Tuesday, 26 February 2013

Fort Munro Hill Station Travel Guide Beautiful Places In Dera Gazi Khan

"Yahan tou koi nahin aata, aap kon si government se aye ho?" Fort Munro ke wirane main aik bazurg ne mujhe ajnabi jaan kar sawal kiya. "Main sair-o-sayahat ke liye aya hon."
"Lekin ghoomne ki jagah tou Lahore hai, aap wahan jao, wahan tou koi bhooka nahin marta, hum tou anaaj ke liye taras gaye hain."

Woh shayad batooni tha, us ne asman ki taraf dekhte howe kaha. "Sayeen hum tou ghulamon ke ghulam hain. Hamare alaqay par waderon ka qabza hai, is se pehle angreez thay, par woh khana tou dete thay. Hum ne baray lashkar main ja kar larai ki par kya faida howa sayeen? humain tou aaj tak khuch nahin mila.

Fort Munro ki choti si abadi main us shakhs ki baton main sub ka dard chupa tha. Yahan ke log baqi mulk se alag thalag zindagi guzarte hain.

Mausam sarma ki baraf bari ke liye Murree ke ilawa bohat kam log jante hain ke un ke paas aisi places bhi hain jo un ke qareev tar bhi hain aur jahan pohanchna intihai asaan bhi. Punjab aur Balochistan ke sangam par waqiya aik ghair maroof hill station Fort Munro aisa hi aik tourist point hai jahan june july main bhi thandi hawain istaqbal karti hain.

 Fort Munro D.G. Khan Picture

Janobi punjab ka ye wahid buland tareen muqaam hai jahan Dera Ghazi Khan, Multan, Muzaffargarh aur Rajanpur ki garmi se nikal kar Fort Munro sirf 3 se 4 hours main pohancha ja sakta hai, khasosan Dera Ghazi Khan se 80 km ke distance par hamari manzil khubsurat heeray ki tarah jhilmila rahi hai.

Sindh aur Karachi ke bashinday air conditioned coach ke zariye 600 - 700 rupay karaya de kar Rohri, Kashmore ke raste 10 se 12 hours main pohanch sakte hain. February ki khubsurat morning main ye safar aur bhi pyara ho jata hai. Sarson ki pehli khushbu mehsoor karne lagti hai. Raste main anay wale shehar khuch dair ke liye mood ko kharab kar dete hain magar zara dair baad hi ghanay darakhton aur kheeti bari ka silsila shuru ho jata hai.

Lake In Fort Munro Image

 Sar sabz baghat se guzarti bus jub dopehar ke khane ke liye rukti hai tou dil faraib fiza tourist ko Pakistan ki tareef karne par majboor kar deti hai. Barish ho to mausam aur bhi khubsurat ho jata hai aur phir Multan jesa shehar main bhi thandi hawain lehrati hain. Sham ki khunki main khajor ke darakhron ke saye bharh jate hain. Shehar ke maghrib main Koh-e-Suleman ka pahari silsila phela howa hai. Yahan aik hi waqt main sehra ki dhool urti hai tou dusri taraf darya-e-sindh main dolphin ka raqs nazar aata hai. Koh-e-Suleman ke mountains fog se bharne lagtay hain tou kabhi Sakhi Sarwar ka mazar mast kar deta hai.

