Showing posts with label Pakistan. Show all posts
Showing posts with label Pakistan. Show all posts

Thursday, 19 February 2015

Karachi History In Urdu Karachi Tourist Places Sandspit Beach

Karachi History In Urdu: Tareek batati hai ke 1947 mein Pakistan ki azadi ke waqt karachi ko mulk ka darul hakumat muntakhib kiya gya tha. Lekin baad mein Islamabad ko darul hukumat ka darja de diya gya. Karachi ki tareekh Unan aur Arab ke door se shuru hoi. Arabic people is alaqa ko bandargah Debal ke naam se jantay thay. British tareekh dan Eliet ke mutabiq Karachi ke chand alaqay aur jazeera Manora, Debal mein shamil thay.
Karachi History In Urdu: 
1775 tak karachi Khan Kalat ki mumlikat ka hisa tha. Us saal Sindh ke hukmaranon aur Khan Kalat ke darmiyan jang chir gyi aur Karachi par Sindh ki hukumat ka qabza ho gya. Is ke baad shehar ki bandargah ki kamyabi aur zayada bare mulk ki tijarat ka markaz ban jane se Karachi ki population mein izafa hua. Is taraqi ne jahan aik taraf kayi tabqa ke logon ko Karachi ki taraf khencha balkeh angreezon ki nigahain bhi is shehar ki taraf uthien.

Phir angreezon ne 3 february 1839 mein Karachi par hamla kiya aur us par qabza kar liya 3 saal ke baad shehar ko Bartanwi Hindustan ke sath ilhaq kar ke aik zila ki haisiyat de di. Phir 1876 mein Karachi mein Bani Pakistan ki paidaesh hoi. Us waqt tak Karachi aik taraqi yafta shehar ki surat ikhtyar kar chuka tha. Jis ka inhsar shehar ke railway station aur bandargah par tha. Karachi ahista ahista aik bari bandargah ke gird aik tijarati markaz banta gya. 1880 ki dahai mein rail ki patri ke zariye Karachi ko baqi Hindustan se jora gya. 1899 mein Karachi mashriqi dunya ka sub se bara gandam ki dar amad ka markaz tha.

1947 mein Karachi ko Pakistan ka capital banaya gya. Us waqt shehar ki abadi sirf 4 lack thi. Apni nayi haisiyat ki wajah se shehar ki abadi mein kafi teezi se izafa hua aur shehar apne sare khitay ka markaz ban gya. 1947 se 1953 tak Karachi Pakistan ka darul hukumat raha phir Karachi ki bohat teezi se barhti abadi aur mu'eeshat ki wajah se darul hukumat ko kisi dusre shehar mein muntaqil karne ka socha gya. 1958 mein us waqt ke sadar Ayub Khan ne Rawalpindi ke qareeb aik jagah Islamabad par taraqiyati kamon ka aghaz kar diya. Akhir kar 1968 mein darul hukumat ko Islamabad muntaqil kar diya gya.

Karachi Pakistan ka ab bhi sub se bara shehar aur maroof sanati aur tijarati markaz hai. Karachi aik almi markaz ki shakal mein bhi samne araha hai. Haal hi mein yahan ki ronaqain bad amni ki wajah se mutasir hoi jis ki wajah se roshniyon ka shehar bad amni ki wajah se berozgari ka shikar ho raha hai.

Karachi Tourist Spots: Pakistan ke dusre bare shehron ki tarah is city mein bhi bohat sari aisi khubsurat places hain jahan par tourists pure Pakistan atay hain. Karachi tourism ke liye yahan ki mashoor place ye hain.

Clifton Beach: Garmiyon ke mausam mein yahan ana ho tou Clifton Beach aik behtareen jagah hai kyoun ke ye samandar ka sahil hai is liye yahan par chalti hoi thandi hawayain sayahon ke liye aik haseen naimat se kam nahin hain.

Sandspit Beach: Ye khubsurat jagah bhi sayahat ke liye aik behtareen jagah samjhi jati hai, yahan rozana door daraz se log qudrat ke haseen nazaron, pani ki lehron aur thandi hawaon se mehsoor honay atay hain. Ghair mulki sayahon ke liye bhi ye aik ideal jagah hai. Yahan ka saaf pani swimmers aur boating ko pasand karne walon ke liye attraction ka baes hai.

Hiran Minar History In Urdu Information Hiran Minar Pictures Sheikhupura In Urdu

Hiran Minar Ki Tarikh Hiran Minar Pictures: Hiran minar Pakistan ki tareekhi emarat mein se aik mashoor imarat hai jo apne khas mahal e qaqu, mahool , kushadgi, fan tameer aur wajah tameer ki wajah se khas shoshrat ki hamil hai. kaha jata hai ke jahan geer badshah ne apne hiran hans rah ke marnay ke baad aik yadgar minar tameer karwaya takay us ke paltu aur azeez hiran ki yaad hamesha qaim rahe aur tareekh mein us hiran ko aik khas muqam hasil ho jaye.


Thursday, 23 May 2013

Hunza Valley in Urdu Hunza Valley Travel Guide Hunza Nagar

Beautiful Hunza Valley: Gilgit se thoray faslay par hunza valley shuru hoti hai. Nothern Areas ki ye beautiful valley jisay dekhne dunya bhar se tourists garmiyon mein khas kar bari tadad main atay hain. Hunza khubsurat aur historical place hai yahan tourists ke liye bunyadi zarooriyat ki taqreeban har cheez mojood hai. Gilgit se taqreeban 24 hours ke distance par us khubsurat wadi ka sadar muqam Kareem Abad hai aur sub se pehle Rakaposhi ka haseen manzar nazron ko apni taraf kheench laita hai. Baraf posh pahar jis ke daman mein har qisam ke lazeez khanon aur raat guzarne ke liye hotels mojood hain. Agar room na milay tou apne tent laga kar bhi qayam kiya ja sakta hai. 14th ka chand ho ya din ko asman saaf ho tou Rakaposhi ka manzar bohat pyara lagta hai.

