Sunday, 13 January 2013

Pakistan Super League Fixtures PSL Schedule T20 Cricket Match

Pakistan cricket board ne 100 million dollars ki investment se Pakistan super league PSL karanay ka elaan kiya hai. Pakistan ne PSL T-20 league ka baira utha kar mulk main international cricket ki bahali ki janib lambay safar ka pehla qadam uthaya. Event ke logo ke manzar aam par anay se umeed ho chuki hai ke PCB ki jadojehd rang lanay wali hai. Indian Premier League Ipl , Bangladesh aur Sri Lanka League ki tarz par is T-20 Tournament ko PCB mulk main international cricket ki wapsi ki taraf paish qadmi qarar de raha hai. PCB ka dawa hai ke super league main dunya ke saf-e-awwal ke cricketers hisa lain gey. International players ki taraf se acha response samne aya hai. PCB ke chairman ne thursday ko lahore main aik pur waqar taqreeb main Pakistan Super League karanay ka elaan kiya aur tournament ke logo ki runumai ki. 


Pakistan Super League 2013 Fixtures:

26 March se 7 April tak lahore main ho gi jis main ghair mulki cricket stars jagmagayain gey. 5 Teamain majmui toor par 23 match khailain gi, har team main 6 International 10 Pakistani aur 2 emerging players shamil hon gey. IPL ki tarz par ye taurnament baray paimanay par karanay ki koshish ho rahi hai. Shuru main 5 teamain hisa lain gi baad main unhain barha kar 3 saal main 8 kar diya jaye ga. 20-20 se Pakistan main na sirf cricket ko farogh diya jaye ga balkeh is se mulk main international cricket ki bahali main bhi madad milay gi. PSL ki iftitahi taqreeb 23 March ko ho gi. 

PSL Format:

Tournament double league system ke teht ho ga. hat team dusri team se 2 - 2 match khailay gi. Is tournament se Pakistani players ko baray khalariyon ke sath khailnay ka bhi moqa milay ga.

2013-2014 Limited Edition Gli & Gli Automatic Price Toyota Avanza Pictures

 Wine Red Gli Photo


Toyota Corolla, Japanese auto manufacture ki mini cars aur micro cars category main sub se zayada numayan hai. Jis ki shuruwat 1966 main hoi thi. Tab se aaj tak shayad hi aisa howa ho keh is ki maqbuliat ka grapf kabhi neechay gaya ho.

1997 main corolla dunya ki sub se bari aur sub se zayada sale honay wali cars kehlayien. Jis ne kafi famous names ko peechay choor diya aur aaj agar aap is ki maqbuliat dekhna chahain tou aap dunya ke kisi bhi hisay main chalay jayain aap ko toyota corolla ke baray main koi bhi bata sakta hai. Corolla darasal Toyota ke rawaiti namon main se aik hai jis ka matlab "Crown" yani taj hai. Start main Toyota ne 1958 ne jo model banaya ye mukamal toor par aik floop model tha. 1964 main toyota ne apna aik aur model Carona mutaraf karwaya jis ne pehli dafa hi main 6400 farokht dien, Ye namaki ke baad aik nayi kamyabi aur behtar ibtida thi. 1969 main toyota ne pehli baar Corolla mutarif karwaya aur 1985 tak ye USA main bannay wali pehli corolla ke toor par maqbuliat hasil karti rahi.
  Toyota Avanza Price 21 lack 60 thousand pak rupees

