Sunday, 10 March 2013

Karam Kitabi - Iqbal Farsi Poem For PU B.A Students

1: Main ne suna ke aik raat mere kutab khane mein aik kitabi keera (dimak) parwane se keh raha tha ke mein ne Bu Ali Sina ki kitabon mein apna thikana banaye rakha hai aur bohat dafa Zaheer Faryabi ki kitabon ko dekha hai (magar) mein zindagi ki haqeeqat ko nahin samajh saka hon aur mere din suraj ki roshni ke baghair isi tarah tareek hain (aur main is tareeki ke sabab isi tarah bad naseeb hon.)

Tashreh / Explanation: Allama Iqbal ne apni nazam "Kirm-e-Kitabi" mein kitabi keeray (demak) aur parwane ke darmiyan mukalma ki tamseel ke zariye ye haqeeqat waziha ki hai ke zindagi ki haqeeqat falsafa aur falsafyana kitabon se maloom nahin ho sakti balkeh ishq hi se maloom ho sakti hai kyoun keh zindagi ki haqeeqat falsafay ki dastras se bahir hai. Is tamseeli mukalme mein kitabi keeray (deemak) ki elamat aalam ya falsafi ke liye aur parwane ki elamat aashiq ya momin ke liye istmal hoi hai. Chunachay in donon ke hawale se Allama Iqbal bayan karte hain ke main ne suna ke aik raat mere kutab khane mein aik kitabi keera aik parwane se keh raha tha ke mein ne mudaton falsafe aur shayari ki kitabon ka mutaliya kiya hai. Mein ne Bu Ali Sina ki falsafyana kitabon aur Zaheer Faryabi ke deewan ko apne rehne ka thikana banaye rakha hai balkeh main un kitabon ko parh parh kar chaat chuka hon magar falsafe aur shayari ki kitabon ko khangaalne aur chaat jane ke bawajod main zindagi ki haqeeqat ko nahin samajh saka. Mere din suraj ki roshni ke baghair pehle tareek hain kyoun ke mujh par haqeeqat ka suraj tulu nahin howa aur main Bu Ali Sina jese hakeem aur falsafi aur Zaheer Faryabi jese shayar ki kitabon ko khangalne aur chaat jane ke bawajod zindagi aur zindagi ki haqeeqat ke bare mein usi tarah andheray mein hon jis tarah in kitabon ki warq gardani se pehle tha.

2: (Kitabi keere (deemak) ki baat sunn kar) aik adh jale parwane ne kahaachi baat kahi keh tou is nukte ko kisi kitab mein nahin paye ga. (ye nukta tou ishq se hasil hota hai kyoun ke ishq ki) tapish hi zindagi ko zinda tar (aur mazeed pukhta) karti hai aur (ishq ki) tapish hi zindagi ko baal-o-par (quwat parwaz) aata karti hai.
Explanation: Allama Iqbal bayan karte hain ke jub aik kitabi keeray ne aik parwane se kaha ke mein mudaton falsafa aur shayari ki kitabon ka mutaliya karne aur unhain chaat lene ke bawajod zindagi ki haqeeqat se agah nahin ho saka tou is ke jawab mein adh jale yani ishq ki tapish mein jale howe parwane ne jawab diya ke zindagi ki haqeeqat bare bare falsafon ki kitabon se maloom nahin ho sakti kyoun ke ye tou woh raaz ki baat hai jo ishq ki aag mein jal kar hi maloom ho sakti hai. Tou agar zindagi ki haqeeqat se ba khabar hona chahta hai tou ishq ikhtyar kar kyoun ke zindagi quwwat parwaz ka naam hai aur ye quwat sirf ishq hi se paida ho sakti hai.

No comments:

Post a Comment