa:


Agar kisi bande ya bachay ko nazar lag jati ho tou 111 baar Ya Barru parh kar pani dam kar ke pilayain aur Ya Barru Ka Taweez us ke galay main daal dain. Insha'Allah bachay ko kabhi nazar nahin lage gi aur woh hamesha Allah ki panah main rahe ga. Is ke elawa agar kisi cheez par bhi dam kar ke dain tou usay nazar nahin lagay gi.

Ya Barru Ka Amal Aur Naqsh:

Jo shakhs Ya Barro ka amil banna chahay tou usay chahiye keh is Ism ko chalis din tak tanhai main baith kar rozana 3125 martaba parhe. Wird mukamal hone par woh Ya Barru ka amil ban jaye ga.

Tuesday, 22 January 2013

Fazilat Ya Baseeru Benefits Wazifa Ya Basiru Meaning Ya Baseer Taweez

Allah Ta'ala Baseer hai aur woh apne is sifat ki bina par har shay ko hat waqt dekh raha hai khawa woh door hai ya nazdeek, chooti hai ya bari yani is kainaat ki koi cheez aisi nahin jo us ki quwat-e-baseer ke daire se bahir hi. Insanon ki quwat e basarat Allah ki ata karda hai aur aankhaon ki mohtaj hai aur jub ankhain fana hoti hain tou ye quwat bhi khatam ho jati hai. Allah ki basarat kisi zariye ki mohtaj nahin balkeh us ki zaat ke sath hamesha se hai aur hamesha rahe gi aur us ki basarat ki had la mehdood hai is bina par agar koi seenkron char deewariyon ke andar bhi chup kar amal karne ki koshish karta hai tou woh phir bhi Allah Ta'ala ki sifat basarat ke daire se bahir nahin. Allah usay wahan bhi dekh raha hai kyoun keh woh aisa Baseer hai keh kon-o-makan ki koi cheez us se posheedah nahin. Ya Baseeru jamali hai aur is ke adad 302 hain. Is ke faide hasb-e-zail hain.


Sahib-e-Basirat Banne Ka Amal:

Ya Baseeru ka wird sahib-e-baseerat banne ke liye bohat mujarab hai jo shaks is Ism ko rozana 302 martaba parhne ka mamol bana le tou Allah usay zahiri aur batini baseerat ata farmaye ga. Jis ki bina par us main amar bil maroof ki salahiyat paida ho gi. Khilaf-e-shara kamon ko nafrat se dekhe ga. Naik amaal ko khud kar ke aur dusron ko karte howe dekh kar khush ho ga.

wazifa Nagahani Afat Se Mehfoz Rehna:


Jo shakhs Ya Baseeru ko rozana asar ki namaz ke baad 33 martaba hamesha parhta rahe. Allah us par apni rehmat ki nazar rakhe ga. Aur woh har tarah ki afaton se mehfooz rahe ga.
Aik amil ka qol hai ke jo insan 7 baar hamesha asar ke baad is naam ko parhta rahe ga Insha'Allah sari umar afat se naghani afat se bach jaye ga.

Mukashafat Se Musharaf Hona:


Is name ko kasrat se parhna qarb-e-Elahi ka baes banta hai. Lihaza jo shakhs Ya Baseeru ko fajar ki sunnaton ke baad magar farzon se pehle 100 martaba daily parhe tou us par Allah ki anayaat aur mukashafaat zahir hon gey aur Allah ke poshesda raaz us ki ruh ki nazar ke samne khul jayain gey is ke elawa deen aur dunya ki muradain puri hon gi.

Safed Motia Se Bachna:


Jo shakhs ankhon main safaid motiya utarne se bachna chahe tou usay chahiye keh is Ism ko rozana 1100 baar sotay waqt parhne ka mamol bana lay. Insha'Allah motiye ki bimari se hifazat main rahe ga. Agar sufaid motia ankhon mein mojod ho tou operation karwane se pehle is Ism ko kasrat se parhta rahe Insha'Allah operation kamyab ho ga aur us ki eyes ka noor zaya nahin ho ga.

