Showing posts with label Islam. Show all posts
Showing posts with label Islam. Show all posts

Thursday, 19 February 2015

Ab-e-Zam Zam History in Urdu Essay Aab-e-Zam Zam Benefits Fazilat Peene Ki Dua

Aab-e-zam zam se Allah ne Hazat Ibrahim (A.S) ke sajzade Hazrat Ismail (A.S) ko serab kiya aur un ki madad ki. Ab-e-zam zam woh mubarik aur sharafat aur bazurgi wala pani hai jo barkaton wala hai. Ye tamam paniyon ka sardar aur un se behtareen hai. Aab-e-zam zam ke bare mein aik hadees hai ke "Zameen ke upar sub se behtareen pani ab-e-zamzam hai." Ye woh water hai jis se Hazoor S.A.W ka dil mubarak dhoya gaya aur Nabi (PBUH) ki shan hi ye hai ke Aap S.A.W ka qalb mubarak sub se zayada sharf wale pani se dhoya jaye. Rasool S.A.W ne is se wazu karne ko sunnat qarar diya, zayada peene aur serab ho jane ko imaan ki ilamat banaya. Ye kaseet piye jane ki wajah se na khatam ho ga na munqata ho ga jub tak dunya baqi hai baqi rahe ga aur ye jannat jannat ke chashmon mein se aik chashma hai.

Aab e Zam Zam ka chasma place jagah aur method: Aab e zam zam ka pani peene ka tarika ye hai ke is water ko kharay ho kar piya jaye.

In Ab-e-zam zam ke fazail ke ilawa is mein bohat sari barkatain aur beshumar khair mojood hai. Is mein har bimari ke mareezon ke liye shifa hai, aik andhay aadmi ne ye pani piya tou Allah ki rehmat se usay binai ata kar di gayi.
Zamzam ka chashma jari howe taqreeban 40000 saal guzar chuke hain. Rozana Beshumar insan ye mutbark pani peetay hain aur phir ye tabark ke toor par kam-o-baish dunya ke har hisay main pohanchta hai. Is ke bawajod pani ki maqdar kabhi kam na hone payi balkeh zam zam well hamesha labreez rehta hai. Zamzam ka pani na sirf pyas bhujata hai balkeh is mein ghazait bhi payi jati hai. Ye jism ko parwan charhata hai aur quwat hazma ko theek karta hai. Aab-e-zam zam ki fazilat ke mutaliq hadees ki kitabon mein beshumar rawayat mojood hain.

Aab e Zam Zam Peene Ka Tariqa: Is babarkat pani ke peene ke adab bhi ulma ne tafseel se likhe hain. Jin mein se 8 adab darj zail hain.
  • Zamzam khare ho kar peena chahiye.
  • Isay petay waqt qibla ki taraf munh kar ke piyain.
  • 3 saanson mein peena chahiye. Baaz ulma ne aik hi saans mein peena zikar kiya hai.
  • Har baar peetay waqt Bismillah parhna.
  • Khoob pait bhar kar peena.
  • Har saans mein Alhamdulillah kehna.
  • Seedhay hath se isay piya jaye.
  • Akhir mein dua parhna. Shuru mein dua parhna bhi darust hai.
Zamzam apne andar kayi khasusiyat rakhta hai. Aik khasusiyat ye hai ke ye pani kitna hi kharch kiya jaye kabhi kam nahin hota, Baaz rawayat mein hai ke aik martaba aik habshi shakhs is pani ke well mein gir kar mar gaya tha jis ki wajah se well ka sara pani nikala gaya tou ye dekha gaya ke hajar aswad ki taraf se bohat teez pani araha hai jis ko rokne ki tamaam koshishain ki gayien lekin phir bhi pani ruk nahin paya. Aaj ye baat bilkul zahir hai ke rozana machines ke zariye lakhon gallon is se water nikala jata hai magar pani ki amad mein koi kami nahin ati, agar itna pani kisi aur well se nikala jaye tou 2 din mein dry ho jaye. Dusri khasusiyat ye hai ke is pani mein pyas mitane ki salahiyat bhi payi jati hai. Fazail ki baaz books mein likha hai ke zamzam ka pani dekhne se binai mein izafa hota hai. Research se ye baat sabat hai ke zamzam ka pani arsa daraz tak mehfooz rehta hai ye is pani ki aik aham khasusiat hai, dunya ka aur koi pani apne andar ye sifat nahin rakhta.

