Thursday, 19 February 2015

History Khyber Pakhtunkhwa In Urdu Essay Khyber Pakhtunkhwa Information Culture Tourism KPK Poems

Khyber Pakhtunkhwa History In Urdu: Geography lihaz se KPK Province (Sarhad) hasas khitay mein waqaya hai. Yehi wajah hai ke zamana qadeem mein Persian, Mughal, Turk, Sikh, Arab, Unan aur British yahan lashkar kashi karte rahe. 1500 aur 2000 qabal masih yahan Aryai qaum ki Irani branch wajood mein ayi jis ki pusht panahi Pakhtun kar rahe thay. Unhon ne is sare khiton ko apne qabzay mein lay liya. Khyber Pakhtunkhwa ke khitay par kayi maroof logon ka naam qabil zikar hai jo yahan dora kar chuke hain in mein Sikandar-e-Azam, Marko Polo, Churchill ke naam shamil hain. Shahi door se pehle yahan par budh mat ke pairo karon ki tadad kafi zayada thi. Jabkeh 870 sadi eswi tak Turk hukamranon ka shahi door raha jos ko akhir kaar Mahmood Ghaznavi ney naist-o-nabood kar diya.
Darya-e-Swat
Phir Islam ki roshni is khitay mein na sirf pheeli balkeh yahan se kayi deegar mulehqa khiton mein Islam ka bol bala hua aur phir mazeed Sufia Karam aur Muslims poets ne bhi kafi logon ko Islam ki rahgbat dilane mein aham kardar ada kiya. Is ke baad Pashtun qaum parasti ka tanaza bhi shuru hua. Jis mein Khushal Khan Khattak ne apni poems ke zariye apne Pashtunon ko hukamranon ki baghawat par majboor kiya. Phir 1848 mein Ahmad Shah Durrani ne surat haal ko mamool par lanay mein aham kardar ada kiya.

Phir deegar bar-e-sagheer ke alaqon ki tarah yahan par Angreezon ne qadam jamaney shuru kar diye. Is silsile mein British aur Russia mein rasa kashi shuru ho gyi. aur Afghanistan ki taqseem ka waqaya paish aya. 1893 mein Durand line nafiz hoi aur Afghanistan ka khuch hisa Bartanawi Hindustan mein shamil ho gya. Aur Pakhtun qabeelon mein bhi na ittefaqi ne sar uthaya aur woh 2 hison mein but gye. Lein phir bhi Angreezon ko Pushtun larai mein bure nataij aur nuqsan ka samna karna para. Phir Bartania ne "Taqseem Karo Aur Hukumar Karo" ka formula apnaya aur khuch had tak kath putli Pushtun hukmaranon ki madad se Bartaniya ko kamyabi hasil hoi.
9 november 1909 mein bil akhir Khyber Pakhtunkhwa Province bana aur us ka naam Sarhad Province rakha gya. soobay ka ikhtiyar nazim ala ko diya gya. Jo musheeron ki madad se nazaam chalata tha. Phir bazabta toor par 26 April 1902 ko is sooba ka iftitah hua aur soobay ke 5 izla mukhtis hue.

1947 mein Qayam-e-Pakistan ke waqt mutfiqa toor par sooba sarhad ko Pakistan ka hisa qarar diya gaya. Phir chand wajoohat ki bana par Afghanistan se is sooba ke tanazat ronuma ho gye. 1979 mein Soviet Union ke Afghanistan par hamlay se lakhon mahajreen Khyber Pakhtunkhwa hijrat kar aye aur phir ahista ahista ye mujahideen ka bara markaz ban gya. Agriculture is soobay ki economy ka aham bab hai. Is mein gandam (wheat), makai (corn), chawal (rice) aur ganna (Sugarcane) wagera kaseer tadad mein ugaye jate hain.

Tehzeeb o saqafat mein ye khita kayi 100 salon ki qadeem rawayat ka hamil hai. Jis mein Pashto Song, Chitrali Sitar ko khas ahmiyat hasil hai. Puray Pakistan ke tijarati log yahan ka rukh karte hain. Jis ki wajah ye hai ke yahan ke bazaar saray Pakistan mein famous hain. Jin mein Qissa Khawani Bazaar kafi mashoor hai. Yahan ki aab-o-hawa sar sabz paharon aur neeli wadiyon ki wajah se nahayat khoobsurat hai. Is ke ilawa ye KPK parhezgar aur purkhaloss aur mehman nawaz Muslims ke liye bohat shohrat ka hamil hai.

No comments:

Post a Comment