1975 main corolla ne Volkswagen German car bananay wali company ke mutaliq bataya. 1989 main toyota ne LS 400 ko introduce karwaya ye mumkina toor par aik bari kamyabi thi. 1997 main toyota ne Prius Gas Electric Hybrid Car ko numayesh ke liye paish kiya. Is ke baad Camry Solar Camry, Lexus ES, Ko mutarif karwaya lekin in main kisi na kisi tarah ki choti choti kharabiyan samne ati rahien. Taham is ke sath sath toyota waqtan fa waqtan apne model corolla ko bhi mutarif karata raha hai. Corolla ka pehla model october 1966 main mutarif karaya gaya jo 1100cc engine ke sath tha. 1970 main E20 ke naye style ke sath 1600cc aur 1400cc tak ki range ke engine ke sath is car ko introduce karaya gaya aur isi saal saprinter aur corolla ko introduce karaya gaya. Corolla E30 jabkeh sprinter ko E40 ke codes diye gaye. 1976 main corolla ke codes ko E50 se badal diya gaya. Waqt ke sath sath honay wali tabdeeliyan corolla ko mazeed behtar banati rahien aur aaj corolla apni 11th generation mutarif kara raha hai. Toyota Corolla ne 2013 main apna naya model Gli and Gli Automatic Special Limited Edition ko introduce karwaya hai aur is main 9 colours available hain is car ki price youn hai
2013 Gli Automatic Price: 1,825,000 Pak Rupees and Corolla Gli Special Edition 1,849,000 Pak Rupess

How To Drive a Car in Urdu Learn Online Driving Training Manual Automatic

  
Learn Driving Step by Step
1: Sub se pehle darj zail tasweeron ka mutaliya karain aur in sub ko apne zehan main mehfooz kar lain kyoun keh ye sari cheezain aap ko aik car main nazar ayain gi jub aap ye kar chukay tou ab dusre step ki taraf ajayain.
2: Is baat ka itminaan karain keh car hand brake jo keh gear ke paas hi mojod hota hai nichli position main na ho matlab agar woh neechay hai tou uska matlab hai jesay hi hum car ko start karain gey tou car automatically agey peechay ho sakti hai. Jesa keh tasweer main ye nichli position main hai. Aur aik khaas baat ye keh jub bhi aap car start kiya karain matlab rook dain aur phir car chalani na ho tou usi waqt hand brake ko uper ki taraf khainch lain. Is se ye fayeda ho ga keh agar kisi na'hamwaar jagah par na ho tou car agey peechay nahin ho gi lekin agar hum hand brake ko neechay hi rakhain gey tou yaqeenan car agey peechay automatically ho sakti hai lihaza aap is baat ka itminaan karain.
3: Car start karnay ke liye is main mojod chabi (key) ghumayain aur 1 se 2 second aik hi position main rakhain his se car start ho jaye gi. Tasweer se madad li ja sakti hai.

4: Aur jub car start karain tou gear ko neutral main rakhain neutral main lay janay ke liye gear ko agey peechay karain aur phir center main la kar choor dain ye yaqeen karnay ke liye keh aya neutral bhi howa hai ke nahin agar gear lose nahin hai matlab aik jagah atka howa hai tou iska matlab hai woh neutral main nahin hai aur agar woh lose hai aur bohat easily se agey peechay ho sakta hai tou ye neutral ki elamat hai.

5: Cluch ko full dabayain matlab itna daba hona chahiye keh agar hum dabayain tou dabay nahin aur ab gari ko 1st gear main dalain iske liye tasweer ki madad li ja sakti hai.

 5: Ab cluch ko slowly chorain aur race ahishta ahishta dabayain is se car ahishta chalnay lagey gi jub car puri tarah chalne lagey tou cluch ko choor dain lekin yaad rahay race par se bhi pain hata dain/ Ab agar hum car ki speed ko barhana chahtay hain tou dobara cluch full dabayain aur 2nd gear main lay jayain jesa keh tasweer main namayan kiya gaya hai.
6: Isi tarah 3rd gear main lay janay ke liye gear ko thora sa uper karain aur phir thoora sa hi seedhay hath ki taraf karain aur ab seedha auper lay jayain. Lekin yaad rahay jub bhi gear badalna maqsood ho cluch ko full dabayain aur phir gear badlain agar cluch ko na dabaya gaya tou nuqsan ka andesha hai yani car ki cluch plates jal sakti hain.

Car Prices in Pakistan 2015 Honda Civic 2014 Price Specs Interior

Maximize miles with the Civic HF. Or get gone in an Si. Or think purer thoughts in a Civic Hybrid or the clean-burning Civic Natural Gas. The new Civic offers possibilities as diverse and different as people themselves.

