Thursday, 7 March 2013

Sarod-e-Anjum - Iqbal Persian Poetry

1: (Sitare apna geet gate howe kehte hain ke) Hamara nazaam (aur hamara mamool ke mutabiq chalna) hi hamari zindagi hai. Hamara (ahista ahista) safar karna hi hamari masti (josh aur walwalah) hai. Hamara kisi manzil ke baghair safar karte rehna hi hamari daimi zindagi (ka baes) hai. (yehi wajah hai ke) Aasman ki gardish hamari khawahish (aur marzi) ke mutabiq hai. Hum (sub khuch) dekhte hain aur chalte rehte hain.


2: (Sitare apna geet gate howe kehte hain ke) hum is jalwa gh shahood ko (dekhte hain jahan har lihaz nayi nayi cheezain zahir hoti rehti hain) hum is dunya ko (dekhte hain) jo nayi se nayi cheezon ka but kadah hai. Hum is (kainaat) ko dekhte hain jahan har lihaz moot aur zindagi ki jang hoti rehti hai. Hum is kainat ko dekhte hain jis mein musalsal zindagi ki kash makash rehti hai. Hum dair sawair (aur mazi-o-haal ki) is dunya ko dekhte hain aur chalte rehte hain.

 

3: (Sitare apna geet gate howe kehte hain ke) hum (is dunya mein) jang aur laraiyon ki shidat ko (dekhte hain). Hum (is dunya mein) aqalmandon ki nadaniyon (aur tajarba karon ki ghaltiyon) ko (dekhte hain) hum (is dunya mein) takht aur taj aur phansi (ke takhton) ko dekhte hain). (Is dunya mein) hukamranon (aur badshahon ki zillat aur ruswai ko (Dekhte hain) hum dunya ke ye sare kheel tamashay dekhte hain aur chalte rehte hain.


4: Is dunya mein jo aaqa, malik aur khawaja thay woh apni aqai (aur sardari) se mehroom ho gaye. Jo ghulam (aur chakar) thay unhain (ghulami aur) chakri se nijat mil gayi. (Russia ke badshah) Zaar aur (Rome aur Germany ke badshah) Qaisar ki badshahat khatam ho gayi. Sikandar-e-Azam ka door-e-hukumat bhi khatam ho gaya aur but tarashne (aur but parasti) ke (purane) toor tareeqay bhi khatam ho gaye. Hum (ye sub khuch) dekhte hain aur chalte rehte hain.


5: Ye (insan jo) sakat aur jamad mitti se bana howa hai (dunya mein) hungama (aur shor-o-ghul) barpa kiyerakhta hai. Ye fitrat ke lihaz se zaeef hai magar sakht mehnat mushaqat bhi karta hai. Kabhi ye aish-o-ishrat ki mehfil mein baitha (dad aish de raha) hota hai aur kabhi  is ka janaza (dusron ke) kandhon par ja raha hota hai. Ye dunya ka sardar (hai aur phir bhi dusron ka) ghulam hai. Hum (insan ki zindagi ke ye sare rang) dekhte hain aur chalte rehte hain.

 
6: Tou zaman-o-makan ke talism mein giraftar hai. Kabhi teri aqal masail ki girah kushai kar laiti hai aur kabhi bebas ho kar reh jati hai bilkul us hiran ki tarah jo shikari ke jaal mein phansa howa sakht majboor, ajiz bay bas aur dukhi ho, hum aasmanon par apne buland thikana se (teri ajzi aur bebasi) dekhte hain aur chalte rehte hain.


7: Sitare apna geet gatay howe kehte hain ke haqeeqat parde mein kyoun hai jo khuch zahir (mein nazar aata) hai woh kya hai? tareeki aur roshni ki asliyat kya hai? ye tamaam nazdiki aur doorie kya hai? (Insan in masail mein uljha howa hai aur hum us ki is kaifiyat se bay taluq  usay) dekhte hain aur chalte rehte hain.

 8: Tera zayada hamare nazdeek thora hai aur tera aik saal hamare samne aik lamha hai.
Aay (insan!) tere pehlu mein tou aik samandar hai magar tou (khud hi) shabnam ke aik qatre par qanaat kiye howe hai. (Is ke baraks) ham aik (naye) jahan ki talash mein rehte hain. Hum (is talash mein) dekhte rehte hain aur chalte rehte hain.

No comments:

Post a Comment