Showing posts with label Punjab. Show all posts
Showing posts with label Punjab. Show all posts

Wednesday, 27 February 2013

Lahore City History in Urdu Lahore Shehar Ki Tareekh Lahore Essay

Satah samandar se 706 foot bulandi par waqaya Lahore ke bare main Kanhaiyalal Hindi ne kaha tha ke Lahore 2000 saal se Punjab ka capital hai. 372 main Arabic mein likhi gayi kitab "hudood al ilm" jis ki english translation 1937 main London se shaya hoi us mein likha gaya hai ke Lahore shehar ke bohat se izla hain. "Lahore ke bare ba ronaq hain. Chilghozay, Badam aur Narial kasrat se paye jate hain."

Lahore ki bunyad  Ram Chandar ke baitay Laho ne rakhi thi. Jub Lahore barbad howa tou Punjab pa capital Sialkot ko bana diya gaya. 405 mein Sultan Mahmud Ghaznavi ne Anand Paul ko shikast de kar Lahore par qabza kar liya. Lahore par Ghauri khandan 582 hijri tak hukamran rahe. Yahan Shahabuddin Ghori khandan ke 12 afrad ne hakumat ki jin mein
Qutb-ud-din Aibak,
Aram Shah,
Shamsuddin
Rukn ud din
Feroz Shah
Razia Sultan
Behram Shah, wagera shamil thay. Ye khandan 689 hijri tak hukamrani karta raha is ke baad 721 hijri tak khaleeji khandan ke 4 hukamran is alaqay par hukamrani karte rahe.
 
Minar-e-Pakistan ka dil faraib nazara

 Badshahi Masjid

Lahore ki shohrat puri dunya mein us waqt hoi jub yahan Mughliya door ka aghaz howa. 1826 mein Mughal badshah Babar is alaqay par qabiz howa. Punjab main mughliya door-e-hakumat mein jis shehar ko sub se zayada ahmiyat di gayi aur jisay sub se zayada faida pohanchaya gaya woh Lahore hi tha.

Lahore har lihaz se aik tehzeebi aur saqafati shehar hai. Is ki tehzeeb aur saqafat hazaron saal purani hai aur jis tarah kisi bhi tehzeeb aur saqafati shehar ke mashoor hone ke bay shumar hawalay hote hain isi tarah Lahore ki shoshrat ke hawalay bhi beshumar hain. In hawalon main aik hawala fun pehalwani aur umda khanay hain. Fun pahelwani ka ye amal hai ke salha saal se is alaqay ke log dunya bhar mein pahalwani ke liye mashoor hain.

Old Lahore Picture
Lahore umda khanon ki wajah se saray alam main jana jata hai yahan international level ke hotels hain magar aik bari waziha daleel yahan par mojood shahi qila food street aur purani anar kali food street hai jahan par sham ke waqt lahore ke logon ke sath sath kafi tadad main beroni tourists bhi mojood hotay hain.

Yahan ke mashoor khanon mein Siri Paye, Tika Karahi, Murgh Boti, Biryani, Seekh Kabab, Qorma, Naan Chaney, Puri Halwa, Haleem, Chargha, Tali Hoi Machli wagera shamil hain.

Jis tarah dusre shehron mein rehnay wale Pakistani tehwar manatay hain isi tarah Lahore mein rehne wale bhi mukhtalif mowaqon par mukhtalif tehwar manatay hain. Farq itna hai ke dunya ke dusre shehron ke muqable mein Lahore mein dusre alaqon ke log zayada abad hain jis ki wajah se ye baat mashoor hai ke yahan haftay main 7 din aur 8 tehwar manaye jatay hain. Lahore ke festivals main se khuch famous lahore festivals ye hain.

