Tuesday, 5 March 2013

Pakistani Dulhan Makeup Bridal Eye Makeup Tips in Urdu For Oily Skin

Makeup Tips in Urdu For Oil Skin: Hum mein se beshumar aisay log hain jo jub kabhi kabhi aainay mein apna chehra dekhte hain tou dil hi dil mein bari hasrat se kehte hain ke kash meri naak aisi na hoti! kash meri aankhain bari aur hont khubsurat hote, bohat kam koi shakhs apne chehre ke naqoosh ke bare mein 100% mutmayen hota hai. Ye baat tou apni jagah atal hai ke in naqoosh ko apni marzi ke aain mutabiq banana mumkin nahin (surgery ke zariye aaj kal jo naqosh badle ja rahe hain un ke nataij baaz auqat ult bhi nikalte hain aur phir ye mehnga shoq har kisi ke bas mein bhi nahin.
Kyoun na humain Khuda ne jo shakal o surat di hai us ko is tarah se "make-up" karain ke wohi khubsurat dikhayi dene lage. Make-up aik art hai is mein istmal hone wali ashya ka agar sahi tareeqay se istmal na kiya jaye tou achi bhali shakal bhi bigar jati hai.

Chehre par Makeup karne se pehle aap ko ye janna bohat zaroori hai ke aap ki jild ki sakht kya hai?
Hamare haan amooman khawateen jild ka lihaz rakhe baghair jo koi lotion ya cream wagera un ko dastyab ho chehre par laga leti hain. Isi tarah rangat ka khayal kiye baghair lipstick ka istmal karne se chehre par bohat kharab tasar paida ho jata hai.

Bahir ke mumalik mein Makeup ki tarbiyat jub di jati hai tou chehre ki jild ko is tarah se ahmiyat de jati hai jis tarah artist koi tasweer paint karne se pehle canvas ko tayar karta hai.

Makeup Tips: Aap sub se peh;e apni jild ki sakht maloom karain jis ka asaan totka ye hai ke subah uthne ke baad aik tissue paper lay kar chehre par phairain. Agar woh chikna dikhai de tou samajh lain ke aap ki oily skin hai. Oily skin ko sehat mand rakhne ke mukhtalif tareeqay hain jabkeh dry ya normal skin ke liye alehda tootkay hain.
Agar tissue par koi chiknai dikhai na de tou phir skin normal ya dry hai. Amooman jild ki 3 types hoti hain: Chikni, Khushk aur Normal. Kabhi kabhi mili juli bhi hoti hai yani khuch hisay chiknay aur khuch khushk.
Mili juli jild ki pehchan ye hai ke naak aur forehead oily ho ga jabkeh rukhsar ke jareeb ki skin dry ho gi.
Oily skin par astringent lotion lagana ho ga takeh masamaat ko band kiya ja sake aur moisturizer cream ko galon par lagana ho ga. Insan ki jese jese umar bharhti hai amooman sub ki jild khushk hone lagti hai. Ye aik qudarti amal hai lekin khuch logon ki jild paidaishi toor par khush hoti hai. Un ko bohat zayada ahtiyat aur hifazat ki zaroorat hoti hai.
Agar chehra dhonay ke baad akra howa sa mehsoos ho tou samajh lain ke aap ki jild khushk hai. Is qisam ki jild ka aik nuqsan tou ye hota hai ke is mein jhuryan jald parne lagti hain aur phir Makeup kitni hi umdagi se kyoun na kiya gaya ho thori dair baad ura ura sa lagne lagta hai. Aisi jild ke hamil afrad ko aisay soap istmal karne chahiyain jin mein chiknai ki zayda maqdar ho. Zayada acha ye hai ke soap istmal na karain.
Besan se kabhi chehra na wash karain na hi kabhi kheera wagera chehre par lagayain. Amooman khawateen jo khuch parhti hain woh apne par tajarba karne lagti hain.

Koi cheez bhi istmal karne se pehle apni jild ki sakht ko zaroor zehan mein rakhain. Koi sakht kisam ka lotion ya hydrogen wagera apne chehre par na lagayain.
Oily skin ka aik nuqsan ye hai ke gandgi aur gard us par jam si jati hai jo ke chehre par danay wagera nikalne ka baes bante hain. Kyoun keh gard-o-ghubar masamaat meon jama ho kar unhain band kar deta hai. Is tarah black heads bannay lagte hain jo ke jaraseem wagera agar chu jayain jo ke hamari aankhon se chehre tak pohanchte hain tou phir mahase wagera namudar hone lagte hain.
Lihaza apni jild ke bare mein aap ko maloom hona chahiye, phir is ke baad Makeup wagera ki bari aati hai.