Mojooda Door Mein Aab-e-Zam Zam ki Surat Haal: Khuch saal pehle  tak zamzam ke well tak pohanchne ke liye Hijr-e-Aswad ke samne neechay jane ke raste bane howe thay aur wahan bari tadad mein zamzam ki tutiyan lagi hoi thein, jin se log pani lay kar use karte thay. Lekin ab kafi years se zamzam ke well ko uper se bilkul barabar kar diya gaya hai aur well se pani nikalne ke liye nihayat powerful machines laga di gayi hain, jin ke zariye har waqt pani kheencha jata hai, aur phir usay thanda karne wali machines se guzar kar Makkah Khana Kaba ke gosha gosha mein bhi nahayat farawani se muhaiya karane ka intizam hai, naik is pani ko bari maqdar mein zakhira kar ke Musalmanon ko muft supply kiya jata hai aur hajj ke zamane mein hajjaj ki rehaish buildings par pabandi se pohanchaya jata hai. Ab-e-zam zam na sirf Muslims balkeh puri dunya ke insanon ke liye aik azeem qudarti tohfa hai aur is ki barkatain bhi bohat hain.

Wednesday, 18 February 2015

How To Do Muraqaba in Islam in Urdu Muraqaba Benefits Muraqaba Book in urdu

Muraqaba Ka Tareeqa: Hamare haan aik dusre se agey barh jane aur kamyabi aur nakami ke tasawar ne is qadar jar pakar li hai ke ab hum khushi ke asal meaning bhula kar isi kamyabi aur nakami ko khushi samajhne lagey hain. Ye dor yani khushi ke husool ki koshish ne na sirf hum se hamara waqt cheen liya hai yani hum apni marzi se waqt istemal nahin kar sakte balkeh ye hamare liye shadeed zehni aur jismani dabao ka baes ban rahi hai. Isi dabao se nijat ka aik behtareeb zariya muraqaba hai.

Ye bhi darasal Yoga ki aik shakh hai jisay hindi mein dhayana kehtay hain. Hindu philosophy ke mutabiq dhayana ke amal se guzar kar yoga ki jis shakh ki taraf safar kiya jata hai usay samadhi kehte hain yani zehan ke ala shaoor ki halat mein hona. Darasal is barhtay hue muashi aur muasharti dabao se nijat ka tareeqa ye hai ke hum khud se ham ahamgi hasil karain. Aisa karne ke liye humain hamare andar mojood ala darjay ke shaoor ko baidar karna parta hai aur yehi muraqaba ka bunyadi falsafa hai.

Sufi Meditation: Muraqaba ka first step ghor o fikar karna hai. Is ke liye mutalqa shakhs ko khamoshi aur sakoon ki halat mein baithna parta hai is ke baad ankhain band kar ke kisi aik chez ya waqia ke bare mein sochna parta hai. Itni gehrai ke sath ke us chez ya waqia ki tasweer zehan mein ubhar aye. Ye Muraqaba ki sada tareen shakal hai. Is halat mein mutalqa shakhs kisi bhi soch par irtkaz kar sakta hai for example apne past ke waqiat ko aik khas tarteeb mein yaad kar ke aik film ki surat apne zehan mein mehfooz kar lay ya qudarti dunya par matwaja ho kar kisi khubsurat nazaray ke bare mein sochay aur zehan mein us ki tasweer banaye.
muraqaba in Islam
Aisa karne ka result ye hota hai ke us ka zehan munazam ho jata hai aur us se na sirf mutalqa shakhs ko zehni sakoon hasil hota hai balkeh wo aisi halat mein ajata hai ke khuch hasil kar sakay. Goya Muraqaba hamare zehan ko baikar sochon se nijat dila kar usay aham chezon ki taraf mael karta hai aur hamari rozmara ki karkardgi ko barhata hai.

Jub koi first time irtkaz ki exercise karta hai tou us ka zehan aik se 2 minutes mein hi bhatakna shuru ho jata hai. Is surat mein mutalqa shakhs ko ya tou narmi se dimagh ko irtkaz ki taraf mael karna chahiye ya phir usay waqti tor par rok dena chahiye aur baad mein dobara irtkaz ki exercise karni chahiye. Rafta rafta zehan ka artkaz ka doraniya barh jata hai aur phir waqt guzarne ke sath dimagh itna adi ho jata hai ke wo baghair koshish ke irtkaz ki halat mein ajata hai. Ye is baat ki alamat hai ke zehan ki jagah ala darjay ke shaoor ne lay li hai.

Ab hum mutalqa shakhs ke zehan par banai gyi picture ki taraf atay hain. Shuru mein manzar qati sairbeen ki tarah hota hai lekin jese jese dimagh ki exercise barhti jati hai is manzar ki hadood kam hoti jati hai yani ye manzar mehdood hota jata hai. Ye is baat ki ilamat hai ke mutalqa shakhs ka ala shaoorkhud ba khud tafseelat ko khatam karta ja raha hai aur aik khas nuqtay ki taraf barh raha hai. Is tarah zehan bhi aik khas nuqtay ki taraf markoz ho jata hai.