 
Jub bhi Hunza jana ho Rakaposhi ke daman mein thori dair ke liye ruk kar aur khubsurat manzar ko apne camera, dil aur dimagh mein mehfooz kiya jaye tou ye nazara pure safar ki thakan door kar sakta hai. Rakaposhi ka nazara aap kayi jagahon se kar sakte hain magar us ke daman mein kefiyat hi khuch aur hai. Hunza Valley mein jagah jagah tourists ke liye hotel aur cafe mojood hain. Hunza ke fruits aur khas kar saib (apple) bohat famous hain. Yahan ke people bhi bohat khubsurat hain, surkh gulab jese chehre, parhay likhay, jagah jagah schools aur hospitals hain. Yahan par log alaqay ki taraqi aur khushali ke liye sciency bunyadon par hukumat aur NGO's ka sath dete hain. Yahan aap community participation ke aisay aisay kaam dekhain gey jo aap ko shayed kahin aur na milain.
Hunza ke qareeb aik chotay se village mein logon ne apne liye pul (bridge), school, bijli aur degar bunyadi zarooriyat ki cheezain apni madad aap ke teht bana rakhi hain aur woh kisi cheez ke liye kisi ke mohtaj nahin. Hunza jatay howe saib ke baghat safar ko aur bhi haseeb bana dete hain. Karakoram highway ki construction se alaqay ki development mein izafa hota raha. Hunza Kareem Abad se agey chalte hain tou rastay mein beshumar khubsurat village atay hain. Hunza kareem abad ke samne Nagar ka area hai Kareem Abad ki nisbat yahan log parhe likhay kam hain magar log bare mehman nawaz hain.
 
Hunza Nagar se agey shumal ki wadi ati hai. Yahan se hote howe aap Susat ke muqam par pohanch jate hain. Jahan China se anay wale saman par custom lagta hai aur custom clearance ke baad ye Gilgit ata hai. Hunza mein mewa jat aur qudarti husn beshumar hai, isi wajah se Hunza ne Pakistan ki sahayat mein numayan muqam hasil kar rakha hai.

Wednesday, 27 February 2013

Lahore City History in Urdu Lahore Shehar Ki Tareekh Lahore Essay

Satah samandar se 706 foot bulandi par waqaya Lahore ke bare main Kanhaiyalal Hindi ne kaha tha ke Lahore 2000 saal se Punjab ka capital hai. 372 main Arabic mein likhi gayi kitab "hudood al ilm" jis ki english translation 1937 main London se shaya hoi us mein likha gaya hai ke Lahore shehar ke bohat se izla hain. "Lahore ke bare ba ronaq hain. Chilghozay, Badam aur Narial kasrat se paye jate hain."

Lahore ki bunyad  Ram Chandar ke baitay Laho ne rakhi thi. Jub Lahore barbad howa tou Punjab pa capital Sialkot ko bana diya gaya. 405 mein Sultan Mahmud Ghaznavi ne Anand Paul ko shikast de kar Lahore par qabza kar liya. Lahore par Ghauri khandan 582 hijri tak hukamran rahe. Yahan Shahabuddin Ghori khandan ke 12 afrad ne hakumat ki jin mein
Qutb-ud-din Aibak,
Aram Shah,
Shamsuddin
Rukn ud din
Feroz Shah
Razia Sultan
Behram Shah, wagera shamil thay. Ye khandan 689 hijri tak hukamrani karta raha is ke baad 721 hijri tak khaleeji khandan ke 4 hukamran is alaqay par hukamrani karte rahe.
 
Minar-e-Pakistan ka dil faraib nazara

 Badshahi Masjid

Lahore ki shohrat puri dunya mein us waqt hoi jub yahan Mughliya door ka aghaz howa. 1826 mein Mughal badshah Babar is alaqay par qabiz howa. Punjab main mughliya door-e-hakumat mein jis shehar ko sub se zayada ahmiyat di gayi aur jisay sub se zayada faida pohanchaya gaya woh Lahore hi tha.

Lahore har lihaz se aik tehzeebi aur saqafati shehar hai. Is ki tehzeeb aur saqafat hazaron saal purani hai aur jis tarah kisi bhi tehzeeb aur saqafati shehar ke mashoor hone ke bay shumar hawalay hote hain isi tarah Lahore ki shoshrat ke hawalay bhi beshumar hain. In hawalon main aik hawala fun pehalwani aur umda khanay hain. Fun pahelwani ka ye amal hai ke salha saal se is alaqay ke log dunya bhar mein pahalwani ke liye mashoor hain.

Old Lahore Picture
Lahore umda khanon ki wajah se saray alam main jana jata hai yahan international level ke hotels hain magar aik bari waziha daleel yahan par mojood shahi qila food street aur purani anar kali food street hai jahan par sham ke waqt lahore ke logon ke sath sath kafi tadad main beroni tourists bhi mojood hotay hain.

Yahan ke mashoor khanon mein Siri Paye, Tika Karahi, Murgh Boti, Biryani, Seekh Kabab, Qorma, Naan Chaney, Puri Halwa, Haleem, Chargha, Tali Hoi Machli wagera shamil hain.

