Friday, 20 February 2015

Plants Information In Urdu Trees Plant Growing Tips Care Facts How Plant Grow In Water

Plants Essay In Urdu Plants Information: Janwaron, parindon, machliyon aur dusre hasrat al arz ki tarah plants bhi jandaron mein shumar hote hain. Bazahir ye baat bari ajeeb si maloom hoti hai lekin ye haqeeqat hai ke plants ki life hi ki wajah se dunya mein insan aur dusre jandar zinda reh patay hain. Pani mein doobay water plants se lay kar unchay darakhton tak ye har mushkil surat aur jisamat mein ugtay hain aur suraj ki roshni se apni khorak khud bana sakte hain jab ke dusre jandar aisa karne se qasir hote hain.

Plants And Trees
Plants insanon aur janwaron ko khorak muhaiya karne ka aham zariya hain. Plants ki nashonuma ke liye air aur water aur soil ki zaroorat hoti hai aur woh apne jese bohat se naye plants bhi paida kar sakte hain. Is se sabit hota hai ke woh zinda hote hain. Plants ki aham khasusiyat un ka apni khorak khud tayar karne ka amal hai. Khorak kis tarah tayar hoti hai is baray mein podon plants par ki gyi search se pata chalta hai ke plants ke andar aik lees dar mawad hota hai jisay chlorophyll kaha jata hai. Ye mawad pani, suraj ki roshni aur hawa se carbon dioxide gas istimal kar ke aik shakar dar khorak banata hai. Phir ye meethay aur lees dar ras par mushtamil khorak jisay arq hayati kehte hain darakht ke har hisay mein pohanch jati hai. Aur poday is arq hayati ke zariye zinda rehte aur nashonuma patay hain.

Zameen par 380000 types ke plants hain. In types mein pani mein ugnay wale plants bhi shamil hain aur woh plants bhi jin mein patay hote hain. Is ke ilawa woh trees bhi shamil hain jin ki unchai aam trees se bohat bari hoti hai. Aisay darakht janglaaat mein paye jatay hain.
tags: podon ki nashonuma, podon ki hifazat, plant growing tips in urdu, plants care tips

No comments:

Post a Comment