Aankhon Ki Binai Qaim Rehna:


Is Ism ki sub se bari khasusiat ye hai ke isay parhne wala ankhon ki binai se mehroom nahin hota. Balkeh us ki benai marte dam tak qaim rahe gi. Beenayi Allah Ta'ala ki bohat bari naimaton main se hai is liye isay qaim rakhne ke liye is Ism ko rozana aik sau baar parhte rahain.

Amal Ya Baseeru Taweez:

Ya Baseeru ko 40 din tak daily 3125 bar parh ke 7 baar shuru aur khatam karnay par Durood parh lain. Ye amal complete karne ke baad aap Ya Baseeru ke amil ban jayain gey. Phir aap Ya Baseeru ka naqsh jisay chahain de sakte hain in maqasid ke liye.

Sunday, 20 January 2013

100 SHADI Wazaif, Pasand Ki Shadi Wazifa For Love Marraige Dua

Shadi Wazifa In Urdu Love Marriage Wazifa In Urdu Aaj ke is pur ashoob door main jis taraf nigah uthayain har shukhs musibat aur azmayesh main mubtala nazar ata hai musibat aur azmaesh kabhi tou batoor imtihan hoti hai aur kabhi batoor-e-sazaye amaal.

Insaan ki had se barhti khawahishat keh jin ki takmeel ke liye halaal aur haraam ki tameez ko balay-e-taaq rakh dena is musibat ki bunyadi wajah hai. Is ke ilawa Allah ki janib se ata shuda naimaton ko apna zati kamal aur zati khoobi janna aur phir us ke natijay main shukar guzari se ghaflat aur ghaflat ke baes faraiz aur wajbat ko tark kar dena musibat ki dusri wajah hai. Jub insan Allah ki na farmani main had se barhnay lagta hai tou woh tarah tarah ki problems ka shikar hona shuru ho jata hai. Kabhi usay business main bay barkati ki shikayat hoti hai aur kabhi ghar main bay sakooni ka samna karna parta hai, kabhi aulad ki na farmani preshan karti hai aur kabhi jawan betiyon ki ghar main mojodgi aur naik rishte ka door door tak nazar na ana aur maa baap ke liye ghar main sub se bari preshani aur fikar mandi bachyon ke liye munasib rishta milna hai.

Marriage wazifa in english



Shadi Ka Wazifa Ki Ijazat aur Hidayaat:

Is post main darj shuda tamam marriage wazaif ki ijazat ke liye mandraja zail hidayaat par amal karna lazim hai.

  • 5 waqt ki namaz ki pabandi
  • Zahir aur batni tamaam gunahon se parhez
  • Kasrat-e-Durood Salam
  • Sadqa aur khairat ki pabandi
  • Jo wazifa parha jaye sahi talafuz aur makharij se parhain
  • Jo tadad bayan ki jaye us ki pabandi aur muddat-e-amal ke liye ayaam ki pabandi
  • Dunyawi mamlaat ke muqablay main akharwi mamlaat ko tarjeh de.

1: Pasand Ki Shadi Ke Wazaif:

Jo larka ya larki pasand ki shadi karna chahain keh jis main us ke waldain razi hon magar samne wale razi na hotay hon tou is amal ko shuru karain. Insha'Allah 41 dinon main rishta ho jaye ga.

Parents Parhain:

Baad namaz-e-isha gayarah sau gayarah (1111) baar parhain:Ya Wadudu Ya Lateefu

Larka / Larki Khud Parhay:

Isha ki jub namaz parh lain tab parhain 1111 baarYa Jamiu
pehle aur baad main Darood Sharif parhain (parhtay waqt un ka tasawar rakhain)

Shadi ke liye Surah Taha ka wazifa:

Surah Taha ki ayat number 31 aur 32 ko likh kar bazu main bandh lain aur is ke sath sath namaz-e-isha ke baad ba'wazu kahin paak jagah baith kar sub se pehle aur akhir main Darood pak 11 times aur darmiyan main 1100 baar "Ya Lateefu" Allah se khoob tawaja aur dhihan ke sath apni shadi ki dua karain tou to Insha'Allah behtar aur pasandeeda rishta muyasir ho ga.