Jis tarah dusre shehron mein rehnay wale Pakistani tehwar manatay hain isi tarah Lahore mein rehne wale bhi mukhtalif mowaqon par mukhtalif tehwar manatay hain. Farq itna hai ke dunya ke dusre shehron ke muqable mein Lahore mein dusre alaqon ke log zayada abad hain jis ki wajah se ye baat mashoor hai ke yahan haftay main 7 din aur 8 tehwar manaye jatay hain. Lahore ke festivals main se khuch famous lahore festivals ye hain.

1: Eid ul Fitr
2: Eid ul Adha
3: Eid Milad Un Nabi (S.A.W)
4: Basant (Jashn-e-Baharaan)
5: Iqbal Day
6: Shab-e-Barat
7: Lailatul Qadr
8: Shab-e-Miraj
9: Youm-e-Azadi
10: Youm-e-Takbir
11: Youm-e-Difa
12: Mela Chiraghan

Ye melay government ki sarparasti mein hote hain. Khaas toor par Basant ka mela tou Lahore mein bohat purana tehwar hai. Is tehwar ka intzar sara saal kiya jata hai aur is tehwar ke liye taqreeban dunya ke tamam mumalik se log Lahore ka rukh karte thay magar ab is tehwar par  jan lewa ho janay ki wajah se pabandi laga di gayi. Ye kite flying festival taqreeban 24 ghantay jari rehta tha. Isi doraan fiza basanti geeton, muskurahaton aur bo kata ki awazon se goonjti rehti thi. Har taraf khushi nazar ati thi. Is tehwar par tarah tarah ke khanon ka intzam kiya jata tha. Chaton par larkay aur larkiyan basanti libas pehnay patang bazi karte aur bhangre dalte howe nazar atay thay. Asman tarah tarah ki rang barangi patangon se dhaka hota tha. Paich laranay ke muqablay hote thay magar mazay ki baat ye hai ke un muqablon mein jeetne wala jis qadar khush hota tha, haarne wala bhi usi qadar khush nazar ata tha. Ye basant tehwar puri mein se bohat saray logon ko Lahore ko anay par majbor kar deta tha.

 Beautiful Spring Flowers In Lahore Garden

Lahore Pakistan ka dusra bara shehar hai jo ke punjab ka darul hukumat hai. Ye aik tareekhi shehar hai jo ke 1000 bars se alaqay ka saqafti, siyasi aur muashi markaz hai. Lahore ko kayi tareekhi amaraton, masjidon, maqbaron aur baghat ki wajah se bhi almi shohrat hasil hai. In mein Jahangir ka maqbara, Shahi Qila, Shalamar Bagh, Badshahi masjid numayan hein. Isshehar mein kayi bazurgon ke mazaraat waqaya hain jin mein Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali Hajweri (r.a), Hazrat Mian Mir (r.a), Hazrat Sarkar Madhoo Lal Hussain (r.a), Hazrat Shah Abul Muali (r.a), Hazrat Syed Miran Mauj Darya Bukhari (r.a) shamil hain.


View Of Lahore Canal Mughalpura
 
Shair-e-mashriq Allama Iqbal ka mazar bhi Badshahi Masjid ke samne waqaya hai. Lahore city darya-e-ravi ke mashriqi kinare par abad hai. Lahore ka mojoda shehar kayi jadeed bastiyon aur amaraton se arasta ho chuka hai. In main Johar Town Lahore, Bahria Town, Model Town, Gulberg, Defence, Green Town, Sabzazar, numayan hain. Lahore shehar ki famous places main Allama Iqbal International Air Port, Ajaib Ghar, Punjab University, Bagh-e-Jinah, Shalamar Bagh, Minar-e-Pakistan, Maal Road, Anar Kali, Fortress Stadium, Liberty wagera shamil hain. Is shehar ki jadeediat main izafa Lahore Metro Bus System ne kiya hai jisay haal hi mein Turkey ke tawan se tameer kiya gaya hai.

Historical Lahore City

Lahore mein bijli 1929 ya 1939 main ayi thi us zamane mein Ravi darya aur pankhay ki hawa par ahl-e-lahore garmiyan guzar dete thay. Darya-e-Ravi ki wajah se Lahore ki ratain thandi hoti thien. Lahore shehar mein tange chala kartay thay, bhainson ko bhi shehar main ghomnay phirne ki azadi thi is wajah se lahore ki kafi sarkain saaf nahin rehti thien lekin maal road har rooz dopehar ke waqt dhoyi jati thi. Dopehar ke waqt yahan jub bagh-e-jinah nisbatan khali hota hai tab darakhton ki bhari tehniyon par khubsurat parinday baithay dikhayi detay hain.

 Shab-e-Miraj par sajayi hoi lahore ki aik masjid ka khubsurat manzar
Maal road par lage howe darakht bahar ki amad ka pata detay howe


Lahore shehar main Qiyam-e-Pakistan se pehle ki aik bus service chali thi Omni Bus purishehar us par safar kiya karta tha. Paidal chalne ki adat aam thi. Cycle bhi har aik ke paas nahin hoti thi. Mujhe aik bazurg ke bataya ke woh Data Darbar se Baghban Pura paidal jaya karte thay. Cycle ke ilawa tanga sawari thi. Lahore shehar ishq aur ashqi ki kayi dastanon ka shehar bhi hai.

 
Race Cource Park - Jilani Park Lahore  
 Lahore Railwat Station

Yahan angrezon ke daur ka aik purana rail ka nazaam bhi hai aur usi zamane ki bani hoi railway station ki building bhi hai jo aaj bhi apni tameer ke hawale se aik alag muqam rakhti hai aur main aaj usi railway station ki imarat mein baitha rail gari ka intzar kartay howe yehi soch raha hon ke is shehar main qiyam-e-Pakistan ke baad se ab tak kitna khuch badal gaya hai magar yahan ki trainon ka waqt par na ana aaj bhi nahin badla.

