Thursday, 19 February 2015

Sri Lanka History In Urdu Sri Lanka Travel Guide Kandy City

Sri Lanka History in Urdu: Zamana qadeem hi se neelay samandar, safaid chamkeelay sahilon, qudarti husn aur dilkashi ka markaz hone ki bina par dunya bhar ke tourists ke liye dilchaspi aur kashish ka baes raha hai. Sri Lanka ka qadeem naam Salon hai aur 70% bashinday Budh Mat ke mannay wale hain, ye South Asia ka wahid mulk hai jo islands par mushtamil hai. Yahan ke log aam toor par bohat khush ikhlaq hain. Woh tourists ko dekhte hi muskurane lagte hain aur agar tourists bhi jawaban muskura dain tou un ki khushi do chand ho jati hai. Famous newspaper New York Times ne 2010 mein Sri Lanka ko sayahon ke liye pehle tarjih qarar diya tha aur is mulk mein be tahasha panay jane wala qudarti husn is baat ki daleel hai ke international tourists zayada arsa tak isay nazar andaz nahin kar sakay gi.

Sri Lanka Tourism
Sri Lanka ki sair ke liye dusre mulkon se anay wale tourists aam toor par apne tafreehi doray ka aghaz Kandy se kartay hain.  Sri Lanka main intercity express train ke zariye bhi Kandy city mein pohancha ja sakta hai, ye train aap ko mulk ke pahari alaqon se hote hue Kandy lay jaye gi. Ye khubsurat safar aap mudaton bhula na sakain gey kyoun ke e pura alaqa intihai sar sabz o shadab hai aur safar ke doran aap yahan ke qudarti husn se mehsoor ho kar reh jatay hain. Kandy jane wale baishtar tourists Temple of the Scare Tooth zaroor jatay hain, is ke ilawa Kandy ki mashoor jheel ki sair karna hargiz na bhulain kyoun ke agar aap ne ye khubsurat lake na dekhi tou samajh lain ke aap ka Kandy ka safar raigaan gya.

Sri Lanka chaye ki paidawar ka aik aham markaz hai. Agar aap Sri Lanka aye aur chaye ke kheeton ka nazara na kiya toi goya khuch bhi na dekha. Is maqsad ke liye aap Kandy mein hi kisi Taxi Driver ki khidmat hasil kar sakte hain ke woh aap ko Nuwara Eliya lay chale. Ye pahari qasba khud tou khuch zayada pur kashish nahin lekin is ke raste mein donon taraf chaye ke wasi o areez sar sabz kheet is qadar mehsoor kun nazara paish karte hain ke aap palak jhapakna bhool jayain gey. Nuwara Eliya se aap Tissamaharam ja sakte hain, jis ka rasta tou kharab aur dushwar guzar hai lekin wahan pohanch kar jub aap Yala National Park ki sair karain gey tou wahan elepants aur tigers ko dekh kar aap ki sari thakan door ho jaye gi.

Pahari alaqon ki sair ke baad agar aap khuch sastana chahte hain tou is ke liye Sri Lanka ke janoobi sahilon se behtar jagah aur koi nahin ho sakti. Yahan ka behta hua neela samandar aur moti ki tarah chamaktey hue safaid raitlay sahil.... janoobi Asia ke kisi bhi dusre khoobsurat sahil se kisi surat kam nahin....

Sahili alaqon ki sair ke baad aap Galle city ka rukh bhi kar sakte hain, jahan qadeem qila sayahon ki dilchaspi ka markaz banta hai, is ke ilawa yahan kayi jadeed art galleries bhi mojood hain, jo dekhne se taluq rakhti hain. Aap Sri Lanka ki sair ka ikhtitam Galle se bazariya express train Colombo tak ke safar par kar sakte hain. Ye Train behr hind ke khubsurat sahil ke sath sath apna safar mukamal karti hai aur dilkash o dil faraib manazir se pur ye safar aap ke is tafreehi doray ka behtareen nukta ikhtitam sabit ho ga.

tags: sri lanka national anthem in urdu history srilanka

No comments:

Post a Comment