Wazifa Baraye Rishta:

Beti ka rishta na milnay ki sirat main ism mubarak "Ya Adlu" ka wird karain Insha'Allah Rub acha aur behtareen rishta anayat farmaye ga aur agar jahaiz ke mamlaat main preshani ho tou Allah Ta'ala asbab paida farmaye ga. Is ism mubarak ka wazifa karnay wale ki Allah Ta'ala betiyon ke naseeb samait dusre amoor main kafalat apne zumay lay lay ga.

Baad namaz-e-maghrib 2 rakat namaz nafal ada karain aur is wazifay ko waqt ki munasbat se 100, 300, ya phir 1000 baar parh kar dua kare aur Al-Mujeeb se apni hajat puri honay ka sawal kare tou jald hi Allah ki madad se jahaiz ke mamlaat main asani paida ho jaye gi. 11 - 11 baar awal akhir darood parhna na bhulain. (Muddat-e-amal ta husool-e-murad)

Naik Rishta Milne Ka Amal:

Agar koi larki shadi ke qabil ho aur koi munasib rishta na ata ho ya shadi main rukawat ho tou 21 baar rozana Surah Taha parhay. Behtar yehi hai ke fajar ki salat ke baad parhay aur 11 baar hi shuru main aur ikhtitam par Durood Ibrahimi parhay.


Larki Ki Shadi Main Rukawat:

Agar kisi larki ki shadi main rukawat ho ya kisi maloom ya na maloom wajah se kahin shadi na hoti ho tou woh Surah Al-Mumtahinah (Surat no 60) rozana 5 baar wazu kar ke parhay.

Jald Rishte Ke Liye:


Agar fori toor par naik rishte ki khawahish ho tou larki khud baad namaz-e-isha
11 hazar baar 11 din tak is tarah parhain ke jumairat se start kar ke itwar ko khatam kara.

Behtareen Amal Rishte Ka:

Naik munasib rishta ke liye ye amal intihai mosar hai. Chahiye ke safaid reshmi kapray par Surah Taha ba'wadu parh kar moom jamah kar ke larki ke galay main daal de tou Allah ne chaha tou bohat jald achay rishte ka paigham aye aur shadi ho jaye aur aulad bhi naik paida ho.

Shadi Ka Mujarab Amal:


Jis mard ya aurat ki shadi na hoti ho tou tamam kamon se farigh ho kar raat ko baad namaz-e-isha awwal 2 rakat nafal namaz shadi hone ki niyat se parhe aur baad Salam ke awwal aur akhir 11 times Darood Ibrahimi ke 41 baar Surah Al-Ikhlas parhay aur sirf shadi ki dua kare. Insha'Allah maqsad pura ho ga, amal ki muddat 90 din hai. Is arsay main agar mangni ya shadi ho jaye tab bhi 90 din pure karay, aurat nagha ke din shumar kar ke baad main pura kare.

Agar Mangni Ke Baad Shadi Main Rukawat Ho:


Agar kisi ki mangni ho chuki ho aur ab shadi main rukawatain paish arahi hon ya phir larke ya larki wale mangni tornay par amadah hon tou isha ki namaz ke baad 500 baar
"Ya Lateefu Ya Haleemu" parhay aur is se pehle aur phir baad main bhi 41 martaba Darood Shareef parhey. Insha'Allah 1 month ke andar andar jumla rukawatain door hon gi aur jald az jald shadi ho jaye gi.

note: parhte waqt larki ya larkay ke wirsa ka tasawar karain.

Betay / Beti Ki Achi Jagah Shadi Ke Liye:


Agar kisi shaks ke beta ya beti ki shadi na hoti aur woh chahe ke achi jagah aur jaldi shadi ho jaye tou teen sau terah (313) martaba isha namaz parh ke 21 days tak is Quranic verse (ayat) ko parhe aur jo bhi Darood yaad ho  11 - 11 baar parh lay aur bheech main Surah Yaseen ki 36 no ayat parhay jo keh ye hai.