Muraqaba Benefits: Ye zehan ko idhar udhar bhataknay se rokta hai, ye hafzay ko behtar banata hai, tanao ko kam karta hai aur sub se barh kar apne ilm ki taraf rehnumai karta hai. Irtkaz ki exercise par maharat hasil karne mein bechaini se nakami ke siwa khuch hasil na ho ga. Is ke liye shuru mein bari mustaqil mazaji ki zaroorat parti hai. Mumkin hai ke is ke fori nataij hasil na hon, aisi surat mein mutalqa shakhs ko bad dail nahin hona chahiye kyoun ke chand dinon ki mustaqil mazaji unhain bohat ache nataij dila sakti hai.

Sunday, 20 January 2013

Safar Main Namaz Parhne Ka Tareeqa Namaz During Travelling

Safar main namaz parhne ka tarika ye hai ke safar main jatay waqt 2 rakat namaz apne ghar main parh kar jaye. Jub tum apne ghar se kisi dusri jagah jao aur woh jagah tumhare ghar se 57 1/2 mile yani 3 manzil door ho tou tum apne shehar ki had se bahir nikal kar 2 aur 3 rakat wali namaz farz tou puri parho aur 4 rakat wali namaz farz qasar karo. Yani zohar, asar, isha ke farz bajaye 4 ke 2 parho. Agar puray 4 parho gey tou gunahgar ho gey. Agar safar main itminan se ho tou sunnatain puri parho.

Qasar namaz parhne ke liye zaroori hai ke jahan se chala wahan se kam az kam 57 1/2 mile janay ka irada hai aur agar is se kam musafat ke irada se nikla aur wahan pohanch kar dusri jagah ka irada howa keh woh bhi 57 1/2 mile se kam ki musafat hai. Younhi sari dunya main ghoom aye, musafir nahin ho ga. Puri namaz parhna paray gi.

Agar 15 din rehna ho ya zayada tou puri namaz parho jesay apne ghar main parhtay thay. Agar 15 din se kam rehna ho tou qasar namaz parho. Ya agar 10 din ki niyat se gaye aur kaam pura na howa ya kisi ne rook liya phir 10 din ruk gaye. Isi tarah kitnay hi din rukna paray qasar namaz parho. Agar wahan us shehar ke imam ke pechay namaz parho tou puri 4 rakatain parho. Agar tum wahan namaz parhao tou pehle keh do keh main qasar parhon ga tum log 4 puri kar laina ya salam phairtay hi keh do  keh main musafir hon takay woh log baqi 2 rakatain puri kar lain aur ye bhi bata diya jaye keh kharay ho kar Al-Hamd aur qirat na parhain baqadar Al-Hamd parhnay ke khamosh kharay rakahin. Baqi rakatain hasb-e-dastoor ada karain.

Agar safar main namaz qaza ho jaye aur ghar akar qaza karna chaho tou bhi 2 rakat parho aur jo tum khud mukhtar na ho maslan baap ya dada ya ustad ya aurat shohar ke sath ho tou us se malom karo keh aap kab ko kab tak rukna hai. Agar usay 15 din se kam rukna hai tou qasar parho. Aur agar zayada rukna hai tou puri parho. Agar ghar par rehnay ke zamana ki qaza namaz safar main ada karna chaho tou puri 4 rakat qaza parho. Is main qasar jaez nahin hai.

Saturday, 12 January 2013

Istikhara Method In Urdu Tareeqa Istikhara Ka Tarika Dua


Istikhara Ka Tarika aur Istikhara Ki Dua: "Istikhara" ka masnoon tareeqa ye hai ke aadmi 2 rakat nafal istikhara ki niyat se parhay. Niyat ye karay keh mere samne 2 rastay hain, in main se jo rasta mere haq main behtar ho, Allah Ta'ala us ka faisla farma dain. Phir 2 rakat parhay.
 Istikhara Dua In English

Aur namaz se baad istikhara ki masnoon dua parhay jo Hazoor (SAW) ne talqeen farmayi hai.Ye bari ajeeb dua hai, Paighambar hi ye dua mang sakta hai aur kisi ke bas ki baat nahin, agar insan ayri choti ka zoor laga laita tou bhi aisi dua kabhi na kar sakta jo Nabi Kareem S.A.W ne talqeen farmaye. woh istikhara ki dua ye hai.
 
Istikhara Dua

What is istikhara? Istikhara Kya Hai? Kisi ahem mamlay main Allah se khair aur bhalayi talab karnay ko istikhara kehtay hain maslan Shadi, safar, job naya business start karna wagera kyoun keh insan ko malom nahin keh konsi cheez us ke liye khair aur konsi shar sabat ho gi. 
 
