Friday, 20 February 2015

Father's Day History In Urdu Father's Day Poems Speech In Hindi Essay

Father's Day History In Urdu Speech: Father's Day aik samaji festival hai jo har saal 20 june ko chand countries ke ilawa taqreeban puri dunya mein manaya jata hai. Jis mein baap ki izzat o ahtram ke paish nazar apne jazbat ka izhar kiya jata hai. Ye tehwar sadiyon purana nahin hai ye chand saal pehle manzar aam par aya hai. Father Day ko mutarif karwane wali Sonora Dodd hai jo American lady hai us ke parents us ke bachpan mein hi intiqal kar gye thay Sonora apne baap ki shafqat se mehroom ho gyi aur apne baap ko bay had yaad karti thi. Phir us ke zehan mein baap ko yaad karne aur us ko kharaj tehseen paish karne ka aik khayal aya aur us ne 1910 mein Washington mein pehli baar 20 june ko Father's Day manaya. Phir ahista ahista puray America mein us din ko walid ke naam se mansoob kar diya gya. Aur baqaida se har saal manaya jata. Kyoun ke us waqt ke sadar Calvin Coolidge ne 1924 mein is festival ko national Father Day ke naam se mananay ka hukam diya.
Father's Day In Urdu
Hindi Fathers Day Essay In Urdu
Tab 1966 mein Lyndon Johnsn ne isay almi satah par mutaraf karwaya is tarah is tehwar ko kayi countries mein pazirai hasil hoi. Aur bilakhir 1972 mein is tehwar ko almi festivals mein mustaqil tor par shamil kar liya gya. Degar tehwaron ki tarah is tehwar ko bhi baaz mazhbi halqon mein maghribi rasoom ka andiya diya jata hai. Haan ye waqai sach hai ke is tehwar ko aqwam -e maghrib mein Christians ne manana shuru kiya lekin taqreeban tamam religions ke log isay manate hain.

Zaroori nahin hai ke us din ko un ke tarika se hi manaya jaye. Lekin haqeeqat tou ye hai ke Islam mein bhi waldain ke huqooq par bohat zor diya gya hai. Is liye Muslims ko chahiye ke wo is festival ko tehwar na samjhain balkeh Islam ke sunehri asool ke mutabiq waldain ke huqooq puray karain. Aur un ke adab aur ahtram mein paish paish rahain.

No comments:

Post a Comment