Naik Biwi / Shohar Ke Husool Ke Liye:
Jis larkay ya larki ki khawahish ho keh us ka shareek-e-hayat naik aur parhezgar ho tou usay chahiye keh Surah Al Muzammil 11 jumairaat baad isha namaz 11 baar parh lay aur 11- 11 baar hi Darood parhay. Insha'Allah is amal ki barkat se naik shareek-e-hayat ki arzu puri ho gi.

Rishta Milne Ka Wird:


Hasool-e-rishta ke silsile main agar har taraf na umeedi ho chuki ho aur betiyon ke liye koi maqool rishta na mil raha ho tou waldah ya phir kisi hamdard aurat ko chahiye keh baad namaz-e-isha 2 rakat namaz-e-nafal ada karain aur har rakat main 11 baar Surah Ikhlas parhay salam phairnay ke baad Surah Yaseen sharif ko 7 mubeenon ke sath aik martaba parhay. Phir aik tasbeh "Ya Wadudu Ya Lateefu" ki parhay, 7 baar shuru kartay waqt aur khatam kartay waqt ye Durood Shareef parhay.
 Durood Khizri
Bachiyon Ka Naseeb Kholne Ke Liye:

Jo waldain apni bachiyon ki wajah se preshan hon aur bachiyon ke liye koi munasib rishta na mil raha ho tou unhain chahiye ke baad namaz-e-isha Surah Al-Sajda 21 baar dua karain (before and after 41 times Durood Ibrahimi, time duration 21 days)

Very Powerful, Tried & Tested Wazifa For Marriage: (Surah Ikhlas)

Paigham Nikah Qabool Ho:

Agar koi apni larki ya larke ke liye koi munasib jagah rishte ki baat karne jaye aur tamanna ho ke woh inkar na karain tou is Ayat-e-mubarakah ko zafran se likh kar right bazu par bandhay. Insha'Allah us ka paigham qabool ho aur bohat jald asani se rishta tay ho.

Nikah Ka Mujarab Amal:
2 rakat namaz parh kar 7 - 7 baar Darood aur in ke darmiyan main Surah Al-Furqan ki Ayat 54 ko 313 baar parhain.
Phir naik, sharif, aur ba'izzat rishta ke liye Allah se dua karain Allah ne chaha tou 11 dinon main hi paigham ana shuru hon. (21 yoom tak parhain).

Agar Koi Munasib Rishta Na Milay:
Agar Larka / Larki Razi Hon Magar...

Agar koi pasand ki shadi karna chahta ho aur is silsile main waldain bay nayazi ka muzahira karain tou jaez aur halaal niyat se larka aur larki ye amal karain:

Asar ki namaz ke baad Darood Pak 11 baar pehle aur baad phir Surah Al-Asr 101 martaba aur end par apne jaez maqsad ke husool ke liye Allah ki bargah main dua karain. Insa'Allah is amal ki badolat waldain razi ho jayain gey aur un ki shadi kar dain gey (Amal mudat: 21 din).

Tanbiyah: Agar is muddat main koi waziha rah na milay tou sangeen qadam uthanay se guraiz karain aur Allah ki Rehmat par pura bharosa rakhain kyoun keh sara ilm sirf Khuda ki ke paas hai aur wohi behtar janta hai ke insan ke liye kya acha hai aur kya bura hai.

Shadi Ka Taweez:

Agar koshish ke bawajod rishta na ata ho aur agar ata ho aur pasand kar ke chala jata ho tou Surah Al-Nahl ki shuru ki 16 Ayaat ba wazu paak aur saaf kaghaz par mashk aur zafran ba amr-e-majburi paak roshnai se likh kar larki ke galay main daal dain.

