Thursday, 19 February 2015

Canada History Urdu Information Canada Visa Guide Requirements

Canada History In Urdu Canada Visa Information: Ye bar-e-azam shumali America ka mulk hai. Is ka capital ottawa hai. Yahan ki currency canadian dollar hai. Yahan ki language english aur french hai. Canada ki famous cities mein Montreal, Toronto shamil hain. Canada ka weather sardiyon mein shumal aur janoob mein thanda hota hai magar maghrib aur mashriq mein mausam qadre mukhtalif hota hai. Canada ke shumal mein behr-e-munjamid shumali aur mashriq mein khaleej bezan se milta hai. Is ki sarhadain janoob mein rayasat haye mutehda America aur maghrib mein Alaska se milti hain.

Canadian Exit Visa: Yahan har saal kam az kam 100 afrad jo mustaqil rehayesh ke liye immigrant visa jari kiya jata hai. Ye visa mustaqil bunyadon par diye jatay hain. Har saal lakhon ki tadad mein canada visa applications mosool hoti hain is liye yahan ki government ne aik tarjehi nazam qaim kar diya hai. Is nazam ke teht tarkeen watan ke teen tabqay banaye gaye hain. Familiy members, azad aur dusre tarkeen watan. Is nazam ke teht khandan ke afrad aur mahajreen ko sub se zayada ahmiyat di jati hai.

Family Members: Khandan Ke Log: Koi bhi shakhs 18 saal ki umar se kam na ho aur Canada ka shehri ho ya Canadian Immigration ka hamil ho. Apne khandan ke qareebi rishta daron ko Canada mein bula sakta hai. Rishtadaron mein us shakhs ki wife, childrens jo ghair shadi shuda aur umar 21 years se kam ho apne parents, dada, dadi wagera. 13 years ki umar se kam ka bacha jo yateem ho aisa bacha jis ko us ke parents ne chor diya ho. Is class ke teht applications dene walon ka jaeza point system ke teht nahin liya jata hai. Taham woh achi sehat aur chaal chalan ke bunyadi mayar par pura utarta ho.

Convention Refugees: Convention mahajar aisa insan hai jo nasal, mazhab, qaumiat kisi khas rukniat ya siasi raye dahi ki bunyad par maqool khoof ke baes apne mulk se bahir hai aur usay khauf  hai ke mulk mein wapas jane par us ki jaan ko khatra hai.
2: Is khauf ke baes us mulk ko wapas janay ko tayar nahin hai jo ke us ka apna mulk nahin tha lekin woh adtan is se pehle wahan raha karta tha. Qanooni tor par convention mahajreen ko nikala nahin ja sakta. Us waqt tak jub tak keh woh mulki salamti aman-o-aman ke liye khatra na ban jayain, saza yafta na ho jayain.

Convention mahajreen jo Canada mein mustaqil rihaesh ke liye application dain gey, un ki darkhawast par azad darkhawast dene ki tarah bartao kiya jaye ga. Ye mulk insani hamdardi ke teht bohat se mazloom aur bay ghar logon ko bohran ke zamana mein panah deta hai. Aur jang wagera ki halat mein woh Canada mein dakhil ho sakte hain. For example Bosnia, Kashmir aur jang se mutasir afrad.

Point System: Tarkeen watan ke intikhab ke mayar ko behtar banane ke liye naye qanoon ki dafa number 115 mein wazahat ki gayi hai. Jis ki tafseel zayada tar wohi hai jo apne purane qanoon mein thi. Lekin mukhtalif awamil ki tashkeel par nazar sani ki gayi hai takeh tarkeen watan ko Canada ke labour market ki zaroorat banaya ja sakay. Zayada tar zoor ala tarbiyat, experience aur ahliyat par diya gaya hai. Har application dene wale ko intikhabi mayaron par pura utarna ho ga. Mustaqil tor par yahan anay walon ko point system ke teht kam az kam 25 point hasil karna hote hain. Family members ko 20 se 35 point dusre logon ko 50 point hasil karne hote hain aur karobari afrad ko sirf 1 point hasil karna hota hai.

Canada Student Visa: Ghair mulki students jo yahan taleem hasil karna chahte hain un ke liye zaroori hai ke mutalqa university, collage, institute mein un ka dakhla ho chuka ho. Kam se kam 6 months ki fees jama karwa di hon. Is baat ka saboot ke ayenda kese aur kon un ke akhrajat bardasht kare ga. Taleem ke husool ke doraan aap koi dusra kaam nahin kar sakte.

No comments:

Post a Comment