For 2014, Every Civic is sleeker and not just for style points, the smooth new shape is also more aerodynamic, enhancing fuel efficiency

We all have our own idea of good, clean fun. Some get diggy squeezing the last drop of go out of a gallon. So they opt for the Civic Hybrid. Or maybe the new Civic HF. Take your pick. Each is gifted with enought fuel-saving technology for fewer fill-ups.



Saturday, 12 January 2013

Istikhara Method In Urdu Tareeqa Istikhara Ka Tarika Dua


Istikhara Ka Tarika aur Istikhara Ki Dua: "Istikhara" ka masnoon tareeqa ye hai ke aadmi 2 rakat nafal istikhara ki niyat se parhay. Niyat ye karay keh mere samne 2 rastay hain, in main se jo rasta mere haq main behtar ho, Allah Ta'ala us ka faisla farma dain. Phir 2 rakat parhay.
 Istikhara Dua In English

Aur namaz se baad istikhara ki masnoon dua parhay jo Hazoor (SAW) ne talqeen farmayi hai.Ye bari ajeeb dua hai, Paighambar hi ye dua mang sakta hai aur kisi ke bas ki baat nahin, agar insan ayri choti ka zoor laga laita tou bhi aisi dua kabhi na kar sakta jo Nabi Kareem S.A.W ne talqeen farmaye. woh istikhara ki dua ye hai.
 
Istikhara Dua

What is istikhara? Istikhara Kya Hai? Kisi ahem mamlay main Allah se khair aur bhalayi talab karnay ko istikhara kehtay hain maslan Shadi, safar, job naya business start karna wagera kyoun keh insan ko malom nahin keh konsi cheez us ke liye khair aur konsi shar sabat ho gi. 
 
Urdu Translation Of Istikhara Dua:

Aay Allah! main aap ke ilm ka wasta de kar Aap se khair talab karta hon aur Aap ki qudrat ka wasta de kar main achai par qudrat talab karta hon. Aap ghaib ko jan'nay wale hain. Aay Allah! Aap ilm rakhtay hain, main ilm nahin rakhta. Yani ye mamla mere haq main behtar hai ya nahin, is ka ilm Aap ko hai mujhe nahin. Aap qudrat rakhtay hain aur mere andar qudrat nahin. Ya Allah! agar Aap ke iml main hai ke ye mamla (Is moqa par us mamla ka tasawar dil main laye jis ke liye istikhara kar raha hai) Mere haq main behtar hai. Mere deen ke liye bhi behtar hai, meri muash aur dunya ke aitbar se bhi behtar hai aur injam kar ke aitbar se bhi behtar hai tou is ko mere liye muqaddar farma dijiye aur is ko mere liye asaan farma dijiye aur is main mere liye barkat paida farma dijiye.Aur agar Aap ke ilm main ye baat hai ke ye mamla mere haq main bura hai, mere deen ke haq main bura hai ya meri dunya aur muash ke haq main bura hai ya mere anjam kar ke aitbar se bura hai tou is kaam ko mujh se phair dijiye aur mujhe is se phair dijiye, aur mere liye khair muqaddar farma dijiye jahan bhi ho. Yani agar ye mamla mere liye behtar nahin hai tou is ko tou choor dijiye aur is ke badle jo kaam mere liye behtar ho us ko muqaddar farma dijiye phir mujhe us par razi bhi kar dijiye aur us par mutmaen bhi kar dijiye.

2 rakat nafal parhnay ke baad Allah Ta'ala se ye dua kar li jaye tou bas istikhara ho gaya.

Istikhara Ka Waqt:

Baaz log ye samajhtay hain ke istikhara hamesha raat ko sotay waqt hi karna  chahiye ya Isha ki namaz ke baad hi karna chahiye. Aisa koi zaroori nahin balkeh jab bhi moqa milay us time kar lain. Na raat ki koi qaid hai aur na din ki koi qaid hai, na sonay ki koi qaid hai aur na jagnay ki koi qaid hai.

