Wednesday, 9 January 2013

Route Map Motorway Pakistan Travel Guide Information M1 M2 M3

Punjab ki behtareen sarak jisay motorway M2 ka naam diya gaya hai, mukhtalif tareekhi aur tafreehi muqamaat se guzarti hai, 367 km is taweel sarak ke deedar main tourists GT Road ke hungamon se bachtay pur sakon safar kartay hain, Motorway par aik aramdeh safar hota hai. Is rastay Kala Shah Kaku se safar ka aghaz hota hai, is ke baad Sheikhupura, Khanqah, Dogran, Kot Sarwar, Pindi Bhattian, Saalam Lilla, Kot Momin, Kallar Kahar ki haseen tareen wadi husn se mabhot hotay Bhakar aur Chakri ke rastay Pindi pohanch jatay hain.

Jub motorway ki tameer aur takmeel hoi tou is ke baray main tarah tarah ke khadshat ka izhar kiya gaya tha keh qomi khazana khali ho gaya hai hamara mulk motorway ki ayashi afford nahin kar sakta is se kahin behtar tha ke G.T Road ki halat zaar par tawaja de jati aur darasal ye sirf is liye tameer ki gayi hai Prime Minister aur un ke ahl khana is par apni sports cars doratay phirain lekin ab ja kar ehsaas hota hai ke qomi khazana tou youn bhi khali hona tha aur ghair mulki qarzon main bhi izafa hona tha aur ye raqmain hamesha ki tarah janay kan mansubon par kharch honi thi ya khurd burd ho jani thi tou kya hi acha howa ke motorway tameer ho gayi jo kam az kam dikhayi tou deti hai.
 Pakistan Motorway Pictures
Ye rasta M1 Motorway Pakistan ke naam se Peshawar tak chala jata hai, aik cross junction se barasta Pindi Bhattian Faisalabad ke historical shehar bhi pohancha ja sakta hai. Sial More Interchange ke zariye Sargodha ki taraf bhi rasta nikala gaya hai. Asia main ye wahid sarak hai jis par bohat zayada lagat ayi hai. Khewra salt range ke buland pahari ilakon par pul bhi banaye gaye hain, is ke ilawa sub se interesting baat yahan barah-e-rast Pakistan Air Force ke fighter jets ki uraan dekhi ja sakti hai jo sarak ke aik hisay ko runway ke toor par istimal kartay hain. Isi sarak ke rastay aik choota sa gaon "Gah Village" waqaya hai is gaon se Chakwal ke log bhi waqif nahin thay magar 2004 main ye gaon dunya bhar main famous ho gaya, is ki wajah India main Manmohan Singh ka Prime Minister banna tha jo isi gaon main paida howe thay, Pakistani hakam ko pata chala tou unhon ne isay Model Village banane ka elaan kiya aur jis school main Manmohan Singh ne ibtidai taleem hasil ki thi us ka naam Manmohan Singh Primary School rakh diya gaya.

Pakistan Motorway M2 Map
Petrol Pumps and CNG Stations:
M-2 ke rastay main aap ko gas stations in muqamaat par milain gey.

Sukheki 
Siyal mod
Sallam
Bhayra 
Callar Kahar 
Chakri

Note: Sirf  Sunday hi aisa wahid din hota hai jub is puray m-2 route par CNG dastyab hoti hai.