Fort Munro jane wali sarak Quetta road kehlati hai. Is rastay par chotay qad ke pahar nazar atay hain jahan garmiyon ke mausam main tapish bohat zayada barh jati hai. Is raste main jagah jagah bridge banaye gaye hain warna barishon ke mausam main sari sarak beh jati hai aur traffic kayi din mautal rehti hai. Khuch dair baad hi Rakhi ka muqam aata hai yahan khajoron ke darakhton ke neechay khana badoshon ka qayam rehta hai. Ye log hairat angaiz toor par zameen khood kar us ke andar rehtay hain aur uper se khajor khi chaal aur pattay daal detay hain. Rakhi se aik aur pahari silsila shuru hota hai aur raste main anay wale mod intihai khatarnak lagne lagte hain. Baaz auqat Kaghan Naram aur Chitral ki sarkain yaad aa jati hain. Aik ke baad aik U Turn dekh kar khuch log wapsi ki rah laitay hain magar woh log jin ke dilon main umeed ke chiragh roshan rehaty hain, apni manzil ki taraf safar jari rakhte hain. Is jagah par jhukay howe khookhlay pathar gariyon par girtay rehtay hain aur kahin kahin rasta intihai dushwar guzar ho jata hai. Gari ke tire se gehri khai main pathar girne lagte hain. Is adventure ka apna aik lutf hai. Dusre raston ki tarah is road par bhi bohat sare maal bardar truck ahishta raftar se safar karte rehte hain. Ye Quetta to Dera fruite lay kar jatay hain. Ye driver apni jaan hatheli par rakh kar safar karte hain. Fort Munro se pehle khar ki pasti ajati hai. Yahan se gariyan Loralai tak safar karti hain magar is se pehle aik buland hota howa rasta Fort Munro ki taraf murta hai. Khar ke bazar main Kabaili Baloch chaye peetay nazar atay hain. Mehman un ke liye rehmat hain. Khar ke bazar main dumbay ka gosht intihai lazeez milta hai.

Yahan se adhay ghantay ke fasle par Fort Munro ke forests shuru ho jate hain. Saru ke darakhton se ghiri khubsurat saraf aik buland muqaam par ikhtitaam pazeer ho jati hai. Door tak pheelay junglat hairan kar dete hain aur pehla khayal yehi aata hai ke is ilaqay main tourism ke hawale se work kiya jaye tou log Murree bhool jayain magar sawal yehi paida hota hai ke is pasmanda khitay ki abyari karne wale log hi kitne hain. 7000 foot buland is muqaam par pohanchte hi tourist musarat deedni ho jati hai. Yahan rehne ke liye rest houses bhi hain jin ke rooms thande rehtay hain Dera aur Multan ki garmi ke sataye howe log is bulandi par aatay hi phool ki tarah khil uthtay hain. Yahan aik jheel bhi hai jisay Demas Lake kehtay hain. Sayah jub sham ke lamhon main utarte howe saye main yahan pohanchta hai tou mahol pur israr ho jata hai. Har taraf khamoshi ke is raj main kabhi kabhi parindon ki cheekhain sunai deti hain. Din jald hi dhal jata hai. Sardiyon ki raat hamesha udas kar deti hai. Hotels, Restaurants ki kami aur jadeed bazaar na hone ke baes bohat hi kam log yahan thehr pate hain.



 Wallpaper Fort Munro Pics

Raat ke is andhere main kabhi barf bhi girne lagti hai jis ki khubsurati dekhne wala koi nahin hota. Subah ki kirnain aik talismi manzar paish karti hain. Aftabi roshni main barf ka chirkao hairan kar deta hai. Sare trees, pahar aur Demas Jheel ke paas barf ki chadar par jati hai. Baraf se dhuli subha main jungli phoolon se tapakte shehad ki khushbu bharpur zindagi ka ehsas dilati hai. Bazaar se left side par aik kacha rasta park ki taraf nikalta hai. Yahan Munro ki qabar hai. Ye park aik unchay mukam par waqaya hai. Yahan se puri wadi ka khubsurat nazara kiya ja sakta hai. Targhol ke qareeb aik aabshar bhi hai jisay Payala Abshar kehtay hain. Jheel ki dusri taraf aik naya jungle shuru ho jata hai jis ki jhariyon main chupi rangeen chirya geet gane lagti hai. Ghoomte phirte sard aur barfeeli hawa ka ehsas jata rehta hai. Cheer ke darakhton talay Gora Kabristan main barf ki chadar bichi dikhai deti hai jahan aik baar phir General Munro ki qabar par nazar jati hai.

No comments:

Post a Comment