Istikhara Ka Khawab Ana Zaroori Nahin:

Baaz log ye samajhtay hain ke istikhara karne ke baad khwab aye ga aur Istikhara dream ke zariye humain bataya jaye ga keh ye kaam karo ye kaam na karo. Yaad rakhain! Khawab ana koi zaroori nahin ke khawab main koi baat zaroor batayi jaye ya khwab main koi ishara diya jaye, baaz martaba khawab main aa jata hai aur baaz martaba khawab main nahin ata.

Istikhara Ka Nateeja:

Baaz hazraat ka kehna hai ke istikhara karne ke baad khud insan ke dil ka rujhan aik taraf ho jata hai, bas jis taraf rujhan ho jaye woh kaam kar lay, aur bakasrat aisa rujhan ho jata hai. Lekin bilfarz agar kisi aik taraf dil main rujhan na bhi ho balkeh dil main kashmakash mojod ho tou bhi istikhara ka maqsad phir bhi hasil hai, is liye keh banda ke istikhara karne ke baas Allah Ta'ala  wohi kartay hain jo us ke haq main behtar hota hai. Is ke baad halaat aisay paida ho jatay hain phir wohi hota hota hai jis main banday ke liye khair hoti hai aur us ko pehle se pata bhi nahin hota. Baaz auqaat insan aik rastay ko bohat acha samajh raha hota hai lekin achanaq rukawatain paida ho jati hain aur Allah Ta'ala  us ko us banday se phair detay hain. Lihaza Allah Ta'ala istikhara ke baad asbaab aisay paida farma detay hain ke phir wohi hota hai jis main banday ke liye khair hoti hai. Ab khair kis main hai? Insan ko pata nahin hota lekin Allah Ta'ala faisla farma detay hain.


Tumhare Haq Main Yehi Behtar Tha:

Ab jub woh kaam ho gaya tou ab zahiri aitbar se baaz auqat aisa lagta hai ke jo kaam howa woh acha nazar nahin aa raha hai, dil ke mutabiq nahin hai, tou ab banda Allah se shiqwa karta hai ke Ya Allah main ne aap se mashwara aur istikhara kiya tha magar kaam woh ho gaya jo meri marzi aur tabiyat ke khilaf hai aur bazahir ye kaam acha malom nahin ho raha hai. Is par Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) farma rahe hain ke aray nadaan! tou apni mehdood aqal se soch raha hai keh ye kaam tere haq main behtar nahin howa, lekin jis ke ilm main sari kainaat ka nazaam hai woh janta hai ke tere haq main kya behtar tha aur kya behtar nahin tha, us ne jo kiya wohi tere haq main behtar tha. Baaz auqat dunya main tujhe pata chal jaye ga ke tere haq main kya behtar tha.

Friday, 11 January 2013

Hair Falling Solution Tips urdu best Shampoo & Conditioners

Rukhay aur kamzor balon se kon preshan nahin hota. khaas toor par sardi ka mausam rukhay bay jaan balon ke liye wabal-e-jaan sabat hota hai. Lekin chand mufeed tadabeer ikhtiyar kar ke khushk aur kamzor balon ko ghana mazboot aur chamakdar banaya ja sakta hai.


1: Gheelay balon ko suljhanay ki koshish na karain kyoun keh gheelay baal fori toot jatay hain.

2: Khushk balon ke liye bareek kanghi intimal na karain. Bareek kanghi se balon par shadeed zoor parta hai aur baal us main ulajhna ke baes toot jatay hain. Kanghi ke bajaye hair brush use karain.

3: Rozana shampoo use na karain kyoun keh shampoo ka zayada istimal balon main mojood natural oil aur nami ko khatam kar deta hai jis se baal rukhay aur kamzoor ho jatay hain.

4: Dry hairs ke liye tayar kiye gaye shampoo main Zinc Pyrithione aur Selenium sulfide lotion shamil hain jo na sirf dry hairs ko nami faraham kartay hain balkeh un ki nashonuma main bhi ahem kardar ada kartay hain.

5: Shampoo ke baad conditioner ka istemal zaroor karain. Is se aap ke baal na sirf chamakdar aur khubsurat nazar ayain gey balkeh ab hum unhain asani se sanwar bhi saktay hain.