Make-Up karne ke liye chehre ki safai ke baad sub se pehle moisturizer istmal karna chahiye. moisturizer cream bohat aham cheez hai. Ye skin ki satah ko thandi ya garam hawa ke thaperon se bachati hai. Is ke ilawa kisi bhi beroni ghair mawafiq cheez maslan barish, suraj, tamazat wagera aur aap ki jild ke darmiyan aik "hadd" ka kaam deti hai. Moisturize cream skin ko jhuryan parne aur dry hone se bachati hai.

Pakistani Dulhan Makeup Tips:
 

Khuda Sub Se Bara Hai Urdu Essay ALLAH is the Greatest of all

Dunya mein taqatwar bhi hain aur zoor aawar bhi hain, hakam hi hain aur badshah aur shehan shah bhi lekin ye kisi na kisi muqaam par majboor-o-mehkoom hain aur kisi bari taqat ki ihtyaaj un ki zaroorat hai. Ye bari taqat Khuda Wand Ta'ala ki hai jis ne un sub ko paida kiya, jo un sub ki zarooratain puri karta hai, jo un sub ko rizq deta hai aur un sub par qudrat kamlah rakhta hai.  Woh hakmon ka hakam hai, zinda ko murda kar sakta hai, murda ko zinda, bimar ko sehat de sakta hai aur sehatmand ko bimar kar sakta hai. Woh raat ko din aur din ko raat bana sakta hai. Agar woh chahe tou suraj mashriq ki bajaye maghrib se talu ho sakta hai. Woh daryaon ka rukh mor sakta hai. Goya kainaat ke har zarray par us ki hakmiyat hai aur us ki marzi ke baghair khuch bhi nahin ho sakta.


Khuda aik hai Us ka koi shareek nahin hai, na Usay kisi ne jana hai, na Woh kisi se jana gaya hai, kisi ne usay nahin banaya. Us ki wasi tareen saltanat mein us ke ikhtiyarat mein koi mudakhlat nahin kar sakta. Us ke kamon mein kisi ki shirakat nahin. Kainat mein jo khuch bhi hai Usi aik Khuda ka hai aur usi ke mateht hai aur har amal usi ke hukam se hota hai. Us ke agey sub taqtain sar jhukati hain, badshah bhi Usi se madad mangtay hain aur dartay hain.

Islam ka pehla rukan Kalma Tayyaba hai. Kalma parh kar hum ye aitraf kartay hain ke Allah aik hai aur Muhammad S.A.W Us ke Rasool hain. Is mein hum mehz Khuda ki wahdaniat ka aitraf hi nahin karte balkeh ye bhi tasleem karte hain ke wohi sari kainat ka hakam aur Malik hai.

Kainat ko paida karne wala bhi wohi aur rizq dene wala bhi wohi hai. Us ki sifaat mabudiyat mein koi Us ka shareek nahin. Na tou Us ka koi sani hai aur na hi aisa mumkin hai. Woh hamesha se hai aur hamesha hi rahe ga. Aap kisi mamooli taqatwar aadmi ki misal de kar us se sawal karain ke kya us taqatwar aadmi se bhi koi aur taqatwar ho sakta hai tou us ka jawab ho ga "haan". Isi tarah se puchte jayain ke us se zayada taqat wala kon hai. Akhir kar usay aik sub se taqatwar hasti ka qail hona hi pare ga. Bus yehi Khuda Ta'ala hai jis se zayada taqatwar koi ho hi nahin sakta. Isi tarah barai aur azmat ko le lain aaj tak ye sabat nahin ho saka ke koi sayara kainat mein sub se bara hai aur us ka nazaam baghair kisi aala taqat ke az khud chal raha hai ya kainat mein koi aisi shey mojood hai jo sub se bari bhi hai aur woh apne se bari kisi taqat ki mohtaj nahin.

Aik zamana tha ke jahil log ye samjha kartay thay ke suraj kainat mein sub se bara hai aur unhon ne usay Khuda bhi mana lekin ye haqeeqat nahin thi aur waqt ne sabat kar diya ke ye ye khayal bilkul ghalat aur haqeeqat ke khilaf hai aur suraj tou khud aik bohat bare nazam ka aik juzu hai jise koi bohat bari hasti chalati hai. Tab us ne samajh liya ke jub suraj khud kisi ka mohtaj hai aur na tou azkhud paida howa aur na hi apne bal par qaim hai tou woh Khuda kese ho sakta hai? Khuda tou woh hai jo taqat mein bhi sub se bara hai, azmat mein bhi aur har cheez par qudrat rakhta hai. Woh har cheez ko paida karne wala hai aur har aik Us ka mohtaj hai. Beshak Allah sub se bara hai.

