Thursday 19 February 2015

Saib Ke Faide Apple Benefits In Urdu Apple Ke Faide in Hindi

Saib Ke Faide Apple Benefits In Urdu: Saib bohat mashoor or mazay daar phal hai is phal main bohat si khubiyaan hain yeh ek bohat takaat dahnay wahla gaza or sahat bakshish dawa hai zaika ke lahaz se b is ki bohat kismain hoti hain bohat kisam k saib khatay meethay or kuch khatay hotay hain aam toor paar achi kisam ke saib meethay hotay hain jangli saib aksar khata ya halka khata hota hai.

Kashmiri saibon ki takreeban 50 kismain hain saib kis kadar mufeed hai is ka andaza is baat se kiya jasakta hai ke agar rozana subha nahar moun ek ya 2 saib khakay dhood pee liya jaye to chaind hi dino main health achi hojati hai is ka ek or b yeah faida hai k rang khil jata hai nikhar jata hai, chehray par surkhi chalaknay lagti hai aur tamaam kamzooriyaan khatam hojati hain saib mein protien, iron b hota hai jo ke bohat hi zada insan ki sahaat k liye behtaar samja jata hai or ini se bohat sari behmariyon ka elaj b kiya jata hai maslan jigar ka fail hona shamil hai.


Saib Ko Mehfooz Karne Ka Tarika:
Saib ko lambay arsay tak mehfooz b rakh saktay hain jiska tarika mandraja zail hai.

  1. Saib ko agar ap fridge main mehfos karna chahain to is baat ka khayal rakhain k saib ko alooun k nasdeek na rakhain takay un ki boo saib k zaikay paar asar andaaz na ho or ap zaida wakat k liye saib ka phaal say lutf andooz ho sakai.
  2. Saib ko mehfoz karna ka tarika yeh b hai ke pehlay achi tarhen say janch lain ke saib daag dhaba ya naram hisa na ho mukamaal toor paar behtreen phaal ko h mehfoos karna chahiye takay ap kafi daar taak saib ko mehfoz rakh sakain or uskay zaikay say zada faida utha sakain.
  3. Saib ko mehfoos karnay say pehlay unko doo kar mat rakhain balkay unhain bina dhoye hi thandi jaga pay mehfooz rakhain.
  4. Saib ko mehfooz karne ki sahi mudat 6 haftay hain is mudat ke duran ap is apple ke zaike se puri tarhen lutf andoz hoskain or saib ko fresh b rakh saktay hain.      

No comments:

Post a Comment