Thursday, 10 January 2013

Hajj Tawaf Khana Kaba Live Tv Streaming Live Kaaba Umrah Taraweeh Makkah

Hazrat Adam A.S behisht se zameen par tashreef laye tou Bargah-e-Elahi main arz kiya keh Khudaya main yahan na tou Malaika ki Tasbeeh aur takbeer sunn sakta hon aur na koi ibadat gah dekhta hon jesa keh asman main Bait al Ma'mur dekhta tha jis ke ird gird Malaika tawaaf kartay thay. Jawab Elahi aya keh jao jahan hum nishan batayain wahan Kaaba bana kar us ke ird gird tawaaf bhi kar lou aur us ki taraf namaz bhi ada karo. 

Complete History Of Khana Kaba:

Hazrat Jibraeel (A.S) un ki rehbari ke liye un ke sath chal paray aur unhain wahan laye jahan se zameen bani hoi thi jis jagah par jhaag paida howa tha aur phir wohi jhaag phail kar puri zameen bani. Hazrat Jibraeel (A.S) ne apna par maar kar saatwein zameen tak bunyad daal di jis ko Malaika ne paanch paharon ke pathron se bhara Koh-e-Lebnan, Koh-e-Toor, Koh-e-Joodi,  aur Hira aur Toor Zita. Bunyad bhar kar nishan ke liye charon taraf ki deewarain utha dien. Is taraf Hazrat Adam A.S namaz parhtay rahay aur is ka tawaaf bhi kartay rahay. Toofan-e-Nooh tak Kaba isi halat main raha. 

Hd Holy Khana Kaba Picture

Us waqt woh emarat tou asman par utha li gayi aur ye Khana Kaba ki jagah unchay teelay ki tarah reh gayi magar log phir bhi barkat ke liye yahan atay thay aur aa kar duain mangtay thay. Phir Hazrat Ibrahim A.S ke zamane tak Kaba isi halat main raha. Jub Hazrat Ismail A.S aur Hazrat Hajra R.A is maidaan main aa kar thehray aur un ki wajah se yahan khuch abadi ho gayi tab Hazrat Hajra R.A ke inteqal ke baad Hazrat Ibrahim A.S ko hukam howa keh Hazrat Ismail A.S ko sath lay kar yahan emarat Kaba banayain. Is ki nishani is tarah farmayi gayi keh aik badal ka tukra bheeja gaya takay us ke saye se Kaba ki had muqarar kar li jaye. 

Hazrat Jibraeel (A.S) ne us saya ki maqdar khat khaincha aur Ibrahim A.S ne us khat par zameen yahan tak khoodi keh bunyad Adam namudar ho gayi aur is bunyad par emarat banayi. Is ki bulandi 9 hath aur Rukn-e-Asood se Rukn-e-Shami tak deewar 33 hath aur Rukn-e-Shaami se Rukn-e-Gharbi tak ki deewar 22 hath aur Rukn-e-Gharbi se Rukn-e-Yamani  tak 31 hath Rukn-e-Yamani se phir Rukn-e-Asood tak 2o hath lihaza us waqt ye Kaba musteel ki shakal tha. Hazrat Ibrahim A.S ne Khana Kaba ke andar aik taghar sa banaya tha jo masal khazana ke tha keh Kaba ke liye jo khuch nazar tohfay main ayain is main rakhay jayain gey.

Is ke darwazay 2 thay 1 dakhil honay ka dusra nikalnay ka aur Kaba bananay wale khaleel thay aur un ko gaar aur pathar utha kar denay wale Ismail A.S aur is emarat main 3 paharon ke pathar lagaye gaye. Ibrahim A.S se pehle kisi ne yahan emarat na banayi thi magar Aap ke baad kayi dafa is ki tameer-o-muramat hoi aur is main halaat ki wajah se khuch tabdeeliyan bhi hoyein maslan is ki unchai dugni kar di gayi, darwaza 2 ki bajaye 1 aur is ka raqba bhi kam kar diya gaya lekin baad main phir usay puranay raqbay main hi tameer kiya gaya.

Live 24 hour broadcast of Masjid Al Haram Sharif
Agar Makkah city se ye live online stream ruk jaye tou is page ko dobara refresh karain (ctrl+f5)