Tuesday, 26 February 2013

Fort Munro Hill Station Travel Guide Beautiful Places In Dera Gazi Khan

"Yahan tou koi nahin aata, aap kon si government se aye ho?" Fort Munro ke wirane main aik bazurg ne mujhe ajnabi jaan kar sawal kiya. "Main sair-o-sayahat ke liye aya hon."
"Lekin ghoomne ki jagah tou Lahore hai, aap wahan jao, wahan tou koi bhooka nahin marta, hum tou anaaj ke liye taras gaye hain."

Woh shayad batooni tha, us ne asman ki taraf dekhte howe kaha. "Sayeen hum tou ghulamon ke ghulam hain. Hamare alaqay par waderon ka qabza hai, is se pehle angreez thay, par woh khana tou dete thay. Hum ne baray lashkar main ja kar larai ki par kya faida howa sayeen? humain tou aaj tak khuch nahin mila.

Fort Munro ki choti si abadi main us shakhs ki baton main sub ka dard chupa tha. Yahan ke log baqi mulk se alag thalag zindagi guzarte hain.

Mausam sarma ki baraf bari ke liye Murree ke ilawa bohat kam log jante hain ke un ke paas aisi places bhi hain jo un ke qareev tar bhi hain aur jahan pohanchna intihai asaan bhi. Punjab aur Balochistan ke sangam par waqiya aik ghair maroof hill station Fort Munro aisa hi aik tourist point hai jahan june july main bhi thandi hawain istaqbal karti hain.

 Fort Munro D.G. Khan Picture

Janobi punjab ka ye wahid buland tareen muqaam hai jahan Dera Ghazi Khan, Multan, Muzaffargarh aur Rajanpur ki garmi se nikal kar Fort Munro sirf 3 se 4 hours main pohancha ja sakta hai, khasosan Dera Ghazi Khan se 80 km ke distance par hamari manzil khubsurat heeray ki tarah jhilmila rahi hai.

Sindh aur Karachi ke bashinday air conditioned coach ke zariye 600 - 700 rupay karaya de kar Rohri, Kashmore ke raste 10 se 12 hours main pohanch sakte hain. February ki khubsurat morning main ye safar aur bhi pyara ho jata hai. Sarson ki pehli khushbu mehsoor karne lagti hai. Raste main anay wale shehar khuch dair ke liye mood ko kharab kar dete hain magar zara dair baad hi ghanay darakhton aur kheeti bari ka silsila shuru ho jata hai.

Lake In Fort Munro Image

 Sar sabz baghat se guzarti bus jub dopehar ke khane ke liye rukti hai tou dil faraib fiza tourist ko Pakistan ki tareef karne par majboor kar deti hai. Barish ho to mausam aur bhi khubsurat ho jata hai aur phir Multan jesa shehar main bhi thandi hawain lehrati hain. Sham ki khunki main khajor ke darakhron ke saye bharh jate hain. Shehar ke maghrib main Koh-e-Suleman ka pahari silsila phela howa hai. Yahan aik hi waqt main sehra ki dhool urti hai tou dusri taraf darya-e-sindh main dolphin ka raqs nazar aata hai. Koh-e-Suleman ke mountains fog se bharne lagtay hain tou kabhi Sakhi Sarwar ka mazar mast kar deta hai.

Fort Munro jane wali sarak Quetta road kehlati hai. Is rastay par chotay qad ke pahar nazar atay hain jahan garmiyon ke mausam main tapish bohat zayada barh jati hai. Is raste main jagah jagah bridge banaye gaye hain warna barishon ke mausam main sari sarak beh jati hai aur traffic kayi din mautal rehti hai. Khuch dair baad hi Rakhi ka muqam aata hai yahan khajoron ke darakhton ke neechay khana badoshon ka qayam rehta hai. Ye log hairat angaiz toor par zameen khood kar us ke andar rehtay hain aur uper se khajor khi chaal aur pattay daal detay hain. Rakhi se aik aur pahari silsila shuru hota hai aur raste main anay wale mod intihai khatarnak lagne lagte hain. Baaz auqat Kaghan Naram aur Chitral ki sarkain yaad aa jati hain. Aik ke baad aik U Turn dekh kar khuch log wapsi ki rah laitay hain magar woh log jin ke dilon main umeed ke chiragh roshan rehaty hain, apni manzil ki taraf safar jari rakhte hain. Is jagah par jhukay howe khookhlay pathar gariyon par girtay rehtay hain aur kahin kahin rasta intihai dushwar guzar ho jata hai. Gari ke tire se gehri khai main pathar girne lagte hain. Is adventure ka apna aik lutf hai. Dusre raston ki tarah is road par bhi bohat sare maal bardar truck ahishta raftar se safar karte rehte hain. Ye Quetta to Dera fruite lay kar jatay hain. Ye driver apni jaan hatheli par rakh kar safar karte hain. Fort Munro se pehle khar ki pasti ajati hai. Yahan se gariyan Loralai tak safar karti hain magar is se pehle aik buland hota howa rasta Fort Munro ki taraf murta hai. Khar ke bazar main Kabaili Baloch chaye peetay nazar atay hain. Mehman un ke liye rehmat hain. Khar ke bazar main dumbay ka gosht intihai lazeez milta hai.