Jaldi Shadi Hone Ka Wazifa:


Agar kisi larkay ya larki ki shadi main bohat mushkilain hon aur kisi tarah se rishta tay na hota ho tou aisay main Asar ki namaz ke baad 21 - 21 times Darood (pehle aur baad) phir 1 baar buland awaz se Surah Al-Ahzab ki tilawat kare aur musalsal 11 din amal kare. Insha'Allah in 11 dinon main rishta ho jaye ga.

note: namaz ki pabandi shart hai....... ye amal khilwat (tanhai) main kare.

Pasand Ki Shadi Ho Kar Rahe:

Agar koi pasand ki shadi (love marriage) main masayel ka shikar ho aur apni pasand ki shadi ke elawa kahin aur shadi ka sawal hi paida na ho tou chahiye ke subah fajar ki namaz ke baad 786 martaba
parh kar Allah se apne maqsad ke liye dua kare. Ye wazifa shuru aur khatam karte waqt koi sa Durood 101 baar. Aur raat sotay waqt 300 baar 
Ya Lateefu Ya Salamu parh kar dua kare aur shadi ka tasawar kar ke so jaye.

Muddat Amal: 40 yoom hai. Insha'Allah isi arsay main pasand ki shadi ho jaye gi.
note: Namaz ki pabandi lazim hai aur is amal ka kisi par izhar na kare, baghair baat cheet kiye so jaye.

Agar Mangni Tootne Ka Khatra Ho:

Agar Allah na kare ke larki ko talaq ho chuki ho aur waldain ki koshish ho keh kisi tarah dobarah us ka ghar bas jaye tou unhain chahiye ke baad namaz-e-fajar 2 martaba Surah Yaseen tilawat kare aur 1100 martaba "Ya Mueedu" ka wird kare. Insha'Allah 21 se 41 din ke musalsal amal se larki ke liye dobara acha rishta hasil ho jaye ga.

Shadi Karwane Ka Lajawab Amal:


Agar koi achi jagah naik rishtay ka khawahish mand ho aur bazahir koi munasib sabab na ban raha ho tou chahiye keh baroz-e-jummah baad namaz-e-asar ta maghrib masjid main baith kar ankhain band kar ke bay shumar parhay.

Ya Allahu Ya Rahmanu Ta Rahimu

Azan-e-maghrib  par apne maqsad ke liye dua kare aur musalsal 3 ya 5 jumon tak jari rakhay. Insha'Allah bohat jald hi khawahish puri ho gi.

Mukhalif Fareeq Ko Shadi Par Amada Karne Ka Amal:

Mukhalif fareeq ko razamand karne ke liye nahayat mujarab amal hai. Chahiye keh hasb-e-zaroorat lahori namak lekar us par baroz juma baad namaz jumma awal akhir 10 - 10 baar darood sharif ke 1001 baar  Ya Wadudu parh kar dam karain aur khayal rahe keh namak zameen par hargiz hargiz na gire, bohat ahtiyat rakhi jaye jo usay khaye ga Insha'Allah matee aur farmabardar ho ga. Jis ki niyat se parha hai usi par asar ho ga aur agar dusre khayain tou bhi fayeda ho ga, apas main khilwat aur mohabbat paida ho gi.

note: Agar mukhalif fareeq ghar aye tab bhi is namak se fayeda hasil kiya ja sakta hai. (Mujarab hai)

Shadi Karwane Ka Akseer Amal:


Agar bohat sari koshishon ke baad bhi koi naik aur jaez rishta na milta ho aur umer barhti ja rahi ho tou aisay main chahiye keh namaz isha ke baad Surah Yaseen 3 baar parhay aur har dafa khatam par 700 martaba 
Ya Wajidu Ya Mujeebu

parhay, is amal ko jumairat se shuru kare aur itwar ko khatam kare.