Sunday, 3 March 2013

Hot Water Springs in Pakistan Travel Guide Tatta Pani Garam Chashma

Dunya mein bohat kam mumalik hain jo Pakistan jese qudarti husn se mala maal hon, yahan taweel jungle, qadeem tehzeeb ke asaar, purane qilay, masjidain, mazaraat, barfilay paharon ke haseen silsilay mojood hain, magar hum moor ki tarah hamesha apne paon dekh kar rotay rehtay hain. Ye qudrat ki fayazi hai ke baraf posh paharon ke ke neechay bhi garam chashmon ke ubaltay pani bhaap uratay hain, pani zameen ke neechay hamesha nahin rehta balkeh jahan moqa milay woh phoot parta hai, aisay hi ye chashmay satah zameen se kisi shagaf ke zariye rasta bana letay hain. Mountains aur deserts mein ye chashmay aik azeem naimat hain aur wahan basnay wale log Khuda ka shukar ada karte hain, baaz places tou aisi bhi hain jahan un chashmon par seekron door se khawateen apne matkay bhar lay jati hain aur usi se janwar apni pyas bhujatay hain. Karachi se Hyderabad Highway androoni raston mein kayi aisay villages abad hain jahan is qisam ke manazir aam hain. Karachi mein Manghopir ka alaqa bhi garam chashmon ke liye maroof hai.
 Beautiful Rest House in Neelum Valley
Rawalpindi se Kotli ka safar haseen hai, subah ki pehli kirnain tourists ko taza dam rakhti hain, kotli se tattapani sawa ghantay ki musawat par hai. Yahan chinar aur deodar ke darakht nazar atay hain, lest side par dekhain tou un mashoor chashmon ki jhalak nazar aati hai jahan door daraz se anay wale log ghusal kar ke shifayab hote hain, Ye hot springs na sirf Kashmir balkeh Pakistan bhar ke logon mein maroof hain, yahan mukhtalif garam ubalte pani ke chashmay, kam garam aur kayi tou aisay bhi hain jin mein hath dalain tou jhulas jayain.

Maine aik shakhs se baat ki tou us ne aadhi angreezi mein bolna shuru kiya.

"Main you England mein rehta hon wahan London mein hamara khandan hai. Ye chashmay hamare baap dada ke zamane ke hain, unhain jub bhi koi bimari mehsoos hoti woh yahin ka rukh kartay thay. Ye ajeeb baat hai ke mujhe jub bhi joron ka dard shuru hota hai wahan hazaron pounds kharch kar ke bhi araam nahin aata lekin is Tatta Pani ki kya baat hai, main ghoray ki tarah fit ho jata hon."

In bhaap uratay chashmon ki aik aur jagah chitral mein bhi hai jis ka naam bhi garam chashma hi hai, mausam sarma mein chitral pohanchne ka tasawar mumkin nahin hai, sakht baraf bari ke baes zameeni rasta band hota hai par hawai jahaz ke zariye pohancha ja sakta hai magar Garam Chashma pohanchne ke liye mausam ki qaid nahin, yahan log june, july mein bhi sair-o-tafreh ki gharz se atay hain, ye chitral shehar se sirf 45 km ke distance par hain. Chitral ki buland tareen baraf posh choti Tirich Mir se subah ki thandi hawain utartay hi safar ke liye nikal jana chahiye, pakki aur saaf suthri sarak ke kinare unchay darakht saya kiye rehte hain, Chitral ke bazaar aur bridge aboor karte hain driver ka mood acha ho jata hai aur woh sawariyon ko dekh kar purane geet on kar deta hai.

 
 
Chitral ke konay mein chupa ye haseen village khamoshi mein dooba rehta hai, baraf posh pahar par mausam tabdeel hota rehta hai. Kabhi achanak garmi ki lehar chalne lagti hai, Garam chashmon ke gird baithay bachay khane peenay ki cheezain baichnay ke liye jeep ke peechay bhagne lagte hain. Yahan bazaar mein chand dukanain hain jahan qehwa milta hai aur in dukanon mein Chitraliyon se zayada Afghaniyon ki amad zayada hai, un mein zayada tar woh mujahideen hain jo bila rook took sarhad ke is paar atay hain, rehnay ke liye yahan hotels bhi hain jin ke maalkaan ka dawa hai ke un ke kamron mein garam chashmay ka pani pipe lines se aata hai, yahan se Afghanistan ki sarhad qareeb hai jis ka province badakhshan is alaqay ke sath lagta hai is wajah se ye alaqa Pakistan ka hisa nahin lagta.

Yahan in pahari alaqon mein bohat si aisi places hain jahan aram pani milta hai. Kitni hayran karne wali baat hai ke baraf bari mein bhi in chashmon ka pani ubalta hai. Chashmon ka pani kahin neem garam aur kahin intihai garam ho jata hai is liye ahtiyat lazmi hai.