M-3
 M-4
 M-9
 M-10

Decorate Your House Walls with Beautiful Paintings & Photos

Khawateen apne ghar ko sajanay ke mamlay main bohat hasaas hoti hain. Yehi wajah hai ke woh ghar ki decoration ke liye khaas tawajjah deti hain. Decor ki baat ki jaye tou ghar main dakhil hotay hi pehli nazar parti hai deewaron par aur in ko sajanay ke liye khayal ata hai photographs ka. Ye tasaweer paintings ki surat main kisi musawir ki shahkar takhleeq ho sakti hain ya phir camera se aks band kiya gaya zindagi ka koi yaadgaar lamha. Lekin is intikhab main kamal husn zooq ka hota hai jo jo dekhne walon par khubsurat tasar qaim karta hai.
interior designing of walls
Market main farokht honay wali achi paintings ke daam amooman mehngay hotay hain. Albata sastay damon farokht hone wali ghair mayari paintings se deewarain tou saj jati hain lekin un se khubsurati ka tasar nahin ubharta jabkeh achi aur mayari paintings mehngay damon se sabab munfarid hone ke ilawa kamray ki tazeen-o-araesh ko bhi char chand laga deti hain lihaza deewarain sajanay ke liye is tarah ki aik se do tasaweer hi kafi hoti hain.
 Wall paintings
 Wall photos
 Wall Art
Wall paint
Decoration ke sath in ka khayal rakhna bhi bohat zaroori hota hai takay ye lambay arsay tak apni asal halat main reh sakain lihaza inhain deewaron par lagatay waqt is baat ka dhihan lazmi rakhain ke ye aisi simat main lagayi jayain jahan ye dhoop ki teez kirnon se mehfooz reh sakain kyoun keh dhoop ki tamazat tasweeon ke rang kharab kar deti hai. In ki safai ke liye hamesha naram aur sukhay kapre ka intimal karna chahiye.

Monday, 7 January 2013

How To Perform Umrah Method in Urdu Tareeqa Umrah Qaza Guide Book

Umrah hajj ki aik qisam hai jisay Hajj-e-Asghar kaha jata hai. Hajj aur umrah main ye farq hai keh jajj 8 se 13 zulhijjah ke damiyan hai. Lekin umrah hajj ke ayaam ke ilawa saal bhar main ksis din bhi kiya ja sakta hai. Yani umrah saal ke doraan kisi din bhi kiya ja sakta hai. Umrah karnay ke liye hajj ki tarah ihram bandha jata hai. Aur saee aur tawaf ke manasik bhi ada kiye jatay hain. Aur is main qurbani ki shart lazmi nahin hai is ka matlab hai yani umrah main qurbani ada nahin ki jati.

 Khana Kaba Picture
Umray ka bohat sawab hai khaas toor par Ramadan ke month main umrah ka sawab zayada hai. Balkeh Ramzan ul Mubarak main har naik amal ka sawab bohat zayada hai. 
Hajaaj Ikram aam toor par hajj ke moqa par umrah ki niyat bhi kar laitay hain aur umrah ke ihram bandh kar tamam arkaan puray kar laitay hain aur 8 zulhijjah se pehle ihram khool kar dobarah hajj-e-akbar ka ihram bandh laitay hain.

Umrah aik infaradi ibadat hai jabkeh hajj hai ijtimai ibadat hai. Umrah ada karnay ke shariat main darj zail tariqa bataya gaya hai jin ki madad se hum hajj aur umrah ada kar saktay hain.

Umray Ka Tareeq:

  1. Sub se pehle Allah Ta'ala ki khushnudi hasil karnay ke liye umrah ki niyat karni chahiye. Aur aap ke tamaam amaal ka daru madar niyat par hona chahiye.
  2. Miqat ki had main dakhil honay se pehle baqaeda toor par ihram bandha jata hai. Ehtiyatan airport oar hi ihram bandha jata hai.
  3. Ihram bandhnay ke baad 2 rakat namaz-e-nafila ada ki jati hai. Phir mukamal tawajjah ke sath umrah ada kiya jata hai.
  4. Jis main jitna ho sakay talbiyah ki tilawat ki jati hai. Phir Makkah (Mecca) pohanchnay par mukamal wazu / ghusal kiya jata hai.
  5. Mukamal wadu karne ke baad Haram Sharif (Khana Kaba) main dakhil hona hota hai. Jahan pehle dayan qadam rakha jata hai.
  6. Wahan apne aap ko tawaf ke liye tayar kiya jata hai. Yani ihram ko is tarah bandha jata hai ke dayan bazu nanga rakha jata hai.
  7. Tawaf main kul 7 chakar lagaye jatay hain. Jin main pehle 3 chakar taqreeban door kar (bhaag kar) lagaye jatay hain. Jabkeh baqi 4 chakar aam chahal qadmi main lagaye jatay hain.
  8. Phir is ke baad Hajr-e-Aswad aur Khana Kaaba ke darmiyan Kaba ko bosay diye jatay hain.
  9. Tawaf ke baad 2 rakat namaz tawaf Maqam Ibrahim par ada ki jati hai.
  10. Zam Zam ke chashmay se pani piya jata hai.
  11. Phir Khana Kaba ke sehan se bahir nikal jatay hain. Aur Safa Marwa ke darmiyan saee kartay hain.
  12. Is ke baad Zakir Marwa se chalay jatay hain aur umrah ke ikhtitaam par har umrah ada karnay wale ko saray sar ke baal katwanay hotay hain.
  13. Phir makhsoos duaon ke baad ihram utaar diya jata hai.
Qaza-e-Umrah:
Huzoor e Akram (S.A.W) ne 6 hijri ko sulah hudaibiya ke moqa par umray ka ihram banda tha magar chunkeh is saal muahdah ki shart ke teht Aap (S.A.W) umrah na ada farma sakay. Is ke baad 7 hijri main umrah ada kiya, chunkeh Aap (S.A.W) pehle niyat farma chukay thay. Lekin majburi ke baes aap usay ada na kar sakay. Is liye is ko umrah e qaza kehtay hain.

