Monday, 11 March 2013

Muhawara Ma bain Khuda-o-insan Dialogue between God and Man

KHUDA: Translation: (Khuda insan se gilah karte howe kehta hai ke aay insan!) Main ne tou (puri) dunya ko aik hi (tarah ke) pani aur mitti se paida kiya tha (magar) tou ne isay Iran, Tataar aur Habshah mein taqseem kar diya. Main ne zameen se khalis folaad paida kiya (tha magar) tou ne us folaad se talwar, teer aur bandooq (jese mohlik hathyar) bana liye. Tou ne bagh ke podon (ko katne) ke liye kulhara banaya aur tou ne geet gane wale parindon ke liye pinjra bana liya.

Explanation: Allama Iqbal ki nazam "Muhawara Ma bain Khuda-o-insan" ke is band mein Khuda insan se kehta hai ke mein ne is dunya mein bohat si cheezain bhalai aur tere faide ki khatar takhleeq ki thien magar tou ne un ka ghalat istmal kiya hai aur is tarah in cheezon se dunya mein tameer ki bajaye takhreeb phailane ka mojab ban raha hai. Maslan mein ne tamaam insanon ko aik hi tarah ke pani aur mitti se banaya tha aur is tarah tamam insanon ko masawi aur barabar paida kiya tha aur un ke darmyan kisi qisam ki koi tafreeq qaim nahin ki thi magar aay insan! tou ne aik hi mitti aur pani se paida hone wale insanon ko mukhtalif siasi, nasli aur lasani khiton mein taqseem kar diya hai. Ab koi Irani kehla raha hai tou koi Turk aur Tataar kehlata hai aur kisi Habshi aur Siyah Faam qarar de kar nafrat aur haqarat ki nazron se dekha ja raha hai. Main ne sub insanon ko yaksan paida kiya tha magar mukhtalif garohon mein bat gaye aur har garoh apne aap ko dusron se bar tar sabat karne laga aur har nasal apne aap ko dusri naslon se mumtaz aur aala tar gardaan'ne lagi.

Isi tarah aay insan! main ne zameen se khalis folaad paida kiya tha tou teri bhalai aur faide ke liye paida kiya tha lekin tou ne us lohe ka ghalat istmal shuru kar diya. Tou ne us lohay se mufeed aur faida bakhsh aalaat aur ashya banane ki bijaye us se teer, talwar aur bandooq jese mohlik hathyar bana liye aur phir un mohlik hathyaron se tou apne hi bhai bandon ka gala katne laga aur un hathyaron se tou ne dunya mein qatal aur gharat gari ka bazaar garam kar diya.

Aay insan! main ne dunya mein khubsurat poday, darakht aur bagh is liye takhleeq kiye thay keh un se teri ruh ko tazgi mile lekin tou ne kulhara aijaad kar ke un darakhton aur poodon ka katna shuru kar diya. Main ne baghon mein khubsurat aur khush awaz parinde is liye takhleeq kiye thay keh woh azadi se baghon mein chehchahayain aur apni khush hali se baghon ki ronaq barhayain magar tou ne khush awaz parindon ko apni qaid mein rakhne ke liye pinjra ejaad kar liya aur unhain un ki fitri azadi se mehroom kar diya.




 Insan: Tarjuma: (Allah Ta'ala ki baat ke jawab mein insan Khuda se kehta hai ke Aay Khuda !) tou ne raat banai tou maine (us raat ko roshan karne ke liye) chiragh banaya. Tou ne mitti paida ki maine (us mitti se) payala bana liya. Tou ne bayaban, pahar aur jungle paida kiye tou main ne phoolon ki kayariyan, chaman aur bagh banaye. Main woh hon jo pathar se aaina banata hai. Main woh hon jo shehar se dua-e-shifa banata hai.


Tashreh: Nazam "Muhawara Ma bain Khuda-o-insan" ke is dusre band mein insan un baton ka jawab deta hai jo nazam ke pehle band mein Khuda ki taraf se kahi gayi hain ke Aay insan! Main ne dunya mein bohat si cheezain teri bhalai ke liye aur tere faiday ke liye takhleeq ki thien magar tou ne un ka ghalat istmal kiya hai aur is tarah un cheezon se dunya mein tameer ki bajaye takhreeb ka baes ban raha hai. Khuda ne tou insani fitrat ke takhreebi pehlu ki taraf ishara kiya tha magar insan jawab mein is takhreebi pehlu ki babat apni safai paish karne ki bajaye apni fitrat ke tameeri pehlu ki taraf ishara karte howe kehta hai ke Aay Khuda ! main ne teri takhleeq ki hoi dunya ko banaya, sajaya aur khubsurat se khubsurat tar banaya hai. Tou ne raat banai thi. Main ne us raat ki tareekiyon mein ujala karne ke liye chiragh banaya. Tou ne mitti paida ki thi. Maine us mitti se payala banaya takeh pani pee sakon. Usi mitti se main ne aur bartan banaye aur unhain apne khane peenay ki zarooraton ke liye istmal kiya. Aay Khuda ! tou ne bayaban, pahar aur jungle banaye thay mein ne un mein khubsurati ka rang bhara. Main tou aisi ghair zaroori salahiton ka malik hon ke tou ne jo pathar paida kiya tha aur aaj tere paida kiye howe kitne hi zehar aisay hain jo meri mehnat, himmat aur zahanat aur qabliat ki badolat mukhtalif bimariyon ke ilaj mein akseer duwaon ke toor par istmal hote hain.

No comments:

Post a Comment