Showing posts with label urdu story for kids. Show all posts
Showing posts with label urdu story for kids. Show all posts

Thursday, 19 February 2015

Crow Information In Urdu Thirsty Crow Story In English Kawa Aur Lumri Chidiya

Crow Information In Urdu: Kawa se har bacha, burha waqif hai. Phir urdu zuban mein kayi muhawray bhi is parinday ke naam se makhsoos hain. Crow jese qadeem parinday ka zikar Quran Pak mein Surah Maidah ki Ayat no 31 mein mojood hai. Tafseer Ibn-e-Kaseer mein is Ayat ke hawalay se likha hai:
"Jub qabeel aur habeel ko mardala tou usay ab ye maloom na tha ke kya kare, kis tarah usay chupaye? tou Allah ne 2 kaway bheejay, wo donon bhi apas mein bhai bhai thay, ye us ke samne larne lagey, yahan tak ke aik ne dusre ko maar dala, phir aik garha khod kar us mein us ki lash ko rakh kar uper se mitti daal di, ye dekh kar qabeel ki samajh mein bhi ye tarkeeb aa gyi aur us ne bhi aisa hi kiya."

Urdu Cartoon Story Kawa Aur Lomri For Children Video Kawa Aur Chidiya

Deer Information In Urdu Hiran Ki Kahani Hiran Story In Urdu For Kids

Deer Information In Urdu: Hiran (Deer) aisa akela hi janwar hai jis ke sar par shandar seengh hote hain, ye seengh hiran ki khopri se juray hote hain. Sakht hadiyon se bane ye tez nokelay seeng hiran ka aik khatarnak hathyar hain, female deer apne jathay ka sarbarah bannay ke liye dusre hirnon se larnay ya shikariyon se apne difa ke liye un seenghon ko istemal karta hai. Sard alaqon mein rehne wale Hiran ke seengh har mausam mein jhartay hain aur mausam bahar ke akhir mein un ke seengh dobara barhne lagte hain. Garam alaqon mein rehne wale hiran ke seengh saal ke dusre auqat mein jhartay hain. Naye ugney wale seengh naram o nazuk hote hain. Jo tezi se barhte hain.
Deer ke seengon par jild ka bareek teh hoti hai jis mein mojod khoon ki ragain un ki nashunuma mein madad karti hain. Bareek jild ki is teh par chotay chote rawan nama baal hote hain jin ke baes ye makhmal ki tarah dikhai deti hai isi liye isay Velvet kaha jata hai jese hi seengon ki afzaish mukamal hoti hai ye makhmali teh khushk ho jati hai aur hiran darakhton aur jhariyon se ragar kar usay utar detay hain.
more articles? kasturi deer benefits in urdu




Saturday, 1 December 2012

Kawa Aur Loomri urdu kahani for kids fox and crow

Aik dafa ka zikar hai aik kawa paneer ka tukra apne choonch main liye darakht par baitha tha. Udhar se aik loomri ka guzar howa jub lomri ne kaway ki choonch main paneer ka tukra dekha tou is ke munh main pani agaya. Us ne socha kaway se ye paneer kesay hasil kiya ja sakay. Ye soch kar loomri darakht ke neechay gayi aur kaway se salam dua kiya aur kehnay lagi. Miyan kaway aaj tum bohat bhalay lag rahay ho. Tumhare par kitne chamkeelay hain aur tumhari ankhain kitni roshan hainaur chamakdar hain. Mujhe yaqeen hai ke tumhari awaz bhi sub parindon se zayada khubsurat ho gi. Haan zara aik geet tou suna do. Kawa apni tareef sun kar bohat khush howa aur foran hi gardan utha kar kayain kayain karne laga. Lekin jesay hi kaway ne apni chonch kholi paneer ka tukra neechay gir gaya. Jis ko loomri foran hi chat kar gayi aur boli ay kalay kalotay kaway main tou sirf ye paneer hasil karna chahti thi ab tum ko aik nasihat karti hon ke ayenda chaapluson par hargiz bharosa na karna. Is se sabat howa ke khushamad buri bala hai.