Tuesday, 5 March 2013

Khuda Sub Se Bara Hai Urdu Essay ALLAH is the Greatest of all

Dunya mein taqatwar bhi hain aur zoor aawar bhi hain, hakam hi hain aur badshah aur shehan shah bhi lekin ye kisi na kisi muqaam par majboor-o-mehkoom hain aur kisi bari taqat ki ihtyaaj un ki zaroorat hai. Ye bari taqat Khuda Wand Ta'ala ki hai jis ne un sub ko paida kiya, jo un sub ki zarooratain puri karta hai, jo un sub ko rizq deta hai aur un sub par qudrat kamlah rakhta hai.  Woh hakmon ka hakam hai, zinda ko murda kar sakta hai, murda ko zinda, bimar ko sehat de sakta hai aur sehatmand ko bimar kar sakta hai. Woh raat ko din aur din ko raat bana sakta hai. Agar woh chahe tou suraj mashriq ki bajaye maghrib se talu ho sakta hai. Woh daryaon ka rukh mor sakta hai. Goya kainaat ke har zarray par us ki hakmiyat hai aur us ki marzi ke baghair khuch bhi nahin ho sakta.


Khuda aik hai Us ka koi shareek nahin hai, na Usay kisi ne jana hai, na Woh kisi se jana gaya hai, kisi ne usay nahin banaya. Us ki wasi tareen saltanat mein us ke ikhtiyarat mein koi mudakhlat nahin kar sakta. Us ke kamon mein kisi ki shirakat nahin. Kainat mein jo khuch bhi hai Usi aik Khuda ka hai aur usi ke mateht hai aur har amal usi ke hukam se hota hai. Us ke agey sub taqtain sar jhukati hain, badshah bhi Usi se madad mangtay hain aur dartay hain.

Islam ka pehla rukan Kalma Tayyaba hai. Kalma parh kar hum ye aitraf kartay hain ke Allah aik hai aur Muhammad S.A.W Us ke Rasool hain. Is mein hum mehz Khuda ki wahdaniat ka aitraf hi nahin karte balkeh ye bhi tasleem karte hain ke wohi sari kainat ka hakam aur Malik hai.

Kainat ko paida karne wala bhi wohi aur rizq dene wala bhi wohi hai. Us ki sifaat mabudiyat mein koi Us ka shareek nahin. Na tou Us ka koi sani hai aur na hi aisa mumkin hai. Woh hamesha se hai aur hamesha hi rahe ga. Aap kisi mamooli taqatwar aadmi ki misal de kar us se sawal karain ke kya us taqatwar aadmi se bhi koi aur taqatwar ho sakta hai tou us ka jawab ho ga "haan". Isi tarah se puchte jayain ke us se zayada taqat wala kon hai. Akhir kar usay aik sub se taqatwar hasti ka qail hona hi pare ga. Bus yehi Khuda Ta'ala hai jis se zayada taqatwar koi ho hi nahin sakta. Isi tarah barai aur azmat ko le lain aaj tak ye sabat nahin ho saka ke koi sayara kainat mein sub se bara hai aur us ka nazaam baghair kisi aala taqat ke az khud chal raha hai ya kainat mein koi aisi shey mojood hai jo sub se bari bhi hai aur woh apne se bari kisi taqat ki mohtaj nahin.

Aik zamana tha ke jahil log ye samjha kartay thay ke suraj kainat mein sub se bara hai aur unhon ne usay Khuda bhi mana lekin ye haqeeqat nahin thi aur waqt ne sabat kar diya ke ye ye khayal bilkul ghalat aur haqeeqat ke khilaf hai aur suraj tou khud aik bohat bare nazam ka aik juzu hai jise koi bohat bari hasti chalati hai. Tab us ne samajh liya ke jub suraj khud kisi ka mohtaj hai aur na tou azkhud paida howa aur na hi apne bal par qaim hai tou woh Khuda kese ho sakta hai? Khuda tou woh hai jo taqat mein bhi sub se bara hai, azmat mein bhi aur har cheez par qudrat rakhta hai. Woh har cheez ko paida karne wala hai aur har aik Us ka mohtaj hai. Beshak Allah sub se bara hai.

No comments:

Post a Comment