Thursday, 19 February 2015

Helicopter Information In Urdu What Is Black Box In Aeroplane Essay in Hindi Details

Helicopter Information In Hindi: Black box ya flight recorder, electronic recording device hoti hai jo kisi bhi fizai hadsay ki surat mein hadsat ki asal wajuhat ko jannay mein madadgar sabat hoti hai. Is recorder ki ahmiyat ke paish nazar isay is andaz mein design kiya jata hai ke ye jahaz ko paish anay wale tamam mumkina hadson ki surat mein tabahi se bacha rehta hai. Black box 100 degree centigrade tak tapish aur 3000 km ke zone ko bardasht karne ki salahiyat rakhta hai. Is ka khudkar system aeroplane ya helicopter kemalbay ke pani mein girnay ki surat mein bhi us mein mehfooz deta ko zaya nahin hone deta. Apne naam ke baraks is device ka amooman color orange ya yellow hota hai kis ki uper wali satah roshni ko munaks karne ki salahiyat rakhti hai. Youn hadsay wali jagah par ye asani ke sath dikhai deta hai.

Helicopter Picture
Helicopter 
Aam toor par ye device 2 hison yani fligh deta recorder ya cockpit voice recorder par mushtamil hoti hai. 1970 ke baad amooman flights mein black box ke ilawa quick access recorder nami device bhi hoti hai. Is device mein mehfooz information ko black box ki nisbat zayada jaldi hasil kiya ja sakta hai. Fligh recorder ya black box pilot ke headset se juray microphone aur air phone ko mosool hone wale signals ko mehfooz karne ki salahiyat rakhta hai, youn woh kisi bhi jahaz ki tabahi ki surat mein ikhtitami lamhat mein control tower ke sath hone wali conversation ya pilot ki janib se kisi bhi qisam ki talk ko record kar ke tehqeeqi amlay ke liye mawan sabat hota hai.

Aam toor par is voice recorder mein half hour ki recording karne ki salahiyat hoti hai taham federal aviation administration ki janib se aisi device ke istemal ko tarjih dene ka kaha gya hai kis mein 2 hours tak ki recording ki salahiyat mojood ho. Latest black box mein aam toor par ye facility mojood hoti hai ke woh jahaz ke hadsay se dochar hone ki surat mein automatic system ke teht khud ko tayare se alehda kar laitay hain, youn un ke tabah hone ke imkan kam ho jate hain. Is ke ilawa pani mein mojood hone ki surat mein unhain underwater locator beacon ki madad se find karna bhi mumkin hota hai.

No comments:

Post a Comment