Yahan se adhay ghantay ke fasle par Fort Munro ke forests shuru ho jate hain. Saru ke darakhton se ghiri khubsurat saraf aik buland muqaam par ikhtitaam pazeer ho jati hai. Door tak pheelay junglat hairan kar dete hain aur pehla khayal yehi aata hai ke is ilaqay main tourism ke hawale se work kiya jaye tou log Murree bhool jayain magar sawal yehi paida hota hai ke is pasmanda khitay ki abyari karne wale log hi kitne hain. 7000 foot buland is muqaam par pohanchte hi tourist musarat deedni ho jati hai. Yahan rehne ke liye rest houses bhi hain jin ke rooms thande rehtay hain Dera aur Multan ki garmi ke sataye howe log is bulandi par aatay hi phool ki tarah khil uthtay hain. Yahan aik jheel bhi hai jisay Demas Lake kehtay hain. Sayah jub sham ke lamhon main utarte howe saye main yahan pohanchta hai tou mahol pur israr ho jata hai. Har taraf khamoshi ke is raj main kabhi kabhi parindon ki cheekhain sunai deti hain. Din jald hi dhal jata hai. Sardiyon ki raat hamesha udas kar deti hai. Hotels, Restaurants ki kami aur jadeed bazaar na hone ke baes bohat hi kam log yahan thehr pate hain.



 Wallpaper Fort Munro Pics

Raat ke is andhere main kabhi barf bhi girne lagti hai jis ki khubsurati dekhne wala koi nahin hota. Subah ki kirnain aik talismi manzar paish karti hain. Aftabi roshni main barf ka chirkao hairan kar deta hai. Sare trees, pahar aur Demas Jheel ke paas barf ki chadar par jati hai. Baraf se dhuli subha main jungli phoolon se tapakte shehad ki khushbu bharpur zindagi ka ehsas dilati hai. Bazaar se left side par aik kacha rasta park ki taraf nikalta hai. Yahan Munro ki qabar hai. Ye park aik unchay mukam par waqaya hai. Yahan se puri wadi ka khubsurat nazara kiya ja sakta hai. Targhol ke qareeb aik aabshar bhi hai jisay Payala Abshar kehtay hain. Jheel ki dusri taraf aik naya jungle shuru ho jata hai jis ki jhariyon main chupi rangeen chirya geet gane lagti hai. Ghoomte phirte sard aur barfeeli hawa ka ehsas jata rehta hai. Cheer ke darakhton talay Gora Kabristan main barf ki chadar bichi dikhai deti hai jahan aik baar phir General Munro ki qabar par nazar jati hai.

Monday, 14 January 2013

Hotel Rates in Swat Distance From, Swat Telephone Numbers Area Code Zip

Ye kis qadar bad kismati ki baat hai ke Pakistan main Swat mojod hai magar log yahan anay se katra rahay hain. Ye haqeeqat hai ke khuch arsa pehle tak swat jung ki zad main tha, picnic points main werani thi, schools bamon seura diye jatay thay magar pak army ke mukamal operation ke baad is ki ronaqain bahal ho chuki hain, Darya ki rawani main machliyon ka raqs jari hai.

Spring Season ke in days main unchay alaqon main fruites aur flowers ki mahek phaili hoi hai aur sub se barh kar sarkon ki tameer ka kaam jari hai. Ye sarkain jung aur us ke baad tabah kun flood ke baes intihai toot phoot ka shakar thien, Aaj yahan traffic rawan dawan, security ka system intihai chokas hai, jis ke baes muqami afrad pehle se khush hain. Mingora aur Saidu Sharif ki streets aur mohallon main logon ki amd-o-raft jari hai.

Bay Fikri se shopping karti swat ki khawateen ki amad shuru hain. In chuttiyon main sub se behtar tourist point ke toor par swat ka intikhab na sirf aap ko balkeh muqami afrad ke liye bhi musarrat ka baes ho ga kyoun keh tourists ki bharpur amad se hi un ka guzara hota hai.

Swat aik khubsurat muqaam hai jahan jo qudarti nazaron se mohabbat karnay walon ke liye lajawab place hai. Swat ki History bhi yahan ke khubsurat sar sabz paharon ki tarah kashiah rakhti hai. Swat ke har sayahti muqam par har mayar ke hotel tourusts ko qayam-o-ta'aam ki sahulat faraham karnay ke liye mojod hain. 

Guest Houses Rest House Hotel Rates In Swat Valley:

Hotel main raat ko qayam ke rent 300, 400 rupees se lay kar 3000 se 5000 pak rupees tak hain. Ye aap par munhasir hai ke aap ka budget kya hai aur aap kis tarah ki sahulatain aur mayaar pasand kartay hain. Middle Class jarjau ke tourists hotel aam toor par 1500 se 2000 rupees daily par available hain. Aik waqt ke khany ke nurkh 50 rupees se 500 rupees tak ho saktay hain. Swat ka sub se maqbol aur cheap khana chapli kabab aur tanduri naan hain jin ki 2 shops taqreeban har shehar aur district main mojod hain. 

