Tarika Warzish Ke Faiday: Pedal chalna fit rahne ki khatar behtareen Exercise mein se ek hai lekin is ka faida tab hai ke jab aap pedal chalne ki darust tacquinic se wakaf hon. Fitness ke maheren ki rai ke mutabik is silsale mein darj zail baton ka khayal rakhna zarori hai.Apni raftar ka khayal rakahin.chahal kadmi ka agaz joging se kararain.aur phir apni raftar batadrez kam karte huye teez raftar chahal kadmi par ajain. Is duran khayal rakhain ke pahle app ki aree zameen par lage aur is ke bad panjay taham shuro mein is chehal kadmi ko
taweel na karain kyoun ke is tarhan aap jald thak jain gi aur is baat ka bhi imkan hai ke ayenda ke liye is warzish se bezar ho jain. So, apna work out mukhtasir rahain.
Is teez kharami ka banyadi maksad chonka chalories jalana hai is liye apna har posture aisa rakahin jo is silsale mein aap ka bharpoor madad gar sabat ho.apni khoniyou ko zameen se 9 darjay ke zawiye par rakhain. Aur bazuoon ko jism ke saath milaye rakhte huye agay peechay harkat dain. Is se app ko teez raftari ke saath agay bharne mein madad milay gi, kam waqat mein zayada fasala te kar pain ge. Aur zayada calories jala pain ge.pedal chalne ke duran apne peet ko masalsal andar ki janab dabaye rakhain is se peet kaam karne mein madad milay gi.aur peet ke phatho ki behtareen warzish bhi ho jaye gi. Apni walk se zayada se zayada faida uthane ke liye dil ki dhadkan janchne ka aala istemal karain. Aur is baat ko yakeeni banain ke app ki dil ki dharkan, mamol ki raftar se 80 se 85 fisad tak barh jaye.
Is ke alawa hamwar raston ki bajaye unchay nichaye raston par chalna zayada kargar sabat hota hai.kyoun ke ki unchai par charhne ya utarne ke natijay mein app ke jism ke saray pathay gardish mein rahte hain aur is andaz mein ki gai 20, 30 min ki walk aam tor se ki gai 2 ghante ki walk se behtar hoti hai.
Fit rahne aur wazan mein kami lane ki khatar apne jism ko masalsal nat naye challenges se do char karte rehna zaroori hai. Is surat mein aap jo bhi exercise anjam dain gi woh zayada se zayada mosar sabat ho gi. Is liye warzish ke andaz mein tabdeeli lain. Apni raftaar badalti rahain, 5 min teez chalne ke baad panch min ahista chalna khasa kargar sabat hota hai.
si tarhan apne raste bhi tabdeel karti rahain takay aap ka jism kisi khas routine ka adi na ban jayen kyoun ke jis kadar apna mamol badlain gi is kadar tawanai istemal kar payain ge. Metha khain app yakeenan soch rahi hon gi ke exercise ke is plan mein mithaye ka bhala kya zikar......?
Tou jaan lain ke is thaka dene wali mashqat ke baad mahireen ka tajwez karda meetha aap ka inaam hai. Ge han, apni walk ke ikhtitam par aap protein aur carbohydrates par mushtamil 250 calories tak ke ek khas tanasab mein bana hua metha kha sakti han. Lehaza1 kela chope karain, us mein 15 gram honey aur 200 gram bagair chaknai wala dahi milain aur khalain. Studies se sabat hua ke is tarhan warzish ke baad aap ke muscles bari teezi ke saath darust halat mein wapis ajate hain aur aap dugni raftar se charbi kam kar sakti han.

No comments:
Post a Comment