Saturday, 26 January 2013

Climate Swat Weather Swat Valley Ka Mausam Snowfall Expected

Swat Ka Mausam:

Swat valley ke weather ko hum 2 hison main bant saktay hain, aik zareen swat aur dusra balai swat ka mausam. zereen swat main saal ke bohat sare months main weather nihayat khushgawar rehta hai. June, july qadre garam mahenon main shumar hotay hain magar in maheenon ki shamain phir bhi khushgawar hoti hain. Zereen swat main mausam garma main zayada se zayada darja hararat 38c tak jata hai.


Balai elaqon main garmiyon ka mausam intihai khushgawar hota hai. Behrain, Miandam aur Kalam wagera main tou achi khasi khunki hoti hai aur garam kapron ki zaroorat mehsoos hoti hai. Balai elaqon main zayada se zayada darja hararat 24 se 26 c ke darmiyan rehta hai. Balai elaqon main september ke akhir se march ke shuru tak shadeed barf bari ka silsila jari rehta hai. Jis ki wajah se sardi ki shiddat main bohat izafa ho jata hai. Baraf bari ki wajah se bohat se elaqon ka zameeni rabta kat jata. Sardiyon main darja hararat 0 se -8 tak gir jata hai. Swat main zayada tar barishain february, march, april aur august main hoti hain jis ki salana ausat 32 se 36 inch rehti hai.



Swat ke sayahat ke liye aap yahan saal ke kisi bhi hisay main aa saktay hain. Agar aap sar sabz aur shadaab wadiyon ka nazara karna chahtay hain tou may se september tak ka mausam behtareen hai. Agar aap spring season ke khubsurat rung dekhna chahtay hain tou march aur april main ana munasib hai, Agar aap khizan ke sunehre rang fiza main bikhartay dekhna chahte hain tou october aur november ke mahenay behtar hain aur agar aap barf bari ke khunk mosam se lutf andoz hona chahte hain tou jan - feb ke months main swat ki travel aap ki zindagi ka aik yaadgar experience ho sakti hai.

No comments:

Post a Comment