Hijrat karnay ke baad Aap (S.A.W) pehli baar Makkah tashreef laye thay. Is liye ye bhi khaas ahmiyat ka hamil hai. Muslims ko kufaar quraish khana kaba ka tawaf  kartay howe na dekh saktay thay is liye woh shehar se bahir chale jatay thay. Aap (S.A.W) ne tawaf ke silsilay main hukam diya ke pehle 3 tawaf jald jald kiye jayain aur baqi 4 tawaf ahishtagi se kiye jayain. Chunachay us waqt se ye sunnat chali arahi hai. Is tareeqa kar ko (Imal) kehtay hain.

Sunday, 6 January 2013

Lake Banjosa Jheel Hotels Rawalakot Travel Guide


Zila Poonch ke district headquarter se 17km ke faslay par khubsurat tourist point "Banjosa" satah samandar se 1981km bulandi par waqaya hai. Banjusa main aik masnui jheel banayi gayi hai jis ke ird gird ke sada bahar junglat ki wajah se ye muqam sayahat ke liye aik shandar jagah hai. Banjosa ke gird-o-nawah main Jandali 2km Hasan Kot 4 km Devi Gali 12 km ke distance par waqaya hai ye muqamaat bhi tourists ki dilchaspi ka baes hain. Banjosa jheel ki sair ke liye boats chalti hain. 
 Banjosa Lake
 Banjosa Jheel
 Banjosa Lake Hotels:
Summer season main is area ka weather intihai khushgawar hota hai. Banjosa Lake ke kinare tourism ke mehkama ne 6 rooms ka tourist lodge tameer kar rakha hai is ke elawa mehkama tameerat aur dusre mehkamon ki rehayesh gahain bhi mojood hain jin ki booking Rawalakot ke main mutalaka mehkamon ke difatar se karwai ja sakti hai. Banjosa se taqreeban 3 km ke distance par Koiyan main khane peene ki munasib ashya dastyab nahin is liye Khai Gala aur Rawalakot ke bazaron se zaroori ashya sath rakh leni behtar hain. 
 
Distance:
Rawalakot to Banjosa Lake distance 17 km
Azad Patan to Banjosa distance 53 km
Dono rest houses main hasb-e-zaroorat khana tayar karwaya ja sakta hai. Khai Gala se 30 km sarak Kahori jati hai jahan mehkama sayahat ka chota sa rest house mojood hai yahan se taqreeban 2 km ke fasle par Toli Peer Top waqaya hai. Ye jagah camping, hiking, aur trekking ke elawa march ke month main snow sports ke liye bhi mozon hai. Yahan par agar aap jana chahain tou aap ko Rawalakot ki taraf se ana paray ga is jheel ko charon taraf se pine ke darakhton ne ghair rakha hai aur khubsurati main izara yahan ke sar sabz paharon ne kar diya hai. 

