Thursday, 19 February 2015

Siachen History In Urdu Siachen Glacier Issue Information Siachen Glacier Facts In Hindi

Siachen Issue In Urdu Siachen Glacier Facts: Ye barf ka aik dozakh hai, garmiyon mein is ka darja hararat -32 hota hai aur winter mein -50 tak chala jata hai, mausam ki is shiddat mein zindagi mumkin nahin hoti chunachay dunya jub se takhleeq hoi hai, yahan par zindagi ne sar nahin uthaya, 77 km taweel aur 4.8 km choray is alaqay mein aaj tak grass ke aik patay ne janam nahin liya, is alaqay mein kisi janwar, kisi parinday ne bhi par nahin mara, ye lambai ke lihaz se dunya ka dusra bara glacier hai, log isay sadiyon se siachen glacier kehtay arahe hain, muqami zuban mein is ka matlab Gulabon Ki Sarzameen hai lekin gulab aaj tak is zameen par nahin uga, ye zameen azad thi, 1984 tak is par kisi ka qabza nahin tha, qabza mumkin bhi nahin tha, -50 c mein kisi ko qabzay ki kya zaroorat ho gi lekin phir April 1984 mein India ne Siachen par achanak qabza kar liya, Indian army indian alaqay se hoti hoi Siachen par pohanchi aur us ne dunya ke intihai unchay muqaam par choki bana li, Pakistan ko maloom hua tou Pakistan army bhi Siachen pohanch gayi aur youn dunya ki 2 nuclear powers dunya ke unchay aur sard tareen maidan-e-jang mein ak dusre ke amne samne agaye.

India ke paas Siachen ka 2 tahai alaqa hai jub ke Pakistan ke paas 1 tahai alaqa hai. Pakistan ke paas Gyang La Paas ka alaqa hai, ye woh muqam hai jahan se Pakistan Ladakh par nazar rakh sakta hai, ye dunya ka intihai mushkil maidan-e-jang hai, is maidan ko maintain karna taqreeban namumkin hai, aap Siachen ke paharon par oxygen mask ke baghair zinda nahin reh saktay, Siachen ke liye khasoosi libas bhi darkar hai.

Siachen dunya ka mehnga tareen mahaz-e-jang hai, Pakistan army is par rozana 1 crore 50 lakh rupees kharch karti hai, ye raqam monthly 45 crore aur salana 5 arab 50 crore rupees banti hai, Indian army ka kharch Pakistan se kayi guna zayada hai, ye rozana 5 crore, monthly 1 crore 50 lakh aur salana 20 arab rupees kharch karta hai, Siachen par har 3rd day aik Pakistani fauji shaheed hota hai jabkeh har dusre din Bharat ka aik fauji mara jata hai. Yahan par Pakistan ke 4400 jawan aur officer tainaat hain jabkeh India ke 7000 tainaat hain.

History par nazar dali jaye tou Siachen Pakistan ka hisa tha jis par India ne 1984 mein qabza kiya tha. Ab Pakistan ka moqaf ye hai ke donon mulkon ki faujain 1984 se pehle ki position par wapas chali jayain India ka is par israr hai ke pehle in positions ko qanooni shakal di jaye aur phir inkhala ki baat ki jaye jis ka matlab ye hai ke Pakistan Siachen se dastbardar ho jaye. Wiki Leaks ki janib se jari karda secret messages mein ye kaha gaya hai ke Siachen ke maslay ke hal mein asal rukawat Bharat hai. Hindustan ye alaqa is liye khali nahin karna chahta ke Pakistan aur China par Siachen ki wajah se jo fauji bartari usay hasil hai woh us se mehroom ho jaye ga.

No comments:

Post a Comment