Monday, 11 March 2013

Agar Khaahi Hayat Andar Khatar Zi Persian Poetry

1: Tarjuma: Aik hiran ne dusre hiran ko apne dil ka dukh (banate how) kaha ke main aaj ke baad Haram (Kaba) mein panah hasil kar loun ga (kyoun ke) jungle mein tou shikari (har waqt hamari) ghaat mein (baithay) rehte hain aur hum hirnon ki khawahish (aur marzi) ke mutabiq na subah hoti hai aur na sham (aur humain subah sham kisi waqt bhi chain hasil nahin) Main tou shikari ki is musibat se panah chahta hon aur apne dil ko (in) tamaam khatraat se azad dekhna chahta hon.
2: Tarjuma: Us ke sathi (hiran) ne kaha: Aay (mere) aqal mand dost! agar tou zinda rehna chahta hai tou khatraat mein (reh kar) ji. Har lamhe apne aap ko saan par ragarta reh aur teez dhaar wali (umdah) talwar se bhi zayada taiz ho kar zindagi guzar (kyoun keh) khatrat tou taqat (aur quwat) ke liye imtihan (ki tarah) hote hain aur jism aur jaan ke imkanaat ke liye kasoti ka kaam dete hain.

Tashreh: Tashreh: Allama Iqbal ki nazam "Agar Khaahi Hayat Andar Khatar Zi" ke is band mein dusre hiran ka woh jawab paish kiya gaya hai jo woh is waqt deta hai jub pehle hiran usay apne dard dil se agah karte howe ye irada zahir karta hai ke shikari ki musibat se bachne ke liye main ne Haram Sharif mein panah lene ka faisla kar liya hai. Chunachay ye sunn kar dusra hiran pehle hiran se kehta hai aay mere aqal mand dost tou apni zindagi ko lahaq khatrat se ghabra kar Khana Kaba mein panah kyoun hasil karna chahta hai? Zindagi is ka naam tou nahin hai ke kahtrat aur mushkilat se farar hasil kar ke kisi goshah afiyat mein panah li jaye balkeh zindagi ka haqeeqi lutf mushkilat ko bardasht karne ka samna aur muqabla karne mein hai. Is liye tou agar zindagi rehna chahta hai aur agar tujhe zindagi ki tamana hai tou khatrat se bhagne ki bajaye khatrat mein reh kar jee, apne andar mushkilat ka muqabla karne ka hosla paida kar. Ye dunya tou bohat bari hai is tarah ke khatrat se bhari hoi hai. Hum hirnon ko sirf shikariyon se hi nahin shair aur cheetay se bhi jaan ka khatra rehta hai. Yahan shaheen aur aqaab jese taqatwar parindon se kabutar jese kamzor parinde preshan rehte hain. Aisay mein moot ko dekh kar kabutar ki tarah ankhain band kar lene ki bajaye moot ki ankhon mein ankhain daal kar jeena chahiye aur apne aap ko halaat ke rehm-o-karam par chor dene ki bajaye un ka samna karna chahiye. Is liye aay mere dost tou sehra ki zindagi ki mushkilat aur shikariyon ke khoof se ghabra kar Haram Sharif mein panah lene ka irada karne ki bajaye apne aap mein khatrat ke darmiyan reh kar zindagi guzarne ka hosla paida kar. Agar tou sahi manon mein zinda rehne ka khawahish mand hai tou khatrat aur afaat aur mushkilat mein zindagi basar kar kyoun ke zindagi ka lutf hi mushkilat ka muqabla karne mein hai.

No comments:

Post a Comment