Saturday, 2 March 2013

Liaquat Ali Khan Essay in Urdu History Liaquat Ali Biography

Pakistan ke pehle wazir-e-azam Liaquat Ali Khan 1896 mein U.P mein paida howe is liye Liaquat Ali Khan ne apna bachpan U.P mein guzara. Ibtidai taleem ghar mein hasil ki. 1918 mein aap ne M.A.O College Ali Garh se B.A kiya. Yehi college baad mein university bana. Aap ke bazurgon ka khayal tha ke Indian Civil Service mein shamil ho jayain magar Liaquat Ali ko ye baat pasand na ayi chunachay apne bazurgon ko qail kar ke aala taleem ke liye Englistan chale gaye. 1923 tak Englistan mein muqeem rahe aur qanoon ki degree hasil ki. Englistan mein qayaam ke doraan hi aap ne siasat mein hisa leyna shuru kiya. Englistan se wapsi ke baad aap ne U.P mein rehaesh ikhtiyar ki aur taleemi, muashrati aur islahi kamon mein dilchaspi lenay lage. 1926 mein aap ne U.P Assembly ke intikhab mein hisa liya aur assembly ke rukan muntakhib howe. 6 saal tak assembly ke naib sadar ki haisiyat se faraiz sar anjam dete rahe. Un dinon aap U.P mein Democratic Party ke rehnuma thay. Us waqt markazi assembly mein Qaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah Democratic Party ke leader thay usi doraan Quaid-e-Azam Muslim League ke sadar ban gaye aur un ki zair-e-qayadat Muslim League Hindustan mein Tareekhi kardar ada karne ke liye musalsal agey barhna shuru hoi. Liaquat Ali bhi Musalmanon ke huqooq ki jung mein hisa lenay ke liye Muslim League mein shamil ho gaye. Unhon ne jald hi apni salahiton se aik muqaam hasil kar liya.

Quaid-e-Azam ne aap ki salahiton ka aitraf is tarah kiya. "Liaquat Ali mera dayan bazu hain. Unhon ne faraiz ki anjam dahi mein din raat aik kar diye hain woh agarcheh Nawabzadah hain lekin aam insanon ki tarah kaam karte hain". 1940 main Liaquat Ali markazi assembly ke rukan muntakhib howe. Qayam e Pakistan  tak assembly ke member rahe. 1946 mein aarzi hukumat mein shamil howe tou Liaquat Ali ko aarzi hukumat mein wazarat-e-khazana ka qalamdan spurd kar diya gaya. Aap pehle Hindustani thay jinhon ne Angreezon ke door-e-hakumat mein Hinustan ka budget paish kiya. Taqseem Hind ke baad aap Pakistan ke pehle wazir e azam muqarar howe. Apni wazarat-e-uzma ke doraan aap ne aala qabliyat, sanjeedgi, matanat, taleemi salahiton ka sabot diya. Mahajreen ki abadkari aur dusre mumalik ke sath dostana taluqat mein aap ne mahirana siasi baseerat se kaam liya.

11 September 1948 ko Quaid-e-Azam ki wafat ke baad aap ne qaum ki behtareen rehnumai ki aur us naye mulk ki tameer mein har waqt masroof rahe. 1950 ke aghaz mein magribi Bangal aur mashiqi Bangal ke alaqon mein Hindu Muslim fasadaat ho gaye un fasadaat mein Musalmanon ko bohat nuqsan pohancha. Liaquat Ali Hindustan ke wazir-e-azam Pandit Nehru ki dawat par nayi dehli tashreef lay gaye aur 8 April 1950 ko dono mumalik mein aik muahdah howa jo Liaquat�Nehru Pact ke naam se mashoor howa. 16 october 1951 ko Rawalpindi mein aik jalsa aam se aap ne khatab karna tha abhi aap ne taqreer ka aghaz hi kiya tha ke aik shaqi al qalab ki goliyon se aap shaheed ho gaye. Aap ki maiyat ko Karachi la kar Quaid-e-Azam ke mazar ke pehlu mein dafan kiya gaya. Apni zindagi se hi Musalmanon mein Quaid-e-Millat ke laqab se mashoor howe. Shahadat ke baad shaheed-e-millat ke naam se pukare jane lagey.

Friday, 1 March 2013

How to do Facial Method In Urdu Facial Karne Ka Tareeqa

Facial Karne Ka Tarika: Insani jild bohat narm-o-nazuk ehsas ki malik hoti hai. Jild ke aitbar se is ki dekh bhaal aur safai ka khayal rakhna zaroori hai. Facial chehre ki khubsurati aur dilkashi ko barqarar rakhne main madad deta hai. Facial ke zariye dagh dhabon, jhuryon aur chaiyon ka ilaj kiya jata hai. Facial ke meanings mein woh tamam kaam shumar kiye jate hain jo chehre ki jild ko tar-o-taza rakhne main madad dete hain.