Swat Valley

All Hotel List In Swat:

1) Serena Hotel Swat Telephone 0946-711637-41

2) Rock City Hotel Fizagat, Mingora 0946-813731-35


3) PTD Hotel Saidu Sharif 0946-9240157


4) White Palace Hotel, Marghzar 0946-865270


5) Swat Continental Hotel, Makanbagh Mingora Swat 0946-711399


6) Swat Regency Hotel 0946-816444


7) Mountain Inn Guest House, Manglor 0946-835402


8) PTDC Hotel, Miandam 0946-9240157


9) Sangam Hotel, Kalam 0946-830015, 83016


10) Walnut Heights Kalam 0946-830222, 830111


11) Jungle Inn Hotel Kalam 0946-830282, 830272


Mingora Main Chand Qabil Aitbar Rent-A-Car In Swat:

  • City Rent-A-Car ph no 0946-729293, telenor mobile number 0345-9512008 
  • Swat Rent-A-Car Phone Number 0946-700325, 0301-8537508 
  • Zahid Hussain Rent a car 0302-8571994

More Important Phone Numbers of Swat:

1) PTDC Tourist Information Center, Saidu Sharif: 0946-9240159 

2) DCP Swat: 0946-9240340 

3) Police Station, Mingora: 0946-9240382 

4) Police Station Saidu Sharif: 0946-9240398 

5) Central Hospital, Saidu Sharif: ...................... 

6) Deewo Bus Service Mingora: 0946-729102-6 

7) Skyways Bus Service, Mingora Telephone Number: 0946-862244

8) TCKP Tourist Information Center, Peshawar 

9) PTDC Tourist Information Center, Rawalpindi ph 051-9272017-18 

10) PTDC Tourist Information Center, Islamabad 051-9202766, 8202760 

11: Sawat Musuem: 0946-9240305 

Swat Area Code 946
Important Travel Information For SWAT Valley
Places Distancese Time Road Conditions
Peshawar to Mingora 151 km 3-1/2 Hours Achi Pukhta Road
Islamabad to Mingora 247 km 5 Hours Good
Mingora to Saidu Sharif 2 km 5 min Good
Mingora to Malam Jabba 45 km 2-1/2 Hours Pukhta road par chand jagah kharab hai
Mingora to Marghzar 13 km 30 min Sarak pukhta par khuch jagah se kharab
Mingora to Miandam 56 km 2 hours Pukhta road par chand jagah kharab hai
Mingora to Madin 56 km 2-1/2 hours Pukhta road par chand jagah kharab hai
Mingora to Bahrain 66 km 3 hourss Jeep Road
Mingora to Kalam 96 km 6 to 7 hours Is sarak par jeep ke zariye jaya ja sakta hai
Mingora to Ushu 08 km 1 hour Pukhta road par chand jagah kharab hai
Mingora to Mahudhand 27 km 2-1/2 hours Jeep Road
Mingora to Atrot 16 km 2 hours Jeep Road

Thursday, 3 January 2013

Fizagat Marghazar Valley in the Heaven of Khybar Pakhtunkhwa

Murghzar saidu sharif se aik zaili sarak darya-e-Saido ke sath sath aap ko Marghazar lay jati hai jo taqreeban 13km ke distance par waqaya hai. Marghazar 4222 foot ki unchai par aik dilkash aur pur fiza muqam hai. Yahan walai swat ka sarmai mehal hai jo keh swat ki sub se haseen building hai. Sang-e-mar mar se bani ye safaid emarat chandni main nahati hoi mehsoos hoti hai. Ab is emarat ko aik hotel main tabdeel kar diya gaya hai aur ye sakon pasand sayahon ke liye yaqeenan aik behtareen jagah hai. Is emarat ke aqab main saidu darya uper se behta howa ata hai. Akhrot aur chanar ke ghane darakhton ke bheechon bheech darya ka shafaaf pani pathron se takra kar girta hai tou sayahon ka dil moh laita hai. Agar aap Koh Noordi ke shoqeen hain tou is darya ke sath sath uper ki taraf chalte howe door tak ja sakte hain. Ye rasta Aylaam ki choti tak jata hai jo keh hindu mat ke pairokaron ke liye aik bohat muqaddas muqam hai. Magar yaad rahe keh is raste par jane ke liye muqami guide yani swat ke quide ko sath lay jana behad zaroori hai.
Marghazar Swat
Marghazar janay walay raston main kayi dihaat aur gaon atay hain jin main Mian baba, batora, Islampur numayan hain.
 Peaches of Swat Fruits
Ye elaqa na sirf apni khubsurati ki wajah se mashoor hai balkeh yahan qudarti wasail (Natural Resources) bhi kafi tadad main paye jatay hain jin main sang-e-mar mar ki kayi iqsam mojod hain aur isi pathar se yahan aik historal building white palace ke name se mashoor hai jahan mulk ke door darz elaqon se sayah bari tadad main rukh kartay hain aur qudrat ke haseen manazir se lutf andoz hotay hain.

Mingora Swat, Mingora Hotels, Mingora Travel Pictures

 Mingora buland paharon main aik khubsurat city hai. Ye shehar darya-e-swat ke kinare abad hai. Yahan tourists ke liye dilkash aur pur fiza muqamat hain jin main saidu sharif hai. Saidu sharif to Mingora distance 2 km hai. Mingora se 2 km ka safar tay karne ke baad madeen, bahrain road par Fizagat main picnic manane ke liye aik haseen park hai jis main qudarti manzar intihai shandar hain.

