Thursday 19 February 2015

Spider Information In Urdu Makdi Ka Jala How To Say Spider In Urdu

How To Say Spider In Urdu: Spider meaning in urdu is Makri: Spider Information In Urdu: Makdi jub chalti hai tou apne pecjhay aik bareek sa dhaga chhor deti hai. Ye dhaga ya makri ka banaya gya ye resham jaal ki shakal ikhtyar kar laita hai. Bazahir intihai bareek ye reshmi jaal bohat nazuk sa lagta hai lekin ye pani mein hal nahin hota aur ab tak daryaft kiya jane wala dunya ka ye mazboot tareen qudarti resha hai. Protien se banay ye reshay makri ke Silk Glands mein bantay hain. Spider ke chalne se is ke pechay jo resham ki lakeer banti hai, makdi darasal isay dushmanon se bachne ke liye istemal karti hai. Resham ki ye lakeer makadi ki life line kehlati hai. Agar apne jalay mein mojod spider ko kisi khatre ka samna ho ya andesha ho tou wo yehi life line banate hue jalay se nechay utar kar grass mein chhup jati hain. Kabhi youn bhi hota hai ke jub tak khatra tal na jaye spider life line ke zariye hawa mein rehti hai. Khatra talnay ke baad ye isi life line par chalti hoi dobara apne jalay tak pohanch jati hai.
Shikari makriyan unchi places se zameen tak pohanchne ke liye life line use karti hain. Spiders resham hi ke zariye chipaknay wale reshon se bani choti choti disks banati hain. Wo apni in disks ko apne jalay aur life lines ko milanay ke liye mukhtalif sathon par istemal karti hain. Isi tarah jala bunnay wali aksar makdiyan apna shikar bhansnay ke liye resham ki aik pheeli hoi chadar si banati hain. Spiders ki aik type Orb Weaver apna shikar resham ki isi chadar mein youn lapait laiti hai jese purane zamane mein misr mein Mummies ko mehfooz kiya jata tha, youn shikar ke liye bhagna ya bachna mumkin ho jata hai.

No comments:

Post a Comment