Thursday 19 February 2015

Chakwal History In Urdu Places In Chakwal Culture Chakwal Information

Chakwal History In Urdu: Chakwal punjab ka aham tareen zila hai aur 4 tehsilon par mushtamil hai. Chakwal mein national assembly ke 2 halkay NA-60 aur NA-61 hain aur provincial assembly ke 4 halqay hain jin mein PP-20, PP-21, PP-22 aur PP-23 ke halqay atay hain. Chakwal ko 1985 mein zila kar darja diya gya is se qabal ye zila Punjab hi ke aik aur shehar ki tehseel hua karta tha. Talagang zila chakwal ki aik intihai aham tehseel hai. Is ke naam ke sath 2 ilfaz Tala aur Gang bhi aik History rakhte hain. Tala ka meaning hai neechay hisay wali zameen aur Gang aik Hindi qaum ka naam hai. Qayam-e-Pakistan se pehle yahan par Gang qaum abad thi aur ye alaqa kyoun ke baqi alaqon se nichli satah par waqaya tha is liye yahan par abad Gang qaum ke afrad ko Talagang ke baes shanakht kiya jata tha. Tehseel Talagang mulk ki sub se bari shahrah Motorway se 30 km door waqaya hai jabkeh zila chakwal se 45 km door waqia hai. Yahan par abad log Punjabi zuban boltay hain.
 
 Chakwal ke pahar - pic by Madasar Khan
Tehseel Talagang mein Asia ka sub se bara qasba Lawah bhi mojood hai jis ke raqbay par puri tehseel ki abadi ki aksariyat abad hai. Chakwal ke janoobi hisay mein zayada tar pahari silsila waqaya hai aur satah samandar se 3701 foot ki unchai par ye jab ke shumal mein zayada his Darya-e-Sohan ke qareeb waqia hai. Chakwal mein pahari silsila ke sath sath aik barani alaqa hai is liye yahan par kashtkari mein barish ka bohat zayada amal dakhal hai aur Pakistan ke qayam se pehle yahan par Hindu, Sikh aur Christian qaumain abad thien jin mein aksariyat Hindu aur Sikhon ki thi. Pakistan bannay ke baad ye qaumain Bharat ko hijrat kar gayien jabkeh Bharat se anay wale Muslims yahan par abad hue.

1985 min is ko zila ka darja de diya gya. 1891 mein adad-o-shumar ke mutabiq Chakwal ki abadi ki kul tadad 164912 thi. Chakwal city mein aik jagah Dhamyal bhi waqaya hai jo 1920 mein bhi tamam afrad ke liye is hawalay se aik aham jagah thi ke yahan par taman shoba zindagi se wabasta afrad ko rozgar ki talash ke liye ana parta tha aur angreez fauj ka qayam bhi yahin par tha.

1940 ke zila ke gazette ke mutabiq yahan ka purana naam yani old name of chakwal "Chaudhry Chaku Khan" jo ke Mir Minhas Rajput qabeelay ke sardar thay ke naam par rakha gya tha. Chakwal achi nasal ke Bull aur Horses ki wajah se famous hai. Pakistani fauj mein kafi tadad mein fauji isi shehar se taluq rakhte hain.

No comments:

Post a Comment