Mingora valley swat ka sub se baronaq, masroof aur wusat pazeer shehar hai. Ye shehar guzashta 2000 saal se is elaqay ka sub se aham tijarati parkaz (Business Center) chala araha hai. Din ke waqt is shehar ke bazar main kafi gehma gehmi rehti hai. Jahan rozmarah istimal ki ashiya ke elawa muqami dastkariyan, karhay howe malbusaat, qabaeli tarz ke chandi ke zewarat, swati patti ki garam jackets, shawls, aur caps sale hoti hain. Is ke elawa ghair mulki saaz-o-saman ki bhi kayi shops mojod hain.
Swat Valley lake
Yahan bus aur wegan ka aik bara adda bhi mojod hai jahan se din raat mulk ke degar sheharon ke liye gariyan rawana hoti hain. Mingora main qayam ke liye sastay mehngay har darjay ke hotels mojod hain. Shehar se thoray hi fasle par Fizagat Park Darya-e-Swat ke kinare par waqaya hai. Ye jagah sham ki tafreh ke liye bohat mozoon hai.
Hotels in Swat, Swat Chair Lift
 Fizagat ke gird-o-nawah ke elaqay main kayi ache hotel waqaya hain jin main Rock City Resort Hotel Swat sub se numayan hai.
Nature beauty of Mingora swat
 Mingora City main chote bare kafi restaurants bhi mojod hain jahan tourists Swat ka famous food Chapli Kabab aur Tanduri Naan se lutf andoz ho sakte hain. Is ke elawa fresh fruits, Dry Fruits aur Juice ki shops par bhi logon ka hajom laga rehta hai. Shehar se taqreeban 3 km ke fasle par River Swat ki dusri taraf Kabal ke muqam par aik khubsurat Golf Course bhi mojod hai. Yahin qareeb hi swat ka airport waqaya hai. Aaj kal ye Hawai Ada commercial flights ke liye band hai, magar imkan hai ke jald hi Islamabad aur Peshawar ke liye flights ka silsila dobara bahal ho jaye ga.

Tuesday, 1 January 2013

Tourism Ayubia National Park Travel Guide Ayubia Wildlife

Ayubia pohanchne ke baad aap yahan Ayubia chair lift ka safar kar sakte hain. Ayubia chair lift Asia ki pehli chair lift hai jo field marshal President Ayub khan ke door main 1962 main lagayi gayi. Ayubia chair lift se top tak taqreeban 20 minutes ka safar hai. Ayubia main hotels bhi mojod main jahan aap khane ke ilawa raat bhi guzar sakte hain. Ayubia se taqreeban 20 minutes ke safar par aap Changla Gali pohanch sakte hain, jahan rest house aur private houses bhi rehayesh ke liye mil jatain hain.
Ayubia National Park: Ayubia National Park sehat afza muqam hai aur mulk ke famous pahari silsile galyat main waqaya hai. Ye park Nathia Gali aur Changli ke darmiyan Abbottabad Murree Road ke mashriq main 33 muraba km ke raqbay par phaila howa hai. Ye park galiyat ke alaqay Bagan, Bakot aur darwaza ke junglaat par mushtamil hai. Park 1984 main 4000 ayker raqbay par qaim kiya gaya, 1998 main park ke raqbe ko double kar diya gaya. Chand saal pehle park ke area ko mazeed parhaya gaya.


Ayubia ki wajah shohrat yahan ki pehli chair lift hai jo 1962 main nisb hoi, isi wajah se is jagah ko Ayubia ka name diya gaya. Chair lift tourists ko park ke mukhtalif hison ka nazara karati hai. Is park main silsila galyat ki 2 masghoor aur unchi chotiyan hain, Merajani jo satah samandar se 9930 aur mushkpuri 9400 foot buland hain qudrat ke haseen manazir ka nazara karati hain, yahan ghoomne ke liye mukhtalif park bhi hain jin main Green Spot, Nathia Gali Park, ke ilawa mukhtalif track bhi hain. Jin main Lalazar ta mushkpuri track jo 8400 foot bulandi par hain. Is ki lambai taqreeban 1 1/2 km hai, track sar karne ka osat waqt taqreeban 3 hours hai.

Ayubia Weather: Is park ka climate garmiyon main bhi sard rehta hai lekin sardiyon main intihai thanda ho jata hai. Winter main is park ko snow apni lapait main lay laiti hai aur har taraf safaid rang ke Ayubia ke is pyare se bagh ko pariyon ke jahan main badal deta hai.

Ayubia Wildlife: Is park main 100 se zayada kisam ke plants paye jatay hain. In main bohat se plants aisay hain jo saanp ke zehar ko nikalne, shugar ke ilaj aur andruni infections ke ilaj ke liye bohat mufeed hain.

Park ki bandargahon par 200 se zayada iqsam ke parinday Ayubia ki hawaon main urtay rehtay hain aur qudarti mahool main jeenay ka haseen ehsaas paida kartay hain. Yahan bohat sare animals bhi paye jate hain jin main lomri (fox), cheeta wagera. Is park ke purane darakhton par bohat sari gulehriyan bhi nazar ati hain.

Ayubia Tourism: Ayubia ke ird gird 7 gaon aur 4 bare qasbay bhi hain aur sath hi sath yahan bohat sare hotels bhi hain.
How To Reach Ayubia National Park: Yahan par pohanchna koi mushkil kaam nahin hai public transport aur apni gari ke zariyan yahan asani se pohancha ja sakta hai. Agar Abbottabad se yahan ana ho tou is jagah ka distance wahan se 34 aur murree to ayubia distance 30 km hai.

Tourism Nathia Gali Hotels Rates Guest House Nathia Gali Travel Guide

Nathia Gali ka shumar mulk ke haseen sayahti muqamat main hota hai. Jahan hazaron mulki aur ghair mulki sayah mausam garma main yahan ka rukh kartay hain. Yahan ke ghanay junglat, khubsurat wadiyan aur neem barfani sabzazar bhi qudrat ki karigari ka munh bolta sabot hai. Mausam garma ke ilawa yahan mausam sarma main bhi pahar tourists ko apni taraf khainchtay hain jub yahan har taraf darakht aur pahar barf se dhak jatay hain.
 Governers House Nathia Gali Wallpaper
 small houses on the mountains of nothern areas of Pakistan
 Beautiful clouds wallpaper of khyber pakhtunkhwa
 Moneys in Nathiagali
Sardiyon main baraf bari aur shadeed sardi ki wajah se tourists ki tadad kam ho jati hai. Jis ki wajah se yahan par karobari sargarmiyan sirf mausam garma main dekhnay main ati hain.