Thursday, 3 January 2013

Fizagat Marghazar Valley in the Heaven of Khybar Pakhtunkhwa

Murghzar saidu sharif se aik zaili sarak darya-e-Saido ke sath sath aap ko Marghazar lay jati hai jo taqreeban 13km ke distance par waqaya hai. Marghazar 4222 foot ki unchai par aik dilkash aur pur fiza muqam hai. Yahan walai swat ka sarmai mehal hai jo keh swat ki sub se haseen building hai. Sang-e-mar mar se bani ye safaid emarat chandni main nahati hoi mehsoos hoti hai. Ab is emarat ko aik hotel main tabdeel kar diya gaya hai aur ye sakon pasand sayahon ke liye yaqeenan aik behtareen jagah hai. Is emarat ke aqab main saidu darya uper se behta howa ata hai. Akhrot aur chanar ke ghane darakhton ke bheechon bheech darya ka shafaaf pani pathron se takra kar girta hai tou sayahon ka dil moh laita hai. Agar aap Koh Noordi ke shoqeen hain tou is darya ke sath sath uper ki taraf chalte howe door tak ja sakte hain. Ye rasta Aylaam ki choti tak jata hai jo keh hindu mat ke pairokaron ke liye aik bohat muqaddas muqam hai. Magar yaad rahe keh is raste par jane ke liye muqami guide yani swat ke quide ko sath lay jana behad zaroori hai.
Marghazar Swat
Marghazar janay walay raston main kayi dihaat aur gaon atay hain jin main Mian baba, batora, Islampur numayan hain.
 Peaches of Swat Fruits
Ye elaqa na sirf apni khubsurati ki wajah se mashoor hai balkeh yahan qudarti wasail (Natural Resources) bhi kafi tadad main paye jatay hain jin main sang-e-mar mar ki kayi iqsam mojod hain aur isi pathar se yahan aik historal building white palace ke name se mashoor hai jahan mulk ke door darz elaqon se sayah bari tadad main rukh kartay hain aur qudrat ke haseen manazir se lutf andoz hotay hain.

Mingora Swat, Mingora Hotels, Mingora Travel Pictures

 Mingora buland paharon main aik khubsurat city hai. Ye shehar darya-e-swat ke kinare abad hai. Yahan tourists ke liye dilkash aur pur fiza muqamat hain jin main saidu sharif hai. Saidu sharif to Mingora distance 2 km hai. Mingora se 2 km ka safar tay karne ke baad madeen, bahrain road par Fizagat main picnic manane ke liye aik haseen park hai jis main qudarti manzar intihai shandar hain.

Mingora valley swat ka sub se baronaq, masroof aur wusat pazeer shehar hai. Ye shehar guzashta 2000 saal se is elaqay ka sub se aham tijarati parkaz (Business Center) chala araha hai. Din ke waqt is shehar ke bazar main kafi gehma gehmi rehti hai. Jahan rozmarah istimal ki ashiya ke elawa muqami dastkariyan, karhay howe malbusaat, qabaeli tarz ke chandi ke zewarat, swati patti ki garam jackets, shawls, aur caps sale hoti hain. Is ke elawa ghair mulki saaz-o-saman ki bhi kayi shops mojod hain.
Swat Valley lake
Yahan bus aur wegan ka aik bara adda bhi mojod hai jahan se din raat mulk ke degar sheharon ke liye gariyan rawana hoti hain. Mingora main qayam ke liye sastay mehngay har darjay ke hotels mojod hain. Shehar se thoray hi fasle par Fizagat Park Darya-e-Swat ke kinare par waqaya hai. Ye jagah sham ki tafreh ke liye bohat mozoon hai.
Hotels in Swat, Swat Chair Lift
 Fizagat ke gird-o-nawah ke elaqay main kayi ache hotel waqaya hain jin main Rock City Resort Hotel Swat sub se numayan hai.
Nature beauty of Mingora swat
 Mingora City main chote bare kafi restaurants bhi mojod hain jahan tourists Swat ka famous food Chapli Kabab aur Tanduri Naan se lutf andoz ho sakte hain. Is ke elawa fresh fruits, Dry Fruits aur Juice ki shops par bhi logon ka hajom laga rehta hai. Shehar se taqreeban 3 km ke fasle par River Swat ki dusri taraf Kabal ke muqam par aik khubsurat Golf Course bhi mojod hai. Yahin qareeb hi swat ka airport waqaya hai. Aaj kal ye Hawai Ada commercial flights ke liye band hai, magar imkan hai ke jald hi Islamabad aur Peshawar ke liye flights ka silsila dobara bahal ho jaye ga.

