Thursday 19 February 2015

Raja Dahir Urdu History Raja Dahir In Hindi Raja Dahir Picture

Information Raja Dahir History In Urdu: (Raja Dahir 712-661) jadeed Pakistan mein sindh aur punjab ke mukhtalif hison ke akhri Hindu badshahon mein se tha. Bar-e-sagheer pak-o-hind mein Muslims ki fatah ke aghaz mein un ki badshahi aik arab general ki taraf se maghloob ki gyi.

Fatah Makran Ke Moqa Par Tasadam: Raja Dahir hakim sindh ne Musalmanon ke sath bina kisi wajah ke dushmani shuru kar di thi. 22 hijri mein Muslims Iran fatah karne ke baad Makran par hamla awar hue tou sindhiyon ne un ki bharpur mukhalfat ki. Muslims ne Sindh aur Makran par lashkar ko shikast di.nLekin is wajah se Muslims aur sindh government ke darmiyan anad ka beej bhoya gya.


Baghiyon Ki Pusht Panahi: Bahmi dushmani ki fiza ko Raja Dahir ne barqarar rakha aur jub Makran mein aik sardar ne Makran ke governor ko qatal kar ke Sindh ki rah li tou Raja Dahhir ne usay apne haan panah di aur apni fauj mein usay ohda bhi diya.

Raja Dahir Ki Zalmana Hukumat: Raja Dahir chunkay mutasab Hindu aur Barehman zada tha. Is liye us ne Budhism ke pero karon par bay panah mazalim dhaye. Aur shamsheer ke zoor par un ko mitanay ki policy par amal kiya. Mazloomeen mein Jutt aur Loban qaumain bhi shamil thien. Jin ko Raja Dahir ke baap ne ruswa karne ke liye un par pabandi laga di thi ke wo asli ki bajaye artificial sword apne paas rakhain. Qeemti kapre, resham makhmal aur shawal istemal na karain. Ghoray par baith kar sawari karain, nangey sar aur nangey paon rahain aur ghar se bahir nikaltay hue apna dog sath rakhain. Raja Dahir ne bhi in pabandiyon ko qaim rakha. Sindh ke ye mazloom tabqay Musalmanon se madad talab kartay thay.

No comments:

Post a Comment