Facial Mein Istmal Hone Wali Cheezain:

Cleansing: is ke meaning hain saaf kara. Sub se pehle aap garam pani ke sath chehre ko dho lain. Us ke baad donon hathon ki madad se chehre par halka halka massage karain cleansing karne ke baad tissue paper ki madad se chehre ko saaf kar lain. Market mein har qisam ki jild ke liye cleansing lotion dastyab karain. Oily skin ke liye cleansing lotion, dry skin ke liye cleansing cream aur normal skin ke liye cleansing milk faide mand hai.



Massage: Massage ka matlab hai malish karna jo ke hum apne hathon ki madad se chehre par karte hain massage hum double action ya triple action cream ke sath bhi kar sakte hain, Insani skin mein chote chote masaam hote hain jo ke massage ki madad se khul jate hain. Jin ko zayada dair band nahin rehna chahiye. Massage ke zariye whiteheads aur blackheads ko khatam kiya ja sakta hai.

Creamy Scrub: Is ki madad se 4 se 5 minute halka halka massage karain aur 5 minute laga kar choor dain. Phir chehre ko saaf kar lain.

Skin Polish: Is mein istmal hone wali ashya
2 Chamach Booster
Aik Chamach Powder
Aik Chamach Soothing Lotion
Half Chamach Skin Shiner
Is sub ashya homix kar lain aur chehre aur gardan par apply karain 20 minute laga rehne dain phir face saaf kar lain.

Steam: Facial ke doraan jo masaam band ho jatay hain un ko steam (bhaap) ki madad se khola jata hai aik tub mein garam pani lain us mein chand drops lemon ke daal dain aur chehre ko steam dain. Steam ka dorania 4 se 5 minute hota hai.

Mask: Bhap dene ki wajah se jo masaam mukamal khul jatay hain un ko band karne ke liye mask ka istmal kiya jata hai.

Mask Banane Ka Tarika:

Shehad 2 spoon
Talcum powder Aik Chamach
Multani Peeli Mitti aik spoon
Arq-e-Gulab (jitni zaroorat ho utna lay lain)
Un tamam cheezon ko mix kar lain aur chehre par lagayain jub mask khushk ho jaye chehra dho lain.

Facial Ke Fawaid Benefits Of Facial:

Masamon ki normal halat mein rakhne ke liye facial kiya jata hai.
Facial karne se doran-e-khoon sahi halat mein rehta hai.
Chehre ki faltu charbi door ho jati hai.
Thakan door ho jati hai
Insan apne aap ko zayada khubsurat mehsos karne lagta hai.
Facial jild ki bimariyon ko khatam karne mein madad deta hai.
Jild naram aur lachakdar ho jati hai.

Wednesday, 27 February 2013

Lahore City History in Urdu Lahore Shehar Ki Tareekh Lahore Essay

Satah samandar se 706 foot bulandi par waqaya Lahore ke bare main Kanhaiyalal Hindi ne kaha tha ke Lahore 2000 saal se Punjab ka capital hai. 372 main Arabic mein likhi gayi kitab "hudood al ilm" jis ki english translation 1937 main London se shaya hoi us mein likha gaya hai ke Lahore shehar ke bohat se izla hain. "Lahore ke bare ba ronaq hain. Chilghozay, Badam aur Narial kasrat se paye jate hain."

Lahore ki bunyad  Ram Chandar ke baitay Laho ne rakhi thi. Jub Lahore barbad howa tou Punjab pa capital Sialkot ko bana diya gaya. 405 mein Sultan Mahmud Ghaznavi ne Anand Paul ko shikast de kar Lahore par qabza kar liya. Lahore par Ghauri khandan 582 hijri tak hukamran rahe. Yahan Shahabuddin Ghori khandan ke 12 afrad ne hakumat ki jin mein
Qutb-ud-din Aibak,
Aram Shah,
Shamsuddin
Rukn ud din
Feroz Shah
Razia Sultan
Behram Shah, wagera shamil thay. Ye khandan 689 hijri tak hukamrani karta raha is ke baad 721 hijri tak khaleeji khandan ke 4 hukamran is alaqay par hukamrani karte rahe.
 
Minar-e-Pakistan ka dil faraib nazara

 Badshahi Masjid

Lahore ki shohrat puri dunya mein us waqt hoi jub yahan Mughliya door ka aghaz howa. 1826 mein Mughal badshah Babar is alaqay par qabiz howa. Punjab main mughliya door-e-hakumat mein jis shehar ko sub se zayada ahmiyat di gayi aur jisay sub se zayada faida pohanchaya gaya woh Lahore hi tha.

Lahore har lihaz se aik tehzeebi aur saqafati shehar hai. Is ki tehzeeb aur saqafat hazaron saal purani hai aur jis tarah kisi bhi tehzeeb aur saqafati shehar ke mashoor hone ke bay shumar hawalay hote hain isi tarah Lahore ki shoshrat ke hawalay bhi beshumar hain. In hawalon main aik hawala fun pehalwani aur umda khanay hain. Fun pahelwani ka ye amal hai ke salha saal se is alaqay ke log dunya bhar mein pahalwani ke liye mashoor hain.