Tuesday, 1 January 2013

Tourism Ayubia National Park Travel Guide Ayubia Wildlife

Ayubia pohanchne ke baad aap yahan Ayubia chair lift ka safar kar sakte hain. Ayubia chair lift Asia ki pehli chair lift hai jo field marshal President Ayub khan ke door main 1962 main lagayi gayi. Ayubia chair lift se top tak taqreeban 20 minutes ka safar hai. Ayubia main hotels bhi mojod main jahan aap khane ke ilawa raat bhi guzar sakte hain. Ayubia se taqreeban 20 minutes ke safar par aap Changla Gali pohanch sakte hain, jahan rest house aur private houses bhi rehayesh ke liye mil jatain hain.
Ayubia National Park: Ayubia National Park sehat afza muqam hai aur mulk ke famous pahari silsile galyat main waqaya hai. Ye park Nathia Gali aur Changli ke darmiyan Abbottabad Murree Road ke mashriq main 33 muraba km ke raqbay par phaila howa hai. Ye park galiyat ke alaqay Bagan, Bakot aur darwaza ke junglaat par mushtamil hai. Park 1984 main 4000 ayker raqbay par qaim kiya gaya, 1998 main park ke raqbe ko double kar diya gaya. Chand saal pehle park ke area ko mazeed parhaya gaya.


Ayubia ki wajah shohrat yahan ki pehli chair lift hai jo 1962 main nisb hoi, isi wajah se is jagah ko Ayubia ka name diya gaya. Chair lift tourists ko park ke mukhtalif hison ka nazara karati hai. Is park main silsila galyat ki 2 masghoor aur unchi chotiyan hain, Merajani jo satah samandar se 9930 aur mushkpuri 9400 foot buland hain qudrat ke haseen manazir ka nazara karati hain, yahan ghoomne ke liye mukhtalif park bhi hain jin main Green Spot, Nathia Gali Park, ke ilawa mukhtalif track bhi hain. Jin main Lalazar ta mushkpuri track jo 8400 foot bulandi par hain. Is ki lambai taqreeban 1 1/2 km hai, track sar karne ka osat waqt taqreeban 3 hours hai.

Ayubia Weather: Is park ka climate garmiyon main bhi sard rehta hai lekin sardiyon main intihai thanda ho jata hai. Winter main is park ko snow apni lapait main lay laiti hai aur har taraf safaid rang ke Ayubia ke is pyare se bagh ko pariyon ke jahan main badal deta hai.

Ayubia Wildlife: Is park main 100 se zayada kisam ke plants paye jatay hain. In main bohat se plants aisay hain jo saanp ke zehar ko nikalne, shugar ke ilaj aur andruni infections ke ilaj ke liye bohat mufeed hain.

Park ki bandargahon par 200 se zayada iqsam ke parinday Ayubia ki hawaon main urtay rehtay hain aur qudarti mahool main jeenay ka haseen ehsaas paida kartay hain. Yahan bohat sare animals bhi paye jate hain jin main lomri (fox), cheeta wagera. Is park ke purane darakhton par bohat sari gulehriyan bhi nazar ati hain.

Ayubia Tourism: Ayubia ke ird gird 7 gaon aur 4 bare qasbay bhi hain aur sath hi sath yahan bohat sare hotels bhi hain.
How To Reach Ayubia National Park: Yahan par pohanchna koi mushkil kaam nahin hai public transport aur apni gari ke zariyan yahan asani se pohancha ja sakta hai. Agar Abbottabad se yahan ana ho tou is jagah ka distance wahan se 34 aur murree to ayubia distance 30 km hai.