1: Eid ul Fitr
2: Eid ul Adha
3: Eid Milad Un Nabi (S.A.W)
4: Basant (Jashn-e-Baharaan)
5: Iqbal Day
6: Shab-e-Barat
7: Lailatul Qadr
8: Shab-e-Miraj
9: Youm-e-Azadi
10: Youm-e-Takbir
11: Youm-e-Difa
12: Mela Chiraghan

Ye melay government ki sarparasti mein hote hain. Khaas toor par Basant ka mela tou Lahore mein bohat purana tehwar hai. Is tehwar ka intzar sara saal kiya jata hai aur is tehwar ke liye taqreeban dunya ke tamam mumalik se log Lahore ka rukh karte thay magar ab is tehwar par  jan lewa ho janay ki wajah se pabandi laga di gayi. Ye kite flying festival taqreeban 24 ghantay jari rehta tha. Isi doraan fiza basanti geeton, muskurahaton aur bo kata ki awazon se goonjti rehti thi. Har taraf khushi nazar ati thi. Is tehwar par tarah tarah ke khanon ka intzam kiya jata tha. Chaton par larkay aur larkiyan basanti libas pehnay patang bazi karte aur bhangre dalte howe nazar atay thay. Asman tarah tarah ki rang barangi patangon se dhaka hota tha. Paich laranay ke muqablay hote thay magar mazay ki baat ye hai ke un muqablon mein jeetne wala jis qadar khush hota tha, haarne wala bhi usi qadar khush nazar ata tha. Ye basant tehwar puri mein se bohat saray logon ko Lahore ko anay par majbor kar deta tha.

 Beautiful Spring Flowers In Lahore Garden

Lahore Pakistan ka dusra bara shehar hai jo ke punjab ka darul hukumat hai. Ye aik tareekhi shehar hai jo ke 1000 bars se alaqay ka saqafti, siyasi aur muashi markaz hai. Lahore ko kayi tareekhi amaraton, masjidon, maqbaron aur baghat ki wajah se bhi almi shohrat hasil hai. In mein Jahangir ka maqbara, Shahi Qila, Shalamar Bagh, Badshahi masjid numayan hein. Isshehar mein kayi bazurgon ke mazaraat waqaya hain jin mein Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali Hajweri (r.a), Hazrat Mian Mir (r.a), Hazrat Sarkar Madhoo Lal Hussain (r.a), Hazrat Shah Abul Muali (r.a), Hazrat Syed Miran Mauj Darya Bukhari (r.a) shamil hain.


View Of Lahore Canal Mughalpura
 
Shair-e-mashriq Allama Iqbal ka mazar bhi Badshahi Masjid ke samne waqaya hai. Lahore city darya-e-ravi ke mashriqi kinare par abad hai. Lahore ka mojoda shehar kayi jadeed bastiyon aur amaraton se arasta ho chuka hai. In main Johar Town Lahore, Bahria Town, Model Town, Gulberg, Defence, Green Town, Sabzazar, numayan hain. Lahore shehar ki famous places main Allama Iqbal International Air Port, Ajaib Ghar, Punjab University, Bagh-e-Jinah, Shalamar Bagh, Minar-e-Pakistan, Maal Road, Anar Kali, Fortress Stadium, Liberty wagera shamil hain. Is shehar ki jadeediat main izafa Lahore Metro Bus System ne kiya hai jisay haal hi mein Turkey ke tawan se tameer kiya gaya hai.

Historical Lahore City

Lahore mein bijli 1929 ya 1939 main ayi thi us zamane mein Ravi darya aur pankhay ki hawa par ahl-e-lahore garmiyan guzar dete thay. Darya-e-Ravi ki wajah se Lahore ki ratain thandi hoti thien. Lahore shehar mein tange chala kartay thay, bhainson ko bhi shehar main ghomnay phirne ki azadi thi is wajah se lahore ki kafi sarkain saaf nahin rehti thien lekin maal road har rooz dopehar ke waqt dhoyi jati thi. Dopehar ke waqt yahan jub bagh-e-jinah nisbatan khali hota hai tab darakhton ki bhari tehniyon par khubsurat parinday baithay dikhayi detay hain.

 Shab-e-Miraj par sajayi hoi lahore ki aik masjid ka khubsurat manzar
Maal road par lage howe darakht bahar ki amad ka pata detay howe


Lahore shehar main Qiyam-e-Pakistan se pehle ki aik bus service chali thi Omni Bus purishehar us par safar kiya karta tha. Paidal chalne ki adat aam thi. Cycle bhi har aik ke paas nahin hoti thi. Mujhe aik bazurg ke bataya ke woh Data Darbar se Baghban Pura paidal jaya karte thay. Cycle ke ilawa tanga sawari thi. Lahore shehar ishq aur ashqi ki kayi dastanon ka shehar bhi hai.