Old Lahore Picture
Lahore umda khanon ki wajah se saray alam main jana jata hai yahan international level ke hotels hain magar aik bari waziha daleel yahan par mojood shahi qila food street aur purani anar kali food street hai jahan par sham ke waqt lahore ke logon ke sath sath kafi tadad main beroni tourists bhi mojood hotay hain.

Yahan ke mashoor khanon mein Siri Paye, Tika Karahi, Murgh Boti, Biryani, Seekh Kabab, Qorma, Naan Chaney, Puri Halwa, Haleem, Chargha, Tali Hoi Machli wagera shamil hain.

Jis tarah dusre shehron mein rehnay wale Pakistani tehwar manatay hain isi tarah Lahore mein rehne wale bhi mukhtalif mowaqon par mukhtalif tehwar manatay hain. Farq itna hai ke dunya ke dusre shehron ke muqable mein Lahore mein dusre alaqon ke log zayada abad hain jis ki wajah se ye baat mashoor hai ke yahan haftay main 7 din aur 8 tehwar manaye jatay hain. Lahore ke festivals main se khuch famous lahore festivals ye hain.

1: Eid ul Fitr
2: Eid ul Adha
3: Eid Milad Un Nabi (S.A.W)
4: Basant (Jashn-e-Baharaan)
5: Iqbal Day
6: Shab-e-Barat
7: Lailatul Qadr
8: Shab-e-Miraj
9: Youm-e-Azadi
10: Youm-e-Takbir
11: Youm-e-Difa
12: Mela Chiraghan

Ye melay government ki sarparasti mein hote hain. Khaas toor par Basant ka mela tou Lahore mein bohat purana tehwar hai. Is tehwar ka intzar sara saal kiya jata hai aur is tehwar ke liye taqreeban dunya ke tamam mumalik se log Lahore ka rukh karte thay magar ab is tehwar par  jan lewa ho janay ki wajah se pabandi laga di gayi. Ye kite flying festival taqreeban 24 ghantay jari rehta tha. Isi doraan fiza basanti geeton, muskurahaton aur bo kata ki awazon se goonjti rehti thi. Har taraf khushi nazar ati thi. Is tehwar par tarah tarah ke khanon ka intzam kiya jata tha. Chaton par larkay aur larkiyan basanti libas pehnay patang bazi karte aur bhangre dalte howe nazar atay thay. Asman tarah tarah ki rang barangi patangon se dhaka hota tha. Paich laranay ke muqablay hote thay magar mazay ki baat ye hai ke un muqablon mein jeetne wala jis qadar khush hota tha, haarne wala bhi usi qadar khush nazar ata tha. Ye basant tehwar puri mein se bohat saray logon ko Lahore ko anay par majbor kar deta tha.

 Beautiful Spring Flowers In Lahore Garden

Lahore Pakistan ka dusra bara shehar hai jo ke punjab ka darul hukumat hai. Ye aik tareekhi shehar hai jo ke 1000 bars se alaqay ka saqafti, siyasi aur muashi markaz hai. Lahore ko kayi tareekhi amaraton, masjidon, maqbaron aur baghat ki wajah se bhi almi shohrat hasil hai. In mein Jahangir ka maqbara, Shahi Qila, Shalamar Bagh, Badshahi masjid numayan hein. Isshehar mein kayi bazurgon ke mazaraat waqaya hain jin mein Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali Hajweri (r.a), Hazrat Mian Mir (r.a), Hazrat Sarkar Madhoo Lal Hussain (r.a), Hazrat Shah Abul Muali (r.a), Hazrat Syed Miran Mauj Darya Bukhari (r.a) shamil hain.


View Of Lahore Canal Mughalpura
 
Shair-e-mashriq Allama Iqbal ka mazar bhi Badshahi Masjid ke samne waqaya hai. Lahore city darya-e-ravi ke mashriqi kinare par abad hai. Lahore ka mojoda shehar kayi jadeed bastiyon aur amaraton se arasta ho chuka hai. In main Johar Town Lahore, Bahria Town, Model Town, Gulberg, Defence, Green Town, Sabzazar, numayan hain. Lahore shehar ki famous places main Allama Iqbal International Air Port, Ajaib Ghar, Punjab University, Bagh-e-Jinah, Shalamar Bagh, Minar-e-Pakistan, Maal Road, Anar Kali, Fortress Stadium, Liberty wagera shamil hain. Is shehar ki jadeediat main izafa Lahore Metro Bus System ne kiya hai jisay haal hi mein Turkey ke tawan se tameer kiya gaya hai.

