Thursday, 19 February 2015

France History in Urdu Eiffel Tower France Revolution Paris Travel Guide

Eiffel Tower Paris ki pehchan hai, ye lohay ka aik azeem dhancha hai jisay Alexander ne 31 march 1889 mein mukamal kiya tha, ye tower shuru mein sirf 20 years ke liye banaya gaya tha aur is ne 1909 mein khatam ho jana tha, is ki wajah Paris kr log thay, Paris ke log art aur culture ka khubsurat imtizaj hain, ye brush ke zariye pathar ke buton aur koray canvas main jaan daal detay hain, un logon ke samne jub iron ka aik bad surat dhancha khara kar diya gaya tou ye un ke zooq ke mutabiq nahin tha chunachay unhon ne Eiffel Tower ke khilaf ahtijaj shuru kar diya.

Information Of France In Urdu:
Paris ki intizamia is ahtijaj ki taab na la saki lihaza faisla hua ke Eiffel Tower ko 20 saal baad toor diya jaye ga, 20 saal pure hue tou Radio ijad ho gaya, radio ke signals ke liye Paris mein aik unchi building darkar thi aur Eiffel Tower wahid muqam tha jahan se taqreeban pure Paris ko radio signals mil sakte thay, intizamia ne Eiffel Tower par radio ka booster laga diya aur ye booster baad mein Eiffel Tower ki zindagi ban gaya. Aap Qudrat ka kamal mulahiza kijiye lohay ka ye dhancha jisay Paris ke people kabhi kabool karne ke liye tayar thay ye aaj world mein Paris ki pehchan hai aur Paris city mein enter hone wala har insan us waqt tak apni sair ya travel ko muqamal nahin samajhta jub tak woh Eiffel Tower ka nazara nahin kar laita. Ye 10000 ton wazni lohau ka aik dhancha hai jis ki unchai 324 meter hai.

Is tower par daily 1 lack people atay hain, woh tickets hasil karne ke liye 3 hours tab bhi lines mein khare hote hain aur ahishta ahishta chalte hue Eiffel Tower ki peak par pohanchtay hain, is choti se France ka shehar Paris sara ka sara nazar ata hai. Eiffel Tower ki peak wali place dunya ki sub se expensive place hai aur agar French government kabhi is jagah ki nilami ka ilan kare tou ye shayed Paris ki history ki mahengi tareen auction ho. Agar aap world ki is expensive place par jayain tou aap is bulandi par washroom dekh kar hairan reh jate hain, ye aik chota sa washroom hai. Is ke liye 324 meter height tak pani bhi pohanchaya jata hai aur taweel pipes ke zariye ke kaam kiya jata hai. Eiffel Tower ki intizamia ko is kaam ke liye har saal 2 lack Euro karch karna partay hain.

Bila shuba France ke is mashoor shehar Paris mein agar ye tower na hota tou shayed is mulk mein anay wale tourists ki tadad bhi itni zayada na hoti aur na hi is shehar ko puri dunya mein is tarah se jana jata. France ki tehzeeb kafi puri hai par yahan par jadeed door ke nazam maslan railway station, roads aur unchi unchi buildings ne is mulk ko roshniyon ka mulk bana diya hai. Khaas tor par Paris shehar ko puri dunya mein roshniyon ka shehar kaha jata hai aur is ki beautiful constructions ki wajah se dusre pasmanda mulkon mein rehnay wale log is hasrat mein rehtay hain ke kash woh apni zindagi mein apne mulk ki cities ko bhi Paris ki tarah khubsurat hota hua dekh sakain.

No comments:

Post a Comment