 
Race Cource Park - Jilani Park Lahore  
 Lahore Railwat Station

Yahan angrezon ke daur ka aik purana rail ka nazaam bhi hai aur usi zamane ki bani hoi railway station ki building bhi hai jo aaj bhi apni tameer ke hawale se aik alag muqam rakhti hai aur main aaj usi railway station ki imarat mein baitha rail gari ka intzar kartay howe yehi soch raha hon ke is shehar main qiyam-e-Pakistan ke baad se ab tak kitna khuch badal gaya hai magar yahan ki trainon ka waqt par na ana aaj bhi nahin badla.

Tuesday, 26 February 2013

Fort Munro Hill Station Travel Guide Beautiful Places In Dera Gazi Khan

"Yahan tou koi nahin aata, aap kon si government se aye ho?" Fort Munro ke wirane main aik bazurg ne mujhe ajnabi jaan kar sawal kiya. "Main sair-o-sayahat ke liye aya hon."
"Lekin ghoomne ki jagah tou Lahore hai, aap wahan jao, wahan tou koi bhooka nahin marta, hum tou anaaj ke liye taras gaye hain."

Woh shayad batooni tha, us ne asman ki taraf dekhte howe kaha. "Sayeen hum tou ghulamon ke ghulam hain. Hamare alaqay par waderon ka qabza hai, is se pehle angreez thay, par woh khana tou dete thay. Hum ne baray lashkar main ja kar larai ki par kya faida howa sayeen? humain tou aaj tak khuch nahin mila.

Fort Munro ki choti si abadi main us shakhs ki baton main sub ka dard chupa tha. Yahan ke log baqi mulk se alag thalag zindagi guzarte hain.

Mausam sarma ki baraf bari ke liye Murree ke ilawa bohat kam log jante hain ke un ke paas aisi places bhi hain jo un ke qareev tar bhi hain aur jahan pohanchna intihai asaan bhi. Punjab aur Balochistan ke sangam par waqiya aik ghair maroof hill station Fort Munro aisa hi aik tourist point hai jahan june july main bhi thandi hawain istaqbal karti hain.

 Fort Munro D.G. Khan Picture

Janobi punjab ka ye wahid buland tareen muqaam hai jahan Dera Ghazi Khan, Multan, Muzaffargarh aur Rajanpur ki garmi se nikal kar Fort Munro sirf 3 se 4 hours main pohancha ja sakta hai, khasosan Dera Ghazi Khan se 80 km ke distance par hamari manzil khubsurat heeray ki tarah jhilmila rahi hai.

Sindh aur Karachi ke bashinday air conditioned coach ke zariye 600 - 700 rupay karaya de kar Rohri, Kashmore ke raste 10 se 12 hours main pohanch sakte hain. February ki khubsurat morning main ye safar aur bhi pyara ho jata hai. Sarson ki pehli khushbu mehsoor karne lagti hai. Raste main anay wale shehar khuch dair ke liye mood ko kharab kar dete hain magar zara dair baad hi ghanay darakhton aur kheeti bari ka silsila shuru ho jata hai.

Lake In Fort Munro Image

 Sar sabz baghat se guzarti bus jub dopehar ke khane ke liye rukti hai tou dil faraib fiza tourist ko Pakistan ki tareef karne par majboor kar deti hai. Barish ho to mausam aur bhi khubsurat ho jata hai aur phir Multan jesa shehar main bhi thandi hawain lehrati hain. Sham ki khunki main khajor ke darakhron ke saye bharh jate hain. Shehar ke maghrib main Koh-e-Suleman ka pahari silsila phela howa hai. Yahan aik hi waqt main sehra ki dhool urti hai tou dusri taraf darya-e-sindh main dolphin ka raqs nazar aata hai. Koh-e-Suleman ke mountains fog se bharne lagtay hain tou kabhi Sakhi Sarwar ka mazar mast kar deta hai.