Historical Lahore City

Lahore mein bijli 1929 ya 1939 main ayi thi us zamane mein Ravi darya aur pankhay ki hawa par ahl-e-lahore garmiyan guzar dete thay. Darya-e-Ravi ki wajah se Lahore ki ratain thandi hoti thien. Lahore shehar mein tange chala kartay thay, bhainson ko bhi shehar main ghomnay phirne ki azadi thi is wajah se lahore ki kafi sarkain saaf nahin rehti thien lekin maal road har rooz dopehar ke waqt dhoyi jati thi. Dopehar ke waqt yahan jub bagh-e-jinah nisbatan khali hota hai tab darakhton ki bhari tehniyon par khubsurat parinday baithay dikhayi detay hain.

 Shab-e-Miraj par sajayi hoi lahore ki aik masjid ka khubsurat manzar
Maal road par lage howe darakht bahar ki amad ka pata detay howe


Lahore shehar main Qiyam-e-Pakistan se pehle ki aik bus service chali thi Omni Bus purishehar us par safar kiya karta tha. Paidal chalne ki adat aam thi. Cycle bhi har aik ke paas nahin hoti thi. Mujhe aik bazurg ke bataya ke woh Data Darbar se Baghban Pura paidal jaya karte thay. Cycle ke ilawa tanga sawari thi. Lahore shehar ishq aur ashqi ki kayi dastanon ka shehar bhi hai.

 
Race Cource Park - Jilani Park Lahore  
 Lahore Railwat Station

Yahan angrezon ke daur ka aik purana rail ka nazaam bhi hai aur usi zamane ki bani hoi railway station ki building bhi hai jo aaj bhi apni tameer ke hawale se aik alag muqam rakhti hai aur main aaj usi railway station ki imarat mein baitha rail gari ka intzar kartay howe yehi soch raha hon ke is shehar main qiyam-e-Pakistan ke baad se ab tak kitna khuch badal gaya hai magar yahan ki trainon ka waqt par na ana aaj bhi nahin badla.

Tuesday, 26 February 2013

Fort Munro Hill Station Travel Guide Beautiful Places In Dera Gazi Khan

"Yahan tou koi nahin aata, aap kon si government se aye ho?" Fort Munro ke wirane main aik bazurg ne mujhe ajnabi jaan kar sawal kiya. "Main sair-o-sayahat ke liye aya hon."
"Lekin ghoomne ki jagah tou Lahore hai, aap wahan jao, wahan tou koi bhooka nahin marta, hum tou anaaj ke liye taras gaye hain."

Woh shayad batooni tha, us ne asman ki taraf dekhte howe kaha. "Sayeen hum tou ghulamon ke ghulam hain. Hamare alaqay par waderon ka qabza hai, is se pehle angreez thay, par woh khana tou dete thay. Hum ne baray lashkar main ja kar larai ki par kya faida howa sayeen? humain tou aaj tak khuch nahin mila.

Fort Munro ki choti si abadi main us shakhs ki baton main sub ka dard chupa tha. Yahan ke log baqi mulk se alag thalag zindagi guzarte hain.

Mausam sarma ki baraf bari ke liye Murree ke ilawa bohat kam log jante hain ke un ke paas aisi places bhi hain jo un ke qareev tar bhi hain aur jahan pohanchna intihai asaan bhi. Punjab aur Balochistan ke sangam par waqiya aik ghair maroof hill station Fort Munro aisa hi aik tourist point hai jahan june july main bhi thandi hawain istaqbal karti hain.

 Fort Munro D.G. Khan Picture

Janobi punjab ka ye wahid buland tareen muqaam hai jahan Dera Ghazi Khan, Multan, Muzaffargarh aur Rajanpur ki garmi se nikal kar Fort Munro sirf 3 se 4 hours main pohancha ja sakta hai, khasosan Dera Ghazi Khan se 80 km ke distance par hamari manzil khubsurat heeray ki tarah jhilmila rahi hai.

Sindh aur Karachi ke bashinday air conditioned coach ke zariye 600 - 700 rupay karaya de kar Rohri, Kashmore ke raste 10 se 12 hours main pohanch sakte hain. February ki khubsurat morning main ye safar aur bhi pyara ho jata hai. Sarson ki pehli khushbu mehsoor karne lagti hai. Raste main anay wale shehar khuch dair ke liye mood ko kharab kar dete hain magar zara dair baad hi ghanay darakhton aur kheeti bari ka silsila shuru ho jata hai.

Lake In Fort Munro Image

 Sar sabz baghat se guzarti bus jub dopehar ke khane ke liye rukti hai tou dil faraib fiza tourist ko Pakistan ki tareef karne par majboor kar deti hai. Barish ho to mausam aur bhi khubsurat ho jata hai aur phir Multan jesa shehar main bhi thandi hawain lehrati hain. Sham ki khunki main khajor ke darakhron ke saye bharh jate hain. Shehar ke maghrib main Koh-e-Suleman ka pahari silsila phela howa hai. Yahan aik hi waqt main sehra ki dhool urti hai tou dusri taraf darya-e-sindh main dolphin ka raqs nazar aata hai. Koh-e-Suleman ke mountains fog se bharne lagtay hain tou kabhi Sakhi Sarwar ka mazar mast kar deta hai.

