Thursday, 19 February 2015

Kalash Festival In Urdu History Kalash People in Urdu Kafiristan Chitral Valley Kalash Culture

Kalash qabilay se mutaliq kaha jata hai ke ye unani nasal se taluq rakhta hai. Jub Sikander e Azam yahan se guzra tou us ki fooj ke chand sapahiyon ko ye alaqa bohat pasand agaya aur unhon ne inhi paharon main rehna shuru kar diya. Kalash main rehnay wali auratain kala libas hi pehanti hain is ke ilawa kisi dure rung ke kapron ko hath nahin lagatien. Ye samandri ghotghon ke haar, aankhon mein kajal aur rukhsaron par bhi kala tikka lagati hain, in ke balon ya hathon main phool zaroor hotay hain chahay un ka koi festival ho ya khaiton (fields, farms) main kaam kar rahi hon ye isi tarah bani thani rehti hain. Noward (newcomer) ko pehli nazar main in ko dekh kar eid ka tehwar yaad ajata hai.

Kalash Valley Culture
Muslims aur Kalashiyon ke alag alag villages bhi yahan hain. Pehle ye sub Non-Muslims thay magar tablighi koshishion se khuch ko Musalman kiya gaya. Government ne tabligh ke liye yahan sakhti ikhtiyar ki hoi hai. Kisi ko zabardasti Musalman nahin banaya ja sakta, shayad is ka maqsad un ke munfarid kalash culture ko mehfooz rakhna ho. Kalash ki ajeeb-o-ghareeb rasmon main ye bhi hai ke yahan murday ko dafnatay ya jalatay hain thay balkeh khulay taboot main rakh kar us ke gird deewana war raqs kartay thay aur phir khuch dinon ke baad us murday ka gosht janwar kha jatay thay, un ki hadiyan gaon (village) ke kabristan main ja kar dekhi ja sakti hain. Is moqay par 3 din tak rishtedaron ki amdoraft jari rehti aur aur marne wale ke lawahiqeen unhain bakre khila khila kar nidhal ho jatay. Shadi biyan ke moqay par bhi un ke rawaj maghrabi hain (western tradition). Husband wife jub chahain alag ho saktay hain, jub chahain mil saktay hain , is ke liye un ka muashra (society) deewar nahin banta.
Kalash Festival In Urdu: Chilam Joshi Festival Kalash Valley Chitral
Kalash main taleem ka mayar intihai shandar hai. Unani NGOs ki wajah se funds ki kami nahin hoti, achay school ban rahe hain aur ibtidai taleem bhi angreezi (english) main di jati hai. ghair mulki sayahon (International tourists) ka istaqbal ye log engreezi zuban main hi kartay hain. Halaat, asaar aur jadeediat ki lehar dekh kar dar lagta hai ke qadeem door aur saqafat ka hamil ye munfarid qabila apni asliat kho kar madoomiat se dochar na ho jaye.

No comments:

Post a Comment