Yahan logon ki amdani ki inhsar tourism par hai aur ye season sirf 3 se 4 months tak mushtamil hai. Is liye in dinon yahan mehngayi hoti hai.

Yahan aap ke budget ke mutabiq normal aur expensive hotels mojod hain. Jin main aap 200 se 2000 rupees tak aik waqt ka khana kha saktay hain.

Is baat ka inhisar aap ke budget par hai aap kis level ke hotel ka intikhab kartay hain.

Khane main yahan Nathia Gali ka roast bara famous hai. Yahan residence ke liye kafi tadad main hotel available hain. Jin main aap apne budget ke mutabiq hotel ya shandar nathiagali ke guest house main raat guzar sakte hain.

Tourism season main yahan guest houses ke rates arooj par hote hain. Kisi bhi preshani se bachnay ke liye Nathia Gali amad se pehle apna hotel book karwa lain. Nathia Gali main july aur august ke months main rush ho jata hai.
Trees of nathia gali

Yahan mukhtalif rest house bhi mojod hain jo federal government aur provincial government ke under hain. Aap mutalqa adare se in rest houses ki booking karwa sakte hain. Nathiagali main aap camping bhi kar sakte hain. Travel season main agar tourists ke rush ki wajah se aap ko nathia gali ke hotels main jagah na milay tou aap Abbottabad main kisi bhi hotel ya guest house main theher saktay hain. Nathia Gali to abbottabad thandiani distance sirf 45 minute ka hai. Lekin ye baat bhi such hai ke Nathia Gali ka weather bhi bohat haseen hai jis ne is jagah ki taraf sayahon ko umad anay par majbor kar rakha hai. Yahan june july ke weather main bhi aap ko garam clothes hi zaroorat parti hai. Agar aap apne sath bachon ko bhi la rahe hain tou garam libas sath lana na bhulain. Agar aap kisi taleemi adare ya university ki taraf se mutaliati doray par Nathia Gali arahe hain tou aap University of Peshawar ke summer camp bara gali main reh saktay hain, jis ke liye aap ko Peshawar University ke provost office peshawar se paishgi ijazat nama laina ho ga.
 Picnic point in nathia gali resorts
Nathia Gali 5 star hotel Elites phone number 0992 355045-6 for reservations

Nathia Gali anay ke liye aap mukhtalif rastay ikhtiyar kar sakte hain jin main public transport ki behtar facilities muyasar hain. Yahan anay ke liye aap 2 raste ikhtiyar kar sakte hain Abbottabad to Nathia Gali aur Murree to Nathia Gali. tono taraf se apka safar pahari alaqay ka hai aap ko safar ko doran apne ird gird murree ke beautiful mountains nazar ayain gey. Agar aap apni car par arahay hain tou aap ki gari intihai achi halat main honi chahiye aur car ki tamam tool kit rawangi se pehle check kar lain.
 fascinating Sunset in Nathia Gali
 snowfall in nathiagali snapshots
 nathia gali tourism

 Road to nathia gali track
Pakistan airforce bace kala bagh

Nathia Gali Map
Nathiagali se taqreeban 2 km par Dunga Gali hai. Jahan dunya ke chand track main se aik khubsurat track Donga gali Ayubia track hai. Is Ayubia ke track ko Pipeline Track bhi kehte hain. Is track ki musafat 3 se 4 km hai, jisay walk karne wale afrad sirf 30 minutes main tay kar sakte hain. Agar aap ke sath chotay bache hain tou aap car par bhi Ayubia ja sakte hain ye safar 40 minutes ka hai. 

Friday, 28 December 2012

Earthquake Lake Zalzal Jheel Travel Guide Ajk Zalzala Jheel Pictures

8 october 2005 ke tabah kun zalzalay ke natijay main Azad Kashmir ke mukhtalif alaqay shadeed mutasir howe jin main wadi neelum ke 4 gaon (villages) Karli, Bhat Sher, Lodhi Abad aur padar ke gaon jin paharon par abaad thay woh pahariyan toot kar darmiyan se guzartay nalay main ja girien jis ke natijay main ye jheel wajod main ayi is jheel ko zalzala ki munasbat se Zalzal Jheel ka naam diya gaya hai.
 Earthquake Lake Zalzal Jheel Zalzala Wallpaper
all these zalzal lake photos by engrshehzadshafi


 Earthquake Lake
Wallpaper Zalzala Lake
Pahar tootnay se jheel ka jo band bana hai is band main ab bhi 500 afraad dabay howe hain is liye ye jheel humain 8 october 2005 ke zalzala ki yaad dilati hai. Chakar Sudhan Gali road par gaon karli se 8 km ke faslay par ye jheel pahari alaqay ke qudarti manazar ko aur bhi dilkash banati hai. Jheel par kashti rani ki sahulat mojood hai. Is jheel par pohanchnay ke liye barasta chakar ke elawa jhelum valley ke tehseel headquarter Hattian Bala se bani hafiz ke rastay bhi pohancha ja sakta hai. Zalzaal Jheel ke sath hi aik aur choti jheel bhi hai jo ke Bani Hafiz ke rastay hi dekhi ja sakti hai. Agar aap hattian bala se is jagah par pohanchna chahian tou fasla 12 km ka hai. Domail Baradari se is zalzaal lake ka distance 46 km hai aur Muzaffarabad se bhi fasla 46 km hai.