Fort Munro jane wali sarak Quetta road kehlati hai. Is rastay par chotay qad ke pahar nazar atay hain jahan garmiyon ke mausam main tapish bohat zayada barh jati hai. Is raste main jagah jagah bridge banaye gaye hain warna barishon ke mausam main sari sarak beh jati hai aur traffic kayi din mautal rehti hai. Khuch dair baad hi Rakhi ka muqam aata hai yahan khajoron ke darakhton ke neechay khana badoshon ka qayam rehta hai. Ye log hairat angaiz toor par zameen khood kar us ke andar rehtay hain aur uper se khajor khi chaal aur pattay daal detay hain. Rakhi se aik aur pahari silsila shuru hota hai aur raste main anay wale mod intihai khatarnak lagne lagte hain. Baaz auqat Kaghan Naram aur Chitral ki sarkain yaad aa jati hain. Aik ke baad aik U Turn dekh kar khuch log wapsi ki rah laitay hain magar woh log jin ke dilon main umeed ke chiragh roshan rehaty hain, apni manzil ki taraf safar jari rakhte hain. Is jagah par jhukay howe khookhlay pathar gariyon par girtay rehtay hain aur kahin kahin rasta intihai dushwar guzar ho jata hai. Gari ke tire se gehri khai main pathar girne lagte hain. Is adventure ka apna aik lutf hai. Dusre raston ki tarah is road par bhi bohat sare maal bardar truck ahishta raftar se safar karte rehte hain. Ye Quetta to Dera fruite lay kar jatay hain. Ye driver apni jaan hatheli par rakh kar safar karte hain. Fort Munro se pehle khar ki pasti ajati hai. Yahan se gariyan Loralai tak safar karti hain magar is se pehle aik buland hota howa rasta Fort Munro ki taraf murta hai. Khar ke bazar main Kabaili Baloch chaye peetay nazar atay hain. Mehman un ke liye rehmat hain. Khar ke bazar main dumbay ka gosht intihai lazeez milta hai.

Yahan se adhay ghantay ke fasle par Fort Munro ke forests shuru ho jate hain. Saru ke darakhton se ghiri khubsurat saraf aik buland muqaam par ikhtitaam pazeer ho jati hai. Door tak pheelay junglat hairan kar dete hain aur pehla khayal yehi aata hai ke is ilaqay main tourism ke hawale se work kiya jaye tou log Murree bhool jayain magar sawal yehi paida hota hai ke is pasmanda khitay ki abyari karne wale log hi kitne hain. 7000 foot buland is muqaam par pohanchte hi tourist musarat deedni ho jati hai. Yahan rehne ke liye rest houses bhi hain jin ke rooms thande rehtay hain Dera aur Multan ki garmi ke sataye howe log is bulandi par aatay hi phool ki tarah khil uthtay hain. Yahan aik jheel bhi hai jisay Demas Lake kehtay hain. Sayah jub sham ke lamhon main utarte howe saye main yahan pohanchta hai tou mahol pur israr ho jata hai. Har taraf khamoshi ke is raj main kabhi kabhi parindon ki cheekhain sunai deti hain. Din jald hi dhal jata hai. Sardiyon ki raat hamesha udas kar deti hai. Hotels, Restaurants ki kami aur jadeed bazaar na hone ke baes bohat hi kam log yahan thehr pate hain.



 Wallpaper Fort Munro Pics

Raat ke is andhere main kabhi barf bhi girne lagti hai jis ki khubsurati dekhne wala koi nahin hota. Subah ki kirnain aik talismi manzar paish karti hain. Aftabi roshni main barf ka chirkao hairan kar deta hai. Sare trees, pahar aur Demas Jheel ke paas barf ki chadar par jati hai. Baraf se dhuli subha main jungli phoolon se tapakte shehad ki khushbu bharpur zindagi ka ehsas dilati hai. Bazaar se left side par aik kacha rasta park ki taraf nikalta hai. Yahan Munro ki qabar hai. Ye park aik unchay mukam par waqaya hai. Yahan se puri wadi ka khubsurat nazara kiya ja sakta hai. Targhol ke qareeb aik aabshar bhi hai jisay Payala Abshar kehtay hain. Jheel ki dusri taraf aik naya jungle shuru ho jata hai jis ki jhariyon main chupi rangeen chirya geet gane lagti hai. Ghoomte phirte sard aur barfeeli hawa ka ehsas jata rehta hai. Cheer ke darakhton talay Gora Kabristan main barf ki chadar bichi dikhai deti hai jahan aik baar phir General Munro ki qabar par nazar jati hai.