Sunday, 3 March 2013

Hot Water Springs in Pakistan Travel Guide Tatta Pani Garam Chashma

Dunya mein bohat kam mumalik hain jo Pakistan jese qudarti husn se mala maal hon, yahan taweel jungle, qadeem tehzeeb ke asaar, purane qilay, masjidain, mazaraat, barfilay paharon ke haseen silsilay mojood hain, magar hum moor ki tarah hamesha apne paon dekh kar rotay rehtay hain. Ye qudrat ki fayazi hai ke baraf posh paharon ke ke neechay bhi garam chashmon ke ubaltay pani bhaap uratay hain, pani zameen ke neechay hamesha nahin rehta balkeh jahan moqa milay woh phoot parta hai, aisay hi ye chashmay satah zameen se kisi shagaf ke zariye rasta bana letay hain. Mountains aur deserts mein ye chashmay aik azeem naimat hain aur wahan basnay wale log Khuda ka shukar ada karte hain, baaz places tou aisi bhi hain jahan un chashmon par seekron door se khawateen apne matkay bhar lay jati hain aur usi se janwar apni pyas bhujatay hain. Karachi se Hyderabad Highway androoni raston mein kayi aisay villages abad hain jahan is qisam ke manazir aam hain. Karachi mein Manghopir ka alaqa bhi garam chashmon ke liye maroof hai.
 Beautiful Rest House in Neelum Valley
Rawalpindi se Kotli ka safar haseen hai, subah ki pehli kirnain tourists ko taza dam rakhti hain, kotli se tattapani sawa ghantay ki musawat par hai. Yahan chinar aur deodar ke darakht nazar atay hain, lest side par dekhain tou un mashoor chashmon ki jhalak nazar aati hai jahan door daraz se anay wale log ghusal kar ke shifayab hote hain, Ye hot springs na sirf Kashmir balkeh Pakistan bhar ke logon mein maroof hain, yahan mukhtalif garam ubalte pani ke chashmay, kam garam aur kayi tou aisay bhi hain jin mein hath dalain tou jhulas jayain.

Maine aik shakhs se baat ki tou us ne aadhi angreezi mein bolna shuru kiya.

"Main you England mein rehta hon wahan London mein hamara khandan hai. Ye chashmay hamare baap dada ke zamane ke hain, unhain jub bhi koi bimari mehsoos hoti woh yahin ka rukh kartay thay. Ye ajeeb baat hai ke mujhe jub bhi joron ka dard shuru hota hai wahan hazaron pounds kharch kar ke bhi araam nahin aata lekin is Tatta Pani ki kya baat hai, main ghoray ki tarah fit ho jata hon."

In bhaap uratay chashmon ki aik aur jagah chitral mein bhi hai jis ka naam bhi garam chashma hi hai, mausam sarma mein chitral pohanchne ka tasawar mumkin nahin hai, sakht baraf bari ke baes zameeni rasta band hota hai par hawai jahaz ke zariye pohancha ja sakta hai magar Garam Chashma pohanchne ke liye mausam ki qaid nahin, yahan log june, july mein bhi sair-o-tafreh ki gharz se atay hain, ye chitral shehar se sirf 45 km ke distance par hain. Chitral ki buland tareen baraf posh choti Tirich Mir se subah ki thandi hawain utartay hi safar ke liye nikal jana chahiye, pakki aur saaf suthri sarak ke kinare unchay darakht saya kiye rehte hain, Chitral ke bazaar aur bridge aboor karte hain driver ka mood acha ho jata hai aur woh sawariyon ko dekh kar purane geet on kar deta hai.

 
 
Chitral ke konay mein chupa ye haseen village khamoshi mein dooba rehta hai, baraf posh pahar par mausam tabdeel hota rehta hai. Kabhi achanak garmi ki lehar chalne lagti hai, Garam chashmon ke gird baithay bachay khane peenay ki cheezain baichnay ke liye jeep ke peechay bhagne lagte hain. Yahan bazaar mein chand dukanain hain jahan qehwa milta hai aur in dukanon mein Chitraliyon se zayada Afghaniyon ki amad zayada hai, un mein zayada tar woh mujahideen hain jo bila rook took sarhad ke is paar atay hain, rehnay ke liye yahan hotels bhi hain jin ke maalkaan ka dawa hai ke un ke kamron mein garam chashmay ka pani pipe lines se aata hai, yahan se Afghanistan ki sarhad qareeb hai jis ka province badakhshan is alaqay ke sath lagta hai is wajah se ye alaqa Pakistan ka hisa nahin lagta.

Yahan in pahari alaqon mein bohat si aisi places hain jahan aram pani milta hai. Kitni hayran karne wali baat hai ke baraf bari mein bhi in chashmon ka pani ubalta hai. Chashmon ka pani kahin neem garam aur kahin intihai garam ho jata hai is liye ahtiyat lazmi hai.

No comments:

Post a Comment