Larki Ki Shadi Ke Liye Jahaiz Ke Intizam Ka Wazifa:

Agar Shadi Main Jannat Rukawat Dalain Tou:Aksar dekha gaya hai ke naujawan larkiyon par jinnat ka asar ho jata hai keh jis ki wajah se larki ki kisi achi jagah baat cheet hotay hotay bigar jati hai aur woh shareer jin husool-e-rishtna main tarah tarah ki rukawatain paida karna shuru kar dete hain.
Is mushkil se khalasi ke liye darj zail main amal nahayat munasib hai. Baad namaz-e-isha larki ke parents main se koi Surah Al-Hashr ki akhri 3 Ayaat 100 baar pani par dam kar ke woh pani sara din istemal karwayain aur musalsal 21 din ye amal karain.
Insha'Allah is amal ki badolat tamam rukawatain door hon aur shareer jinnat se amaan hasil ho aur agar kisi naik shakhs se in Ayaat ko zafran wagera se likhwa kar larki ke galey main dale tou jald kamyabi ho aur bohat jald acha rishta milay. In 3 Ayaat main Allah ke mubarak 17 names bhi hain.

Qasida Burda Sharif Benefits:

Agar har tarah ke haylon ke bawajod larki ke liye koi rishta na milay tou aisi surat main nau chandi shab-e-jumma ko baad namaz-e-isha Qasida Burda Sharif 17 baar parh kar larki ki shadi ke liye dua karain. Insha'Allah 7 jumon ke amal se larki ke liye zaroor koi acha rishta mil jaye ga.
Agar 1 fard tanha na parh sakay tou 3 afrad mil kar parhain. Parhne walon ka namazi parhezgar hona zaroori hai. (mujarab al mujarab hai).

Naik Rishte Ka Aik Aur Mujarab Aut Asan Amal:
 

Jis Mard Ki Shadi Na Hoti Ho:

Jis mard ki shadi na hoti ho woh shuru mah main 3 din rozah rakhe aur raat main Surah Muzammil ko 21 martaba parhay. 3 mah ye amal barabar kare. Insha'Allah naik biwi naseeb ho gi.
note: Har Islamic month ke pehle 3 din ye amal karna hai sara mah amal nahin karna aur ye amal sirf mardon ke liye makhsoos nahin balkeh khawateen bhi kar sakti hain. Har mah amal karne se qabal khuch saqda zaroor ada kare.

Bay Saraha Bachiyon Ki Shadi Ke Liye:

 Shadi Ke Mamlaat Ache Tareeqa Se Hon:

Har Kisam Ki Bandish Ka ilaj:

Aksar bachiyon aur bachon ke rishte sirf isi wajah se tay nahin ho patay keh woh dushmanon aur hasadon ki janib se sakht qisam ki bandish ka shikar hote hain. Har tarah ki bandish aur rukawat door karne ke liye te amal lawajab aur teer ba'hadaf hai.

Amal Ye Hai:
Baad namaz-e-fajar 1 martaba Surah Al-Muzammil, 4 Qul 3 martaba aur Ayat-ul-Kursi 11 baar parh kar pani par dam kar ke larki / larkay ko pilayain aur usi pani se hath munh dhulayain. Awal aur Akhir 11 baar Darood Sharif parhain.
Insha'Allah is amal ko 11 rooz karne se har kisam ki bandish khatam ho jaye gi.

note: Is amal ki ijazat aam hai.
note: dam shuda pani zameen par na giray, kisi kayari wagera main daal dain.
Shadi Wazifa In Urdu
 

