Sunday, 20 January 2013

Safar Main Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz During Travelling

Safar main namaz parhne ka tarika ye hai ke safar main jatay waqt 2 rakat namaz apne ghar main parh kar jaye. Jub tum apne ghar se kisi dusri jagah jao aur woh jagah tumhare ghar se 57 1/2 mile yani 3 manzil door ho tou tum apne shehar ki had se bahir nikal kar 2 aur 3 rakat wali namaz farz tou puri parho aur 4 rakat wali namaz farz qasar karo. Yani zohar, asar, isha ke farz bajaye 4 ke 2 parho. Agar puray 4 parho gey tou gunahgar ho gey. Agar safar main itminan se ho tou sunnatain puri parho.

Qasar namaz parhne ke liye zaroori hai ke jahan se chala wahan se kam az kam 57 1/2 mile janay ka irada hai aur agar is se kam musafat ke irada se nikla aur wahan pohanch kar dusri jagah ka irada howa keh woh bhi 57 1/2 mile se kam ki musafat hai. Younhi sari dunya main ghoom aye, musafir nahin ho ga. Puri namaz parhna paray gi.

Agar 15 din rehna ho ya zayada tou puri namaz parho jesay apne ghar main parhtay thay. Agar 15 din se kam rehna ho tou qasar namaz parho. Ya agar 10 din ki niyat se gaye aur kaam pura na howa ya kisi ne rook liya phir 10 din ruk gaye. Isi tarah kitnay hi din rukna paray qasar namaz parho. Agar wahan us shehar ke imam ke pechay namaz parho tou puri 4 rakatain parho. Agar tum wahan namaz parhao tou pehle keh do keh main qasar parhon ga tum log 4 puri kar laina ya salam phairtay hi keh do  keh main musafir hon takay woh log baqi 2 rakatain puri kar lain aur ye bhi bata diya jaye keh kharay ho kar Al-Hamd aur qirat na parhain baqadar Al-Hamd parhnay ke khamosh kharay rakahin. Baqi rakatain hasb-e-dastoor ada karain.

Agar safar main namaz qaza ho jaye aur ghar akar qaza karna chaho tou bhi 2 rakat parho aur jo tum khud mukhtar na ho maslan baap ya dada ya ustad ya aurat shohar ke sath ho tou us se malom karo keh aap kab ko kab tak rukna hai. Agar usay 15 din se kam rukna hai tou qasar parho. Aur agar zayada rukna hai tou puri parho. Agar ghar par rehnay ke zamana ki qaza namaz safar main ada karna chaho tou puri 4 rakat qaza parho. Is main qasar jaez nahin hai.

No comments:

Post a Comment