Friday, 20 February 2015

How To Be Happy Urdu Khush Rehne Ka Tarika Happiness Tips Hindi

Khush Rehne Ka Tarika In Urdu Happy: Subah sunai denay wali parindon ki awaz garmiyon ki dupaher koyal ki awaaz in ki dilkash awaz hamesha zehan aur dil par khushgawar asarat paida karti hain in ki dilkash awaz dil ko sakoon datey hai  koyel  ki dilkash awaz humko mausam or darakton ki yaad dilati hai koyel ki awaz hum ko or hi duniya main lejati hai or jub chiriyan chehchahati hain tou kainat ke nazaray ache se lagnay lagtay hain kyoun ke parindon ki haseen awazain jub kanon tak ati hain tou dil tak dastak bhi deti hain aur jo cheez dil tak ati hai usi ka asar insan ke zehan par bhi hota hai.

Dilchasp baat ye hai ke jadeed tahkeek se bhi yehi sabat huwa hai k mukhtalif parindon ki chehchahanay ki awaz logon ko aksar makhsos jaghon or waquat ki yaad dilati hain jaisay k aam toor par mukhtalif  awazoon ke sath mukhtalif yadain wabasta hoti hain is ke ilawa university main ki janay wali 3 saal ki tehqeeq ke natijay main yeh baat sabit hoye hai ke hamari yeh naram nazuk dost hamari tabiyat par sirf khush gawar asarat hi muratab nahin karti bulkay in ki awazoon ki badolat hamain zehni sakoon bhi hasil hoti hai.

Zehni sehat ke hawalay se ki janai wali study yeh batati hai k 71% afrad nay is baat ka atraaf kiya ke kisi park ya mazafati allakay ki chahel qadmi ke duran parindon ko dekhnay or in ke sureeli awaz sunnay se in ka mood intahi khushgawar hogaya or zehni tanao main kami waqia huyi lihaza ab jub bi apki tabiyat bojhal ho tou in gatay gungunatay doston se madad layna na bhulain.
    

No comments:

Post a Comment