Thursday, 27 December 2012

Benefits Ya Mujeebu Fazilat Wazifa Ya Mujeebu Taweez Meaning

Allah apni makhloq ki duaon ko sunta aur qabol farmata hai is liye usay Mujeeb kaha jata hai kyoun keh woh har sayel ke sawal ka jawab deta hai aur har pukarnay wali ki pukar ka jawab deta hai. Allah Ta'ala ka khud irshad hai ke woh kon hai jo pukarnay wale ki iztarabi pukar ko kabol farmata hai. Allah Mujeeb hai ke woh mazloomon ki pukar ko sunn kar un ke zulam ka tadarak karta hai.  Allah Mujeeb hai ke woh apne waliyon ko apna bana kar un ki har sada par lutf-o-karam ka izhar farmata hai. Allah Mujeeb hai ke woh apne faqeeron ke uthay howe hathon ki laaj rakhta hai. Ya Mujeebu jalali hai aur is ke adaad 55 hain aur Al-Mujeeb ki fazeelat aur fawaid neechay parhain.
Ya Mujeebu - Aay Kabool Karnay Wale:
Picture Ya Mujeebu Wallpaper
Wazifa Shadi Ki Dua Kabool Ho: Agar kisi larki ya larkay ki shadi na hoti ho aur umar bhi zayada hoti ja rahi ho tou gayarah 11 din tak panch hazar panch sau pachpan 5555 baar aur is ke baad Allah ke hazoor apni shadi ke liye dua kare Insha'Allah shadi ki dua qabol ho gi aur jald rishta tay ho jaye ga.

Wazifa Har Dua Kabool Honay Ka Amal: Agar koi shukhs ye chahta ho ke us ki har dua kabool ho yani har jaez dua tou usay chahiye ke woh Ya Mubeebu 220 martaba rozana sotay waqt parhnay ka mamool bana lay Insha'Allah us ki har jaez dua kabool ho gi. Aik amil ka qol hai ke agar koi shukhs Ya Mujeebu ko jumma, friday ke din 100 baar likh kar Ya Mujeebu ka taveez bana kar apne paas rakhay tou jo dua mangay ga kabool ho gi. Aur jo baat kisi se kahay ga wohi manzoor ho gi. Aik bazurg ka qol hai ke dua ke aghaaz main Ya Mujeebu 11 martaba parhain is ke baad jo dua mangni ho mangain akhir main phir gayarah martaba Ya Mujeebu ka wird karain yani ye Ism parhain. Insha'Allah dua kabool ho gi.

Wazifa Qaid Se Rehai Ka Amal:  Agar koi najaiz toor par apne baal bachon se juda ho kar qaid ho gaya ho ya kisi ka pata na chalta ho tou chand aadmi ikathay hon aur gin kar Ya Mujeebu sawa lakh baar parhain, parhai mukamal honay ke baad tamaam parhnay wale sar sajday main rakh kar qaidi ki qaid se rehai ki dua karain, is tarah 7 rooz tak yehi amal karain. Insha'Allah qaid se khalasi ho gi aur qaidi bahifazat apne baal bachon main ajaye ga.

Wazifa Naraz Biwi Ko Wapas Lanay Ka Amal: Agar kisi insan ki wife naraz ho kar maikay chali gayi ho tou tou shohar, husband ko chahiye ke Ya Mujeebu 11000 baar parhay aur parhnay ke baad pani par phoonk laga kar pani ko us taraf munh kar ke pakeeza jagah par phainkay jis taraf woh rehti ho. Is tarah 11 roz karay. Insha'Allah biwi wapas anay ke foran asaar paida ho kar woh apne ghar main akar abaad ho jaye gi.

Murshid Kamil Milnay Ka Amal: Jis ko murshid kamil na milta ho ya koi arif kamil kisi ko mureed banana kabool na karta ho tou is Ism ko 10 din tak baad namaz maghrib 12500 baar parhay, Insha'Allah hasb-e-khawahish Allah ka banda mil jaye ga.

Naqsh Ya Mubeebu Taweez - Ya Mujeebu Ka Aaml: 
Ya Mujeebu ke naqsh ko kabuliat dua, har bala se mehfooz rehnay, khawahish, hajaat ke pura honay ke liye, kisi meham ko hal karnay ke liye, dusron ko maskhar karne ke liye aur mandraja bala maqasid ke liye istimal kiya jata hai. Magar Ya Mujeebu ka taweez istimal karnay se pehle chalis din tak 6250 martaba parhna lazim hai, is ke baad is ka naqsh dusron ko dain tou Insha'Allah fayeda ho ga.