Fort Munro jane wali sarak Quetta road kehlati hai. Is rastay par chotay qad ke pahar nazar atay hain jahan garmiyon ke mausam main tapish bohat zayada barh jati hai. Is raste main jagah jagah bridge banaye gaye hain warna barishon ke mausam main sari sarak beh jati hai aur traffic kayi din mautal rehti hai. Khuch dair baad hi Rakhi ka muqam aata hai yahan khajoron ke darakhton ke neechay khana badoshon ka qayam rehta hai. Ye log hairat angaiz toor par zameen khood kar us ke andar rehtay hain aur uper se khajor khi chaal aur pattay daal detay hain. Rakhi se aik aur pahari silsila shuru hota hai aur raste main anay wale mod intihai khatarnak lagne lagte hain. Baaz auqat Kaghan Naram aur Chitral ki sarkain yaad aa jati hain. Aik ke baad aik U Turn dekh kar khuch log wapsi ki rah laitay hain magar woh log jin ke dilon main umeed ke chiragh roshan rehaty hain, apni manzil ki taraf safar jari rakhte hain. Is jagah par jhukay howe khookhlay pathar gariyon par girtay rehtay hain aur kahin kahin rasta intihai dushwar guzar ho jata hai. Gari ke tire se gehri khai main pathar girne lagte hain. Is adventure ka apna aik lutf hai. Dusre raston ki tarah is road par bhi bohat sare maal bardar truck ahishta raftar se safar karte rehte hain. Ye Quetta to Dera fruite lay kar jatay hain. Ye driver apni jaan hatheli par rakh kar safar karte hain. Fort Munro se pehle khar ki pasti ajati hai. Yahan se gariyan Loralai tak safar karti hain magar is se pehle aik buland hota howa rasta Fort Munro ki taraf murta hai. Khar ke bazar main Kabaili Baloch chaye peetay nazar atay hain. Mehman un ke liye rehmat hain. Khar ke bazar main dumbay ka gosht intihai lazeez milta hai.

Yahan se adhay ghantay ke fasle par Fort Munro ke forests shuru ho jate hain. Saru ke darakhton se ghiri khubsurat saraf aik buland muqaam par ikhtitaam pazeer ho jati hai. Door tak pheelay junglat hairan kar dete hain aur pehla khayal yehi aata hai ke is ilaqay main tourism ke hawale se work kiya jaye tou log Murree bhool jayain magar sawal yehi paida hota hai ke is pasmanda khitay ki abyari karne wale log hi kitne hain. 7000 foot buland is muqaam par pohanchte hi tourist musarat deedni ho jati hai. Yahan rehne ke liye rest houses bhi hain jin ke rooms thande rehtay hain Dera aur Multan ki garmi ke sataye howe log is bulandi par aatay hi phool ki tarah khil uthtay hain. Yahan aik jheel bhi hai jisay Demas Lake kehtay hain. Sayah jub sham ke lamhon main utarte howe saye main yahan pohanchta hai tou mahol pur israr ho jata hai. Har taraf khamoshi ke is raj main kabhi kabhi parindon ki cheekhain sunai deti hain. Din jald hi dhal jata hai. Sardiyon ki raat hamesha udas kar deti hai. Hotels, Restaurants ki kami aur jadeed bazaar na hone ke baes bohat hi kam log yahan thehr pate hain.



 Wallpaper Fort Munro Pics

Raat ke is andhere main kabhi barf bhi girne lagti hai jis ki khubsurati dekhne wala koi nahin hota. Subah ki kirnain aik talismi manzar paish karti hain. Aftabi roshni main barf ka chirkao hairan kar deta hai. Sare trees, pahar aur Demas Jheel ke paas barf ki chadar par jati hai. Baraf se dhuli subha main jungli phoolon se tapakte shehad ki khushbu bharpur zindagi ka ehsas dilati hai. Bazaar se left side par aik kacha rasta park ki taraf nikalta hai. Yahan Munro ki qabar hai. Ye park aik unchay mukam par waqaya hai. Yahan se puri wadi ka khubsurat nazara kiya ja sakta hai. Targhol ke qareeb aik aabshar bhi hai jisay Payala Abshar kehtay hain. Jheel ki dusri taraf aik naya jungle shuru ho jata hai jis ki jhariyon main chupi rangeen chirya geet gane lagti hai. Ghoomte phirte sard aur barfeeli hawa ka ehsas jata rehta hai. Cheer ke darakhton talay Gora Kabristan main barf ki chadar bichi dikhai deti hai jahan aik baar phir General Munro ki qabar par nazar jati hai.