Urdu Translation Of Istikhara Dua:

Aay Allah! main aap ke ilm ka wasta de kar Aap se khair talab karta hon aur Aap ki qudrat ka wasta de kar main achai par qudrat talab karta hon. Aap ghaib ko jan'nay wale hain. Aay Allah! Aap ilm rakhtay hain, main ilm nahin rakhta. Yani ye mamla mere haq main behtar hai ya nahin, is ka ilm Aap ko hai mujhe nahin. Aap qudrat rakhtay hain aur mere andar qudrat nahin. Ya Allah! agar Aap ke iml main hai ke ye mamla (Is moqa par us mamla ka tasawar dil main laye jis ke liye istikhara kar raha hai) Mere haq main behtar hai. Mere deen ke liye bhi behtar hai, meri muash aur dunya ke aitbar se bhi behtar hai aur injam kar ke aitbar se bhi behtar hai tou is ko mere liye muqaddar farma dijiye aur is ko mere liye asaan farma dijiye aur is main mere liye barkat paida farma dijiye.Aur agar Aap ke ilm main ye baat hai ke ye mamla mere haq main bura hai, mere deen ke haq main bura hai ya meri dunya aur muash ke haq main bura hai ya mere anjam kar ke aitbar se bura hai tou is kaam ko mujh se phair dijiye aur mujhe is se phair dijiye, aur mere liye khair muqaddar farma dijiye jahan bhi ho. Yani agar ye mamla mere liye behtar nahin hai tou is ko tou choor dijiye aur is ke badle jo kaam mere liye behtar ho us ko muqaddar farma dijiye phir mujhe us par razi bhi kar dijiye aur us par mutmaen bhi kar dijiye.

2 rakat nafal parhnay ke baad Allah Ta'ala se ye dua kar li jaye tou bas istikhara ho gaya.

Istikhara Ka Waqt:

Baaz log ye samajhtay hain ke istikhara hamesha raat ko sotay waqt hi karna  chahiye ya Isha ki namaz ke baad hi karna chahiye. Aisa koi zaroori nahin balkeh jab bhi moqa milay us time kar lain. Na raat ki koi qaid hai aur na din ki koi qaid hai, na sonay ki koi qaid hai aur na jagnay ki koi qaid hai.

Istikhara Ka Khawab Ana Zaroori Nahin:

Baaz log ye samajhtay hain ke istikhara karne ke baad khwab aye ga aur Istikhara dream ke zariye humain bataya jaye ga keh ye kaam karo ye kaam na karo. Yaad rakhain! Khawab ana koi zaroori nahin ke khawab main koi baat zaroor batayi jaye ya khwab main koi ishara diya jaye, baaz martaba khawab main aa jata hai aur baaz martaba khawab main nahin ata.

Istikhara Ka Nateeja:

Baaz hazraat ka kehna hai ke istikhara karne ke baad khud insan ke dil ka rujhan aik taraf ho jata hai, bas jis taraf rujhan ho jaye woh kaam kar lay, aur bakasrat aisa rujhan ho jata hai. Lekin bilfarz agar kisi aik taraf dil main rujhan na bhi ho balkeh dil main kashmakash mojod ho tou bhi istikhara ka maqsad phir bhi hasil hai, is liye keh banda ke istikhara karne ke baas Allah Ta'ala  wohi kartay hain jo us ke haq main behtar hota hai. Is ke baad halaat aisay paida ho jatay hain phir wohi hota hota hai jis main banday ke liye khair hoti hai aur us ko pehle se pata bhi nahin hota. Baaz auqaat insan aik rastay ko bohat acha samajh raha hota hai lekin achanaq rukawatain paida ho jati hain aur Allah Ta'ala  us ko us banday se phair detay hain. Lihaza Allah Ta'ala istikhara ke baad asbaab aisay paida farma detay hain ke phir wohi hota hai jis main banday ke liye khair hoti hai. Ab khair kis main hai? Insan ko pata nahin hota lekin Allah Ta'ala faisla farma detay hain.


Tumhare Haq Main Yehi Behtar Tha:

Ab jub woh kaam ho gaya tou ab zahiri aitbar se baaz auqat aisa lagta hai ke jo kaam howa woh acha nazar nahin aa raha hai, dil ke mutabiq nahin hai, tou ab banda Allah se shiqwa karta hai ke Ya Allah main ne aap se mashwara aur istikhara kiya tha magar kaam woh ho gaya jo meri marzi aur tabiyat ke khilaf hai aur bazahir ye kaam acha malom nahin ho raha hai. Is par Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) farma rahe hain ke aray nadaan! tou apni mehdood aqal se soch raha hai keh ye kaam tere haq main behtar nahin howa, lekin jis ke ilm main sari kainaat ka nazaam hai woh janta hai ke tere haq main kya behtar tha aur kya behtar nahin tha, us ne jo kiya wohi tere haq main behtar tha. Baaz auqat dunya main tujhe pata chal jaye ga ke tere haq main kya behtar tha.