Wednesday, 12 December 2012

Benefits Ya Hafizu Fazilat Wazifa Ya Hafizu Meaning

Allah Ta'ala har cheez ki hifazat karta hai yani har cheez ko barbad aur tabah hone se bachanay ki taqat rakhta hai. Chunkeh Allah Ta'ala ne har cheez ko banaya hai aur usay qaim aur daim karkhnay ka zumma bhi khud hi liya hai, is liye woh apni banayi hoi har cheez ka muhafiz hai. Is lihaz se woh makhloq ka Hafeez hai. Insan ki hifazat do tarah ki hai aik zahir jism ki hifazat aur dusre imaan ki hifazat, in dono tarah ki hifazat kar Allah Ta'ala ko pura pura ikhtiyar hai. Chunkeh jo banda apne aap ko us ke spurd kar deta hai Allah us ke jism aur iman ki hifazat karta hai aur ye cheez usay Ya Hafiz ka wird karnay se hasil hoti hai. Ya Hafizu jamali hai is ke adaad 998 hain aur fawaid Ya Hafizu ki fazilat mandraja zail hai.

 Ya Hafizu - Aay Hifazat Karne Wale

pictures Ya Hafizu Wallpapers
wazifa Allah Ki Hifazat Main Rehnay Ka Amal: Is ism ko rozana subah aur shaam main bohat zayada parhay wala kasrat se parhnay wala Allah ki panah main hota hai, shitaan aur dushman ke hamlon se mehfoz aur mamnoon rehta hai. Agar kisi makan ya dukan main is ism ko 1100 martaba parh kar pani dam kar ke konon main chirak dain tou Insha'Allah house aur shop hamesha mehfoz rahe gi aur kisi qisam ka dar aur khoof nahin rahe ga. Agar kisi jungle main ja rahe hon tou ye ism parhtay jayain moozi janwar kabhi kareeb na aye ga aur na kisi kisam ka nuqsan pohanchay ga.

wazifa Hadsat Se Mehfooz Rehnay Ka Amal: Ye ism hadsaat se mehfooz rehnay ke liye intihai mosar hai is liye jub bhi bus, rail gari, car, jahaz ya behri jahaz main jayain tou is ism ko parhte jayainInsha'Allah bahifazat manzil maqsood ko pohanchain gey. Khaas kar driver hazraat ko chahiye ke driving kartay waqt Ya Hafizu ka wazifa kartay rahain Allah ki khaas panah main rahain gey.

wazifa Maal aur Asbab ko Gum hone se Bachana: Agar kisi ko maal gum honay ka dar ho tou  usay chahiye ke is ims ko 998 baar pani par parh kar dum karay aur usay asbab par chirak de, Insha'Allah agar woh maal aik jagah se dusri jagah bhi ja raha hon tou woh mehfoz rahe ga aur gum bhi nahin ho ga.

wazifa Bachay Ko Nazar Lagne Ka ilaj: Agar kisi bachay ya bachi ko kisi ki nazar lag gayi ho jis se waldain ko preshani lahaq ho tou is ism ko maa ya baap 111 baar parh kar pani dum kar ke bacha ko pilayain aur 3 roz tak isi tarah kare Insha'Allah nazar-e-bad ka asar khatam ho jaye ga aur sath hi Ya Hafizu ka taweez bhi us ke galay main daal dain.

Wazifa Wabai Amraz Se Bachne Ka Amal: Agar koi shukhs waba phutnay ke door main is ism ko 3992 martaba rozana parhna shuru kar de tou woh Allah ki rehmat se wabai amraaz se mehfooz rahay ga aur agar apne bachon aur ghar walon ko Ya Hafizu ka naqsh water main daal kar pilaye ga aur us ki family yani ahl khana bhi wabayi amraz se mehfoz rahain gey.
Ya Hafizu Taweez

Naqsh Ya Hafizu Ka Amal:  Ya Hafizu ka taweez denay ke liye is ka amal kar ke zakat ko ada kar dein. Ya Hafizu ki zakat ye hai ke 5250 baar 40 roz parhain. Doran-e-parhai tamaam sharait ko mad-e-nazar rakhain. Parhai mukamal hone ke baad is ke taveez ko hifazat ke kamon main istimal karwayain Insha'Allah jaez maqsad hasil ho ga.